113 | GEN 5:7 | Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
118 | GEN 5:12 | Qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭā Mahalalel paidā huā. |
131 | GEN 5:25 | Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā. |
132 | GEN 5:26 | Wuh mazīd 782 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe aur beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
137 | GEN 5:31 | Wuh 777 sāl kī umr meṅ faut huā. |
153 | GEN 6:15 | Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho. |
171 | GEN 7:11 | Yih sab kuchh us waqt huā jab Nūh 600 sāl kā thā. Dūsre mahīne ke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae. |
188 | GEN 8:4 | Sātweṅ mahīne ke 17weṅ din kashtī Arārāt ke ek pahāṛ par ṭik gaī. |
198 | GEN 8:14 | Dūsre mahīne ke 27weṅ din zamīn bilkul ḳhushk ho gaī. |
288 | GEN 11:21 | Is ke bād wuh mazīd 207 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
293 | GEN 11:26 | Tārah 70 sāl kā thā jab us ke beṭe Abrām, Nahūr aur Hārān paidā hue. |
303 | GEN 12:4 | Abrām ne Rab kī sunī aur Hārān se rawānā huā. Lūt us ke sāth thā. Us waqt Abrām 75 sāl kā thā. |
573 | GEN 23:1 | Sārā 127 sāl kī umr meṅ Habrūn meṅ intaqāl kar gaī. |
666 | GEN 25:7 | Ibrāhīm 175 sāl kī umr meṅ faut huā. Ġharz wuh bahut umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar intaqāl karke apne bāpdādā se jā milā. |
676 | GEN 25:17 | Ismāīl 137 sāl kā thā jab wuh kūch karke apne bāpdādā se jā milā. |
1086 | GEN 37:2 | Yih Yāqūb ke ḳhāndān kā bayān hai. Us waqt Yāqūb kā beṭā Yūsuf 17 sāl kā thā. Wuh apne bhāiyoṅ yānī Bilhāh aur Zilfā ke beṭoṅ ke sāth bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā thā. Yūsuf apne bāp ko apne bhāiyoṅ kī burī harkatoṅ kī ittalā diyā kartā thā. |
1412 | GEN 46:25 | Kul 7 mard Bilhāh kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Rāḳhil ko diyā thā. |
1414 | GEN 46:27 | Jab ham Yāqūb, Yūsuf aur us ke do beṭe in meṅ shāmil karte haiṅ to Yāqūb ke gharāne ke 70 afrād Misr gae. |
1449 | GEN 47:28 | Yāqūb 17 sāl Misr meṅ rahā. Wuh 147 sāl kā thā jab faut huā. |
1510 | GEN 50:3 | Is meṅ 40 din lag gae. Ām taur par hanūt karne ke lie itne hī din lagte haiṅ. Misriyoṅ ne 70 din tak Yāqūb kā mātam kiyā. |
1538 | EXO 1:5 | Us waqt Yāqūb kī aulād kī tādād 70 thī. Yūsuf to pahle hī Misr ā chukā thā. |
1672 | EXO 6:16 | Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. (Lāwī 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1676 | EXO 6:20 | Amrām ne apnī phūphī Yūkabid se shādī kī. Un ke do beṭe Hārūn aur Mūsā paidā hue. (Amrām 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1948 | EXO 15:27 | Phir Isrāīlī rawānā ho kar Elīm pahuṅche jahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳht the. Wahāṅ unhoṅ ne pānī ke qarīb apne ḳhaime lagāe. |
