109 | GEN 5:3 | Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā. |
110 | GEN 5:4 | Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
111 | GEN 5:5 | Wuh 930 sāl kī umr meṅ faut huā. |
112 | GEN 5:6 | Set 105 sāl kā thā jab us kā beṭā Anūs paidā huā. |
113 | GEN 5:7 | Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
114 | GEN 5:8 | Wuh 912 sāl kī umr meṅ faut huā. |
115 | GEN 5:9 | Anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭā Qīnān paidā huā. |
116 | GEN 5:10 | Is ke bād wuh mazīd 815 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
117 | GEN 5:11 | Wuh 905 sāl kī umr meṅ faut huā. |
118 | GEN 5:12 | Qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭā Mahalalel paidā huā. |
119 | GEN 5:13 | Is ke bād wuh mazīd 840 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
120 | GEN 5:14 | Wuh 910 sāl kī umr meṅ faut huā. |
121 | GEN 5:15 | Mahalalel 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Yārid paidā huā. |
122 | GEN 5:16 | Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
123 | GEN 5:17 | Wuh 895 sāl kī umr meṅ faut huā. |
124 | GEN 5:18 | Yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭā Hanūk paidā huā. |
125 | GEN 5:19 | Is ke bād wuh mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
126 | GEN 5:20 | Wuh 962 sāl kī umr meṅ faut huā. |
127 | GEN 5:21 | Hanūk 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Matūsilah paidā huā. |
128 | GEN 5:22 | Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
129 | GEN 5:23 | Wuh kul 365 sāl duniyā meṅ rahā. |
130 | GEN 5:24 | Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā. |
131 | GEN 5:25 | Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā. |
132 | GEN 5:26 | Wuh mazīd 782 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe aur beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
133 | GEN 5:27 | Wuh 969 sāl kī umr meṅ faut huā. |
134 | GEN 5:28 | Lamak 182 sāl kā thā jab us kā beṭā paidā huā. |
136 | GEN 5:30 | Is ke bād wuh mazīd 595 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
137 | GEN 5:31 | Wuh 777 sāl kī umr meṅ faut huā. |
138 | GEN 5:32 | Nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue. |
141 | GEN 6:3 | Phir Rab ne kahā, “Merī rūh hameshā ke lie insān meṅ na rahe kyoṅki wuh fānī maḳhlūq hai. Ab se wuh 120 sāl se zyādā zindā nahīṅ rahegā.” |
153 | GEN 6:15 | Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho. |
154 | GEN 6:16 | Kashtī kī chhat ko yoṅ banānā ki us ke nīche 18 inch khulā rahe. Ek taraf darwāzā ho, aur us kī tīn manzileṅ hoṅ. |
166 | GEN 7:6 | Wuh 600 sāl kā thā jab yih tūfānī sailāb zamīn par āyā. |
171 | GEN 7:11 | Yih sab kuchh us waqt huā jab Nūh 600 sāl kā thā. Dūsre mahīne ke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae. |
180 | GEN 7:20 | Balki sab se ūṅchī choṭī par pānī kī gahrāī 20 fuṭ thī. |
187 | GEN 8:3 | Pānī ghaṭtā gayā. 150 din ke bād wuh kāfī kam ho gayā thā. |
188 | GEN 8:4 | Sātweṅ mahīne ke 17weṅ din kashtī Arārāt ke ek pahāṛ par ṭik gaī. |
197 | GEN 8:13 | Jab Nūh 601 sāl kā thā to pahle mahīne ke pahle din zamīn kī satah par pānī ḳhatm ho gayā. Tab Nūh ne kashtī kī chhat khol dī aur dekhā ki zamīn kī satah par pānī nahīṅ hai. |
198 | GEN 8:14 | Dūsre mahīne ke 27weṅ din zamīn bilkul ḳhushk ho gaī. |
