Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   '    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

347  GEN 14:10  Is wādī meṅ tārkol ke muta'addid gaṛhe the. Jab bāġhī bādshāh shikast khā kar bhāgne lage to Sadūm aur Amūrā ke bādshāh in gaṛhoṅ meṅ gir gae jabki bāqī tīn bādshāh bach kar pahāṛī ilāqe meṅ farār hue.
355  GEN 14:18  Sālim kā bādshāh Malik-e-sidq bhī wahāṅ pahuṅchā. Wuh apne sāth roṭī aur mai le āyā. Malik-e-sidq Allāh T'ālā kā imām thā.
356  GEN 14:19  Us ne Abrām ko barkat de kar kahā, “Abrām par Allāh T'ālā kī barkat ho, jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai.
357  GEN 14:20  Allāh T'ālā mubārak ho jis ne tere dushmanoṅ ko tere hāth meṅ kar diyā hai.” Abrām ne use tamām māl kā daswāṅ hissā diyā.
359  GEN 14:22  Lekin Abrām ne us se kahā, “Maiṅ ne Rab se qasam khāī hai, Allāh T'ālā se jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai
399  GEN 17:1  Jab Abrām 99 sāl kā thā to Rab us par zāhir huā. Us ne kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Mere huzūr chaltā rah aur be'ilzām ho.
417  GEN 17:19  Allāh ne kahā, “Nahīṅ, terī bīwī Sārā ke hāṅ beṭā paidā hogā. Tū us kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhnā. Maiṅ us ke aur us kī aulād ke sāth abadī ahd bāndhūṅgā.
418  GEN 17:20  Maiṅ Ismāīl ke silsile meṅ bhī terī darḳhāst pūrī karūṅga. Maiṅ use bhī barkat de kar phalne-phūlne dūṅgā aur us kī aulād bahut hī zyādā baṛhā dūṅgā. Wuh bārah ra'īsoṅ kā bāp hogā, aur maiṅ us kī mārifat ek baṛī qaum banāūṅgā.
419  GEN 17:21  Lekin merā ahd Is'hāq ke sāth hogā, jo ain ek sāl ke bād Sārā ke hāṅ paidā hogā.”
517  GEN 21:3  Ibrāhīm ne apne is beṭe kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhā.
518  GEN 21:4  Jab Is'hāq āṭh din kā thā to Ibrāhīm ne us kā ḳhatnā karāyā, jis tarah Allāh ne use hukm diyā thā.
519  GEN 21:5  Jab Is'hāq paidā huā us waqt Ibrāhīm 100 sāl kā thā.
522  GEN 21:8  Is'hāq baṛā hotā gayā. Jab us kā dūdh chhuṛāyā gayā to Ibrāhīm ne us ke lie baṛī ziyāfat kī.
523  GEN 21:9  Ek din Sārā ne dekhā ki Misrī launḍī Hājirā kā beṭā Ismāīl Is'hāq kā mazāq uṛā rahā hai.
524  GEN 21:10  Us ne Ibrāhīm se kahā, “Is launḍī aur us ke beṭe ko ghar se nikāl deṅ, kyoṅki wuh mere beṭe Is'hāq ke sāth mīrās nahīṅ pāegā.”
526  GEN 21:12  Lekin Allāh ne us se kahā, “Jo bāt Sārā ne apnī launḍī aur us ke beṭe ke bāre meṅ kahī hai wuh tujhe burī na lage. Sārā kī bāt mān le, kyoṅki terī nasl Is'hāq hī se qāym rahegī.
550  GEN 22:2  Allāh ne kahā, “Apne iklaute beṭe Is'hāq ko jise tū pyār kartā hai sāth le kar Moriyāh ke ilāqe meṅ chalā jā. Wahāṅ maiṅ tujhe ek pahāṛ dikhāūṅgā. Us par apne beṭe ko qurbān kar de. Use zabah karke qurbāngāh par jalā denā.”
551  GEN 22:3  Subah-sawere Ibrāhīm uṭhā aur apne gadhe par zīn kasā. Us ne apne sāth do naukaroṅ aur apne beṭe Is'hāq ko liyā. Phir wuh qurbānī ko jalāne ke lie lakaṛī kāṭ kar us jagah kī taraf rawānā huā jo Allāh ne use batāī thī.