2179 | EXO 24:1 | Rab ne Mūsā se kahā, “Tū, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg mere pās ūpar āeṅ. Kuchh fāsile par khaṛe ho kar mujhe sijdā karo. |
2187 | EXO 24:9 | Is ke bād Mūsā, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg Sīnā Pahāṛ par chaṛhe. |
2285 | EXO 27:12 | Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ ho aur kapṛā lakaṛī ke 10 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Yih khambe bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. |
2286 | EXO 27:13 | Sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ ho. |
2291 | EXO 27:18 | Chārdīwārī kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ ho. Khamboṅ ke tamām pāe pītal ke hoṅ. |
2646 | EXO 38:12 | Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ thī. Kapṛe ke alāwā us ke lie 10 khambe, 10 pāe aur kapṛā lagāne ke lie chāṅdī kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ. |
2647 | EXO 38:13 | Sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ thī. |
3631 | NUM 1:26 | Yahūdāh ke qabīle ke 74,600 mard, |
3635 | NUM 1:30 | Zabūlūn ke qabīle ke 57,400 mard, |
3643 | NUM 1:38 | Dān ke qabīle ke 62,700 mard, |
3663 | NUM 2:4 | aur jis ke lashkar ke 74,600 faujī the. |
3667 | NUM 2:8 | aur jis ke lashkar ke 57,400 faujī the. |
3685 | NUM 2:26 | aur jis ke 62,700 faujī the. |
3690 | NUM 2:31 | Tīnoṅ qabīloṅ kī kul tādād 1,57,600 thī. Wuh āḳhir meṅ apnā alam uṭhā kar rawānā hote the. |
3715 | NUM 3:22 | ke 7,500 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the. |
3736 | NUM 3:43 | jo ek māh yā is se zāyd ke the gin lie. Un kī kul tādād 22,273 thī. |
3739 | NUM 3:46 | Lāwiyoṅ kī nisbat bāqī Isrāīliyoṅ ke 273 pahlauṭhe zyādā haiṅ. Un meṅ se |
3779 | NUM 4:35 | Unhoṅ ne un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj kiyā jo 30 se le kar 50 sāl ke the aur jo mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat kar sakte the. Un kī kul tādād 2,750 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā kī mārifat farmāyā thā. |
4041 | NUM 11:16 | Jawāb meṅ Rab ne Mūsā se kahā, “Mere pās Isrāīl ke 70 buzurg jamā kar. Sirf aise log chun jin ke bāre meṅ tujhe mālūm hai ki wuh logoṅ ke buzurg aur nigahbān haiṅ. Unheṅ mulāqāt ke ḳhaime ke pās le ā. Wahāṅ wuh tere sāth khaṛe ho jāeṅ, |
4049 | NUM 11:24 | Chunāṅche Mūsā ne wahāṅ se nikal kar logoṅ ko Rab kī yih bāteṅ batāīṅ. Us ne un ke buzurgoṅ meṅ se 70 ko chun kar unheṅ mulāqāt ke ḳhaime ke irdgird khaṛā kar diyā. |
4050 | NUM 11:25 | Tab Rab bādal meṅ utar kar Mūsā se hamkalām huā. Jo Rūh us ne Mūsā par nāzil kiyā thā us meṅ se us ne kuchh le kar un 70 buzurgoṅ par nāzil kiyā. Jab Rūh un par āyā to wuh nabuwwat karne lage. Lekin aisā phir kabhī na huā. |
