311 | GEN 12:12 | Misrī tujhe dekheṅge, phir kaheṅge, ‘Yih is kā shauhar hai.’ Natīje meṅ wuh mujhe mār ḍāleṅge aur tujhe zindā chhoṛeṅge. |
360 | GEN 14:23 | ki maiṅ us meṅ se kuchh nahīṅ lūṅgā jo āp kā hai, chāhe wuh dhāgā yā jūtī kā tasmā hī kyoṅ na ho. Aisā na ho ki āp kaheṅ, ‘Maiṅ ne Abrām ko daulatmand banā diyā hai.’ |
393 | GEN 16:11 | Rab ke farishte ne mazīd kahā, “Tū ummīd se hai. Ek beṭā paidā hogā. Us kā nām Ismāīl yānī ‘Allāh Suntā Hai’ rakh, kyoṅki Rab ne musībat meṅ terī āwāz sunī. |
395 | GEN 16:13 | Rab ke us ke sāth bāt karne ke bād Hājirā ne us kā nām Attā-el-roī yānī ‘Tū Ek Mābūd Hai Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ rakhā. Us ne kahā, “Kyā maiṅ ne wāqaī us ke pīchhe dekhā hai jis ne mujhe dekhā hai?” |
396 | GEN 16:14 | Is lie us jagah ke kueṅ kā nām ‘Bair-lahī-roī’ yānī ‘Us Zindā Hastī kā Kuāṅ Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ paṛ gayā. Wuh Qādis aur Barad ke darmiyān wāqe hai. |
403 | GEN 17:5 | Ab se tū Abrām yānī ‘Azīm Bāp’ nahīṅ kahlāegā balki terā nām Ibrāhīm yānī ‘Bahut Qaumoṅ kā Bāp’ hogā. Kyoṅki maiṅ ne tujhe bahut qaumoṅ kā bāp banā diyā hai. |
417 | GEN 17:19 | Allāh ne kahā, “Nahīṅ, terī bīwī Sārā ke hāṅ beṭā paidā hogā. Tū us kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhnā. Maiṅ us ke aur us kī aulād ke sāth abadī ahd bāndhūṅgā. |
438 | GEN 18:13 | Rab ne Ibrāhīm se pūchhā, “Sārā kyoṅ haṅs rahī hai? Wuh kyoṅ kah rahī hai, ‘Kyā wāqaī mere hāṅ bachchā paidā hogā jabki maiṅ itnī umrrasīdā hūṅ?’ |
509 | GEN 20:13 | Phir jab Allāh ne hone diyā ki maiṅ apne bāp ke gharāne se nikal kar idhar-udhar phirūṅ to maiṅ ne apnī bīwī se kahā, ‘Mujh par yih mehrbānī kar ki jahāṅ bhī ham jāeṅ mere bāre meṅ kah denā ki wuh merā bhāī hai.’” |
517 | GEN 21:3 | Ibrāhīm ne apne is beṭe kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhā. |
545 | GEN 21:31 | Is lie us jagah kā nām Bair-sabā yānī ‘Qasam kā Kuāṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ un donoṅ mardoṅ ne qasam khāī. |
606 | GEN 24:14 | Maiṅ un meṅ se kisī se kahūṅgā, ‘Zarā apnā ghaṛā nīche karke mujhe pānī pilāeṅ.’ Agar wuh jawāb de, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilā detī hūṅ,’ to wuh wuhī hogī jise tū ne apne ḳhādim Is'hāq ke lie chun rakhā hai. Agar aisā huā to maiṅ jān lūṅgā ki tū ne mere āqā par mehrbānī kī hai.” |
630 | GEN 24:38 | balki mere bāp ke gharāne aur mere rishtedāroṅ ke pās jā kar us ke lie bīwī lāoge.’ |
631 | GEN 24:39 | Maiṅ ne apne mālik se kahā, ‘Shāyad wuh aurat mere sāth ānā na chāhe.’ |
633 | GEN 24:41 | Lekin agar tum mere rishtedāroṅ ke pās jāo aur wuh inkār kareṅ to phir tum apnī qasam se āzād hoge.’ |