554  GEN 22:6  Ibrāhīm ne qurbānī ko jalāne ke lie lakaṛiyāṅ Is'hāq ke kandhoṅ par rakh dīṅ aur ḳhud chhurī aur āg jalāne ke lie angāroṅ kā bartan uṭhāyā. Donoṅ chal die.
555  GEN 22:7  Is'hāq bolā, “Abbū!” Ibrāhīm ne kahā, “Jī beṭā.” “Abbū, āg aur lakaṛiyāṅ to hamāre pās haiṅ, lekin qurbānī ke lie bheṛ yā bakrī kahāṅ hai?”
557  GEN 22:9  Chalte chalte wuh us maqām par pahuṅche jo Allāh ne us par zāhir kiyā thā. Ibrāhīm ne wahāṅ qurbāngāh banāī aur us par lakaṛiyāṅ tartīb se rakh dīṅ. Phir us ne Is'hāq ko bāndh kar lakaṛiyoṅ par rakh diyā
577  GEN 23:5  Hittiyoṅ ne jawāb diyā, “Hamāre āqā, hamārī bāt suneṅ! Āp hamāre darmiyān Allāh ke ra'īs haiṅ. Apnī bīwī ko hamārī behtarīn qabr meṅ dafn kareṅ. Ham meṅ se koī nahīṅ jo āp se apnī qabr kā inkār karegā.”
606  GEN 24:14  Maiṅ un meṅ se kisī se kahūṅgā, ‘Zarā apnā ghaṛā nīche karke mujhe pānī pilāeṅ.’ Agar wuh jawāb de, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilā detī hūṅ,’ to wuh wuhī hogī jise tū ne apne ḳhādim Is'hāq ke lie chun rakhā hai. Agar aisā huā to maiṅ jān lūṅgā ki tū ne mere āqā par mehrbānī kī hai.”
640  GEN 24:48  Tab maiṅ ne Rab ko sijdā karke apne āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī tamjīd kī jis ne mujhe sīdhā mere mālik kī bhatījī tak pahuṅchāyā tāki wuh Is'hāq kī bīwī ban jāe.
641  GEN 24:49  Ab mujhe batāeṅ, kyā āp mere āqā par apnī mehrbānī aur wafādārī kā izhār karnā chāhte haiṅ? Agar aisā hai to Ribqā kī Is'hāq ke sāth shādī qabūl kareṅ. Agar āp muttafiq nahīṅ haiṅ to mujhe batāeṅ tāki maiṅ koī aur qadam uṭhā sakūṅ.”
654  GEN 24:62  Us waqt Is'hāq mulk ke junūbī hisse, Dasht-e-Najab meṅ rahtā thā. Wuh Bair-lahī-roī se āyā thā.
656  GEN 24:64  Jab Ribqā ne apnī nazar uṭhā kar Is'hāq ko dekhā to us ne ūṅṭ se utar kar
658  GEN 24:66  Naukar ne Is'hāq ko sab kuchh batā diyā jo us ne kiyā thā.
659  GEN 24:67  Phir Is'hāq Ribqā ko apnī māṅ Sārā ke ḍere meṅ le gayā. Us ne us se shādī kī, aur wuh us kī bīwī ban gaī. Is'hāq ke dil meṅ us ke lie bahut muhabbat paidā huī. Yoṅ use apnī māṅ kī maut ke bād sukūn milā.
663  GEN 25:4  Midiyān ke beṭe Aifā, Ifar, Hanūk, Abīdā aur Ilda'ā the. Yih sab Qatūrā kī aulād the.
664  GEN 25:5  Ibrāhīm ne apnī sārī milkiyat Is'hāq ko de dī.
668  GEN 25:9  Us ke beṭoṅ Is'hāq aur Ismāīl ne use Makfīlā ke ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre ke mashriq meṅ hai. Yih wuhī ġhār thā jise khet samet Hittī ādmī Ifron bin Suhar se ḳharīdā gayā thā. Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā donoṅ ko us meṅ dafn kiyā gayā.
