109 | GEN 5:3 | Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā. |
111 | GEN 5:5 | Wuh 930 sāl kī umr meṅ faut huā. |
122 | GEN 5:16 | Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
128 | GEN 5:22 | Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
129 | GEN 5:23 | Wuh kul 365 sāl duniyā meṅ rahā. |
130 | GEN 5:24 | Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā. |
234 | GEN 9:28 | Sailāb ke bād Nūh mazīd 350 sāl zindā rahā. |
279 | GEN 11:12 | Arfaksad 35 sāl kā thā jab Silah paidā huā. |
280 | GEN 11:13 | Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
281 | GEN 11:14 | Silah 30 sāl kā thā jab Ibar paidā huā. |
282 | GEN 11:15 | Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
283 | GEN 11:16 | Ibar 34 sāl kā thā jab Falaj paidā huā. |
284 | GEN 11:17 | Is ke bād wuh mazīd 430 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
285 | GEN 11:18 | Falaj 30 sāl kā thā jab Raū paidā huā. |
287 | GEN 11:20 | Raū 32 sāl kā thā jab Sarūj paidā huā. |
289 | GEN 11:22 | Sarūj 30 sāl kā thā jab Nahūr paidā huā. |
351 | GEN 14:14 | Jab Abrām ko patā chalā ki bhatīje ko giriftār kar liyā gayā hai to us ne apne ghar meṅ paidā hue tamām jangāzmūdā ġhulāmoṅ ko jamā karke Dān tak dushman kā tāqqub kiyā. Us ke sāth 318 afrād the. |
423 | GEN 17:25 | jabki us kā beṭā Ismāīl 13 sāl kā thā. |
455 | GEN 18:30 | Ibrāhīm ne kahā, “Rab ġhussā na kare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ. Shāyad wahāṅ sirf 30 hoṅ.” Us ne jawāb diyā, “Phir bhī unheṅ chhoṛ dūṅgā.” |
530 | GEN 21:16 | koī 300 fuṭ dūr baiṭh gaī. Kyoṅki us ne dil meṅ kahā, “Maiṅ use marte nahīṅ dekh saktī.” Wuh wahāṅ baiṭh kar rone lagī. |
676 | GEN 25:17 | Ismāīl 137 sāl kā thā jab wuh kūch karke apne bāpdādā se jā milā. |
944 | GEN 32:16 | 30 dūdh dene wālī ūṅṭniyāṅ bachchoṅ samet, 40 gāeṅ, 10 bail, 20 gadhiyāṅ aur 10 gadhe. |
1241 | GEN 41:45 | Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī. Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā. |
1381 | GEN 45:22 | Us ne har ek bhāī ko kapṛoṅ kā ek joṛā bhī diyā. Lekin Binyamīn ko us ne chāṅdī ke 300 sikke aur pāṅch joṛe die. |
1402 | GEN 46:15 | In beṭoṅ kī māṅ Liyāh thī, aur wuh Masoputāmiyā meṅ paidā hue. In ke alāwā Dīnā us kī beṭī thī. Kul 33 mard Liyāh kī aulād the. |
1430 | GEN 47:9 | Yāqūb ne jawāb diyā, “Maiṅ 130 sāl se is duniyā kā mehmān hūṅ. Merī zindagī muḳhtasar aur taklīfdeh thī, aur mere bāpdādā mujh se zyādā umrrasīdā hue the jab wuh is duniyā ke mehmān the.” |
1672 | EXO 6:16 | Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. (Lāwī 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1674 | EXO 6:18 | Qihāt ke chār beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the. (Qihāt 133 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1676 | EXO 6:20 | Amrām ne apnī phūphī Yūkabid se shādī kī. Un ke do beṭe Hārūn aur Mūsā paidā hue. (Amrām 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1693 | EXO 7:7 | Firaun se bāt karte waqt Mūsā 80 sāl kā aur Hārūn 83 sāl kā thā. |
1857 | EXO 12:40 | Isrāīlī 430 sāl tak Misr meṅ rahe the. |
1858 | EXO 12:41 | 430 sāl ke ain bād, usī din Rab ke yih tamām ḳhāndān Misr se nikle. |
2110 | EXO 21:32 | Lekin agar bail kisī ġhulām yā launḍī ko mār de to us kā mālik ġhulām ke mālik ko chāṅdī ke 30 sikke de aur bail ko sangsār kiyā jāe. |