234 | GEN 9:28 | Sailāb ke bād Nūh mazīd 350 sāl zindā rahā. |
235 | GEN 9:29 | Wuh 950 sāl kī umr meṅ faut huā. |
277 | GEN 11:10 | Yih Sim kā nasabnāmā hai: Sim 100 sāl kā thā jab us kā beṭā Arfaksad paidā huā. Yih sailāb ke do sāl bād huā. |
278 | GEN 11:11 | Is ke bād wuh mazīd 500 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
279 | GEN 11:12 | Arfaksad 35 sāl kā thā jab Silah paidā huā. |
280 | GEN 11:13 | Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
281 | GEN 11:14 | Silah 30 sāl kā thā jab Ibar paidā huā. |
282 | GEN 11:15 | Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
283 | GEN 11:16 | Ibar 34 sāl kā thā jab Falaj paidā huā. |
284 | GEN 11:17 | Is ke bād wuh mazīd 430 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
285 | GEN 11:18 | Falaj 30 sāl kā thā jab Raū paidā huā. |
286 | GEN 11:19 | Is ke bād wuh mazīd 209 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
287 | GEN 11:20 | Raū 32 sāl kā thā jab Sarūj paidā huā. |
288 | GEN 11:21 | Is ke bād wuh mazīd 207 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
289 | GEN 11:22 | Sarūj 30 sāl kā thā jab Nahūr paidā huā. |
290 | GEN 11:23 | Is ke bād wuh mazīd 200 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
291 | GEN 11:24 | Nahūr 29 sāl kā thā jab Tārah paidā huā. |
292 | GEN 11:25 | Is ke bād wuh mazīd 119 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
293 | GEN 11:26 | Tārah 70 sāl kā thā jab us ke beṭe Abrām, Nahūr aur Hārān paidā hue. |
299 | GEN 11:32 | Tārah 205 sāl kā thā jab us ne Hārān meṅ wafāt pāī. |
303 | GEN 12:4 | Abrām ne Rab kī sunī aur Hārān se rawānā huā. Lūt us ke sāth thā. Us waqt Abrām 75 sāl kā thā. |
351 | GEN 14:14 | Jab Abrām ko patā chalā ki bhatīje ko giriftār kar liyā gayā hai to us ne apne ghar meṅ paidā hue tamām jangāzmūdā ġhulāmoṅ ko jamā karke Dān tak dushman kā tāqqub kiyā. Us ke sāth 318 afrād the. |
374 | GEN 15:13 | Phir Rab ne us se kahā, “Jān le ki terī aulād aise mulk meṅ rahegī jo us kā nahīṅ hogā. Wahāṅ wuh ajnabī aur ġhulām hogī, aur us par 400 sāl tak bahut zulm kiyā jāegā. |
398 | GEN 16:16 | Us waqt Abrām 86 sāl kā thā. |
399 | GEN 17:1 | Jab Abrām 99 sāl kā thā to Rab us par zāhir huā. Us ne kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Mere huzūr chaltā rah aur be'ilzām ho. |
415 | GEN 17:17 | Ibrāhīm muṅh ke bal gir gayā. Lekin dil hī dil meṅ wuh haṅs paṛā aur sochā, “Yih kis tarah ho saktā hai? Maiṅ to 100 sāl kā hūṅ. Aise ādmī ke hāṅ bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Aur Sārā jaisī umrrasīdā aurat ke bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Us kī umr to 90 sāl hai.” |
422 | GEN 17:24 | Ibrāhīm 99 sāl kā thā jab us kā ḳhatnā huā, |
423 | GEN 17:25 | jabki us kā beṭā Ismāīl 13 sāl kā thā. |
431 | GEN 18:6 | Ibrāhīm ḳhaime kī taraf dauṛ kar Sārā ke pās āyā aur kahā, “Jaldī karo! 16 kilogrām behtarīn maidā le aur use gūṅdh kar roṭiyāṅ banā.” |
449 | GEN 18:24 | Ho saktā hai ki shahr meṅ 50 rāstbāz hoṅ. Kyā tū phir bhī shahr ko barbād kar degā aur use un 50 ke sabab se muāf nahīṅ karegā? |
451 | GEN 18:26 | Rab ne jawāb diyā, “Agar mujhe shahr meṅ 50 rāstbāz mil jāeṅ to un ke sabab se tamām ko muāf kar dūṅgā.” |
