23364 | MAT 6:13 | Aur hameṅ āzmāish meṅ na paṛne de balki hameṅ Iblīs se bachāe rakh. [Kyoṅki bādshāhī, qudrat aur jalāl abad tak tere hī haiṅ.] |
23790 | MAT 17:21 | [Lekin is qism kī badrūh duā aur roze ke baġhair nahīṅ nikaltī.]” |
23807 | MAT 18:11 | [Kyoṅki Ibn-e-Ādam khoe huoṅ ko ḍhūṅḍne aur najāt dene āyā hai.] |
24001 | MAT 23:14 | [Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum bewāoṅ ke gharoṅ par qabzā kar lete aur dikhāwe ke lie lambī lambī namāz paṛhte ho. Is lie tumheṅ zyādā sazā milegī.] |
24548 | MRK 7:16 | [Agar koī sun saktā hai to wuh sun le.] |
24650 | MRK 9:43 | Agar terā hāth tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ ḍālnā. Is se pahle ki tū do hāthoṅ samet jahannum kī kabhī na bujhne wālī āg meṅ chalā jāe [yānī wahāṅ jahāṅ logoṅ ko khāne wāle kīṛe kabhī nahīṅ marte aur āg kabhī nahīṅ bujhtī] behtar yih hai ki tū ek hāth se mahrūm ho kar abadī zindagī meṅ dāḳhil ho. |
24652 | MRK 9:45 | Agar terā pāṅw tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ ḍālnā. Is se pahle ki tujhe do pāṅwoṅ samet jahannum meṅ phaiṅkā jāe [jahāṅ logoṅ ko khāne wāle kīṛe kabhī nahīṅ marte aur āg kabhī nahīṅ bujhtī] behtar yih hai ki tū ek pāṅw se mahrūm ho kar abadī zindagī meṅ dāḳhil ho. |
24656 | MRK 9:49 | Kyoṅki har ek ko āg se namkīn kiyā jāegā [aur har ek qurbānī namak se namkīn kī jāegī]. |
24735 | MRK 11:26 | [Aur agar tum muāf na karo to tumhārā āsmānī Bāp tumhāre gunāh bhī muāf nahīṅ karegā.]” |
24891 | MRK 14:68 | Lekin us ne inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ jāntā yā samajhtā ki tū kyā bāt kar rahī hai.” Yih kah kar wuh geṭ ke qarīb chalā gayā. [Usī lamhe murġh ne bāṅg dī.] |
24923 | MRK 15:28 | [Yoṅ muqaddas kalām kā wuh hawālā pūrā huā jis meṅ likhā hai, ‘Use mujrimoṅ meṅ shumār kiyā gayā.’] |
25424 | LUK 9:54 | Yih dekh kar us ke shāgird Yāqūb aur Yūhannā ne kahā, “Ḳhudāwand, kyā [Iliyās kī tarah] ham kaheṅ ki āsmān par se āg nāzil ho kar in ko bhasm kar de?” |
25425 | LUK 9:55 | Lekin Īsā ne muṛ kar unheṅ ḍānṭā [aur kahā, “Tum nahīṅ jānte ki tum kis qism kī rūh ke ho. Ibn-e-Ādam is lie nahīṅ āyā ki logoṅ ko halāk kare balki is lie ki unheṅ bachāe.”] |
25756 | LUK 17:36 | [Do afrād khet meṅ hoṅge, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsre ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā.]” |
26021 | LUK 23:17 | [Asl meṅ yih us kā farz thā ki wuh īd ke mauqe par un kī ḳhātir ek qaidī ko rihā kar de.] |
26283 | JHN 5:4 | [Kyoṅki gāhe bagāhe Rab kā farishtā utar kar pānī ko hilā detā thā. Jo bhī us waqt us meṅ pahle dāḳhil ho jātā use shifā mil jātī thī ḳhāh us kī bīmārī koī bhī kyoṅ na hotī.] |
27282 | ACT 8:37 | [Filippus ne kahā, “Agar āp pūre dil se īmān lāeṅ to le sakte haiṅ.” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ īmān rakhtā hūṅ ki Īsā Masīh Allāh kā Farzand hai.”] |
27545 | ACT 15:34 | [Lekin Sīlās ko wahāṅ ṭhaharnā achchhā lagā.] |
27844 | ACT 24:7 | Magar Lūsiyās Kamānḍar ā kar ise zabardastī ham se chhīn kar le gayā aur hukm diyā ki is ke muddaī āp ke pās hāzir hoṅ.] |
27996 | ACT 28:29 | [Jab us ne yih kahā to Yahūdī āpas meṅ bahs-mubāhasā karte hue chale gae.] |
28428 | ROM 16:24 | [Hamāre Ḳhudāwand Īsā kā fazl āp sab ke sāth hotā rahe.] |