Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   8    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

110  GEN 5:4  Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
113  GEN 5:7  Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
116  GEN 5:10  Is ke bād wuh mazīd 815 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
119  GEN 5:13  Is ke bād wuh mazīd 840 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
122  GEN 5:16  Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
123  GEN 5:17  Wuh 895 sāl kī umr meṅ faut huā.
125  GEN 5:19  Is ke bād wuh mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
131  GEN 5:25  Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā.
132  GEN 5:26  Wuh mazīd 782 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe aur beṭiyāṅ bhī paidā hue.
134  GEN 5:28  Lamak 182 sāl kā thā jab us kā beṭā paidā huā.
154  GEN 6:16  Kashtī kī chhat ko yoṅ banānā ki us ke nīche 18 inch khulā rahe. Ek taraf darwāzā ho, aur us kī tīn manzileṅ hoṅ.
351  GEN 14:14  Jab Abrām ko patā chalā ki bhatīje ko giriftār kar liyā gayā hai to us ne apne ghar meṅ paidā hue tamām jangāzmūdā ġhulāmoṅ ko jamā karke Dān tak dushman kā tāqqub kiyā. Us ke sāth 318 afrād the.
398  GEN 16:16  Us waqt Abrām 86 sāl kā thā.
1040  GEN 35:28  Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā.
1693  EXO 7:7  Firaun se bāt karte waqt Mūsā 80 sāl kā aur Hārūn 83 sāl kā thā.
2261  EXO 26:25  Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 hogī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do do pāe hoṅge.
2597  EXO 36:30  Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 thī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do pāe.
3668  NUM 2:9  Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,86,400 thī. Rawānā hote waqt yih āge chalte the.
3683  NUM 2:24  Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,08,100 thī. Rawānā hote waqt yih junūbī qabīloṅ ke pīchhe chalte the.
3721  NUM 3:28  ke 8,600 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the aur jin ko maqdis kī ḳhidmat karnī thī.
3790  NUM 4:46  Lāwiyoṅ ke un mardoṅ kī kul tādād 8,580 thī jinheṅ mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karnā aur safr karte waqt use uṭhā kar le jānā thā.
3864  NUM 7:13  chāṅdī kā thāl jis kā wazn ḍeṛh kilogrām thā aur chhiṛkāw kā chāṅdī kā kaṭorā jis kā wazn 800 grām thā. Donoṅ ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāe gae behtarīn maide se bhare hue the.
3936  NUM 7:85  Har thāl kā wazn ḍeṛh kilogrām aur chhiṛkāw ke har kaṭore kā wazn 800 grām thā. In chīzoṅ kā kul wazn taqrīban 28 kilogrām thā.
4627  NUM 29:17  Īd ke bāqī chhih din yihī qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ. Lekin har din ek bail kam ho yānī dūsre din 12, tīsre din 11, chauthe din 10, pāṅchweṅ din 9, chhaṭe din 8 aur sātweṅ din 7 bail. Har din gunāh kī qurbānī ke lie bakrā aur māmūl kī rozānā kī qurbāniyāṅ bhī pesh karnā.
4853  NUM 35:6  Lāwiyoṅ ko kul 48 shahr denā. In meṅ se chhih panāh ke shahr muqarrar karnā. Un meṅ aise log panāh le sakeṅge jin ke hāthoṅ ġhairirādī taur par koī halāk huā ho.
4954  DEU 2:14  Hameṅ Qādis-barnīa se rawānā hue 38 sāl ho gae the. Ab wuh tamām ādmī mar chuke the jo us waqt jang karne ke qābil the. Waisā hī huā thā jaisā Rab ne qasam khā kar kahā thā.