453 | GEN 18:28 | Lekin ho saktā hai ki sirf 45 rāstbāz us meṅ hoṅ. Kyā tū phir bhī un pāṅch logoṅ kī kamī ke sabab se pūre shahr ko tabāh karegā?” Us ne kahā, “Agar mujhe 45 bhī mil jāeṅ to use barbād nahīṅ karūṅga.” |
454 | GEN 18:29 | Ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī, “Aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?” Rab ne kahā, “Maiṅ un 40 ke sabab se unheṅ chhoṛ dūṅgā.” |
455 | GEN 18:30 | Ibrāhīm ne kahā, “Rab ġhussā na kare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ. Shāyad wahāṅ sirf 30 hoṅ.” Us ne jawāb diyā, “Phir bhī unheṅ chhoṛ dūṅgā.” |
456 | GEN 18:31 | Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai. Agar sirf 20 pāe jāeṅ?” Rab ne kahā, “Maiṅ 20 ke sabab se shahr ko barbād karne se bāz rahūṅgā.” |
457 | GEN 18:32 | Ibrāhīm ne ek āḳhirī dafā bāt kī, “Rab ġhussā na kare agar maiṅ ek aur bār bāt karūṅ. Shāyad us meṅ sirf 10 pāe jāeṅ.” Rab ne kahā, “Maiṅ use un 10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅ karūṅga.” |
519 | GEN 21:5 | Jab Is'hāq paidā huā us waqt Ibrāhīm 100 sāl kā thā. |
530 | GEN 21:16 | koī 300 fuṭ dūr baiṭh gaī. Kyoṅki us ne dil meṅ kahā, “Maiṅ use marte nahīṅ dekh saktī.” Wuh wahāṅ baiṭh kar rone lagī. |
573 | GEN 23:1 | Sārā 127 sāl kī umr meṅ Habrūn meṅ intaqāl kar gaī. |
586 | GEN 23:14 | Ifron ne jawāb diyā, “Mere āqā, suneṅ. Is zamīn kī qīmat sirf 400 chāṅdī ke sikke hai. Āp ke aur mere darmiyān yih kyā hai? Apnī bīwī ko dafn kar deṅ.” |
588 | GEN 23:16 | Ibrāhīm ne Ifron kī matlūbā qīmat mān lī aur sab ke sāmne chāṅdī ke 400 sikke tol kar Ifron ko de die. Is ke lie us ne us waqt ke rāyj bāṭ istemāl kie. |
614 | GEN 24:22 | Ūṅṭ pānī pīne se fāriġh hue to us ne Ribqā ko sone kī ek nath aur do kangan die. Nath kā taqrīban 6 grām thā aur kanganoṅ kā 120 grām. |
666 | GEN 25:7 | Ibrāhīm 175 sāl kī umr meṅ faut huā. Ġharz wuh bahut umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar intaqāl karke apne bāpdādā se jā milā. |
676 | GEN 25:17 | Ismāīl 137 sāl kā thā jab wuh kūch karke apne bāpdādā se jā milā. |
679 | GEN 25:20 | Is'hāq 40 sāl kā thā jab us kī Ribqā se shādī huī. Ribqā Lāban kī bahan aur Arāmī mard Batuel kī beṭī thī. (Batuel Masoputāmiyā kā thā.) |
685 | GEN 25:26 | Is ke bād dūsrā bachchā paidā huā. Wuh Esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, is lie us kā nām Yāqūb yānī ‘Eṛī Pakaṛne Wālā’ rakhā gayā. Us waqt Is'hāq 60 sāl kā thā. |
727 | GEN 26:34 | Jab Esau 40 sāl kā thā to us ne do Hittī auratoṅ se shādī kī, Bairī kī beṭī Yahūdit se aur Ailon kī beṭī Bāsamat se. |
935 | GEN 32:7 | Jab qāsid wāpas āe to unhoṅ ne kahā, “Ham āp ke bhāī Esau ke pās gae. Aur wuh 400 ādmī sāth le kar āp se milne ā rahā hai.” |
943 | GEN 32:15 | 200 bakriyāṅ, 20 bakre, 200 bheṛeṅ, 20 menḍhe, |
944 | GEN 32:16 | 30 dūdh dene wālī ūṅṭniyāṅ bachchoṅ samet, 40 gāeṅ, 10 bail, 20 gadhiyāṅ aur 10 gadhe. |
962 | GEN 33:1 | Phir Esau un kī taraf ātā huā nazar āyā. Us ke sāth 400 ādmī the. Unheṅ dekh kar Yāqūb ne bachchoṅ ko bāṅṭ kar Liyāh, Rāḳhil aur donoṅ launḍiyoṅ ke hawāle kar diyā. |
980 | GEN 33:19 | Us ke ḳhaime Hamor kī aulād kī zamīn par lage the. Us ne yih zamīn chāṅdī ke 100 sikkoṅ ke badle ḳharīd lī. |
1040 | GEN 35:28 | Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā. |
