Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   0    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

109  GEN 5:3  Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā.
110  GEN 5:4  Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
111  GEN 5:5  Wuh 930 sāl kī umr meṅ faut huā.
112  GEN 5:6  Set 105 sāl kā thā jab us kā beṭā Anūs paidā huā.
113  GEN 5:7  Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
115  GEN 5:9  Anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭā Qīnān paidā huā.
117  GEN 5:11  Wuh 905 sāl kī umr meṅ faut huā.
118  GEN 5:12  Qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭā Mahalalel paidā huā.
119  GEN 5:13  Is ke bād wuh mazīd 840 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
120  GEN 5:14  Wuh 910 sāl kī umr meṅ faut huā.
122  GEN 5:16  Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
125  GEN 5:19  Is ke bād wuh mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
128  GEN 5:22  Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
138  GEN 5:32  Nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue.
141  GEN 6:3  Phir Rab ne kahā, “Merī rūh hameshā ke lie insān meṅ na rahe kyoṅki wuh fānī maḳhlūq hai. Ab se wuh 120 sāl se zyādā zindā nahīṅ rahegā.”
153  GEN 6:15  Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho.
166  GEN 7:6  Wuh 600 sāl kā thā jab yih tūfānī sailāb zamīn par āyā.
171  GEN 7:11  Yih sab kuchh us waqt huā jab Nūh 600 sāl kā thā. Dūsre mahīne ke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae.
180  GEN 7:20  Balki sab se ūṅchī choṭī par pānī kī gahrāī 20 fuṭ thī.
187  GEN 8:3  Pānī ghaṭtā gayā. 150 din ke bād wuh kāfī kam ho gayā thā.
197  GEN 8:13  Jab Nūh 601 sāl kā thā to pahle mahīne ke pahle din zamīn kī satah par pānī ḳhatm ho gayā. Tab Nūh ne kashtī kī chhat khol dī aur dekhā ki zamīn kī satah par pānī nahīṅ hai.
234  GEN 9:28  Sailāb ke bād Nūh mazīd 350 sāl zindā rahā.
235  GEN 9:29  Wuh 950 sāl kī umr meṅ faut huā.
277  GEN 11:10  Yih Sim kā nasabnāmā hai: Sim 100 sāl kā thā jab us kā beṭā Arfaksad paidā huā. Yih sailāb ke do sāl bād huā.
278  GEN 11:11  Is ke bād wuh mazīd 500 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
280  GEN 11:13  Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
281  GEN 11:14  Silah 30 sāl kā thā jab Ibar paidā huā.
282  GEN 11:15  Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
284  GEN 11:17  Is ke bād wuh mazīd 430 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
285  GEN 11:18  Falaj 30 sāl kā thā jab Raū paidā huā.
286  GEN 11:19  Is ke bād wuh mazīd 209 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
288  GEN 11:21  Is ke bād wuh mazīd 207 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
289  GEN 11:22  Sarūj 30 sāl kā thā jab Nahūr paidā huā.
290  GEN 11:23  Is ke bād wuh mazīd 200 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
293  GEN 11:26  Tārah 70 sāl kā thā jab us ke beṭe Abrām, Nahūr aur Hārān paidā hue.
299  GEN 11:32  Tārah 205 sāl kā thā jab us ne Hārān meṅ wafāt pāī.
374  GEN 15:13  Phir Rab ne us se kahā, “Jān le ki terī aulād aise mulk meṅ rahegī jo us kā nahīṅ hogā. Wahāṅ wuh ajnabī aur ġhulām hogī, aur us par 400 sāl tak bahut zulm kiyā jāegā.
415  GEN 17:17  Ibrāhīm muṅh ke bal gir gayā. Lekin dil hī dil meṅ wuh haṅs paṛā aur sochā, “Yih kis tarah ho saktā hai? Maiṅ to 100 sāl kā hūṅ. Aise ādmī ke hāṅ bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Aur Sārā jaisī umrrasīdā aurat ke bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Us kī umr to 90 sāl hai.”
449  GEN 18:24  Ho saktā hai ki shahr meṅ 50 rāstbāz hoṅ. Kyā tū phir bhī shahr ko barbād kar degā aur use un 50 ke sabab se muāf nahīṅ karegā?
451  GEN 18:26  Rab ne jawāb diyā, “Agar mujhe shahr meṅ 50 rāstbāz mil jāeṅ to un ke sabab se tamām ko muāf kar dūṅgā.”
454  GEN 18:29  Ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī, “Aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?” Rab ne kahā, “Maiṅ un 40 ke sabab se unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
455  GEN 18:30  Ibrāhīm ne kahā, “Rab ġhussā na kare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ. Shāyad wahāṅ sirf 30 hoṅ.” Us ne jawāb diyā, “Phir bhī unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
456  GEN 18:31  Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai. Agar sirf 20 pāe jāeṅ?” Rab ne kahā, “Maiṅ 20 ke sabab se shahr ko barbād karne se bāz rahūṅgā.”
