Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   )    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

249  GEN 10:14  Fatrūsī, Kaslūhī (jin se Filistī nikle) aur Kaftūrī.
326  GEN 13:7  Abrām aur Lūt ke charwāhe āpas meṅ jhagaṛne lage. (Us zamāne meṅ Kanānī aur Farizzī bhī mulk meṅ ābād the.)
340  GEN 14:3  Kanān ke in pāṅch bādshāhoṅ kā ittahād huā thā aur wuh Wādī-e-Siddīm meṅ jamā hue the. (Ab Siddīm nahīṅ hai, kyoṅki us kī jagah Bahīrā-e-Murdār ā gayā hai.)
354  GEN 14:17  Jab Abrām Kidarlāumar aur us ke ittahādiyoṅ par fatah pāne ke bād wāpas pahuṅchā to Sadūm kā bādshāh us se milne ke lie Wādī-e-Sawī meṅ āyā. (Ise ājkal Bādshāh kī Wādī kahā jātā hai.)
569  GEN 22:21  Us ke pahlauṭhe Ūz ke bād Būz, Qamuel (Arām kā bāp),
571  GEN 22:23  Milkāh aur Nahūr ke hāṅ yih āṭh beṭe paidā hue. (Batuel Ribqā kā bāp thā.)
607  GEN 24:15  Wuh abhī duā kar hī rahā thā ki Ribqā shahr se nikal āī. Us ke kandhe par ghaṛā thā. Wuh Batuel kī beṭī thī. (Batuel Ibrāhīm ke bhāī Nahūr kī bīwī Milkāh kā beṭā thā.)
679  GEN 25:20  Is'hāq 40 sāl kā thā jab us kī Ribqā se shādī huī. Ribqā Lāban kī bahan aur Arāmī mard Batuel kī beṭī thī. (Batuel Masoputāmiyā kā thā.)
689  GEN 25:30  Us ne kahā, “Mujhe jaldī se lāl sālan, hāṅ isī lāl sālan se kuchh khāne ko do. Maiṅ to bedam ho rahā hūṅ.” (Isī lie bād meṅ us kā nām Adom yānī Surḳh paṛ gayā.)
793  GEN 28:19  Us ne maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. (Pahle sāth wāle shahr kā nām Lūz thā.)
820  GEN 29:24  (Lāban ne Liyāh ko apnī launḍī Zilfā de dī thī tāki wuh us kī ḳhidmat kare.)
825  GEN 29:29  (Lāban ne Rāḳhil ko apnī launḍī Bilhāh de dī tāki wuh us kī ḳhidmat kare.)
1039  GEN 35:27  Phir Yāqūb apne bāp Is'hāq ke pās pahuṅch gayā jo Habrūn ke qarīb Mamre meṅ ajnabī kī haisiyat se rahtā thā. (Us waqt Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā.) Wahāṅ Is'hāq aur us se pahle Ibrāhīm rahā karte the.
1042  GEN 36:1  Yih Esau kī aulād kā nasabnāmā hai (Esau ko Adom bhī kahā jātā hai):
1063  GEN 36:22  Lotān Horī aur Hemām kā bāp thā. (Timnā Lotān kī bahan thī.)
1080  GEN 36:39  Us kī maut par Hadad jo Fāū Shahr kā thā. (Bīwī kā nām Mahetabel bint Matrid bint Mezāhāb thā.)
1136  GEN 38:16  Wuh rāste se haṭ kar us ke pās gayā aur kahā, “Zarā mujhe apne hāṅ āne deṅ.” (Us ne nahīṅ pahchānā ki yih merī bahū hai.) Tamr ne kahā, “Āp mujhe kyā deṅge?”
1397  GEN 46:10  Shamāūn ke beṭe āshruel, Yamīn, Uhad, Yakīn, Suhar aur Sāūl the. (Sāūl Kanānī aurat kā bachchā thā.)
1399  GEN 46:12  Yahūdāh ke beṭe Er, Onān, Selā, Fāras aur Zārah the. (Er aur Onān Kanān meṅ mar chuke the.) Fāras ke do beṭe Hasron aur Hamūl the.