636 | GEN 24:44 | Agar wuh kahe, “Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī pānī le āūṅgī” to is kā matlab yih ho ki tū ne use mere āqā ke beṭe ke lie chun liyā hai ki us kī bīwī ban jāe.’ |
637 | GEN 24:45 | Maiṅ abhī dil meṅ yih duā kar rahā thā ki Ribqā shahr se nikal āī. Us ke kandhe par ghaṛā thā. Wuh chashme tak utrī aur apnā ghaṛā bhar liyā. Maiṅ ne us se kahā, ‘Zarā mujhe pānī pilāeṅ.’ |
638 | GEN 24:46 | Jawāb meṅ us ne jaldī se apne ghaṛe ko kandhe par se utār kar kahā, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilātī hūṅ.’ Maiṅ ne pānī piyā, aur us ne ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilāyā. |
639 | GEN 24:47 | Phir maiṅ ne us se pūchhā, ‘Āp kis kī beṭī haiṅ?’ Us ne jawāb diyā, ‘Merā bāp Batuel hai. Wuh Nahūr aur Milkāh kā beṭā hai.’ Phir maiṅ ne us kī nāk meṅ nath aur us kī kalāiyoṅ meṅ kangan pahnā die. |
684 | GEN 25:25 | Pahlā bachchā niklā to surḳh-sā thā, aur aisā lag rahā thā ki wuh ghane bāloṅ kā koṭ hī pahne hue hai. Is lie us kā nām Esau yānī ‘Bāloṅ Wālā’ rakhā gayā. |
685 | GEN 25:26 | Is ke bād dūsrā bachchā paidā huā. Wuh Esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, is lie us kā nām Yāqūb yānī ‘Eṛī Pakaṛne Wālā’ rakhā gayā. Us waqt Is'hāq 60 sāl kā thā. |
715 | GEN 26:22 | Wahāṅ se jā kar us ne ek tīsrā kuāṅ khudwāyā. Is dafā koī jhagaṛā na huā, is lie us ne us kā nām Rahobot yānī ‘Khulī Jagah’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Rab ne hameṅ khulī jagah dī hai, aur ab ham mulk meṅ phaleṅ-phūleṅge.” |
726 | GEN 26:33 | Us ne kueṅ kā nām Sabā yānī ‘Qasam’ rakhā. Āj tak sāth wāle shahr kā nām Bair-sabā hai. |
735 | GEN 27:7 | ‘Mere lie kisī jānwar kā shikār karke le ā. Use taiyār karke mere lie lazīz khānā pakā. Marne se pahle maiṅ yih khānā khā kar tujhe Rab ke sāmne barkat denā chāhtā hūṅ.’ |
793 | GEN 28:19 | Us ne maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. (Pahle sāth wāle shahr kā nām Lūz thā.) |
828 | GEN 29:32 | Liyāh hāmilā huī aur us ke beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Rab ne merī musībat dekhī hai aur ab merā shauhar mujhe pyār karegā.” Us ne us kā nām Rūbin yānī ‘Dekho Ek Beṭā’ rakhā. |
829 | GEN 29:33 | Wuh dubārā hāmilā huī. Ek aur beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Rab ne sunā ki mujh se nafrat kī jātī hai, is lie us ne mujhe yih bhī diyā hai.” Us ne us kā nām Shamāūn yānī ‘Rab ne Sunā Hai’ rakhā. |
837 | GEN 30:6 | Rāḳhil ne kahā, “Allāh ne mere haq meṅ faislā diyā hai. Us ne merī duā sun kar mujhe beṭā de diyā hai.” Us ne us kā nām Dān yānī ‘Kisī ke Haq meṅ Faislā Karne Wālā’ rakhā. |
839 | GEN 30:8 | Rāḳhil ne kahā, “Maiṅ ne apnī bahan se saḳht kushtī laṛī hai, lekin jīt gaī hūṅ.” Us ne us kā nām Naftālī yānī ‘Kushtī meṅ Mujh se Jītā Gayā’ rakhā. |