457  GEN 18:32  Ibrāhīm ne ek āḳhirī dafā bāt kī, “Rab ġhussā na kare agar maiṅ ek aur bār bāt karūṅ. Shāyad us meṅ sirf 10 pāe jāeṅ.” Rab ne kahā, “Maiṅ use un 10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅ karūṅga.”
519  GEN 21:5  Jab Is'hāq paidā huā us waqt Ibrāhīm 100 sāl kā thā.
530  GEN 21:16  koī 300 fuṭ dūr baiṭh gaī. Kyoṅki us ne dil meṅ kahā, “Maiṅ use marte nahīṅ dekh saktī.” Wuh wahāṅ baiṭh kar rone lagī.
586  GEN 23:14  Ifron ne jawāb diyā, “Mere āqā, suneṅ. Is zamīn kī qīmat sirf 400 chāṅdī ke sikke hai. Āp ke aur mere darmiyān yih kyā hai? Apnī bīwī ko dafn kar deṅ.”
588  GEN 23:16  Ibrāhīm ne Ifron kī matlūbā qīmat mān lī aur sab ke sāmne chāṅdī ke 400 sikke tol kar Ifron ko de die. Is ke lie us ne us waqt ke rāyj bāṭ istemāl kie.
614  GEN 24:22  Ūṅṭ pānī pīne se fāriġh hue to us ne Ribqā ko sone kī ek nath aur do kangan die. Nath kā taqrīban 6 grām thā aur kanganoṅ kā 120 grām.
679  GEN 25:20  Is'hāq 40 sāl kā thā jab us kī Ribqā se shādī huī. Ribqā Lāban kī bahan aur Arāmī mard Batuel kī beṭī thī. (Batuel Masoputāmiyā kā thā.)
685  GEN 25:26  Is ke bād dūsrā bachchā paidā huā. Wuh Esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, is lie us kā nām Yāqūb yānī ‘Eṛī Pakaṛne Wālā’ rakhā gayā. Us waqt Is'hāq 60 sāl kā thā.
727  GEN 26:34  Jab Esau 40 sāl kā thā to us ne do Hittī auratoṅ se shādī kī, Bairī kī beṭī Yahūdit se aur Ailon kī beṭī Bāsamat se.
935  GEN 32:7  Jab qāsid wāpas āe to unhoṅ ne kahā, “Ham āp ke bhāī Esau ke pās gae. Aur wuh 400 ādmī sāth le kar āp se milne ā rahā hai.”
943  GEN 32:15  200 bakriyāṅ, 20 bakre, 200 bheṛeṅ, 20 menḍhe,
944  GEN 32:16  30 dūdh dene wālī ūṅṭniyāṅ bachchoṅ samet, 40 gāeṅ, 10 bail, 20 gadhiyāṅ aur 10 gadhe.
962  GEN 33:1  Phir Esau un kī taraf ātā huā nazar āyā. Us ke sāth 400 ādmī the. Unheṅ dekh kar Yāqūb ne bachchoṅ ko bāṅṭ kar Liyāh, Rāḳhil aur donoṅ launḍiyoṅ ke hawāle kar diyā.
980  GEN 33:19  Us ke ḳhaime Hamor kī aulād kī zamīn par lage the. Us ne yih zamīn chāṅdī ke 100 sikkoṅ ke badle ḳharīd lī.
1040  GEN 35:28  Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā.
1112  GEN 37:28  Chunāṅche jab Midiyānī tājir wahāṅ se guzare to bhāiyoṅ ne Yūsuf ko khīṅch kar gaṛhe se nikālā aur chāṅdī ke 20 sikkoṅ ke ewaz bech ḍālā. Ismāīlī use le kar Misr chale gae.
1241  GEN 41:45  Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī. Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā.
1381  GEN 45:22  Us ne har ek bhāī ko kapṛoṅ kā ek joṛā bhī diyā. Lekin Binyamīn ko us ne chāṅdī ke 300 sikke aur pāṅch joṛe die.
1414  GEN 46:27  Jab ham Yāqūb, Yūsuf aur us ke do beṭe in meṅ shāmil karte haiṅ to Yāqūb ke gharāne ke 70 afrād Misr gae.
1430  GEN 47:9  Yāqūb ne jawāb diyā, “Maiṅ 130 sāl se is duniyā kā mehmān hūṅ. Merī zindagī muḳhtasar aur taklīfdeh thī, aur mere bāpdādā mujh se zyādā umrrasīdā hue the jab wuh is duniyā ke mehmān the.”