1086 | GEN 37:2 | Yih Yāqūb ke ḳhāndān kā bayān hai. Us waqt Yāqūb kā beṭā Yūsuf 17 sāl kā thā. Wuh apne bhāiyoṅ yānī Bilhāh aur Zilfā ke beṭoṅ ke sāth bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā thā. Yūsuf apne bāp ko apne bhāiyoṅ kī burī harkatoṅ kī ittalā diyā kartā thā. |
1112 | GEN 37:28 | Chunāṅche jab Midiyānī tājir wahāṅ se guzare to bhāiyoṅ ne Yūsuf ko khīṅch kar gaṛhe se nikālā aur chāṅdī ke 20 sikkoṅ ke ewaz bech ḍālā. Ismāīlī use le kar Misr chale gae. |
1241 | GEN 41:45 | Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī. Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā. |
1381 | GEN 45:22 | Us ne har ek bhāī ko kapṛoṅ kā ek joṛā bhī diyā. Lekin Binyamīn ko us ne chāṅdī ke 300 sikke aur pāṅch joṛe die. |
1402 | GEN 46:15 | In beṭoṅ kī māṅ Liyāh thī, aur wuh Masoputāmiyā meṅ paidā hue. In ke alāwā Dīnā us kī beṭī thī. Kul 33 mard Liyāh kī aulād the. |
1405 | GEN 46:18 | Kul 16 afrād Zilfā kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Liyāh ko diyā thā. |
1409 | GEN 46:22 | Kul 14 mard Rāḳhil kī aulād the. |
1412 | GEN 46:25 | Kul 7 mard Bilhāh kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Rāḳhil ko diyā thā. |
1413 | GEN 46:26 | Yāqūb kī aulād ke 66 afrād us ke sāth Misr chale gae. Is tādād meṅ beṭoṅ kī bīwiyāṅ shāmil nahīṅ thīṅ. |
1414 | GEN 46:27 | Jab ham Yāqūb, Yūsuf aur us ke do beṭe in meṅ shāmil karte haiṅ to Yāqūb ke gharāne ke 70 afrād Misr gae. |
1430 | GEN 47:9 | Yāqūb ne jawāb diyā, “Maiṅ 130 sāl se is duniyā kā mehmān hūṅ. Merī zindagī muḳhtasar aur taklīfdeh thī, aur mere bāpdādā mujh se zyādā umrrasīdā hue the jab wuh is duniyā ke mehmān the.” |
1449 | GEN 47:28 | Yāqūb 17 sāl Misr meṅ rahā. Wuh 147 sāl kā thā jab faut huā. |
1510 | GEN 50:3 | Is meṅ 40 din lag gae. Ām taur par hanūt karne ke lie itne hī din lagte haiṅ. Misriyoṅ ne 70 din tak Yāqūb kā mātam kiyā. |
1529 | GEN 50:22 | Yūsuf apne bāp ke ḳhāndān samet Misr meṅ rahā. Wuh 110 sāl zindā rahā. |
1533 | GEN 50:26 | Phir Yūsuf faut ho gayā. Wuh 110 sāl kā thā. Use hanūt karke Misr meṅ ek tābūt meṅ rakhā gayā. |
1538 | EXO 1:5 | Us waqt Yāqūb kī aulād kī tādād 70 thī. Yūsuf to pahle hī Misr ā chukā thā. |
1672 | EXO 6:16 | Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. (Lāwī 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1674 | EXO 6:18 | Qihāt ke chār beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the. (Qihāt 133 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1676 | EXO 6:20 | Amrām ne apnī phūphī Yūkabid se shādī kī. Un ke do beṭe Hārūn aur Mūsā paidā hue. (Amrām 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1693 | EXO 7:7 | Firaun se bāt karte waqt Mūsā 80 sāl kā aur Hārūn 83 sāl kā thā. |
1823 | EXO 12:6 | Mahīne ke 14weṅ din tak us kī dekh-bhāl karo. Us din tamām Isrāīlī sūraj ke ġhurūb hote waqt apne lele zabah kareṅ. |
1835 | EXO 12:18 | Pahle mahīne ke 14weṅ din kī shām se le kar 21weṅ din kī shām tak sirf beḳhamīrī roṭī khānā. |
1854 | EXO 12:37 | Isrāīlī Rāmsīs se rawānā ho kar Sukkāt pahuṅch gae. Auratoṅ aur bachchoṅ ko chhoṛ kar un ke 6 lākh mard the. |
1857 | EXO 12:40 | Isrāīlī 430 sāl tak Misr meṅ rahe the. |
1858 | EXO 12:41 | 430 sāl ke ain bād, usī din Rab ke yih tamām ḳhāndān Misr se nikle. |
1897 | EXO 14:7 | Wuh 600 behtarīn qism ke rath aur Misr ke bāqī tamām rathoṅ ko sāth le gayā. Tamām rathoṅ par afsarān muqarrar the. |