1459  GEN 48:7  Maiṅ yih terī māṅ Rāḳhil ke sabab se kar rahā hūṅ jo Masoputāmiyā se wāpasī ke waqt Kanān meṅ Ifrātā ke qarīb mar gaī. Maiṅ ne use wahīṅ rāste meṅ dafn kiyā.” (Āj Ifrātā ko Bait-laham kahā jātā hai.)
1581  EXO 3:1  Mūsā apne susar Yitro kī bheṛ-bakriyoṅ kī nigahbānī kartā thā. (Midiyān kā imām Raūel Yitro bhī kahlātā thā.) Ek din Mūsā rewaṛ ko registān kī parlī jānib le gayā aur chalte chalte Allāh ke pahāṛ Horib yānī Sīnā tak pahuṅch gayā.
1671  EXO 6:15  Shamāūn ke pāṅch beṭe Yamuel, Yamīn, Uhad, Yakīn, Suhar aur Sāūl the. (Sāūl Kanānī aurat kā bachchā thā.) In se Shamāūn kī pāṅch shāḳheṅ niklīṅ.
1672  EXO 6:16  Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. (Lāwī 137 sāl kī umr meṅ faut huā.)
1674  EXO 6:18  Qihāt ke chār beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the. (Qihāt 133 sāl kī umr meṅ faut huā.)
1676  EXO 6:20  Amrām ne apnī phūphī Yūkabid se shādī kī. Un ke do beṭe Hārūn aur Mūsā paidā hue. (Amrām 137 sāl kī umr meṅ faut huā.)
1679  EXO 6:23  Hārūn ne Ilīsibā se shādī kī. (Ilīsibā Ammīnadāb kī beṭī aur Nahson kī bahan thī.) Un ke chār beṭe Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar the.
1810  EXO 11:3  (Rab ne Misriyoṅ ke dil Isrāīliyoṅ kī taraf māyl kar die the. Wuh Firaun ke ohdedāroṅ samet ḳhāskar Mūsā kī baṛī izzat karte the.)
1984  EXO 16:36  (Jo paimānā Isrāīlī man ke lie istemāl karte the wuh do liṭar kā ek bartan thā jis kā nām Omar thā.)
2657  EXO 38:23  Us ke sāth Dān ke qabīle kā Uhliyāb bin Aḳhīsamak thā jo kārīgarī ke har kām aur kaṛhāī ke kām meṅ māhir thā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāne meṅ bhī māhir thā.)
2658  EXO 38:24  Us sone kā wazn jo logoṅ ke hadiyoṅ se jamā huā aur maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā taqrīban 1,000 kilogrām thā. (Use maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.)
2659  EXO 38:25  Tāmīr ke lie chāṅdī jo mardumshumārī ke hisāb se wasūl huī, us kā wazn taqrīban 3,430 kilogrām thā. (Use bhī maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.)
3022  LEV 11:24  Jo bhī zail ke jānwaroṅ kī lāsheṅ chhue wuh shām tak nāpāk rahegā: (a) khur rakhne wāle tamām jānwar siwāe un ke jin ke khur yā pāṅw pūre taur par chire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅ, (b) tamām jānwar jo apne chār panjoṅ par chalte haiṅ. Yih jānwar tumhāre lie nāpāk haiṅ, aur jo bhī un kī lāsheṅ uṭhāe yā chhue lāzim hai ki wuh apne kapṛe dho le. Is ke bāwujūd bhī wuh shām tak nāpāk rahegā.
3166  LEV 14:54  Lāzim hai ki har qism kī wabāī bīmārī se aise nipṭo jaise bayān kiyā gayā hai, chāhe wuh wabāī jildī bīmāriyāṅ hoṅ (masalan ḳhārish, sūjan, papaṛī yā safed daġh), chāhe kapṛoṅ yā gharoṅ meṅ phaphūṅdī ho.
3573  LEV 27:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki agar kisī ne mannat mān kar kisī ko Rab ke lie maḳhsūs kiyā ho to wuh use zail kī raqam de kar āzād kar saktā hai (mustāmal sikke maqdis ke sikkoṅ ke barābar hoṅ):
3740  NUM 3:47  har ek ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke le jo maqdis ke wazn ke mutābiq hoṅ (fī sikkā taqrīban 11 grām).