2235 | EXO 25:39 | Shamādān aur us sāre sāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālis sonā istemāl kiyā jāe. |
2289 | EXO 27:16 | Darwāze kā pardā 30 fuṭ chauṛā banānā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā jāe, aur us par kaṛhāī kā kām ho. Yih kapṛā lakaṛī ke chār khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Wuh bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. |
2406 | EXO 30:23 | “Masah ke tel ke lie umdā qism ke masāle istemāl karnā. 6 kilogrām āb-e-mur, 3 kilogrām ḳhushbūdār dārchīnī, 3 kilogrām ḳhushbūdār bed |
2467 | EXO 32:28 | Lāwiyoṅ ne Mūsā kī hidāyat par amal kiyā to us din taqrīban 3,000 mard halāk hue. |
2629 | EXO 37:24 | Shamādān aur us ke tamām sāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālis sonā istemāl huā. |
2652 | EXO 38:18 | Chārdīwārī ke darwāze kā pardā nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā. Wuh 30 fuṭ chauṛā aur chārdīwārī ke dūsre pardoṅ kī tarah sāṛhe sāt fuṭ ūṅchā thā. |
2659 | EXO 38:25 | Tāmīr ke lie chāṅdī jo mardumshumārī ke hisāb se wasūl huī, us kā wazn taqrīban 3,430 kilogrām thā. (Use bhī maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.) |
2660 | EXO 38:26 | Jin mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se zāyd thī unheṅ chāṅdī kā ādhā ādhā sikkā denā paṛā. Mardoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī. |
2662 | EXO 38:28 | Taqrīban 30 kilogrām chāṅdī bach gaī. Is se chārdīwārī ke khamboṅ kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ, aur yih khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par bhī chaṛhāī gaī. |
3049 | LEV 12:4 | Phir māṅ mazīd 33 din intazār kare. Is ke bād us kī wuh nāpākī dūr ho jāegī jo ḳhūn bahne se paidā huī hai. Is daurān wuh koī maḳhsūs aur muqaddas chīz na chhue, na maqdis ke pās jāe. |
3122 | LEV 14:10 | Āṭhweṅ din wuh do bheṛ ke nar bachche aur ek yaksālā bheṛ chun le jo beaib hoṅ. Sāth hī wuh ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāyā gayā sāṛhe 4 kilogrām behtarīn maidā aur 300 milīliṭar tel le. |
3124 | LEV 14:12 | Bheṛ kā ek nar bachchā aur 300 milīliṭar tel qusūr kī qurbānī ke lie hai. Imām unheṅ hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe. |
3127 | LEV 14:15 | Ab wuh 300 milīliṭar tel meṅ se kuchh le kar apne bāeṅ hāth kī hathelī par ḍāle. |
3133 | LEV 14:21 | Agar shifāyāb shaḳhs ġhurbat ke bāis yih qurbāniyāṅ nahīṅ chaṛhā saktā to phir wuh qusūr kī qurbānī ke lie bheṛ kā sirf ek nar bachchā le āe. Kāfī hai ki kaffārā dene ke lie yihī Rab ke sāmne hilāyā jāe. Sāth sāth ġhallā kī nazar ke lie ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā tel ke sāth milā kar pesh kiyā jāe aur 300 milīliṭar tel. |
3136 | LEV 14:24 | Imām bheṛ ke bachche ko 300 milīliṭar tel samet le kar hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe. |
3138 | LEV 14:26 | Ab wuh 300 milīliṭar tel meṅ se kuchh apne bāeṅ hāth kī hathelī par ḍāle |
3416 | LEV 23:13 | Sāth hī ġhallā kī nazar ke lie tel se milāyā gayā 3 kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karnā. Jalne wālī yih qurbānī Rab ko pasand hai. Is ke alāwā mai kī nazar ke lie ek liṭar mai bhī pesh karnā. |