6199  JOS 14:10  Aur ab aisā hī huā hai jis tarah Rab ne wādā kiyā thā. Us ne mujhe ab tak zindā rahne diyā hai. Rab ko Mūsā se yih bāt kie 45 sāl guzar gae haiṅ. Us sāre arse meṅ ham registān meṅ ghūmte-phirte rahe haiṅ. Āj maiṅ 85 sāl kā hūṅ,
6424  JOS 21:41  Isrāīl ke muḳhtalif ilāqoṅ meṅ jo Lāwiyoṅ ke shahr un kī charāgāhoṅ samet the un kī kul tādād 48 thī.
6584  JDG 3:14  aur Isrāīl 18 sāl tak us kī ġhulāmī meṅ rahā.
6600  JDG 3:30  Us din Isrāīl ne Moāb ko zer kar diyā, aur 80 sāl tak mulk meṅ amn-o-amān qāym rahā.
6821  JDG 10:8  Usī sāl ke daurān in qaumoṅ ne Jiliyād meṅ Isrāīliyoṅ ke us ilāqe par qabzā kiyā jis meṅ purāne zamāne meṅ Amorī ābād the aur jo Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ thā. Filistī aur Ammonī 18 sāl tak Isrāīliyoṅ ko kuchalte aur dabāte rahe.
7081  JDG 20:25  to Binyamīnī pahle kī tarah shahr se nikal kar un par ṭūṭ paṛe. Us din talwār se lais 18,000 Isrāīlī shahīd ho gae.
7100  JDG 20:44  Us waqt Binyamīn ke 18,000 tajrabākār faujī halāk hue.
7312  1SA 4:13  Elī saṛak ke kināre apnī kursī par baiṭhā thā. Wuh ab andhā ho chukā thā, kyoṅki us kī umr 98 sāl thī. Wuh baṛī bechainī se rāste par dhyān de rahā thā tāki jang kī koī tāzā ḳhabar mil jāe, kyoṅki use is bāt kī baṛī fikr thī ki Allāh kā sandūq lashkargāh meṅ hai. Jab wuh ādmī shahr meṅ dāḳhil huā aur logoṅ ko sārā mājarā sunāyā to pūrā shahr chillāne lagā. Jab Elī ne shor sunā to us ne pūchhā, “Yih kyā shor hai?” Binyamīnī dauṛ kar Elī ke pās āyā aur bolā,
7632  1SA 17:12  Us waqt Dāūd kā bāp Yassī kāfī būṛhā ho chukā thā. Us ke kul 8 beṭe the, aur wuh Ifrātā ke ilāqe ke Bait-laham meṅ rahtā thā.
7808  1SA 22:18  Tab bādshāh ne Doeg Adomī ko hukm diyā, “Phir tum hī imāmoṅ ko mār do.” Doeg ne un ke pās jā kar un sab ko qatl kar diyā. Katān kā bālāposh pahnane wāle kul 85 ādmī us din māre gae.
8225  2SA 8:13  Jab Dāūd ne Namak kī Wādī meṅ Adomiyoṅ par fatah pāī to us kī shohrat mazīd phail gaī. Us jang meṅ dushman ke 18,000 afrād halāk hue.
8546  2SA 19:33  Barzillī 80 sāl kā thā. Mahanāym meṅ rahte waqt usī ne Dāūd kī mehmān-nawāzī kī thī, kyoṅki wuh bahut amīr thā.
8549  2SA 19:36  Merī umr 80 sāl hai. Na maiṅ achchhī aur burī chīzoṅ meṅ imtiyāz kar saktā, na mujhe khāne-pīne kī chīzoṅ kā mazā ātā hai. Gīt gāne wāloṅ kī āwāzeṅ bhī mujh se sunī nahīṅ jātīṅ. Nahīṅ mere āqā aur bādshāh, agar maiṅ āp ke sāth jāūṅ to āp ke lie sirf bojh kā bāis hūṅgā.
8664  2SA 23:8  Darj-e-zail Dāūd ke sūrmāoṅ kī fahrist hai. Jo tīn afsar Yoāb ke bhāī Abīshai ke ain bād āte the un meṅ Yosheb-bashebat Tahkamūnī pahle nambar par ātā thā. Ek bār us ne apne neze se 800 ādmiyoṅ ko mār diyā.