3743  NUM 3:50  Yoṅ us ne chāṅdī ke 1,365 sikke (taqrīban 16 kilogrām) jamā karke
3937  NUM 7:86  Baḳhūr se bhare hue sone ke pyāloṅ kā kul wazn taqrīban ḍeṛh kilogrām thā (fī pyālā 110 grām).
4098  NUM 13:22  Wuh Dasht-e-Najab se guzar kar Habrūn pahuṅche jahāṅ Anāq ke beṭe Aḳhīmān, Sīsī aur Talmī rahte the. (Habrūn ko Misr ke shahr Zuan se sāt sāl pahle tāmīr kiyā gayā thā.)
4109  NUM 13:33  Ham ne wahāṅ dewqāmat afrād bhī dekhe. (Anāq ke beṭe dewqāmat ke afrād kī aulād the.) Un ke sāmne ham apne āp ko ṭiḍḍī jaisā mahsūs kar rahe the, aur ham un kī nazar meṅ aise the bhī.”
4274  NUM 18:16  Jab wuh ek māh ke haiṅ to un ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke denā. (Har sikke kā wazn maqdis ke bāṭoṅ ke mutābiq 11 grām ho.)
4570  NUM 27:14  kyoṅki tum donoṅ ne Dasht-e-Sīn meṅ mere hukm kī ḳhilāfwarzī kī. Us waqt jab pūrī jamāt ne Marībā meṅ mere ḳhilāf gilā-shikwā kiyā to tū ne chaṭān se pānī nikālte waqt logoṅ ke sāmne merī quddūsiyat qāym na rakhī.” (Marībā Dasht-e-Sīn ke Qādis meṅ chashmā hai.)
4986  DEU 3:9  (Saidā ke bāshinde Harmūn ko Siryūn kahte haiṅ jabki Amoriyoṅ ne us kā nām Sanīr rakhā.)
4991  DEU 3:14  Manassī ke qabīle ke ek ādmī banām Yāīr ne Arjūb par Jasūriyoṅ aur Mākātiyoṅ kī sarhad tak qabzā kar liyā thā. Us ne is ilāqe kī bastiyoṅ ko apnā nām diyā. Āj tak yihī nām Hawwot-yāīr yānī Yāīr kī Bastiyāṅ chaltā hai.)
4994  DEU 3:17  Us kī maġhribī sarhad Dariyā-e-Yardan hai yānī Kinnarat (Galīl) kī Jhīl se le kar Bahīrā-e-Murdār tak jo Pisgā ke pahāṛī silsile ke dāman meṅ hai.
5192  DEU 10:4  Rab ne un taḳhtiyoṅ par dubārā wuh das ahkām likh die jo wuh pahlī taḳhtiyoṅ par likh chukā thā. (Unhīṅ ahkām kā elān us ne pahāṛ par āg meṅ se kiyā thā jab tum us ke dāman meṅ jamā the.) Phir us ne yih taḳhtiyāṅ mere sapurd kīṅ.
5197  DEU 10:9  Is wajah se Lāwiyoṅ ko dīgar qabīloṅ kī tarah na hissā na mīrās milī. Rab terā Ḳhudā ḳhud un kī mīrās hai. Us ne ḳhud unheṅ yih farmāyā hai.)
6211  JOS 15:7  Wahāṅ se sarhad Wādī-e-Akūr meṅ utar gaī aur phir dubārā Dabīr kī taraf chaṛh gaī. Dabīr se wuh shimāl yānī Jiljāl kī taraf jo Darrā-e-Adummīm ke muqābil hai muṛ gaī. (Yih darrā wādī ke junūb meṅ hai.) Yoṅ wuh chaltī chaltī shimālī sarhad Ain-shams aur Ain-rājil tak pahuṅch gaī.
6217  JOS 15:13  Rab ke hukm ke mutābiq Yashua ne Kālib bin Yafunnā ko us kā hissā Yahūdāh meṅ de diyā. Wahāṅ use Habrūn Shahr mil gayā. Us waqt us kā nām Qiriyat-arbā thā. (Arbā Anāq kā bāp thā.)