4244 | NUM 17:14 | To bhī 14,700 afrād wabā se mar gae. Is meṅ wuh shāmil nahīṅ haiṅ jo Qorah ke sabab se mar gae the. |
4496 | NUM 26:5 | Isrāīl ke pahlauṭhe Rūbin ke qabīle ke 43,730 mard the. Qabīle ke chār kunbe Hanūkī, Falluwī, Hasronī aur Karmī Rūbin ke beṭoṅ Hanūk, Fallū, Hasron aur Karmī se nikle hue the. |
4510 | NUM 26:19 | Yahūdāh ke qabīle ke 76,500 mard the. Yahūdāh ke do beṭe Er aur Onān Misr āne se pahle Kanān meṅ mar gae the. Qabīle ke tīn kunbe Selānī, Fārsī aur Zārhī Yahūdāh ke beṭoṅ Selā, Fāras aur Zārah se nikle hue the. Fāras ke do beṭoṅ Hasron aur Hamūl se do kunbe Hasronī aur hamūlī nikle hue the. |
4520 | NUM 26:29 | Manassī ke qabīle ke 52,700 mard the. Qabīle ke āṭh kunbe Makīrī, Jiliyādī, Iyazrī, Ḳhalqī, Asriyelī, Sikmī, Samīdāī aur Hifrī the. Makīrī Manassī ke beṭe Makīr se jabki Jiliyādī Makīr ke beṭe Jiliyād se nikle hue the. Bāqī kunbe Jiliyād ke chhih beṭoṅ Iyazar, Ḳhalaq, Asriyel, Sikam, Samīdā aur Hifar se nikle hue the. Hifar Silāfihād kā bāp thā. Silāfihād kā koī beṭā nahīṅ balki pāṅch beṭiyāṅ Mahlāh, Nūsāh, Hujlāh, Milkāh aur Tirzā thīṅ. |
4542 | NUM 26:51 | Isrāīlī mardoṅ kī kul tādād 6,01,730 thī. |
4627 | NUM 29:17 | Īd ke bāqī chhih din yihī qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ. Lekin har din ek bail kam ho yānī dūsre din 12, tīsre din 11, chauthe din 10, pāṅchweṅ din 9, chhaṭe din 8 aur sātweṅ din 7 bail. Har din gunāh kī qurbānī ke lie bakrā aur māmūl kī rozānā kī qurbāniyāṅ bhī pesh karnā. |
4698 | NUM 31:32 | Unhoṅ ne 6,75,000 bheṛ-bakriyāṅ, 72,000 gāy-bail aur 61,000 gadhe gine. |
4702 | NUM 31:36 | Faujiyoṅ ko tamām chīzoṅ kā ādhā hissā mil gayā yānī 3,37,500 bheṛ-bakriyāṅ, 36,000 gāy-bail, 30,500 gadhe aur 16,000 qaidī kuṅwāriyāṅ. In meṅ se unhoṅ ne 675 bheṛ-bakriyāṅ, 72 gāy-bail, 61 gadhe aur 32 laṛkiyāṅ Rab ko dīṅ. |
4771 | NUM 33:9 | Mārā se wuh Elīm chale gae jahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳht the. Wahāṅ ṭhaharne ke bād |
5210 | DEU 10:22 | Jab tere bāpdādā Misr gae the to 70 afrād the. Aur ab Rab tere Ḳhudā ne tujhe sitāroṅ kī mānind beshumār banā diyā hai. |
6735 | JDG 8:14 | ki Sukkāt ke ek jawān ādmī se milā. Jidāūn ne use pakaṛ kar majbūr kiyā ki wuh shahr ke rāhnumāoṅ aur buzurgoṅ kī fahrist likh kar de. 77 buzurg the. |
6751 | JDG 8:30 | Us kī bahut-sī bīwiyāṅ aur 70 beṭe the. |
6758 | JDG 9:2 | “Sikam Shahr ke tamām bāshindoṅ se pūchheṅ, kyā āp apne āp par Jidāūn ke 70 beṭoṅ kī hukūmat zyādā pasand kareṅge yā ek hī shaḳhs kī? Yād rahe ki maiṅ āp kā ḳhūnī rishtedār hūṅ!” |
6760 | JDG 9:4 | Unhoṅ ne use Bāl-barīt Dewatā ke mandir se chāṅdī ke 70 sikke bhī de die. In paisoṅ se Abīmalik ne apne irdgird āwārā aur badmāsh ādmiyoṅ kā guroh jamā kiyā. |