1510  GEN 50:3  Is meṅ 40 din lag gae. Ām taur par hanūt karne ke lie itne hī din lagte haiṅ. Misriyoṅ ne 70 din tak Yāqūb kā mātam kiyā.
1529  GEN 50:22  Yūsuf apne bāp ke ḳhāndān samet Misr meṅ rahā. Wuh 110 sāl zindā rahā.
1533  GEN 50:26  Phir Yūsuf faut ho gayā. Wuh 110 sāl kā thā. Use hanūt karke Misr meṅ ek tābūt meṅ rakhā gayā.
1538  EXO 1:5  Us waqt Yāqūb kī aulād kī tādād 70 thī. Yūsuf to pahle hī Misr ā chukā thā.
1693  EXO 7:7  Firaun se bāt karte waqt Mūsā 80 sāl kā aur Hārūn 83 sāl kā thā.
1857  EXO 12:40  Isrāīlī 430 sāl tak Misr meṅ rahe the.
1858  EXO 12:41  430 sāl ke ain bād, usī din Rab ke yih tamām ḳhāndān Misr se nikle.
1897  EXO 14:7  Wuh 600 behtarīn qism ke rath aur Misr ke bāqī tamām rathoṅ ko sāth le gayā. Tamām rathoṅ par afsarān muqarrar the.
1948  EXO 15:27  Phir Isrāīlī rawānā ho kar Elīm pahuṅche jahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳht the. Wahāṅ unhoṅ ne pānī ke qarīb apne ḳhaime lagāe.
1983  EXO 16:35  Isrāīliyoṅ ko 40 sāl tak man miltā rahā. Wuh us waqt tak man khāte rahe jab tak registān se nikal kar Kanān kī sarhad par na pahuṅche.
2110  EXO 21:32  Lekin agar bail kisī ġhulām yā launḍī ko mār de to us kā mālik ġhulām ke mālik ko chāṅdī ke 30 sikke de aur bail ko sangsār kiyā jāe.
2179  EXO 24:1  Rab ne Mūsā se kahā, “Tū, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg mere pās ūpar āeṅ. Kuchh fāsile par khaṛe ho kar mujhe sijdā karo.
2187  EXO 24:9  Is ke bād Mūsā, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg Sīnā Pahāṛ par chaṛhe.
2241  EXO 26:5  ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. In do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne hoṅ.
2242  EXO 26:6  Phir sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqe ek dūsre ke sāth milānā. Yoṅ donoṅ ṭukṛe juṛ kar ḳhaime kā kām deṅge.
2247  EXO 26:11  Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar un se donoṅ hisse milānā.
2254  EXO 26:18  Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai
2255  EXO 26:19  aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. Un par taḳhte khaṛe kie jāeṅge. Har taḳhte ke nīche do pāe hoṅge, aur har pāe meṅ ek chūl lagegī.
2256  EXO 26:20  Isī tarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai
2257  EXO 26:21  aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. Wuh bhī taḳhtoṅ ko khaṛā karne ke lie haiṅ. Har taḳhte ke nīche do pāe hoṅge.
2282  EXO 27:9  Muqaddas ḳhaime ke lie sahan banānā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī jāe. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ ho.
2283  EXO 27:10  Kapṛe ko chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se lakaṛī ke 20 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Har khambā pītal ke pāe par khaṛā ho.
2285  EXO 27:12  Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ ho aur kapṛā lakaṛī ke 10 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Yih khambe bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
2289  EXO 27:16  Darwāze kā pardā 30 fuṭ chauṛā banānā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā jāe, aur us par kaṛhāī kā kām ho. Yih kapṛā lakaṛī ke chār khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Wuh bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
2291  EXO 27:18  Chārdīwārī kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ ho. Khamboṅ ke tamām pāe pītal ke hoṅ.
2397  EXO 30:14  Jis kī bhī umr 20 sāl yā is se zāyd ho wuh Rab ko yih raqam uṭhāne wālī qurbānī ke taur par de.
2467  EXO 32:28  Lāwiyoṅ ne Mūsā kī hidāyat par amal kiyā to us din taqrīban 3,000 mard halāk hue.
2579  EXO 36:12  Ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. In do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne the.
2580  EXO 36:13  Phir Bazliyel ne sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqoṅ ko ek dūsre ke sāth milāyā. Yoṅ donoṅ ṭukṛoṅ ke joṛne se ḳhaimā ban gayā.
2585  EXO 36:18  Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar us ne donoṅ hisse milāe.
2590  EXO 36:23  Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhte banāe gae