8704  2SA 24:9  Yoāb ne bādshāh ko mardumshumārī kī pūrī riporṭ pesh kī. Isrāīl meṅ talwār chalāne ke qābil 8 lākh afrād the jabki Yahūdāh ke 5 lākh mard the.
8896  1KI 5:29  Sulemān ne 80,000 ādmiyoṅ ko kānoṅ meṅ lagāyā tāki wuh patthar nikāleṅ. 70,000 afrād yih patthar Yarūshalam lāte the.
8900  1KI 6:1  Sulemān ne apnī hukūmat ke chauthe sāl ke dūsre mahīne Zīb meṅ Rab ke ghar kī tāmīr shurū kī. Isrāīl ko Misr se nikle 480 sāl guzar chuke the.
8952  1KI 7:15  Pahle us ne pītal ke do satūn ḍhāl die. Har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭ aur gherā 18 fuṭ thā.
8975  1KI 7:38  Hīrām ne har gāṛī ke lie pītal kā bāsan ḍhāl diyā. Har bāsan 6 fuṭ chauṛā thā, aur us meṅ 880 liṭar pānī samā jātā thā.
9175  1KI 12:21  Jab Rahubiyām Yarūshalam pahuṅchā to us ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdā faujiyoṅ ko Isrāīl se jang karne ke lie bulāyā. 1,80,000 mard jamā hue tāki Rahubiyām bin Sulemān ke lie Isrāīl par dubārā qābū pāeṅ.
9253  1KI 15:1  Abiyāh Isrāīl ke bādshāh Yarubiyām bin Nabāt kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā.
9315  1KI 16:29  Aḳhiyab bin Umrī Yahūdāh ke bādshāh Āsā ke 38weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā 22 sāl thā, aur us kā dārul-hukūmat Sāmariya rahā.
9581  2KI 3:1  Aḳhiyab kā beṭā Yūrām Yahūdāh ke bādshāh Yahūsafat ke 18weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kī hukūmat kā daurāniyā 12 sāl thā aur us kā dārul-hukūmat Sāmariya rahā.
9656  2KI 5:5  Bādshāh bolā, “Zarūr jāeṅ aur us nabī se mileṅ. Maiṅ āp ke hāth Isrāīl ke bādshāh ko sifārishī ḳhat bhej dūṅgā.” Chunāṅche Nāmān rawānā huā. Us ke pās taqrīban 340 kilogrām chāṅdī, 68 kilogrām sonā aur 10 qīmtī sūṭ the.
9674  2KI 5:23  Nāmān bolā, “Zarūr, balki 68 kilogrām chāṅdī le leṅ.” Is bāt par wuh bazid rahā. Us ne 68 kilogrām chāṅdī boriyoṅ meṅ lapeṭ lī, do sūṭ chun lie aur sab kuchh apne do naukaroṅ ko de diyā tāki wuh sāmān Jaihāzī ke āge āge le chaleṅ.
9703  2KI 6:25  Natīje meṅ shahr meṅ shadīd kāl paṛā. Āḳhir meṅ gadhe kā sar chāṅdī ke 80 sikkoṅ meṅ aur kabūtar kī muṭṭhī-bhar bīṭ chāṅdī ke 5 sikkoṅ meṅ miltī thī.
9748  2KI 8:17  Yahūrām 32 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 8 sāl tak hukūmat kartā rahā.
9821  2KI 10:24  Donoṅ ādmī sāmne gae tāki zabah kī aur bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kareṅ. Itne meṅ Yāhū ke 80 ādmī bāhar mandir ke irdgird khaṛe ho gae. Yāhū ne unheṅ hukm de kar kahā thā, “Ḳhabardār! Jo pūjā karne wāloṅ meṅ se kisī ko bachne de use sazā-e-maut dī jāegī.”
9832  2KI 10:35  Wuh 28 sāl Sāmariya meṅ bādshāh rahā. Wahāṅ wuh dafn bhī huā. Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā Yahuāḳhaz taḳhtnashīn huā.