6325  JOS 19:2  Use yih shahr mil gae: Bair-sabā (Sabā), Molādā,
6370  JOS 19:47  Afsos, Dān kā qabīlā apne is ilāqe par qabzā karne meṅ kāmyāb na huā, is lie us ke mardoṅ ne Lasham Shahr par hamlā karke us par fatah pāī aur us ke bāshindoṅ ko talwār se mār ḍālā. Phir wuh ḳhud wahāṅ ābād hue. Us waqt Lasham Shahr kā nām Dān meṅ tabdīl huā. (Dān un ke qabīle kā bāp thā.)
6527  JDG 1:16  Jab Yahūdāh kā qabīlā Khajūroṅ ke Shahr se rawānā huā thā to Qīnī bhī un ke sāth Yahūdāh ke registān meṅ āe the. (Qīnī Mūsā ke susar Yitro kī aulād the.) Wahāṅ wuh Dasht-e-Najab meṅ Arād Shahr ke qarīb dūsre logoṅ ke darmiyān hī ābād hue.
6533  JDG 1:22  Ifrāīm aur Manassī ke qabīle Baitel par qabzā karne ke lie nikle. (Baitel kā purānā nām Lūz thā.) Jab unhoṅ ne apne jāsūsoṅ ko shahr kī taftīsh karne ke lie bhejā to Rab un ke sāth thā.
6556  JDG 2:9  Use Timnat-haris meṅ us kī apnī maurūsī zamīn meṅ dafnāyā gayā. (Yih shahr Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ jās pahāṛ ke shimāl meṅ hai.)
7024  JDG 18:29  Aur unhoṅ ne us kā nām apne qabīle ke bānī ke nām par Dān rakhā. (Dān Isrāīl kā beṭā thā.)
7084  JDG 20:28  jahāṅ Fīnhās bin Iliyazar bin Hārūn imām thā.) Isrāīliyoṅ ne pūchhā, “Kyā ham ek aur martabā apne Binyamīnī bhāiyoṅ se laṛne jāeṅ yā is se bāz āeṅ?” Rab ne jawāb diyā, “Un par hamlā karo, kyoṅki kal hī maiṅ unheṅ tumhāre hawāle kar dūṅgā.”
7402  1SA 9:9  Sāūl ne kahā, “Ṭhīk hai, chaleṅ.” Wuh shahr kī taraf chal paṛe tāki mard-e-Ḳhudā se bāt kareṅ. Jab pahāṛī ḍhalān par shahr kī taraf chaṛh rahe the to kuchh laṛkiyāṅ pānī bharne ke lie niklīṅ. Ādmiyoṅ ne un se pūchhā, “Kyā ġhaibbīn shahr meṅ hai?” (Purāne zamāne meṅ nabī ġhaibbīn kahlātā thā. Agar koī Allāh se kuchh mālūm karnā chāhtā to kahtā, “Āo, ham ġhaibbīn ke pās chaleṅ.”)
8240  2SA 9:10  Ab āp kī zimmedārī yih hai ki āp apne beṭoṅ aur naukaroṅ ke sāth us ke khetoṅ ko saṅbhāleṅ tāki us kā ḳhāndān zamīnoṅ kī paidāwār se guzārā kar sake. Lekin Mifībosat ḳhud yahāṅ rah kar mere beṭoṅ kī tarah mere sāth khānā khāyā karegā.” (Zībā ke 15 beṭe aur 20 naukar the.)
8266  2SA 11:4  Tab Dāūd ne qāsidoṅ ko Bat-sabā ke pās bhejā tāki use mahal meṅ le āeṅ. Aurat āī to Dāūd us se hambistar huā. Phir Bat-sabā apne ghar wāpas chalī gaī. (Thoṛī der pahle us ne wuh rasm adā kī thī jis kā taqāzā sharīat māhwārī ke bād kartī hai tāki aurat dubārā pāk-sāf ho jāe).