855 | GEN 30:24 | Rab mujhe ek aur beṭā de.” Us ne us kā nām Yūsuf yānī ‘Wuh Aur De’ rakhā. |
882 | GEN 31:8 | Jab māmūṅ Lāban kahte the, ‘Jin jānwaroṅ ke jism par dhabbe hoṅ wuhī āp ko ujrat ke taur par mileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ ke aise bachche paidā hue jin ke jismoṅ par dhabbe hī the. Jab unhoṅ ne kahā, ‘Jin jānwaroṅ ke jism par dhāriyāṅ hoṅgī wuhī āp ko ujrat ke taur par mileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ ke aise bachche paidā hue jin ke jismoṅ par dhāriyāṅ hī thīṅ. |
885 | GEN 31:11 | Us ḳhāb meṅ Allāh ke farishte ne mujh se bāt kī, ‘Yāqūb!’ Maiṅ ne kahā, ‘Jī, maiṅ hāzir hūṅ.’ |
887 | GEN 31:13 | Maiṅ wuh Ḳhudā hūṅ jo Baitel meṅ tujh par zāhir huā thā, us jagah jahāṅ tū ne satūn par tel unḍel kar use mere lie maḳhsūs kiyā aur mere huzūr qasam khāī thī. Ab uṭh aur rawānā ho kar apne watan wāpas chalā jā.’” |
903 | GEN 31:29 | Maiṅ āp ko bahut nuqsān pahuṅchā saktā hūṅ. Lekin pichhlī rāt āp ke abbū ke Ḳhudā ne mujh se kahā, ‘Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.’ |
921 | GEN 31:47 | Lāban ne us kā nām Yajr-shāhdūthā rakhā jabki Yāqūb ne Jal-ed rakhā. Donoṅ nāmoṅ kā matlab ‘Gawāhī kā Ḍher’ hai yānī wuh ḍher jo gawāhī detā hai. |
923 | GEN 31:49 | Us kā ek aur nām Misfāh yānī ‘Pahredāroṅ kā Mīnār’ bhī rakhā gayā. Kyoṅki Lāban ne kahā, “Rab ham par pahrā de jab ham ek dūsre se alag ho jāeṅge. |
931 | GEN 32:3 | Unheṅ dekh kar us ne kahā, “Yih Allāh kī lashkargāh hai.” Us ne us maqām kā nām Mahanāym yānī ‘Do Lashkargāheṅ’ rakhā. |
938 | GEN 32:10 | phir Yāqūb ne duā kī, “Ai mere dādā Ibrāhīm aur mere bāp Is'hāq ke Ḳhudā, merī duā sun! Ai Rab, tū ne ḳhud mujhe batāyā, ‘Apne mulk aur rishtedāroṅ ke pās wāpas jā, aur maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā.’ |
941 | GEN 32:13 | Tū ne ḳhud kahā thā, ‘Maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā aur terī aulād itnī baṛhāūṅgā ki wuh samundar kī ret kī mānind beshumār hogī.’” |
946 | GEN 32:18 | Jo naukar pahle rewaṛ le kar āge niklā us se Yāqūb ne kahā, “Merā bhāī Esau tum se milegā aur pūchhegā, ‘Tumhārā mālik kaun hai? Tum kahāṅ jā rahe ho? Tumhāre sāmne ke jānwar kis ke haiṅ?’ |
947 | GEN 32:19 | Jawāb meṅ tumheṅ kahnā hai, ‘Yih āp ke ḳhādim Yāqūb ke haiṅ. Yih tohfā haiṅ jo wuh apne mālik Esau ko bhej rahe haiṅ. Yāqūb hamāre pīchhe pīchhe ā rahe haiṅ.’” |
957 | GEN 32:29 | Ādmī ne kahā, “Ab se terā nām Yāqūb nahīṅ balki Isrāīl yānī ‘Wuh Allāh se Laṛtā Hai’ hogā. Kyoṅki tū Allāh aur ādmiyoṅ ke sāth laṛ kar ġhālib āyā hai.” |
981 | GEN 33:20 | Wahāṅ us ne qurbāngāh banāī jis kā nām us ne ‘El Ḳhudā-e-Isrāīl’ rakhā. |
1019 | GEN 35:7 | Yāqūb ne wahāṅ qurbāngāh banā kar maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. Kyoṅki wahāṅ Allāh ne apne āp ko us par zāhir kiyā thā jab wuh apne bhāī se farār ho rahā thā. |