670  GEN 25:11  Ibrāhīm kī wafāt ke bād Allāh ne Is'hāq ko barkat dī. Us waqt Is'hāq Bair-lahī-roī ke qarīb ābād thā.
678  GEN 25:19  Yih Ibrāhīm ke beṭe Is'hāq kā bayān hai.
679  GEN 25:20  Is'hāq 40 sāl kā thā jab us kī Ribqā se shādī huī. Ribqā Lāban kī bahan aur Arāmī mard Batuel kī beṭī thī. (Batuel Masoputāmiyā kā thā.)
680  GEN 25:21  Ribqā ke bachche paidā na hue. Lekin Is'hāq ne apnī bīwī ke lie duā kī to Rab ne us kī sunī, aur Ribqā ummīd se huī.
685  GEN 25:26  Is ke bād dūsrā bachchā paidā huā. Wuh Esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, is lie us kā nām Yāqūb yānī ‘Eṛī Pakaṛne Wālā’ rakhā gayā. Us waqt Is'hāq 60 sāl kā thā.
687  GEN 25:28  Is'hāq Esau ko pyār kartā thā, kyoṅki wuh shikār kā gosht pasand kartā thā. Lekin Ribqā Yāqūb ko pyār kartī thī.
694  GEN 26:1  Us mulk meṅ dubārā kāl paṛā, jis tarah Ibrāhīm ke dinoṅ meṅ bhī paṛ gayā thā. Is'hāq Jirār Shahr gayā jis par Filistiyoṅ ke bādshāh Abīmalik kī hukūmat thī.
695  GEN 26:2  Rab ne Is'hāq par zāhir ho kar kahā, “Misr na jā balki us mulk meṅ bas jo maiṅ tujhe dikhātā hūṅ.
699  GEN 26:6  Chunāṅche Is'hāq Jirār meṅ ābād ho gayā.
700  GEN 26:7  Jab wahāṅ ke mardoṅ ne Ribqā ke bāre meṅ pūchhā to Is'hāq ne kahā, “Yih merī bahan hai.” Wuh unheṅ yih batāne se ḍartā thā ki yih merī bīwī hai, kyoṅki us ne sochā, “Ribqā nihāyat ḳhūbsūrat hai. Agar unheṅ mālūm ho jāe ki Ribqā merī bīwī hai to wuh use hāsil karne kī ḳhātir mujhe qatl kar deṅge.”
701  GEN 26:8  Kāfī waqt guzar gayā. Ek din Filistiyoṅ ke bādshāh ne apnī khiṛkī meṅ se jhāṅk kar dekhā ki Is'hāq apnī bīwī ko pyār kar rahā hai.
702  GEN 26:9  Us ne Is'hāq ko bulā kar kahā, “Wuh to āp kī bīwī hai! Āp ne kyoṅ kahā ki merī bahan hai?” Is'hāq ne jawāb diyā, “Maiṅ ne sochā ki agar maiṅ batāūṅ ki yih merī bīwī hai to log mujhe qatl kar deṅge.”
705  GEN 26:12  Is'hāq ne us ilāqe meṅ kāshtkārī kī, aur usī sāl use sau gunā phal milā. Yoṅ Rab ne use barkat dī,
709  GEN 26:16  Āḳhirkār Abīmalik ne Is'hāq se kahā, “Kahīṅ aur jā kar raheṅ, kyoṅki āp ham se zyādā zorāwar ho gae haiṅ.”
710  GEN 26:17  Chunāṅche Is'hāq ne wahāṅ se jā kar Jirār kī Wādī meṅ apne ḍere lagāe.
711  GEN 26:18  Wahāṅ Filistiyoṅ ne Ibrāhīm kī maut ke bād tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhar diyā thā. Is'hāq ne un ko dubārā khudwāyā. Us ne un ke wuhī nām rakhe jo us ke bāp ne rakhe the.
712  GEN 26:19  Is'hāq ke naukaroṅ ko wādī meṅ khodte khodte tāzā pānī mil gayā.
713  GEN 26:20  Lekin Jirār ke charwāhe ā kar Is'hāq ke charwāhoṅ se jhagaṛne lage. Unhoṅ ne kahā, “Yih hamārā kuāṅ hai!” Is lie us ne us kueṅ kā nām Isak yānī Jhagaṛā rakhā.