6761 | JDG 9:5 | Unheṅ apne sāth le kar wuh Ufrā pahuṅchā jahāṅ bāp kā ḳhāndān rahtā thā. Wahāṅ us ne apne tamām bhāiyoṅ yānī Jidāūn ke 70 beṭoṅ ko ek hī patthar par qatl kar diyā. Sirf Yūtām jo Jidāūn kā sab se chhoṭā beṭā thā kahīṅ chhup kar bach niklā. |
6774 | JDG 9:18 | Lekin āj āp Jidāūn ke gharāne ke ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ. Āp ne us ke 70 beṭoṅ ko ek hī patthar par zabah karke us kī launḍī ke beṭe Abīmalik ko Sikam kā bādshāh banā liyā hai, aur yih sirf is lie ki wuh āp kā rishtedār hai. |
6780 | JDG 9:24 | Yoṅ Allāh ne use is kī sazā dī ki us ne apne bhāiyoṅ yānī Jidāūn ke 70 beṭoṅ ko qatl kiyā thā. Sikam ke bāshindoṅ ko bhī sazā milī, kyoṅki unhoṅ ne is meṅ Abīmalik kī madad kī thī. |
6812 | JDG 9:56 | Yoṅ Allāh ne Abīmalik ko us badī kā badlā diyā jo us ne apne 70 bhāiyoṅ ko qatl karke apne bāp ke ḳhilāf kī thī. |
6885 | JDG 12:14 | Us ke 40 beṭe aur 30 pote the jo 70 gadhoṅ par safr kiyā karte the. Abdon ne āṭh sāl ke daurān Isrāīl kī rāhnumāī kī. |
7071 | JDG 20:15 | Usī din unhoṅ ne apnī fauj kā band-o-bast kiyā. Jibiyā ke 700 tajrabākār faujiyoṅ ke alāwā talwāroṅ se lais 26,000 afrād the. |
7072 | JDG 20:16 | In faujiyoṅ meṅ se 700 aise mard bhī the jo apne bāeṅ hāth se falāḳhan chalāne kī itnī mahārat rakhte the ki patthar bāl jaise chhoṭe nishāne par bhī lag jātā thā. |
7352 | 1SA 6:19 | Lekin Rab ne Bait-shams ke bāshindoṅ ko sazā dī, kyoṅki un meṅ se bāz ne ahd ke sandūq meṅ nazar ḍālī thī. Us waqt 70 afrād halāk hue. Rab kī yih saḳht sazā dekh kar Bait-shams ke log mātam karne lage. |
7625 | 1SA 17:5 | Us ne hifāzat ke lie pītal kī kaī chīzeṅ pahan rakhī thīṅ: sar par ḳhod, dhaṛ par zirābaktar jo 57 kilogrām waznī thā |
7627 | 1SA 17:7 | Jo nezā wuh pakaṛ kar chal rahā thā us kā dastā khaḍḍī ke shahtīr jaisā moṭā aur lambā thā, aur us ke lohe kī nok kā wazn 7 kilogrām se zyādā thā. Jālūt ke āge āge ek ādmī us kī ḍhāl uṭhāe chal rahā thā. |
7882 | 1SA 25:18 | Jitnī jaldī ho sakā Abījel ne kuchh sāmān ikaṭṭhā kiyā jis meṅ 200 roṭiyāṅ, mai kī do mashkeṅ, khāne ke lie taiyār kī gaī pāṅch bheṛeṅ, bhune hue anāj ke sāṛhe 27 kilogrām, kishmish kī 100 aur anjīr kī 200 ṭikkiyāṅ shāmil thīṅ. Sab kuchh gadhoṅ par lād kar |
8216 | 2SA 8:4 | Dāūd ne 1,700 ghuṛsawāroṅ aur 20,000 piyādā sipāhiyoṅ ko giriftār kar liyā. Rathoṅ ke 100 ghoṛoṅ ko us ne apne lie mahfūz rakhā, jabki bāqiyoṅ kī us ne koṅcheṅ kāṭ dīṅ tāki wuh āindā jang ke lie istemāl na ho sakeṅ. |
8261 | 2SA 10:18 | Lekin unheṅ dubārā shikast mān kar farār honā paṛā. Is dafā un ke 700 rathbānoṅ ke alāwā 40,000 piyādā sipāhī halāk hue. Dāūd ne fauj ke kamānḍar Sobak ko itnā zaḳhmī kar diyā ki wuh maidān-e-jang meṅ halāk ho gayā. |