1020 | GEN 35:8 | Wahāṅ Ribqā kī dāyā Daborā mar gaī. Wuh Baitel ke junūb meṅ balūt ke daraḳht ke nīche dafn huī, is lie us kā nām Allon-bakūt yānī ‘Rone kā Balūt kā Daraḳht’ rakhā gayā. |
1030 | GEN 35:18 | Lekin wuh dam toṛne wālī thī, aur marte marte us ne us kā nām Bin-ūnī yānī ‘Merī Musībat kā Beṭā’ rakhā. Lekin us ke bāp ne us kā nām Binyamīn yānī ‘Dahne Hāth yā Ḳhushqismatī kā Beṭā’ rakhā. |
1247 | GEN 41:51 | Us ne pahle kā nām Manassī yānī ‘Jo Bhulā Detā Hai’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Allāh ne merī musībat aur mere bāp kā gharānā merī yāddāsht se nikāl diyā hai.” |
1248 | GEN 41:52 | Dūsre kā nām us ne Ifrāīm yānī ‘Dugnā Phaldār’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Allāh ne mujhe merī musībat ke mulk meṅ phalne-phūlne diyā hai.” |
1285 | GEN 42:32 | Ham bārah bhāī haiṅ, ek hī bāp ke beṭe. Ek to mar gayā jabki sab se chhoṭā bhāī is waqt Kanān meṅ bāp ke pās hai.’ |
1287 | GEN 42:34 | Lekin apne sab se chhoṭe bhāī ko mere pās le āo tāki mujhe mālūm ho jāe ki tum jāsūs nahīṅ balki sharīf log ho. Phir maiṅ tum ko tumhārā bhāī wāpas kar dūṅgā aur tum is mulk meṅ āzādī se tijārat kar sakoge.’” |
1294 | GEN 43:3 | Lekin Yahūdāh ne kahā, “Us mard ne saḳhtī se kahā thā, ‘Tum sirf is sūrat meṅ mere pās ā sakte ho ki tumhārā bhāī sāth ho.’ |
1298 | GEN 43:7 | Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh ādmī hamāre aur hamāre ḳhāndān ke bāre meṅ pūchhtā rahā, ‘Kyā tumhārā bāp ab tak zindā hai? Kyā tumhārā koī aur bhāī hai?’ Phir hameṅ jawāb denā paṛā. Hameṅ kyā patā thā ki wuh hameṅ apne bhāī ko sāth lāne ko kahegā.” |
1330 | GEN 44:5 | Āp ne mere mālik kā chāṅdī kā pyālā kyoṅ churāyā hai? Us se wuh na sirf pīte haiṅ balki use ġhaibdānī ke lie bhī istemāl karte haiṅ. Āp ek nihāyat sangīn jurm ke murtakib hue haiṅ.’” |
1344 | GEN 44:19 | Janāb-e-ālī, āp ne ham se pūchhā, ‘Kyā tumhārā bāp yā koī aur bhāī hai?’ |
1345 | GEN 44:20 | Ham ne jawāb diyā, ‘Hamārā bāp hai. Wuh būṛhā hai. Hamārā ek chhoṭā bhāī bhī hai jo us waqt paidā huā jab hamārā bāp umrrasīdā thā. Us laṛke kā bhāī mar chukā hai. Us kī māṅ ke sirf yih do beṭe paidā hue. Ab wuh akelā hī rah gayā hai. Us kā bāp use shiddat se pyār kartā hai.’ |
1346 | GEN 44:21 | Janāb-e-ālī, āp ne hameṅ batāyā, ‘Use yahāṅ le āo tāki maiṅ ḳhud use dekh sakūṅ.’ |
1347 | GEN 44:22 | Ham ne jawāb diyā, ‘Yih laṛkā apne bāp ko chhoṛ nahīṅ saktā, warnā us kā bāp mar jāegā.’ |
1348 | GEN 44:23 | Phir āp ne kahā, ‘Tum sirf is sūrat meṅ mere pās ā sakoge ki tumhārā sab se chhoṭā bhāī tumhāre sāth ho.’ |
1350 | GEN 44:25 | Phir unhoṅ ne ham se kahā, ‘Misr lauṭ kar kuchh ġhallā ḳharīd lāo.’ |