714  GEN 26:21  Is'hāq ke naukaroṅ ne ek aur kuāṅ khod liyā. Lekin us par bhī jhagaṛā huā, is lie us ne us kā nām Sitnā yānī Muḳhālafat rakhā.
718  GEN 26:25  Wahāṅ Is'hāq ne qurbāngāh banāī aur Rab kā nām le kar ibādat kī. Wahāṅ us ne apne ḳhaime lagāe aur us ke naukaroṅ ne kuāṅ khod liyā.
720  GEN 26:27  Is'hāq ne pūchhā, “Āp kyoṅ mere pās āe haiṅ? Āp to mujh se nafrat rakhte haiṅ. Kyā āp ne mujhe apne darmiyān se ḳhārij nahīṅ kiyā thā?”
723  GEN 26:30  Is'hāq ne un kī ziyāfat kī, aur unhoṅ ne khāyā aur piyā.
724  GEN 26:31  Phir subah-sawere uṭh kar unhoṅ ne ek dūsre ke sāmne qasam khāī. Is ke bād Is'hāq ne unheṅ ruḳhsat kiyā aur wuh salāmatī se rawānā hue.
725  GEN 26:32  Usī din Is'hāq ke naukar āe aur use us kueṅ ke bāre meṅ ittalā dī jo unhoṅ ne khodā thā. Unhoṅ ne kahā, “Hameṅ pānī mil gayā hai.”
728  GEN 26:35  Yih aurateṅ Is'hāq aur Ribqā ke lie baṛe dukh kā bāis banīṅ.
729  GEN 27:1  Is'hāq būṛhā ho gayā to us kī nazar dhundlā gaī. Us ne apne baṛe beṭe ko bulā kar kahā, “Beṭā.” Esau ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
730  GEN 27:2  Is'hāq ne kahā, “Maiṅ būṛhā ho gayā hūṅ aur Ḳhudā jāne kab mar jāūṅ.
733  GEN 27:5  Ribqā ne Is'hāq kī Esau ke sāth bātchīt sun lī thī. Jab Esau shikār karne ke lie chalā gayā to us ne Yāqūb se kahā,
746  GEN 27:18  Yāqūb ne apne bāp ke pās jā kar kahā, “Abbū jī.” Is'hāq ne kahā, “Jī, beṭā. Tū kaun hai?”
748  GEN 27:20  Is'hāq ne pūchhā, “Beṭā, tujhe yih shikār itnī jaldī kis tarah mil gayā?” Us ne jawāb diyā, “Rab āp ke Ḳhudā ne use mere sāmne se guzarne diyā.”
749  GEN 27:21  Is'hāq ne kahā, “Beṭā, mere qarīb ā tāki maiṅ tujhe chhū lūṅ ki tū wāqaī merā beṭā Esau hai ki nahīṅ.”
750  GEN 27:22  Yāqūb apne bāp ke nazdīk āyā. Is'hāq ne use chhū kar kahā, “Terī āwāz to Yāqūb kī hai lekin tere hāth Esau ke haiṅ.”
753  GEN 27:25  Āḳhirkār Is'hāq ne kahā, “Shikār kā khānā mere pās le ā, beṭā. Use khāne ke bād maiṅ tujhe barkat dūṅgā.” Yāqūb khānā aur mai le āyā. Is'hāq ne khāyā aur piyā,
755  GEN 27:27  Yāqūb ne pās ā kar use bosā diyā. Is'hāq ne us ke libās ko sūṅgh kar use barkat dī. Us ne kahā, “Mere beṭe kī ḳhushbū us khule maidān kī ḳhushbū kī mānind hai jise Rab ne barkat dī hai.
758  GEN 27:30  Is'hāq kī barkat ke bād Yāqūb abhī ruḳhsat hī huā thā ki us kā bhāī Esau shikār karke wāpas āyā.
760  GEN 27:32  Is'hāq ne pūchhā, “Tū kaun hai?” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ āp kā baṛā beṭā Esau hūṅ.”
761  GEN 27:33  Is'hāq ghabrā kar shiddat se kāṅpne lagā. Us ne pūchhā, “Phir wuh kaun thā jo kisī jānwar kā shikār karke mere pās le āyā? Tere āne se zarā pahle maiṅ ne us shikār kā khānā khā kar us shaḳhs ko barkat dī. Ab wuh barkat usī par rahegī.”