3420 | LEV 23:17 | Har gharāne kī taraf se Rab ko hilāne wālī qurbānī ke taur par do roṭiyāṅ pesh kī jāeṅ. Har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Un meṅ ḳhamīr ḍāl kar pakānā hai. Yih fasal kī pahlī paidāwār kī qurbānī haiṅ. |
3452 | LEV 24:5 | Bārah roṭiyāṅ pakānā. Har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. |
3575 | LEV 27:4 | isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke 30 sikke, |
3577 | LEV 27:6 | ek māh se le kar 5 sāl tak ke laṛke ke lie chāṅdī ke 5 sikke, isī umr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 3 sikke, |
3587 | LEV 27:16 | Agar koī apnī maurūsī zamīn meṅ se kuchh Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare to us kī qīmat us bīj kī miqdār ke mutābiq muqarrar kī jāe jo us meṅ bonā hotā hai. Jis khet meṅ 135 kilogrām jau kā bīj boyā jāe us kī qīmat chāṅdī ke 50 sikke hogī. |
3627 | NUM 1:22 | Shamāūn ke qabīle ke 59,300 mard, |
3639 | NUM 1:34 | Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle ke 32,200 mard, |
3641 | NUM 1:36 | Binyamīn ke qabīle ke 35,400 mard, |
3647 | NUM 1:42 | Naftālī ke qabīle ke 53,400 mard. |
3650 | NUM 1:45 | Un kī pūrī tādād 6,03,550 thī. |
3672 | NUM 2:13 | aur jis ke 59,300 faujī the. |
3680 | NUM 2:21 | aur jis ke 32,200 faujī the. |
3682 | NUM 2:23 | aur jis ke 35,400 faujī the. |
3689 | NUM 2:30 | aur jis ke 53,400 faujī the. |
3691 | NUM 2:32 | Pūrī ḳhaimāgāh ke faujiyoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī. |
3736 | NUM 3:43 | jo ek māh yā is se zāyd ke the gin lie. Un kī kul tādād 22,273 thī. |
3739 | NUM 3:46 | Lāwiyoṅ kī nisbat bāqī Isrāīliyoṅ ke 273 pahlauṭhe zyādā haiṅ. Un meṅ se |
3743 | NUM 3:50 | Yoṅ us ne chāṅdī ke 1,365 sikke (taqrīban 16 kilogrām) jamā karke |
3747 | NUM 4:3 | Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karne ke lie ā sakte haiṅ. |
3767 | NUM 4:23 | Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat ke lie ā sakte haiṅ. |
3774 | NUM 4:30 | Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat ke lie ā sakte haiṅ. |
3779 | NUM 4:35 | Unhoṅ ne un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj kiyā jo 30 se le kar 50 sāl ke the aur jo mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat kar sakte the. Un kī kul tādād 2,750 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā kī mārifat farmāyā thā. |
3782 | NUM 4:38 | Phir Jairsoniyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī. Ḳhidmat ke lāyq mardoṅ kī kul tādād 2,630 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ke zariye farmāyā thā. |
3786 | NUM 4:42 | Phir Mirāriyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī. Ḳhidmat ke lāyq mardoṅ kī kul tādād 3,200 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ke zariye farmāyā thā. |
4056 | NUM 11:31 | Tab Rab kī taraf se zordār hawā chalne lagī jis ne samundar ko pār karne wāle baṭeroṅ ke ġhol dhakel kar ḳhaimāgāh ke irdgird zamīn par phaiṅk die. Un ke ġhol tīn fuṭ ūṅche aur ḳhaimāgāh ke chāroṅ taraf 30 kilomīṭar tak paṛe rahe. |
4160 | NUM 15:6 | Jab menḍhā qurbān kiyā jāe to 3 kilogrām behtarīn maidā bhī sāth pesh karnā jo sawā liṭar tel ke sāth milāyā gayā ho. |
4341 | NUM 20:29 | Jab pūrī jamāt ko mālūm huā ki Hārūn intaqāl kar gayā hai to sab ne 30 din tak us ke lie mātam kiyā. |