8595  2SA 21:12  to wuh Yabīs-jiliyād ke bāshindoṅ ke pās gayā aur un se Sāūl aur us ke beṭe Yūnatan kī haḍḍiyoṅ ko le kar Sāūl ke bāp Qīs kī qabr meṅ dafnāyā. (Jab Filistiyoṅ ne Jilbua ke pahāṛī ilāqe meṅ Isrāīliyoṅ ko shikast dī thī to unhoṅ ne Sāūl aur Yūnatan kī lāshoṅ ko Bait-shān ke chauk meṅ laṭkā diyā thā. Tab Yabīs-jiliyād ke ādmī chorī chorī wahāṅ ā kar lāshoṅ ko apne pās le gae the.) Dāūd ne Jibiyā meṅ ab tak laṭkī sāt lāshoṅ ko bhī utār kar Zilā meṅ Qīs kī qabr meṅ dafnāyā. Zilā Binyamīn ke qabīle kī ābādī hai. Jab sab kuchh Dāūd ke hukm ke mutābiq kiyā gayā thā to Rab ne mulk ke lie duāeṅ sun līṅ.
8979  1KI 7:42  zanjīroṅ ke ūpar lage anār (fī bālāī hissā 200 adad),
9348  1KI 18:4  Jab Īzabil ne Rab ke tamām nabiyoṅ ko qatl karne kī koshish kī thī to Abadiyāh ne 100 nabiyoṅ ko do ġhāroṅ meṅ chhupā diyā thā. Har ġhār meṅ 50 nabī rahte the, aur Abadiyāh unheṅ khāne-pīne kī chīzeṅ pahuṅchātā rahtā thā.)
9375  1KI 18:31  Us ne Yāqūb se nikle har qabīle ke lie ek ek patthar chun liyā. (Bād meṅ Rab ne Yāqūb kā nām Isrāīl rakhā thā.)
10021  2KI 17:34  Yih silsilā āj tak jārī hai. Sāmariya ke bāshinde apne un purāne riwājoṅ ke mutābiq zindagī guzārte haiṅ aur sirf Rab kī parastish karne ke lie taiyār nahīṅ hote. Wuh us kī hidāyāt aur ahkām kī parwā nahīṅ karte aur us sharīat kī pairawī nahīṅ karte jo Rab ne Yāqūb kī aulād ko dī thī. (Rab ne Yāqūb kā nām Isrāīl meṅ badal diyā thā.)
10032  2KI 18:4  Us ne ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ ko girā diyā, patthar ke un satūnoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jin kī pūjā kī jātī thī aur Yasīrat Dewī ke khamboṅ ko kāṭ ḍālā. Pītal kā jo sāṅp Mūsā ne banāyā thā use bhī bādshāh ne ṭukṛe ṭukṛe kar diyā, kyoṅki Isrāīlī un aiyām tak us ke sāmne baḳhūr jalāne āte the. (Sāṅp Naḳhushtān kahlātā thā.)
10045  2KI 18:17  Phir bhī Asūr kā bādshāh mutma'in na huā. Us ne apne sab se ālā afsaroṅ ko baṛī fauj ke sāth Lakīs se Yarūshalam ko bhejā. (Un kī apnī zabān meṅ afsaroṅ ke ohdoṅ ke nām Tartān, Rab-sāris aur Rabshāqī the.) Yarūshalam pahuṅch kar wuh us nāle ke pās ruk gae jo pānī ko ūpar wāle tālāb tak pahuṅchātā hai. (Yih tālāb us rāste par hai jo Dhobiyoṅ ke Ghāṭ tak le jātā hai.)
10177  2KI 23:8  Phir Yūsiyāh tamām imāmoṅ ko Yarūshalam wāpas lāyā. Sāth sāth us ne Yahūdāh ke shimāl meṅ Jibā se le kar junūb meṅ Bair-sabā tak ūṅchī jaghoṅ ke un tamām mandiroṅ kī behurmatī kī jahāṅ imām pahle qurbāniyāṅ pesh karte the. Yarūshalam ke us darwāze ke pās bhī do mandir the jo shahr ke sardār Yashua ke nām se mashhūr thā. In ko bhī Yūsiyāh ne ḍhā diyā. (Shahr meṅ dāḳhil hote waqt yih mandir bāīṅ taraf nazar āte the.)
10268  1CH 1:12  Fatrūsī, Kaslūhī (jin se Filistī nikle) aur Kaftūrī.
10295  1CH 1:39  Lotān ke do beṭe Horī aur Homām the. (Timnā Lotān kī bahan thī.)