763  GEN 27:35  Lekin Is'hāq ne jawāb diyā, “Tere bhāī ne ā kar mujhe fareb diyā. Us ne terī barkat tujh se chhīn lī hai.”
765  GEN 27:37  Lekin Is'hāq ne kahā, “Maiṅ ne use terā hukmrān aur us ke tamām bhāiyoṅ ko us ke ḳhādim banā diyā hai. Maiṅ ne use anāj aur angūr kā ras muhaiyā kiyā hai. Ab mujhe batā beṭā, kyā kuchh rah gayā hai jo maiṅ tujhe dūṅ?”
767  GEN 27:39  Phir Is'hāq ne kahā, “Tū zamīn kī zarḳhezī aur āsmān kī os se mahrūm rahegā.
774  GEN 27:46  Phir Ribqā ne Is'hāq se bāt kī, “Maiṅ Esau kī bīwiyoṅ ke sabab se apnī zindagī se tang hūṅ. Agar Yāqūb bhī is mulk kī auratoṅ meṅ se kisī se shādī kare to behtar hai ki maiṅ pahle hī mar jāūṅ.”
775  GEN 28:1  Is'hāq ne Yāqūb ko bulā kar use barkat dī aur kahā, “Lāzim hai ki tū kisī Kanānī aurat se shādī na kare.
779  GEN 28:5  Yoṅ Is'hāq ne Yāqūb ko Masoputāmiyā meṅ Lāban ke ghar bhejā. Lāban Arāmī mard Batuel kā beṭā aur Ribqā kā bhāī thā.
780  GEN 28:6  Esau ko patā chalā ki Is'hāq ne Yāqūb ko barkat de kar Masoputāmiyā bhej diyā hai tāki wahāṅ shādī kare. Use yih bhī mālūm huā ki Is'hāq ne use Kanānī aurat se shādī karne se manā kiyā hai
787  GEN 28:13  Rab us ke ūpar khaṛā thā. Us ne kahā, “Maiṅ Rab Ibrāhīm aur Is'hāq kā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih zamīn dūṅgā jis par tū leṭā hai.
916  GEN 31:42  Agar mere bāp Is'hāq kā Ḳhudā aur mere dādā Ibrāhīm kā mābūd mere sāth na hotā to āp mujhe zarūr ḳhālī hāth ruḳhsat karte. Lekin Allāh ne merī musībat aur merī saḳht mehnat-mashaqqat dekhī hai, is lie us ne kal rāt ko mere haq meṅ faislā diyā.”
927  GEN 31:53  Ibrāhīm, Nahūr aur un ke bāp kā Ḳhudā ham donoṅ ke darmiyān faislā kare agar aisā koī muāmalā ho.” Jawāb meṅ Yāqūb ne Is'hāq ke mābūd kī qasam khāī ki maiṅ yih ahd kabhī nahīṅ toṛūṅgā.
938  GEN 32:10  phir Yāqūb ne duā kī, “Ai mere dādā Ibrāhīm aur mere bāp Is'hāq ke Ḳhudā, merī duā sun! Ai Rab, tū ne ḳhud mujhe batāyā, ‘Apne mulk aur rishtedāroṅ ke pās wāpas jā, aur maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā.’
988  GEN 34:7  Jab Yāqūb ke beṭoṅ ko Dīnā kī ismatdarī kī ḳhabar milī to un ke dil ranjish aur ġhusse se bhar gae ki Sikam ne Yāqūb kī beṭī kī ismatdarī se Isrāīl kī itnī be'izzatī kī hai. Wuh sīdhe khule maidān se wāpas āe.
995  GEN 34:14  kahā, “Ham aisā nahīṅ kar sakte. Ham apnī bahan kī shādī kisī aise ādmī se nahīṅ karā sakte jis kā ḳhatnā nahīṅ huā. Is se hamārī be'izzatī hotī hai.
1024  GEN 35:12  Maiṅ tujhe wuhī mulk dūṅgā jo Ibrāhīm aur Is'hāq ko diyā hai. Aur tere bād use terī aulād ko dūṅgā.”
1039  GEN 35:27  Phir Yāqūb apne bāp Is'hāq ke pās pahuṅch gayā jo Habrūn ke qarīb Mamre meṅ ajnabī kī haisiyat se rahtā thā. (Us waqt Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā.) Wahāṅ Is'hāq aur us se pahle Ibrāhīm rahā karte the.