1948 | EXO 15:27 | Phir Isrāīlī rawānā ho kar Elīm pahuṅche jahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳht the. Wahāṅ unhoṅ ne pānī ke qarīb apne ḳhaime lagāe. |
1949 | EXO 16:1 | Is ke bād Isrāīl kī pūrī jamāt Elīm se safr karke Sīn ke registān meṅ pahuṅchī jo Elīm aur Sīnā ke darmiyān hai. Wuh Misr se nikalne ke bād dūsre mahīne ke 15weṅ din pahuṅche. |
1983 | EXO 16:35 | Isrāīliyoṅ ko 40 sāl tak man miltā rahā. Wuh us waqt tak man khāte rahe jab tak registān se nikal kar Kanān kī sarhad par na pahuṅche. |
2110 | EXO 21:32 | Lekin agar bail kisī ġhulām yā launḍī ko mār de to us kā mālik ġhulām ke mālik ko chāṅdī ke 30 sikke de aur bail ko sangsār kiyā jāe. |
2179 | EXO 24:1 | Rab ne Mūsā se kahā, “Tū, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg mere pās ūpar āeṅ. Kuchh fāsile par khaṛe ho kar mujhe sijdā karo. |
2187 | EXO 24:9 | Is ke bād Mūsā, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg Sīnā Pahāṛ par chaṛhe. |
2235 | EXO 25:39 | Shamādān aur us sāre sāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālis sonā istemāl kiyā jāe. |
2238 | EXO 26:2 | Har parde kī lambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho. |
2240 | EXO 26:4 | Donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāne ke lie nīle dhāge ke halqe banānā. Yih halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ wāle ek kināre par lagāe jāeṅ, |
2241 | EXO 26:5 | ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. In do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne hoṅ. |
2242 | EXO 26:6 | Phir sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqe ek dūsre ke sāth milānā. Yoṅ donoṅ ṭukṛe juṛ kar ḳhaime kā kām deṅge. |
2243 | EXO 26:7 | Bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banānā jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhā jāe. |
2244 | EXO 26:8 | Har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho. |
2246 | EXO 26:10 | Bakrī ke bāl ke in donoṅ ṭukṛoṅ ko bhī milānā hai. Is ke lie har ṭukṛe ke 45 fuṭ wāle ek kināre par pachās pachās halqe lagānā. |
2247 | EXO 26:11 | Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar un se donoṅ hisse milānā. |
2252 | EXO 26:16 | Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ ho aur chauṛāī sawā do fuṭ. |
2254 | EXO 26:18 | Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai |
2255 | EXO 26:19 | aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. Un par taḳhte khaṛe kie jāeṅge. Har taḳhte ke nīche do pāe hoṅge, aur har pāe meṅ ek chūl lagegī. |
2256 | EXO 26:20 | Isī tarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai |
2257 | EXO 26:21 | aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. Wuh bhī taḳhtoṅ ko khaṛā karne ke lie haiṅ. Har taḳhte ke nīche do pāe hoṅge. |
2261 | EXO 26:25 | Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 hogī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do do pāe hoṅge. |
2282 | EXO 27:9 | Muqaddas ḳhaime ke lie sahan banānā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī jāe. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ ho. |
2283 | EXO 27:10 | Kapṛe ko chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se lakaṛī ke 20 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Har khambā pītal ke pāe par khaṛā ho. |