8695 | 2SA 23:39 | aur Ūriyāh Hittī. Ādmiyoṅ kī kul tādād 37 thī. |
8710 | 2SA 24:15 | Tab Rab ne Isrāīl meṅ wabā phailne dī. Wuh usī subah shurū huī aur tīn din tak logoṅ ko maut ke ghāṭ utārtī gaī. Shimāl meṅ Dān se le kar junūb meṅ Bair-sabā tak kul 70,000 afrād halāk hue. |
8896 | 1KI 5:29 | Sulemān ne 80,000 ādmiyoṅ ko kānoṅ meṅ lagāyā tāki wuh patthar nikāleṅ. 70,000 afrād yih patthar Yarūshalam lāte the. |
8905 | 1KI 6:6 | Nichlī manzil kī andar kī chauṛāī sāṛhe 7 fuṭ, darmiyānī manzil kī 9 fuṭ aur ūpar kī manzil kī sāṛhe 10 fuṭ thī. Wajah yih thī ki Rab ke ghar kī bairūnī dīwār kī moṭāī manzil bamanzil kam hotī gaī. Is tarīqe se bairūnī ḍhāṅche kī dūsrī aur tīsrī manzil ke shahtīroṅ ke lie Rab ke ghar kī dīwār meṅ sūrāḳh banāne kī zarūrat nahīṅ thī balki unheṅ dīwār par hī rakhā gayā. Yānī darmiyānī manzil kī imārat wālī dīwār nichlī kī dīwār kī nisbat kam moṭī aur ūpar wālī manzil kī imārat wālī dīwār darmiyānī manzil kī dīwār kī nisbat kam moṭī thī. Yoṅ is ḍhāṅche kī chhatoṅ ke shahtīroṅ ko imārat kī dīwār toṛ kar us meṅ lagāne kī zarūrat nahīṅ thī balki unheṅ imārat kī dīwār par hī rakhā gayā. |
8939 | 1KI 7:2 | Us kī ek imārat kā nām ‘Lubnān kā Jangal’ thā. Imārat kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ thī. Nichlī manzil ek baṛā hāl thā jis ke deodār kī lakaṛī ke 45 satūn the. Pandrah pandrah satūnoṅ ko tīn qatāroṅ meṅ khaṛā kiyā gayā thā. Satūnoṅ par shahtīr the jin par dūsrī manzil ke farsh ke lie deodār ke taḳhte lagāe gae the. Dūsrī manzil ke muḳhtalif kamre the, aur chhat bhī deodār kī lakaṛī se banāī gaī thī. |
8943 | 1KI 7:6 | Is ke alāwā Sulemān ne satūnoṅ kā hāl banwāyā jis kī lambāī 75 fuṭ aur chauṛāī 45 fuṭ thī. Hāl ke sāmne satūnoṅ kā barāmdā thā. |
8952 | 1KI 7:15 | Pahle us ne pītal ke do satūn ḍhāl die. Har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭ aur gherā 18 fuṭ thā. |
8953 | 1KI 7:16 | Phir us ne har satūn ke lie pītal kā bālāī hissā ḍhāl diyā jis kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ thī. |
8960 | 1KI 7:23 | Is ke bād Hīrām ne pītal kā baṛā gol hauz ḍhāl diyā jis kā nām ‘Samundar’ rakhā gayā. Us kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15 fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban 45 fuṭ thā. |
9098 | 1KI 10:16 | Sulemān Bādshāh ne 200 baṛī aur 300 chhoṭī ḍhāleṅ banwāīṅ. Un par sonā manḍhā gayā. Har baṛī ḍhāl ke lie taqrīban 7 kilogrām sonā istemāl huā aur har chhoṭī ḍhāl ke lie taqrīban sāṛhe 3 kilogrām. Sulemān ne unheṅ ‘Lubnān kā Jangal’ nāmī mahal meṅ mahfūz rakhā. |
9114 | 1KI 11:3 | Us kī shāhī ḳhāndānoṅ se tālluq rakhne wālī 700 bīwiyāṅ aur 300 dāshtāeṅ thīṅ. In auratoṅ ne āḳhirkār us kā dil Rab se dūr kar diyā. |