10306  1CH 1:50  Us kī maut par Hadad jo Fāū Shahr kā thā. (Bīwī kā nām Mahetabel bint Matrid bint Mezāhāb thā.)
10359  1CH 2:49  Shāf (Madmannā kā bāp) aur Siwā (Makbenā aur Jibiyā kā bāp) paidā hue. Kālib kī ek beṭī bhī thī jis kā nām Aksā thā.
10536  1CH 6:63  Rūbin ke qabīle se registān kā Basar, Yahaz, Qadīmāt aur Mifāt. (Yih shahr Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Yarīhū ke muqābil wāqe haiṅ.)
10719  1CH 11:42  Adīnā bin Sīzā (Rūbin ke qabīle kā yih sardār 30 faujiyoṅ par muqarrar thā),
10727  1CH 12:3  Un kā rāhnumā Aḳhiyazar, phir Yuās (donoṅ Samā'āh Jibiyātī ke beṭe the), Yaziyel aur Falat (donoṅ Azmāwat ke beṭe the), Barākā, Yāhū Anatotī,
11023  1CH 24:3  Dāūd ne imāmoṅ ko ḳhidmat ke muḳhtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. Sadoq aur Aḳhīmalik ne is meṅ Dāūd kī madad kī. (Sadoq Iliyazar kī aulād meṅ se aur Aḳhīmalik Itamar kī aulād meṅ se thā.)
11163  1CH 28:15  sone aur chāṅdī ke charāġhdān aur un ke charāġh (muḳhtalif charāġhdānoṅ ke wazn farq the, kyoṅki har ek kā wazn us ke maqsad par munhasir thā),
11233  2CH 2:16  Sulemān ne Isrāīl meṅ ābād tamām ġhairmulkiyoṅ kī mardumshumārī karwāī. (Us ke bāp Dāūd ne bhī un kī mardumshumārī karwāī thī.) Mālūm huā ki Isrāīl meṅ 1,53,600 ġhairmulkī rahte haiṅ.
11264  2CH 4:13  zanjīroṅ ke ūpar lage anār (fī bālāī hissā 200 adad),
11594  2CH 20:2  Ek qāsid ne ā kar bādshāh ko ittalā dī, “Mulk-e-Adom se ek baṛī fauj āp se laṛne ke lie ā rahī hai. Wuh Bahīrā-e-Murdār ke dūsre kināre se baṛhtī baṛhtī is waqt Hassūn-tamr pahuṅch chukī hai.” (Hassūn Ain-jadī kā dūsrā nām hai.)
12093  EZR 2:61  Habāyāh, Haqqūz aur Barzillī ke ḳhāndānoṅ ke kuchh imām bhī wāpas āe, lekin unheṅ Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karne kī ijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne nasabnāme meṅ apne nām talāsh kie un kā kahīṅ zikr na milā, is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (Barzillī ke ḳhāndān ke bānī ne Barzillī Jiliyādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.)
12183  EZR 7:5  bin Abīsua bin Fīnhās bin Iliyazar bin Hārūn thā. (Hārūn imām-e-āzam thā.)
12488  NEH 7:63  Habāyāh, Haqqūz aur Barzillī ke ḳhāndānoṅ ke kuchh imām bhī wāpas āe, lekin unheṅ Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karne kī ijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne nasabnāme meṅ apne nām talāsh kie lekin un kā kahīṅ zikr na milā, is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (Barzillī ke ḳhāndān ke bānī ne Barzillī Jiliyādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.)
12596  NEH 11:4  Lekin Yahūdāh aur Binyamīn ke chand ek log Yarūshalam meṅ jā base.) Yahūdāh kā qabīlā: Fāras ke ḳhāndān kā Atāyāh bin Uzziyāh bin Zakariyāh bin Amariyāh bin Safatiyāh bin Mahalalel,
12743  EST 2:15  Hote hote Āstar bint Abīḳhail kī bārī āī. (Abīḳhail Mardakī kā chachā thā, aur Mardakī ne us kī beṭī ko lepālak banā liyā thā.) Jab Āstar se pūchhā gayā ki āp zanānḳhāne kī kyā chīzeṅ apne sāth le jānā chāhtī haiṅ to us ne sirf wuh kuchh le liyā jo Haijā ḳhwājāsarā ne us ke lie chunā. Aur jis ne bhī use dekhā us ne use sarāhā.