2285 | EXO 27:12 | Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ ho aur kapṛā lakaṛī ke 10 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Yih khambe bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. |
2286 | EXO 27:13 | Sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ ho. |
2287 | EXO 27:14 | Yahāṅ chārdīwārī kā darwāzā ho. Kapṛā darwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā ho aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. Use donoṅ taraf tīn tīn lakaṛī ke khamboṅ ke sāth lagāyā jāe jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. |
2289 | EXO 27:16 | Darwāze kā pardā 30 fuṭ chauṛā banānā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā jāe, aur us par kaṛhāī kā kām ho. Yih kapṛā lakaṛī ke chār khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Wuh bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. |
2291 | EXO 27:18 | Chārdīwārī kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ ho. Khamboṅ ke tamām pāe pītal ke hoṅ. |
2396 | EXO 30:13 | Jis jis kā shumār kiyā gayā ho wuh chāṅdī ke ādhe sikke ke barābar raqam uṭhāne wālī qurbānī ke taur par de. Sikke kā wazn maqdis ke sikkoṅ ke barābar ho. Yānī chāṅdī ke sikke kā wazn 11 grām ho, is lie chhih grām chāṅdī denī hai. |
2397 | EXO 30:14 | Jis kī bhī umr 20 sāl yā is se zāyd ho wuh Rab ko yih raqam uṭhāne wālī qurbānī ke taur par de. |
2406 | EXO 30:23 | “Masah ke tel ke lie umdā qism ke masāle istemāl karnā. 6 kilogrām āb-e-mur, 3 kilogrām ḳhushbūdār dārchīnī, 3 kilogrām ḳhushbūdār bed |
2407 | EXO 30:24 | aur 6 kilogrām tejpāt. Yih chīzeṅ maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tol kar chār liṭar zaitūn ke tel meṅ ḍālnā. |
2467 | EXO 32:28 | Lāwiyoṅ ne Mūsā kī hidāyat par amal kiyā to us din taqrīban 3,000 mard halāk hue. |
2576 | EXO 36:9 | Har parde kī lambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī. |
2578 | EXO 36:11 | Donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāne ke lie unhoṅ ne nīle dhāge ke halqe banāe. Yih halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ wāle ek kināre par lagāe gae. |
2579 | EXO 36:12 | Ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. In do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne the. |
2580 | EXO 36:13 | Phir Bazliyel ne sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqoṅ ko ek dūsre ke sāth milāyā. Yoṅ donoṅ ṭukṛoṅ ke joṛne se ḳhaimā ban gayā. |
2581 | EXO 36:14 | Us ne bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banāe jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhnā thā. |
2582 | EXO 36:15 | Har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī. |
2584 | EXO 36:17 | In donoṅ ṭukṛoṅ ko milāne ke lie us ne har ṭukṛe ke 45 fuṭ wāle ek kināre par pachās pachās halqe lagāe. |
2585 | EXO 36:18 | Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar us ne donoṅ hisse milāe. |
2588 | EXO 36:21 | Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ thī aur chauṛāī sawā do fuṭ. |
2590 | EXO 36:23 | Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhte banāe gae |
2591 | EXO 36:24 | aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe bhī jin par taḳhte khaṛe kie jāte the. Har taḳhte ke nīche do pāe the, aur har pāe meṅ ek chūl lagtī thī. |