1351 | GEN 44:26 | Ham ne jawāb diyā, ‘Ham jā nahīṅ sakte. Ham sirf is sūrat meṅ us mard ke pās jā sakte haiṅ ki hamārā sab se chhoṭā bhāī sāth ho. Ham tab hī jā sakte haiṅ jab wuh bhī hamāre sāth chale.’ |
1354 | GEN 44:29 | Agar is ko bhī mujh se le jāne kī wajah se jānī nuqsān pahuṅche to tum mujh būṛhe ko ġham ke māre Pātāl meṅ pahuṅchāoge.’” |
1357 | GEN 44:32 | Na sirf yih balki maiṅ ne bāp se kahā, ‘Maiṅ ḳhud is kā zāmin hūṅgā. Agar maiṅ ise salāmatī se wāpas na pahuṅchāūṅ to phir maiṅ zindagī ke āḳhir tak qusūrwār ṭhahrūṅga.’ |
1370 | GEN 45:11 | Wahāṅ maiṅ āp kī zarūriyāt pūrī karūṅga, kyoṅki kāl ko abhī pāṅch sāl aur lageṅge. Warnā āp, āp ke ghar wāle aur jo bhī āp ke haiṅ bad-hāl ho jāeṅge.’ |
1419 | GEN 46:32 | Maiṅ us se kahūṅgā, ‘Yih ādmī bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. Wuh maweshī pālte haiṅ, is lie apnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur bāqī sārā māl apne sāth le āe haiṅ.’ |
1421 | GEN 46:34 | Phir tum ko jawāb denā hai, ‘Āp ke ḳhādim bachpan se maweshī pālte āe haiṅ. Yih hamāre bāpdādā kā peshā thā aur hamārā bhī hai.’ Agar tum yih kaho to tumheṅ Jushan meṅ rahne kī ijāzat milegī. Kyoṅki bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe Misriyoṅ kī nazar meṅ qābil-e-nafrat haiṅ.” |
1456 | GEN 48:4 | kahā, ‘Maiṅ tujhe phalne-phūlne dūṅgā aur terī aulād baṛhā dūṅgā balki tujh se bahut-sī qaumeṅ nikalne dūṅgā. Aur maiṅ terī aulād ko yih mulk hameshā ke lie de dūṅgā.’ |
1472 | GEN 48:20 | Us din us ne donoṅ beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Isrāīlī tumhārā nām le kar barkat diyā kareṅge. Jab wuh barkat deṅge to kaheṅge, ‘Allāh āp ke sāth waisā kare jaisā us ne Ifrāīm aur Manassī ke sāth kiyā hai.’” Is tarah Yāqūb ne Ifrāīm ko Manassī se baṛā banā diyā. |
1512 | GEN 50:5 | ki mere bāp ne mujhe qasam dilā kar kahā thā, ‘Maiṅ marne wālā hūṅ. Mujhe us qabr meṅ dafn karnā jo maiṅ ne Mulk-e-Kanān meṅ apne lie banwāī.’ Ab mujhe ijāzat deṅ ki maiṅ wahāṅ jāūṅ aur apne bāp ko dafn karke wāpas āūṅ.” |
1518 | GEN 50:11 | Jab maqāmī Kanāniyoṅ ne Atad ke khaliyān par mātam kā yih nazārā dekhā to unhoṅ ne kahā, “Yih to mātam kā bahut baṛā intazām hai jo Misrī karwā rahe haiṅ.” Is lie us jagah kā nām Abīl-misrīm yānī ‘Misriyoṅ kā Mātam’ paṛ gayā. |
1524 | GEN 50:17 | ki Yūsuf ko batānā, ‘Apne bhāiyoṅ ke us ġhalat kām ko muāf kar denā jo unhoṅ ne tumhāre sāth kiyā.’ Ab hameṅ jo āp ke bāp ke Ḳhudā ke pairokār haiṅ muāf kar deṅ.” Yih ḳhabar sun kar Yūsuf ro paṛā. |
1565 | EXO 2:10 | Jab bachchā baṛā huā to us kī māṅ use Firaun kī beṭī ke pās le gaī, aur wuh us kā beṭā ban gayā. Firaun kī beṭī ne us kā nām Mūsā yānī ‘Nikālā Gayā’ rakh kar kahā, “Maiṅ use pānī se nikāl lāī hūṅ.” |
