109 | GEN 5:3 | Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā. |
112 | GEN 5:6 | Set 105 sāl kā thā jab us kā beṭā Anūs paidā huā. |
114 | GEN 5:8 | Wuh 912 sāl kī umr meṅ faut huā. |
116 | GEN 5:10 | Is ke bād wuh mazīd 815 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
120 | GEN 5:14 | Wuh 910 sāl kī umr meṅ faut huā. |
124 | GEN 5:18 | Yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭā Hanūk paidā huā. |
131 | GEN 5:25 | Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā. |
134 | GEN 5:28 | Lamak 182 sāl kā thā jab us kā beṭā paidā huā. |
141 | GEN 6:3 | Phir Rab ne kahā, “Merī rūh hameshā ke lie insān meṅ na rahe kyoṅki wuh fānī maḳhlūq hai. Ab se wuh 120 sāl se zyādā zindā nahīṅ rahegā.” |
154 | GEN 6:16 | Kashtī kī chhat ko yoṅ banānā ki us ke nīche 18 inch khulā rahe. Ek taraf darwāzā ho, aur us kī tīn manzileṅ hoṅ. |
171 | GEN 7:11 | Yih sab kuchh us waqt huā jab Nūh 600 sāl kā thā. Dūsre mahīne ke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae. |
187 | GEN 8:3 | Pānī ghaṭtā gayā. 150 din ke bād wuh kāfī kam ho gayā thā. |
188 | GEN 8:4 | Sātweṅ mahīne ke 17weṅ din kashtī Arārāt ke ek pahāṛ par ṭik gaī. |
197 | GEN 8:13 | Jab Nūh 601 sāl kā thā to pahle mahīne ke pahle din zamīn kī satah par pānī ḳhatm ho gayā. Tab Nūh ne kashtī kī chhat khol dī aur dekhā ki zamīn kī satah par pānī nahīṅ hai. |
277 | GEN 11:10 | Yih Sim kā nasabnāmā hai: Sim 100 sāl kā thā jab us kā beṭā Arfaksad paidā huā. Yih sailāb ke do sāl bād huā. |
292 | GEN 11:25 | Is ke bād wuh mazīd 119 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
351 | GEN 14:14 | Jab Abrām ko patā chalā ki bhatīje ko giriftār kar liyā gayā hai to us ne apne ghar meṅ paidā hue tamām jangāzmūdā ġhulāmoṅ ko jamā karke Dān tak dushman kā tāqqub kiyā. Us ke sāth 318 afrād the. |
415 | GEN 17:17 | Ibrāhīm muṅh ke bal gir gayā. Lekin dil hī dil meṅ wuh haṅs paṛā aur sochā, “Yih kis tarah ho saktā hai? Maiṅ to 100 sāl kā hūṅ. Aise ādmī ke hāṅ bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Aur Sārā jaisī umrrasīdā aurat ke bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Us kī umr to 90 sāl hai.” |
423 | GEN 17:25 | jabki us kā beṭā Ismāīl 13 sāl kā thā. |
431 | GEN 18:6 | Ibrāhīm ḳhaime kī taraf dauṛ kar Sārā ke pās āyā aur kahā, “Jaldī karo! 16 kilogrām behtarīn maidā le aur use gūṅdh kar roṭiyāṅ banā.” |
457 | GEN 18:32 | Ibrāhīm ne ek āḳhirī dafā bāt kī, “Rab ġhussā na kare agar maiṅ ek aur bār bāt karūṅ. Shāyad us meṅ sirf 10 pāe jāeṅ.” Rab ne kahā, “Maiṅ use un 10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅ karūṅga.” |
519 | GEN 21:5 | Jab Is'hāq paidā huā us waqt Ibrāhīm 100 sāl kā thā. |
573 | GEN 23:1 | Sārā 127 sāl kī umr meṅ Habrūn meṅ intaqāl kar gaī. |
614 | GEN 24:22 | Ūṅṭ pānī pīne se fāriġh hue to us ne Ribqā ko sone kī ek nath aur do kangan die. Nath kā taqrīban 6 grām thā aur kanganoṅ kā 120 grām. |
666 | GEN 25:7 | Ibrāhīm 175 sāl kī umr meṅ faut huā. Ġharz wuh bahut umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar intaqāl karke apne bāpdādā se jā milā. |
676 | GEN 25:17 | Ismāīl 137 sāl kā thā jab wuh kūch karke apne bāpdādā se jā milā. |