12758  EST 3:7  Chunāṅche Aḳhaswerus Bādshāh kī hukūmat ke 12weṅ sāl ke pahle mahīne Nīsān meṅ Hāmān kī maujūdagī meṅ qurā ḍālā gayā. Qurā ḍālne se Hāmān Yahūdiyoṅ ko qatl karne kī sab se mubārak tārīḳh mālūm karnā chāhtā thā. (Qurā ke lie ‘pūr’ kahā jātā thā.) Is tarīqe se 12weṅ mahīne Adār kā 13wāṅ din niklā.
12771  EST 4:5  Tab Āstar ne Hatāk Ḳhwājāsarā ko Mardakī ke pās bhejā tāki wuh mālūm kare ki kyā huā hai, Mardakī aisī harkateṅ kyoṅ kar rahā hai. (Bādshāh ne Hatāk ko Āstar kī ḳhidmat karne kī zimmedārī dī thī.)
13199  JOB 14:14  (Kyoṅki agar insān mar jāe to kyā wuh dubārā zindā ho jāegā?) Phir maiṅ apnī saḳht ḳhidmat ke tamām din bardāsht kartā, us waqt tak intazār kartā jab tak merī sabukdoshī na ho jātī.
13226  JOB 15:19  (Bāpdādā se murād wuh wāhid log haiṅ jinheṅ us waqt mulk diyā gayā jab koī bhī pardesī un meṅ nahīṅ phirtā thā.)
13964  PSA 3:3  Mere bāre meṅ bahutere kah rahe haiṅ, “Allāh ise chhuṭkārā nahīṅ degā.” (Silāh)
13966  PSA 3:5  Maiṅ buland āwāz se Rab ko pukārtā hūṅ, aur wuh apne muqaddas pahāṛ se merī suntā hai. (Silāh)
13970  PSA 3:9  Rab ke pās najāt hai. Terī barkat terī qaum par āe. (Silāh)
13973  PSA 4:3  Ai ādamzādo, merī izzat kab tak ḳhāk meṅ milāī jātī rahegī? Tum kab tak bātil chīzoṅ se lipṭe rahoge, kab tak jhūṭ kī talāsh meṅ rahoge? (Silāh)
13975  PSA 4:5  Ġhusse meṅ āte waqt gunāh mat karnā. Apne bistar par leṭ kar muāmale par soch-bichār karo, lekin dil meṅ, ḳhāmoshī se. (Silāh)
14009  PSA 7:6  to phir merā dushman mere pīchhe paṛ kar mujhe pakaṛ le. Wuh merī jān ko miṭṭī meṅ kuchal de, merī izzat ko ḳhāk meṅ milāe. (Silāh)
14048  PSA 9:17  Rab ne insāf karke apnā izhār kiyā to bedīn apne hāth ke phande meṅ ulajh gayā. (Higgāyūn kā tarz. Silāh)
14052  PSA 9:21  Ai Rab, unheṅ dahshatzadā kar tāki aqwām jān leṅ ki insān hī haiṅ. (Silāh)
14200  PSA 20:4  Wuh terī ġhallā kī nazareṅ yād kare, terī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ qabūl farmāe. (Silāh)
14209  PSA 21:3  Tū ne us kī dilī ḳhāhish pūrī kī aur inkār na kiyā jab us kī ārzū ne hoṅṭoṅ par alfāz kā rūp dhārā. (Silāh)
14264  PSA 24:6  Yih hogā un logoṅ kā hāl jo Allāh kī marzī dariyāft karte, jo tere chehre ke tālib hote haiṅ, ai Yāqūb ke Ḳhudā. (Silāh)
14268  PSA 24:10  Jalāl kā Bādshāh kaun hai? Rabbul-afwāj, wuhī jalāl kā Bādshāh hai. (Silāh)
14378  PSA 32:4  Kyoṅki din rāt maiṅ tere hāth ke bojh tale pistā rahā, merī tāqat goyā mausam-e-garmā kī jhulastī tapish meṅ jātī rahī. (Silāh)