2592 | EXO 36:25 | Isī tarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhte banāe gae |
2593 | EXO 36:26 | aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe jo taḳhtoṅ ko khaṛā karne ke lie the. Har taḳhte ke nīche do pāe the. |
2597 | EXO 36:30 | Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 thī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do pāe. |
2629 | EXO 37:24 | Shamādān aur us ke tamām sāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālis sonā istemāl huā. |
2643 | EXO 38:9 | Phir Bazliyel ne sahan banāyā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī gaī. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ thī. |
2646 | EXO 38:12 | Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ thī. Kapṛe ke alāwā us ke lie 10 khambe, 10 pāe aur kapṛā lagāne ke lie chāṅdī kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ. |
2647 | EXO 38:13 | Sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ thī. |
2648 | EXO 38:14 | Kapṛā darwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā thā aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. Use donoṅ taraf tīn tīn khamboṅ ke sāth lagāyā gayā jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe the. |
2652 | EXO 38:18 | Chārdīwārī ke darwāze kā pardā nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā. Wuh 30 fuṭ chauṛā aur chārdīwārī ke dūsre pardoṅ kī tarah sāṛhe sāt fuṭ ūṅchā thā. |
2658 | EXO 38:24 | Us sone kā wazn jo logoṅ ke hadiyoṅ se jamā huā aur maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā taqrīban 1,000 kilogrām thā. (Use maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.) |
2659 | EXO 38:25 | Tāmīr ke lie chāṅdī jo mardumshumārī ke hisāb se wasūl huī, us kā wazn taqrīban 3,430 kilogrām thā. (Use bhī maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.) |
2660 | EXO 38:26 | Jin mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se zāyd thī unheṅ chāṅdī kā ādhā ādhā sikkā denā paṛā. Mardoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī. |
2661 | EXO 38:27 | Chūṅki dīwāroṅ ke taḳhtoṅ ke pāe aur Muqaddastarīn Kamre ke darwāze ke satūnoṅ ke pāe chāṅdī ke the is lie taqrīban pūrī chāṅdī in 100 pāiyoṅ ke lie sarf huī. |
2662 | EXO 38:28 | Taqrīban 30 kilogrām chāṅdī bach gaī. Is se chārdīwārī ke khamboṅ kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ, aur yih khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par bhī chaṛhāī gaī. |
2663 | EXO 38:29 | Jo pītal hadiyoṅ se jamā huā us kā wazn taqrīban 2,425 kilogrām thā. |
2847 | LEV 5:16 | Jitnā nuqsān maqdis ko huā hai utnā hī wuh de. Is ke alāwā wuh mazīd 20 fīsad adā kare. Wuh use imām ko de de aur imām jānwar ko qusūr kī qurbānī ke taur par pesh karke us kā kaffārā de. Yoṅ use muāfī mil jāegī. |
2855 | LEV 5:24 | yā jis ke bāre meṅ us ne qasam khā kar jhūṭ bolā hai. Wuh us kā utnā hī wāpas karke 20 fīsad zyādā de. Aur wuh yih sab kuchh us din wāpas kare jab wuh apnī qusūr kī qurbānī pesh kartā hai. |
3049 | LEV 12:4 | Phir māṅ mazīd 33 din intazār kare. Is ke bād us kī wuh nāpākī dūr ho jāegī jo ḳhūn bahne se paidā huī hai. Is daurān wuh koī maḳhsūs aur muqaddas chīz na chhue, na maqdis ke pās jāe. |
3050 | LEV 12:5 | Agar us ke laṛkī paidā ho jāe to wuh māhwārī ke aiyām kī tarah nāpāk hai. Yih nāpākī 14 din tak rahegī. Phir wuh mazīd 66 din intazār kare. Is ke bād us kī wuh nāpākī dūr ho jāegī jo ḳhūn bahne se paidā huī hai. |