944 | GEN 32:16 | 30 dūdh dene wālī ūṅṭniyāṅ bachchoṅ samet, 40 gāeṅ, 10 bail, 20 gadhiyāṅ aur 10 gadhe. |
980 | GEN 33:19 | Us ke ḳhaime Hamor kī aulād kī zamīn par lage the. Us ne yih zamīn chāṅdī ke 100 sikkoṅ ke badle ḳharīd lī. |
1040 | GEN 35:28 | Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā. |
1086 | GEN 37:2 | Yih Yāqūb ke ḳhāndān kā bayān hai. Us waqt Yāqūb kā beṭā Yūsuf 17 sāl kā thā. Wuh apne bhāiyoṅ yānī Bilhāh aur Zilfā ke beṭoṅ ke sāth bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā thā. Yūsuf apne bāp ko apne bhāiyoṅ kī burī harkatoṅ kī ittalā diyā kartā thā. |
1405 | GEN 46:18 | Kul 16 afrād Zilfā kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Liyāh ko diyā thā. |
1409 | GEN 46:22 | Kul 14 mard Rāḳhil kī aulād the. |
1430 | GEN 47:9 | Yāqūb ne jawāb diyā, “Maiṅ 130 sāl se is duniyā kā mehmān hūṅ. Merī zindagī muḳhtasar aur taklīfdeh thī, aur mere bāpdādā mujh se zyādā umrrasīdā hue the jab wuh is duniyā ke mehmān the.” |
1449 | GEN 47:28 | Yāqūb 17 sāl Misr meṅ rahā. Wuh 147 sāl kā thā jab faut huā. |
1529 | GEN 50:22 | Yūsuf apne bāp ke ḳhāndān samet Misr meṅ rahā. Wuh 110 sāl zindā rahā. |
1533 | GEN 50:26 | Phir Yūsuf faut ho gayā. Wuh 110 sāl kā thā. Use hanūt karke Misr meṅ ek tābūt meṅ rakhā gayā. |
1672 | EXO 6:16 | Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. (Lāwī 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1674 | EXO 6:18 | Qihāt ke chār beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the. (Qihāt 133 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1676 | EXO 6:20 | Amrām ne apnī phūphī Yūkabid se shādī kī. Un ke do beṭe Hārūn aur Mūsā paidā hue. (Amrām 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1823 | EXO 12:6 | Mahīne ke 14weṅ din tak us kī dekh-bhāl karo. Us din tamām Isrāīlī sūraj ke ġhurūb hote waqt apne lele zabah kareṅ. |
1835 | EXO 12:18 | Pahle mahīne ke 14weṅ din kī shām se le kar 21weṅ din kī shām tak sirf beḳhamīrī roṭī khānā. |
1948 | EXO 15:27 | Phir Isrāīlī rawānā ho kar Elīm pahuṅche jahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳht the. Wahāṅ unhoṅ ne pānī ke qarīb apne ḳhaime lagāe. |
1949 | EXO 16:1 | Is ke bād Isrāīl kī pūrī jamāt Elīm se safr karke Sīn ke registān meṅ pahuṅchī jo Elīm aur Sīnā ke darmiyān hai. Wuh Misr se nikalne ke bād dūsre mahīne ke 15weṅ din pahuṅche. |
2243 | EXO 26:7 | Bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banānā jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhā jāe. |
2252 | EXO 26:16 | Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ ho aur chauṛāī sawā do fuṭ. |
2261 | EXO 26:25 | Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 hogī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do do pāe hoṅge. |
2282 | EXO 27:9 | Muqaddas ḳhaime ke lie sahan banānā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī jāe. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ ho. |
2285 | EXO 27:12 | Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ ho aur kapṛā lakaṛī ke 10 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Yih khambe bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. |