4496 | NUM 26:5 | Isrāīl ke pahlauṭhe Rūbin ke qabīle ke 43,730 mard the. Qabīle ke chār kunbe Hanūkī, Falluwī, Hasronī aur Karmī Rūbin ke beṭoṅ Hanūk, Fallū, Hasron aur Karmī se nikle hue the. |
4514 | NUM 26:23 | Ishkār ke qabīle ke 64,300 mard the. Qabīle ke chār kunbe Tolaī, Fuwwī, Yasūbī aur Simronī Ishkār ke beṭoṅ Tolā, Fuwwā, Yasūb aur Simron se nikle hue the. |
4526 | NUM 26:35 | Ifrāīm ke qabīle ke 32,500 mard the. Qabīle ke chār kunbe Sūtalhī, Bakrī, Tahnī aur Īrānī the. Pahle tīn kunbe Ifrāīm ke beṭoṅ Sūtalah, Bakar aur Tahan se jabki Īrānī Sūtalah ke beṭe Īrān se nikle hue the. |
4535 | NUM 26:44 | Āshar ke qabīle ke 53,400 mard the. Qabīle ke pāṅch kunbe Yimnī, Iswī, Barī'ī, Hibarī aur Malkiyelī the. Pahle tīn kunbe Āshar ke beṭoṅ Yimnā, Iswī aur Bariyā se jabki bāqī Bariyā ke beṭoṅ Hibar aur Malkiyel se nikle hue the. Āshar kī ek beṭī banām Sirah bhī thī. |
4542 | NUM 26:51 | Isrāīlī mardoṅ kī kul tādād 6,01,730 thī. |
4553 | NUM 26:62 | Lāwiyoṅ ke mardoṅ kī kul tādād 23,000 thī. In meṅ wuh sab shāmil the jo ek māh yā is se zāyd ke the. Unheṅ dūsre Isrāīliyoṅ se alag ginā gayā, kyoṅki unheṅ Isrāīl meṅ mīrās meṅ zamīn nahīṅ milnī thī. |
4588 | NUM 28:9 | Sabat ke din bheṛ ke do aur bachche chaṛhānā. Wuh bhī beaib aur ek sāl ke hoṅ. Sāth hī mai aur ġhallā kī nazareṅ bhī pesh kī jāeṅ. Ġhallā kī nazar ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā tel ke sāth milāyā jāe. |
4591 | NUM 28:12 | Har jānwar ke sāth ġhallā kī nazar pesh karnā jis ke lie tel meṅ milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Har bail ke sāth sāṛhe 4 kilogrām, har menḍhe ke sāth 3 kilogrām |
4599 | NUM 28:20 | Har jānwar ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke lie tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Har bail ke sāth sāṛhe 4 kilogrām, har menḍhe ke sāth 3 kilogrām |
4613 | NUM 29:3 | Har jānwar ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke lie tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Bail ke sāth sāṛhe 4 kilogrām, menḍhe ke sāth 3 kilogrām |
4623 | NUM 29:13 | Īd ke pahle din Rab ko 13 jawān bail, 2 menḍhe aur 14 bheṛ ke yaksālā bachche bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh karnā. In kī ḳhushbū use pasand hai. Sab nuqs ke baġhair hoṅ. |
4624 | NUM 29:14 | Har jānwar ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke lie tel se milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Har bail ke sāth sāṛhe 4 kilogrām, har menḍhe ke sāth 3 kilogrām |
4701 | NUM 31:35 | In ke alāwā 32,000 qaidī kuṅwāriyāṅ bhī thīṅ. |
4702 | NUM 31:36 | Faujiyoṅ ko tamām chīzoṅ kā ādhā hissā mil gayā yānī 3,37,500 bheṛ-bakriyāṅ, 36,000 gāy-bail, 30,500 gadhe aur 16,000 qaidī kuṅwāriyāṅ. In meṅ se unhoṅ ne 675 bheṛ-bakriyāṅ, 72 gāy-bail, 61 gadhe aur 32 laṛkiyāṅ Rab ko dīṅ. |
4801 | NUM 33:39 | Us waqt Hārūn 123 sāl kā thā. |
4852 | NUM 35:5 | Charāne kī yih zamīn murabbā shakl kī hogī jis ke har pahlū kā fāsilā 3,000 fuṭ ho. Shahr is murabbā shakl ke bīch meṅ ho. Yih raqbā shahr ke bāshindoṅ ke lie ho tāki wuh apne maweshī charā sakeṅ. |
4954 | DEU 2:14 | Hameṅ Qādis-barnīa se rawānā hue 38 sāl ho gae the. Ab wuh tamām ādmī mar chuke the jo us waqt jang karne ke qābil the. Waisā hī huā thā jaisā Rab ne qasam khā kar kahā thā. |