1040  GEN 35:28  Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā.
1321  GEN 43:30  Yūsuf apne bhāī ko dekh kar itnā muta'assir huā ki wuh rone ko thā, is lie wuh jaldī se wahāṅ se nikal kar apne sone ke kamre meṅ gayā aur ro paṛā.
1388  GEN 46:1  Yāqūb sab kuchh le kar rawānā huā aur Bair-sabā pahuṅchā. Wahāṅ us ne apne bāp Is'hāq ke Ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ.
1390  GEN 46:3  Allāh ne kahā, “Maiṅ Allāh hūṅ, tere bāp Is'hāq kā Ḳhudā. Misr jāne se mat ḍar, kyoṅki wahāṅ maiṅ tujh se ek baṛī qaum banāūṅgā.
1467  GEN 48:15  Phir us ne Yūsuf ko us ke beṭoṅ kī mārifat barkat dī, “Allāh jis ke huzūr mere bāpdādā Ibrāhīm aur Is'hāq chalte rahe aur jo shurū se āj tak merā charwāhā rahā hai inheṅ barkat de.
1468  GEN 48:16  Jis farishte ne ewazānā de kar mujhe har nuqsān se bachāyā hai wuh inheṅ barkat de. Allāh kare ki in meṅ merā nām aur mere bāpdādā Ibrāhīm aur Is'hāq ke nām jīte raheṅ. Duniyā meṅ in kī aulād kī tādād bahut baṛh jāe.”
1474  GEN 48:22  Ek bāt meṅ maiṅ tujhe tere bhāiyoṅ par tarjīh detā hūṅ, maiṅ tujhe Kanān meṅ wuh qit'ā detā hūṅ jo maiṅ ne apnī talwār aur kamān se Amoriyoṅ se chhīnā thā.”
1505  GEN 49:31  Wahāṅ Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā dafnāe gae. Wahāṅ Is'hāq aur us kī bīwī Ribqā dafnāe gae aur wahāṅ maiṅ ne Liyāh ko dafn kiyā.
1531  GEN 50:24  Phir ek waqt āyā ki Yūsuf ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ marne wālā hūṅ. Lekin Allāh zarūr āp kī dekh-bhāl karke āp ko is mulk se us mulk meṅ le jāegā jis kā us ne Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se qasam khā kar wādā kiyā hai.”
1579  EXO 2:24  Allāh ne un kī āheṅ sunīṅ aur us ahd ko yād kiyā jo us ne Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se bāndhā thā.
1586  EXO 3:6  Maiṅ tere bāp kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ.” Yih sun kar Mūsā ne apnā muṅh ḍhāṅk liyā, kyoṅki wuh Allāh ko deḳhne se ḍarā.
1595  EXO 3:15  Rab jo tumhāre bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hai usī ne mujhe tumhāre pās bhejā hai.’ Yih abad tak merā nām rahegā. Log yihī nām le kar mujhe nasl-dar-nasl yād kareṅge.
1596  EXO 3:16  Ab jā aur Isrāīl ke buzurgoṅ ko jamā karke un ko batā de ki Rab tumhāre bāpdādā Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb kā Ḳhudā mujh par zāhir huā hai. Wuh farmātā hai, ‘Maiṅ ne ḳhūb dekh liyā hai ki Misr meṅ tumhāre sāth kyā sulūk ho rahā hai.
1607  EXO 4:5  Rab ne kahā, “Yih dekh kar logoṅ ko yaqīn āegā ki Rab jo un ke bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hai tujh par zāhir huā hai.
1659  EXO 6:3  Maiṅ Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb par zāhir huā. Wuh mere nām Allāh Qādir-e-mutlaq se wāqif hue, lekin maiṅ ne un par apne nām Rab kā inkishāf nahīṅ kiyā.
1664  EXO 6:8  Maiṅ tumheṅ us mulk meṅ le jāūṅgā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā hai. Wuh mulk tumhārī apnī milkiyat hogā. Maiṅ Rab hūṅ.’”