1577 | EXO 2:22 | Saffūrā ke beṭā paidā huā to Mūsā ne kahā, “Is kā nām Jairsom yānī ‘Ajnabī Mulk meṅ Pardesī’ ho, kyoṅki maiṅ ajnabī mulk meṅ pardesī hūṅ.” |
1593 | EXO 3:13 | Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Agar maiṅ Isrāīliyoṅ ke pās jā kar unheṅ batāūṅ ki tumhāre bāpdādā ke Ḳhudā ne mujhe tumhāre pās bhejā hai to wuh pūchheṅge, ‘Us kā nām kyā hai?’ Phir maiṅ un ko kyā jawāb dūṅ?” |
1595 | EXO 3:15 | Rab jo tumhāre bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hai usī ne mujhe tumhāre pās bhejā hai.’ Yih abad tak merā nām rahegā. Log yihī nām le kar mujhe nasl-dar-nasl yād kareṅge. |
1597 | EXO 3:17 | Is lie maiṅ ne faislā kiyā hai ki tumheṅ Misr kī musībat se nikāl kar Kanāniyoṅ, Hittiyoṅ, Amoriyoṅ, Farizziyoṅ, Hiwwiyoṅ aur Yabūsiyoṅ ke mulk meṅ le jāūṅ, aise mulk meṅ jahāṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai.’ |
1598 | EXO 3:18 | Buzurg terī suneṅge. Phir un ke sāth Misr ke bādshāh ke pās jā kar us se kahnā, ‘Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā ham par zāhir huā hai. Is lie hameṅ ijāzat deṅ ki ham tīn din kā safr karke registān meṅ Rab apne Ḳhudā ke lie qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ.’ |
1603 | EXO 4:1 | Mūsā ne etarāz kiyā, “Lekin Isrāīlī na merī bāt kā yaqīn kareṅge, na merī suneṅge. Wuh to kaheṅge, ‘Rab tum par zāhir nahīṅ huā.’” |
1625 | EXO 4:23 | Maiṅ tujhe batā chukā hūṅ ki mere beṭe ko jāne de tāki wuh merī ibādat kare. Agar tū mere beṭe ko jāne se manā kare to maiṅ tere pahlauṭhe ko jān se mār dūṅgā.’” |
1628 | EXO 4:26 | Tab Allāh ne Mūsā ko chhoṛ diyā. Saffūrā ne use ḳhatne ke bāis hī ‘Ḳhūnī Dūlhā’ kahā thā. |
1634 | EXO 5:1 | Phir Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko registān meṅ jāne de tāki wuh mere lie īd manāeṅ.’” |
1664 | EXO 6:8 | Maiṅ tumheṅ us mulk meṅ le jāūṅgā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā hai. Wuh mulk tumhārī apnī milkiyat hogā. Maiṅ Rab hūṅ.’” |
1704 | EXO 7:18 | Dariyā-e-Nīl kī machhliyāṅ mar jāeṅgī, dariyā se badbū uṭhegī aur Misrī dariyā kā pānī nahīṅ pī sakeṅge.’” |
1715 | EXO 7:29 | Meṅḍak tujh par, terī qaum par aur tere ohdedāroṅ par chaṛh jāeṅge.’” |
1734 | EXO 8:19 | Maiṅ apnī qaum aur terī qaum meṅ imtiyāz karūṅga. Kal hī merī qudrat kā izhār hogā.’” |
1744 | EXO 9:1 | Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā kar use batā ki Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ.’ |
1762 | EXO 9:19 | Apne bandoṅ ko abhī bhejnā tāki wuh tere maweshiyoṅ ko aur khetoṅ meṅ paṛe tere māl ko lā kar mahfūz kar leṅ. Kyoṅki jo bhī khule maidān meṅ rahegā wuh oloṅ se mar jāegā, ḳhāh insān ho yā haiwān.’” |