2291 | EXO 27:18 | Chārdīwārī kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ ho. Khamboṅ ke tamām pāe pītal ke hoṅ. |
2396 | EXO 30:13 | Jis jis kā shumār kiyā gayā ho wuh chāṅdī ke ādhe sikke ke barābar raqam uṭhāne wālī qurbānī ke taur par de. Sikke kā wazn maqdis ke sikkoṅ ke barābar ho. Yānī chāṅdī ke sikke kā wazn 11 grām ho, is lie chhih grām chāṅdī denī hai. |
2581 | EXO 36:14 | Us ne bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banāe jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhnā thā. |
2588 | EXO 36:21 | Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ thī aur chauṛāī sawā do fuṭ. |
2597 | EXO 36:30 | Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 thī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do pāe. |
2643 | EXO 38:9 | Phir Bazliyel ne sahan banāyā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī gaī. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ thī. |
2646 | EXO 38:12 | Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ thī. Kapṛe ke alāwā us ke lie 10 khambe, 10 pāe aur kapṛā lagāne ke lie chāṅdī kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ. |
2658 | EXO 38:24 | Us sone kā wazn jo logoṅ ke hadiyoṅ se jamā huā aur maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā taqrīban 1,000 kilogrām thā. (Use maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.) |
2661 | EXO 38:27 | Chūṅki dīwāroṅ ke taḳhtoṅ ke pāe aur Muqaddastarīn Kamre ke darwāze ke satūnoṅ ke pāe chāṅdī ke the is lie taqrīban pūrī chāṅdī in 100 pāiyoṅ ke lie sarf huī. |
3050 | LEV 12:5 | Agar us ke laṛkī paidā ho jāe to wuh māhwārī ke aiyām kī tarah nāpāk hai. Yih nāpākī 14 din tak rahegī. Phir wuh mazīd 66 din intazār kare. Is ke bād us kī wuh nāpākī dūr ho jāegī jo ḳhūn bahne se paidā huī hai. |
3576 | LEV 27:5 | us laṛke ke lie jis kī umr 5 aur 20 sāl ke darmiyān ho chāṅdī ke 20 sikke, isī umr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 10 sikke, |
3578 | LEV 27:7 | sāṭh sāl se baṛe ādmī ke lie chāṅdī ke 15 sikke aur isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke 10 sikke. |
3587 | LEV 27:16 | Agar koī apnī maurūsī zamīn meṅ se kuchh Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare to us kī qīmat us bīj kī miqdār ke mutābiq muqarrar kī jāe jo us meṅ bonā hotā hai. Jis khet meṅ 135 kilogrām jau kā bīj boyā jāe us kī qīmat chāṅdī ke 50 sikke hogī. |
3596 | LEV 27:25 | Wāpas ḳharīdne ke lie mustāmal sikke maqdis ke sikkoṅ ke barābar hoṅ. Us ke chāṅdī ke sikkoṅ kā wazn 11 grām hai. |
3645 | NUM 1:40 | Āshar ke qabīle ke 41,500 mard, |
3668 | NUM 2:9 | Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,86,400 thī. Rawānā hote waqt yih āge chalte the. |
3675 | NUM 2:16 | Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,51,450 thī. Rawānā hote waqt yih mashriqī qabīloṅ ke pīchhe chalte the. |
3683 | NUM 2:24 | Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,08,100 thī. Rawānā hote waqt yih junūbī qabīloṅ ke pīchhe chalte the. |
3687 | NUM 2:28 | aur jis ke 41,500 faujī the. |