3122 | LEV 14:10 | Āṭhweṅ din wuh do bheṛ ke nar bachche aur ek yaksālā bheṛ chun le jo beaib hoṅ. Sāth hī wuh ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāyā gayā sāṛhe 4 kilogrām behtarīn maidā aur 300 milīliṭar tel le. |
3124 | LEV 14:12 | Bheṛ kā ek nar bachchā aur 300 milīliṭar tel qusūr kī qurbānī ke lie hai. Imām unheṅ hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe. |
3127 | LEV 14:15 | Ab wuh 300 milīliṭar tel meṅ se kuchh le kar apne bāeṅ hāth kī hathelī par ḍāle. |
3133 | LEV 14:21 | Agar shifāyāb shaḳhs ġhurbat ke bāis yih qurbāniyāṅ nahīṅ chaṛhā saktā to phir wuh qusūr kī qurbānī ke lie bheṛ kā sirf ek nar bachchā le āe. Kāfī hai ki kaffārā dene ke lie yihī Rab ke sāmne hilāyā jāe. Sāth sāth ġhallā kī nazar ke lie ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā tel ke sāth milā kar pesh kiyā jāe aur 300 milīliṭar tel. |
3136 | LEV 14:24 | Imām bheṛ ke bachche ko 300 milīliṭar tel samet le kar hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe. |
3138 | LEV 14:26 | Ab wuh 300 milīliṭar tel meṅ se kuchh apne bāeṅ hāth kī hathelī par ḍāle |
3384 | LEV 22:14 | Jis shaḳhs ne nādānistā taur par muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se imām ke hisse se kuchh khāyā hai wuh imām ko sab kuchh wāpas karne ke alāwā 20 fīsad zyādā de. |
3416 | LEV 23:13 | Sāth hī ġhallā kī nazar ke lie tel se milāyā gayā 3 kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karnā. Jalne wālī yih qurbānī Rab ko pasand hai. Is ke alāwā mai kī nazar ke lie ek liṭar mai bhī pesh karnā. |
3420 | LEV 23:17 | Har gharāne kī taraf se Rab ko hilāne wālī qurbānī ke taur par do roṭiyāṅ pesh kī jāeṅ. Har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Un meṅ ḳhamīr ḍāl kar pakānā hai. Yih fasal kī pahlī paidāwār kī qurbānī haiṅ. |
3452 | LEV 24:5 | Bārah roṭiyāṅ pakānā. Har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. |
3478 | LEV 25:8 | Sāt Sabat ke sāl yānī 49 sāl ke bād ek aur kām karnā hai. |
3574 | LEV 27:3 | us ādmī ke lie jis kī umr 20 aur 60 sāl ke darmiyān hai chāṅdī ke 50 sikke, |
3575 | LEV 27:4 | isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke 30 sikke, |
3576 | LEV 27:5 | us laṛke ke lie jis kī umr 5 aur 20 sāl ke darmiyān ho chāṅdī ke 20 sikke, isī umr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 10 sikke, |
3577 | LEV 27:6 | ek māh se le kar 5 sāl tak ke laṛke ke lie chāṅdī ke 5 sikke, isī umr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 3 sikke, |
3578 | LEV 27:7 | sāṭh sāl se baṛe ādmī ke lie chāṅdī ke 15 sikke aur isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke 10 sikke. |
3584 | LEV 27:13 | Agar mannat mānane wālā use wāpas ḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad adā kare. |
3586 | LEV 27:15 | Agar ghar ko maḳhsūs karne wālā use wāpas ḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarā raqam jamā 20 fīsad adā kare. |
3587 | LEV 27:16 | Agar koī apnī maurūsī zamīn meṅ se kuchh Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare to us kī qīmat us bīj kī miqdār ke mutābiq muqarrar kī jāe jo us meṅ bonā hotā hai. Jis khet meṅ 135 kilogrām jau kā bīj boyā jāe us kī qīmat chāṅdī ke 50 sikke hogī. |