1784 | EXO 10:6 | Tere mahal, tere ohdedāroṅ aur bāqī logoṅ ke ghar un se bhar jāeṅge. Jab se Misrī is mulk meṅ ābād hue haiṅ tum ne kabhī ṭiḍḍiyoṅ kā aisā saḳht hamlā nahīṅ dekhā hogā.’” Yih kah kar Mūsā palaṭ kar wahāṅ se chalā gayā. |
1814 | EXO 11:7 | Lekin Isrāīlī aur un ke jānwar bache raheṅge. Kuttā bhī un par nahīṅ bhaunkegā. Is tarah tum jān loge ki Rab Isrāīliyoṅ kī nisbat Misriyoṅ se farq sulūk kartā hai.’” |
1815 | EXO 11:8 | Mūsā ne yih kuchh Firaun ko batāyā phir kahā, “Us waqt āp ke tamām ohdedār ā kar mere sāmne jhuk jāeṅge aur minnat kareṅge, ‘Apne pairokāroṅ ke sāth chale jāeṅ.’ Tab maiṅ chalā hī jāūṅgā.” Yih kah kar Mūsā Firaun ke pās se chalā gayā. Wuh baṛe ġhusse meṅ thā. |
1844 | EXO 12:27 | to un se kaho, ‘Yih Fasah kī qurbānī hai jo ham Rab ko pesh karte haiṅ. Kyoṅki jab Rab Misriyoṅ ko halāk kar rahā thā to us ne hamāre gharoṅ ko chhoṛ diyā thā.’” Yih sun kar Isrāīliyoṅ ne Allāh ko sijdā kiyā. |
1876 | EXO 13:8 | Us din apne beṭe se yih kaho, ‘Maiṅ yih īd us kām kī ḳhushī meṅ manātā hūṅ jo Rab ne mere lie kiyā jab maiṅ Misr se niklā.’ |
1883 | EXO 13:15 | Jab Firaun ne akaṛ kar hameṅ jāne na diyā to Rab ne Misr ke tamām insānoṅ aur haiwānoṅ ke pahlauṭhoṅ ko mār ḍālā. Is wajah se maiṅ apne jānwaroṅ kā har pahlā bachchā Rab ko qurbān kartā aur apne har pahlauṭhe ke lie ewazī detā hūṅ’. |
1930 | EXO 15:9 | Dushman ne ḍīṅg mār kar kahā, ‘Maiṅ un kā pīchhā karke unheṅ pakaṛ lūṅgā, maiṅ un kā lūṭā huā māl taqsīm karūṅga. Merī lālchī jān un se ser ho jāegī, maiṅ apnī talwār khīṅch kar unheṅ halāk karūṅga.’ |
1957 | EXO 16:9 | Mūsā ne Hārūn se kahā, “Isrāīliyoṅ ko batānā, ‘Rab ke sāmne hāzir ho jāo, kyoṅki us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ.’” |
1960 | EXO 16:12 | “Maiṅ ne Isrāīliyoṅ kī shikāyat sun lī hai. Unheṅ batā, ‘Āj jab sūraj ġhurūb hone lagegā to tum gosht khāoge aur kal subah peṭ bhar kar roṭī. Phir tum jān loge ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.’” |
1979 | EXO 16:31 | Isrāīliyoṅ ne is ḳhurāk kā nām ‘man’ rakhā. Us ke dāne dhanie kī mānind safed the, aur us kā zāyqā shahd se bane kek kī mānind thā. |
1980 | EXO 16:32 | Mūsā ne kahā, “Rab farmātā hai, ‘Do liṭar man ek martabān meṅ rakh kar use āne wālī nasloṅ ke lie mahfūz rakhnā. Phir wuh dekh sakeṅge ki maiṅ tumheṅ kyā khānā khilātā rahā jab tumheṅ Misr se nikāl lāyā.’” |
1991 | EXO 17:7 | Us ne us jagah kā nām Massā aur Marībā yānī ‘Āzmānā aur Jhagaṛnā’ rakhā, kyoṅki wahāṅ Isrāīlī buṛbuṛāe aur yih pūchh kar Rab ko āzmāyā ki kyā Rab hamāre darmiyān hai ki nahīṅ? |
1999 | EXO 17:15 | Us waqt Mūsā ne qurbāngāh banā kar us kā nām ‘Rab Merā Jhanḍā Hai’ rakhā. |
2003 | EXO 18:3 | Yitro Mūsā ke donoṅ beṭoṅ ko bhī sāth lāyā. Pahle beṭe kā nām Jairsom yānī ‘Ajnabī Mulk meṅ Pardesī’ thā, kyoṅki jab wuh paidā huā to Mūsā ne kahā thā, “Maiṅ ajnabī mulk meṅ pardesī hūṅ.” |