9937  2KI 15:8  Zakariyāh bin Yarubiyām Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke 38weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kā dārul-hukūmat bhī Sāmariya thā, lekin chhih māh ke bād us kī hukūmat ḳhatm ho gaī.
10100  2KI 19:35  Usī rāt Rab kā farishtā nikal āyā aur Asūrī lashkargāh meṅ se guzar kar 1,85,000 faujiyoṅ ko mār ḍālā. Jab log subah-sawere uṭhe to chāroṅ taraf lāsheṅ hī lāsheṅ nazar āīṅ.
10150  2KI 22:1  Yūsiyāh 8 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ rah kar us kī hukūmat kā daurāniyā 31 sāl thā. Us kī māṅ Yadīdā bint Adāyāh Busqat kī rahne wālī thī.
10152  2KI 22:3  Apnī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ Yūsiyāh Bādshāh ne apne mīrmunshī Sāfan bin Asaliyāh bin Masullām ko Rab ke ghar ke pās bhej kar kahā,
10192  2KI 23:23  Yūsiyāh kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ pahlī dafā Rab kī tāzīm meṅ aisī īd Yarūshalam meṅ manāī gaī.
10214  2KI 24:8  Yahūyākīn 18 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā tīn māh thā. Us kī māṅ Nahushtā bint Ilnātan Yarūshalam kī rahne wālī thī.
10544  1CH 7:5  Ishkār ke qabīle ke ḳhāndānoṅ ke kul 87,000 ādmī jang karne ke qābil the. Sab nasabnāme meṅ darj the.
10749  1CH 12:25  Yahūdāh ke qabīle ke ḍhāl aur neze se lais 6,800 mard the.
10755  1CH 12:31  Ifrāīm ke qabīle ke 20,800 faujī the. Sab apne ḳhāndānoṅ meṅ asar-o-rasūḳh rakhne wāle the.
10756  1CH 12:32  Manassī ke ādhe qabīle ke 18,000 mard the. Unheṅ Dāūd ko bādshāh banāne ke lie chun liyā gayā thā.
10760  1CH 12:36  Dān ke qabīle ke 28,600 mard the jo sab laṛne ke lie musta'id the.
10805  1CH 15:9  Habrūn ke ḳhāndān se Iliyel 80 mardoṅ samet,
10863  1CH 16:38  Is guroh meṅ Obed-adom aur mazīd 68 Lāwī shāmil the. Obed-adom bin Yadūtūn aur Hūsā darbān ban gae.
10907  1CH 18:12  Abīshai bin Zarūyāh ne Namak kī Wādī meṅ Adomiyoṅ par fatah pā kar 18,000 afrād halāk kar die.
10991  1CH 23:3  Tamām un Lāwiyoṅ ko ginā gayā jin kī umr tīs sāl yā is se zāyd thī. Un kī kul tādād 38,000 thī.
11024  1CH 24:4  Iliyazar kī aulād ko 16 gurohoṅ meṅ aur Itamar kī aulād ko 8 gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā gayā, kyoṅki Iliyazar kī aulād ke itne hī zyādā ḳhāndānī sarparast the.
11030  1CH 24:10  7. Haqqūz, 8. Abiyāh,
11035  1CH 24:15  17. Ḳhazīr, 18. Fizzīz,
11058  1CH 25:7  Apne bhāiyoṅ samet jo Rab kī tāzīm meṅ gīt gāte the un kī kul tādād 288 thī. Sab ke sab māhir the.
11066  1CH 25:15  8. Yasāyāh,
11076  1CH 25:25  18. Hanānī,
11091  1CH 26:9  Masalamiyāh ke beṭe aur rishtedār kul 18 ādmī the. Sab lāyq the.
11218  2CH 2:1  Is ke lie us ne 1,50,000 ādmiyoṅ kī bhartī kī. 80,000 ko us ne pahāṛī kānoṅ meṅ lagāyā tāki wuh patthar nikāleṅ jabki 70,000 afrād kī zimmedārī yih patthar Yarūshalam lānā thī. In sab par Sulemān ne 3,600 nigarān muqarrar kie.