9242 | 1KI 14:21 | Yahūdāh meṅ Rahubiyām bin Sulemān hukūmat kartā thā. Us kī māṅ Nāmā Ammonī thī. 41 sāl kī umr meṅ wuh taḳhtnashīn huā aur 17 sāl bādshāh rahā. Us kā dārul-hukūmat Yarūshalam thā, wuh shahr jise Rab ne tamām Isrāīlī qabīloṅ meṅ se chun liyā tāki us meṅ apnā nām qāym kare. |
9296 | 1KI 16:10 | to Zimrī ne andar jā kar use mār ḍālā. Phir wuh ḳhud taḳht par baiṭh gayā. Yih Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke 27weṅ sāl meṅ huā. |
9301 | 1KI 16:15 | Zimrī Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke 27weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Lekin Tirzā meṅ us kī hukūmat sirf sāt din tak qāym rahī. Us waqt Isrāīlī fauj Filistī shahr Jibbatūn kā muhāsarā kar rahī thī. |
9408 | 1KI 19:18 | Lekin maiṅ ne apne lie Isrāīl meṅ 7,000 afrād ko bachā liyā hai, un tamām logoṅ ko jo ab tak na Bāl Dewatā ke sāmne jhuke, na us ke but ko bosā diyā hai.” |
9426 | 1KI 20:15 | Chunāṅche Aḳhiyab ne ziloṅ par muqarrar afsaroṅ ke jawānoṅ ko bulāyā. 232 afrād the. Phir us ne bāqī Isrāīliyoṅ ko jamā kiyā. 7,000 afrād the. |
9441 | 1KI 20:30 | Bāqī farār ho kar Afīq Shahr meṅ ghus gae. Taqrīban 27,000 ādmī the. Lekin achānak shahr kī fasīl un par gir gaī, to wuh bhī halāk ho gae. Bin-hadad Bādshāh bhī Afīq meṅ farār huā thā. Ab wuh kabhī is kamre meṅ, kabhī us meṅ khisak kar chhupne kī koshish kar rahā thā. |
9535 | 1KI 22:52 | Aḳhiyab kā beṭā Aḳhaziyāh Yahūdāh ke bādshāh Yahūsafat kī hukūmat ke 17weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Wuh do sāl tak Isrāīl par hukmrān rahā. Sāmariya us kā dārul-hukūmat thā. |
9606 | 2KI 3:26 | Jab Moāb ke bādshāh ne jān liyā ki maiṅ shikast khā rahā hūṅ to us ne talwāroṅ se lais 700 ādmiyoṅ ko apne sāth liyā aur Adom ke bādshāh ke qarīb dushman kā muhāsarā toṛ kar nikalne kī koshish kī, lekin befāydā. |
9798 | 2KI 10:1 | Sāmariya meṅ Aḳhiyab ke 70 beṭe the. Ab Yāhū ne ḳhat likh kar Sāmariya bhej die. Yazrael ke afsaroṅ, shahr ke buzurgoṅ aur Aḳhiyab ke beṭoṅ ke sarparastoṅ ko yih ḳhat mil gae. Aur un meṅ zail kī ḳhabar likhī thī, |
9803 | 2KI 10:6 | Yih paṛh kar Yāhū ne ek aur ḳhat likh kar Sāmariya bhejā. Us meṅ likhā thā, “Agar āp wāqaī mere sāth haiṅ aur mere tābe rahnā chāhte haiṅ to apne mālik ke beṭoṅ ke saroṅ ko kāṭ kar kal is waqt tak Yazrael meṅ mere pās le āeṅ.” Kyoṅki Aḳhiyab ke 70 beṭe Sāmariya ke baṛoṅ ke pās rah kar parwarish pā rahe the. |
9804 | 2KI 10:7 | Jab ḳhat un ke pās pahuṅch gayā to in ādmiyoṅ ne 70 ke 70 shahzādoṅ ko zabah kar diyā aur un ke saroṅ ko ṭokroṅ meṅ rakh kar Yazrael meṅ Yāhū ke pās bhej diyā. |
9876 | 2KI 13:1 | Yahuāḳhaz bin Yāhū Yahūdāh ke bādshāh Yuās bin Aḳhaziyāh kī hukūmat ke 23weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā 17 sāl thā, aur us kā dārul-hukūmat Sāmariya rahā. |