3690 | NUM 2:31 | Tīnoṅ qabīloṅ kī kul tādād 1,57,600 thī. Wuh āḳhir meṅ apnā alam uṭhā kar rawānā hote the. |
3740 | NUM 3:47 | har ek ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke le jo maqdis ke wazn ke mutābiq hoṅ (fī sikkā taqrīban 11 grām). |
3743 | NUM 3:50 | Yoṅ us ne chāṅdī ke 1,365 sikke (taqrīban 16 kilogrām) jamā karke |
3865 | NUM 7:14 | In ke alāwā Nahson ne yih chīzeṅ pesh kīṅ: sone kā pyālā jis kā wazn 110 grām thā aur jo baḳhūr se bharā huā thā, |
3935 | NUM 7:84 | Isrāīl ke in sardāroṅ ne mil kar qurbāngāh kī maḳhsūsiyat ke lie chāṅdī ke 12 thāl, chhiṛkāw ke chāṅdī ke 12 kaṭore aur sone ke 12 pyāle pesh kie. |
3937 | NUM 7:86 | Baḳhūr se bhare hue sone ke pyāloṅ kā kul wazn taqrīban ḍeṛh kilogrām thā (fī pyālā 110 grām). |
3938 | NUM 7:87 | Sardāroṅ ne mil kar bhasm hone wālī qurbānī ke lie 12 jawān bail, 12 menḍhe aur bheṛ ke 12 yaksālā bachche un kī ġhallā kī nazaroṅ samet pesh kie. Gunāh kī qurbānī ke lie unhoṅ ne 12 bakre pesh kie |
4044 | NUM 11:19 | Tum use na sirf ek, do yā pāṅch din khāoge balki 10 yā 20 din se bhī zyādā arse tak. |
4244 | NUM 17:14 | To bhī 14,700 afrād wabā se mar gae. Is meṅ wuh shāmil nahīṅ haiṅ jo Qorah ke sabab se mar gae the. |
4247 | NUM 17:17 | “Isrāīliyoṅ se bāt karke un se 12 lāṭhiyāṅ mangwā le, har qabīle ke sardār se ek lāṭhī. Har lāṭhī par us ke mālik kā nām likhnā. |
4251 | NUM 17:21 | Chunāṅche Mūsā ne Isrāīliyoṅ se bāt kī, aur qabīloṅ ke har sardār ne use apnī lāṭhī dī. In 12 lāṭhiyoṅ meṅ Hārūn kī lāṭhī bhī shāmil thī. |
4274 | NUM 18:16 | Jab wuh ek māh ke haiṅ to un ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke denā. (Har sikke kā wazn maqdis ke bāṭoṅ ke mutābiq 11 grām ho.) |
4542 | NUM 26:51 | Isrāīlī mardoṅ kī kul tādād 6,01,730 thī. |
4623 | NUM 29:13 | Īd ke pahle din Rab ko 13 jawān bail, 2 menḍhe aur 14 bheṛ ke yaksālā bachche bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh karnā. In kī ḳhushbū use pasand hai. Sab nuqs ke baġhair hoṅ. |
4627 | NUM 29:17 | Īd ke bāqī chhih din yihī qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ. Lekin har din ek bail kam ho yānī dūsre din 12, tīsre din 11, chauthe din 10, pāṅchweṅ din 9, chhaṭe din 8 aur sātweṅ din 7 bail. Har din gunāh kī qurbānī ke lie bakrā aur māmūl kī rozānā kī qurbāniyāṅ bhī pesh karnā. |
4670 | NUM 31:4 | Har qabīle ke 1,000 mard jang laṛne ke lie bhejo.” |
4671 | NUM 31:5 | Chunāṅche har qabīle ke 1,000 musallah mard yānī kul 12,000 ādmī chune gae. |
4698 | NUM 31:32 | Unhoṅ ne 6,75,000 bheṛ-bakriyāṅ, 72,000 gāy-bail aur 61,000 gadhe gine. |
4702 | NUM 31:36 | Faujiyoṅ ko tamām chīzoṅ kā ādhā hissā mil gayā yānī 3,37,500 bheṛ-bakriyāṅ, 36,000 gāy-bail, 30,500 gadhe aur 16,000 qaidī kuṅwāriyāṅ. In meṅ se unhoṅ ne 675 bheṛ-bakriyāṅ, 72 gāy-bail, 61 gadhe aur 32 laṛkiyāṅ Rab ko dīṅ. |
4718 | NUM 31:52 | Jo chīzeṅ unhoṅ ne afsarān ke lūṭe hue māl meṅ se Rab ko uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh kīṅ un kā pūrā wazn taqrīban 190 kilogrām thā. |
4771 | NUM 33:9 | Mārā se wuh Elīm chale gae jahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳht the. Wahāṅ ṭhaharne ke bād |
4801 | NUM 33:39 | Us waqt Hārūn 123 sāl kā thā. |