11234  2CH 2:17  In meṅ se us ne 80,000 ko pahāṛī kānoṅ meṅ lagāyā tāki wuh patthar nikāleṅ jabki 70,000 afrād kī zimmedārī yih patthar Yarūshalam lānā thī. In sab par Sulemān ne 3,600 nigarān muqarrar kie.
11420  2CH 11:1  Jab Rahubiyām Yarūshalam pahuṅchā to us ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdā faujiyoṅ ko Isrāīl se jang karne ke lie bulāyā. 1,80,000 mard jamā hue tāki Rahubiyām ke lie Isrāīl par dubārā qābū pāeṅ.
11440  2CH 11:21  Rahubiyām kī 18 bīwiyāṅ aur 60 dāshtāeṅ thīṅ. In ke kul 28 beṭe aur 60 beṭiyāṅ paidā huīṅ. Lekin Mākā bint Abīsalūm Rahubiyām ko sab se zyādā pyārī thī.
11459  2CH 13:1  Abiyāh Isrāīl ke bādshāh Yarubiyām Awwal kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā.
11461  2CH 13:3  4,00,000 tajrabākār faujiyoṅ ko jamā karke Abiyāh Yarubiyām se laṛne ke lie niklā. Yarubiyām 8,00,000 tajrabākār faujiyoṅ ke sāth us ke muqābil saf-ārā huā.
11488  2CH 14:7  Āsā kī fauj meṅ baṛī ḍhāloṅ aur nezoṅ se lais Yahūdāh ke 3,00,000 afrād the. Is ke alāwā chhoṭī ḍhāloṅ aur kamānoṅ se musallah Binyamīn ke 2,80,000 afrād the. Sab tajrabākār faujī the.
11543  2CH 17:15  Us ke alāwā Yūhanān thā jis ke taht 2,80,000 afrād the
11546  2CH 17:18  Us ke alāwā Yahūzabad thā jis ke 1,80,000 musallah ādmī the.
11634  2CH 21:5  Yahūrām 32 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 8 sāl tak hukūmat kartā rahā.
11649  2CH 21:20  Yahūrām 32 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 8 sāl tak hukūmat kartā rahā thā. Jab faut huā to kisī ko bhī afsos na huā. Use Yarūshalam Shahr ke us hisse meṅ dafn to kiyā gayā jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai, lekin shāhī qabroṅ meṅ nahīṅ.
11754  2CH 26:17  Lekin imām-e-āzam Azariyāh Rab ke mazīd 80 bahādur imāmoṅ ko apne sāth le kar us ke pīchhe pīchhe gayā.
11939  2CH 34:1  Yūsiyāh 8 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ rah kar us kī hukūmat kā daurāniyā 31 sāl thā.
11946  2CH 34:8  Apnī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ Yūsiyāh ne Sāfan bin Asaliyāh, Yarūshalam par muqarrar afsar Māsiyāh aur bādshāh ke mushīr-e-ḳhās Yuāḳh bin Yuāḳhaz ko Rab apne Ḳhudā ke ghar ke pās bhejā tāki us kī marammat karwāeṅ. Us waqt mulk aur Rab ke ghar ko pāk-sāf karne kī muhimm jārī thī.
11990  2CH 35:19  Yūsiyāh Bādshāh kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ pahlī dafā Rab kī tāzīm meṅ aisī īd manāī gaī.
12007  2CH 36:9  Yahūyākīn 18 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā tīn māh aur das din thā. Us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā.
12038  EZR 2:6  Pakhat-moāb kā ḳhāndān yānī Yashua aur Yoāb kī aulād: 2,812,
12048  EZR 2:16  Atīr kā ḳhāndān yānī Hizqiyāh kī aulād: 98,
12055  EZR 2:23  Anatot ke bāshinde: 128,