Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   B    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

40  GEN 2:9  Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā.
46  GEN 2:15  Rab Ḳhudā ne pahle ādmī ko Bāġh-e-Adan meṅ rakhā tāki wuh us kī bāġhbānī aur hifāzat kare.
79  GEN 3:23  Is lie Rab Ḳhudā ne use Bāġh-e-Adan se nikāl kar us zamīn kī khetībāṛī karne kī zimmedārī dī jis meṅ se use liyā gayā thā.
80  GEN 3:24  Insān ko ḳhārij karne ke bād us ne Bāġh-e-Adan ke mashriq meṅ karūbī farishte khaṛe kie aur sāth sāth ek ātishī talwār rakhī jo idhar-udhar ghūmtī thī tāki us rāste kī hifāzat kare jo zindagī baḳhshne wāle daraḳht tak pahuṅchātā thā.
82  GEN 4:2  Bād meṅbīl bhāī bīl paidā huā.bīl bheṛ-bakriyoṅ kā charwāhā ban gayā jabki bīl khetībāṛī karne lagā.
97  GEN 4:17  bīl bīwī hāmilā huī. Beṭā paidā huā jis kā nām Hanūk rakhā gayā.bīl ne ek shahr tāmīr kiyā aur apne beṭe kī ḳhushī meṅ us kā nām Hanūk rakhā.
180  GEN 7:20  Balki sab se ūṅchī choṭī par pānī kī gahrāī 20 fuṭ thī.
206  GEN 8:22  Duniyā ke muqarrarā auqāt jārī raheṅge. Bīj bone aur fasal kāṭne kā waqt, ṭhanḍ aur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kā mausam, din aur rāt, yih sab kuchh duniyā ke Aḳhīr tak qāym rahegā.”
245  GEN 10:10  Us kī saltanat ke pahle markaz Mulk-e-Sinār meṅ Bābal, Arak, Akkād aur Kalnā ke shahr the.
247  GEN 10:12  aur Rasan ke shahr tāmīr kie. Baṛā shahr Rasan Nīnwā aur Kalah ke darmiyān wāqe hai.
253  GEN 10:18  Arwādī, Samārī aur Hamātī. Bād meṅ Kanānī qabīle itne phail gae
276  GEN 11:9  Is lie shahr kā nām Bābal yānī Abtarī ṭhahrā, kyoṅki Rab ne wahāṅ tamām logoṅ kī zabān ko darham-barham karke unheṅ tamām rū-e-zamīn par muntashir kar diyā.
296  GEN 11:29  Bāqī donoṅ beṭoṅ kī shādī huī. Abrām bīwī kā nām Sāray thā aur Nahūr kī bīwī kā nām Milkāh. Milkāh Hārān kī beṭī thī, aur us kī ek bahan banām Iskā thī.
307  GEN 12:8  Wahāṅ se wuh us pahāṛī ilāqe kī taraf gayā jo Baitel ke mashriq meṅ hai. Wahāṅ us ne apnā ḳhaimā lagāyā. Maġhrib meṅ Baitel thā aur mashriq meṅ Aī. Is jagah par bus ne Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī aur Rab kā nām le kar ibādat kī.
322  GEN 13:3  Wahāṅ se jagah bajagah chalte hue wuh āḳhirkār Baitel se ho kar us maqām tak pahuṅch gayā jahāṅ us ne shurū meṅ apnā ḍerā lagāyā thā aur jo Baitel aur Aī ke darmiyān thā.
328  GEN 13:9  Kyā zarūrat hai ki ham mil kar raheṅ jabki tū āsānī se is mulk kī kisī aur jagah rah saktā hai. Behtar hai ki tū mujh se alag ho kar kahīṅ aur rahe. Agar tū bāeṅ hāth jāe to maiṅ dāeṅ hāth jāūṅgā, aur agar tū dāeṅ hāth jāe to maiṅ bāeṅ hāth jāūṅgā.”
338  GEN 14:1  Kanān meṅ jang huī. Bairūn-e-mulk ke chār bādshāhoṅ ne Kanān ke pāṅch bādshāhoṅ se jang kī. Bairūn-e-mulk ke bādshāh yih the: Sinār se Amrāfil, Illāsar se Aryūk, Ailām se Kidarlāumar aur Joyim se Tidāl.
339  GEN 14:2  Kanān ke bādshāh yih the: Sadūm se Birā, Amūrā se Birshā, Admā se Siniyāb, Zaboīm se Shimebar aur Bālā yānī Zuġhar kā bādshāh.
340  GEN 14:3  Kanān ke in pāṅch bādshāhoṅ kā ittahād huā thā aur wuh Wādī-e-Siddīm meṅ jamā hue the. (Ab Siddīm nahīṅ hai, kyoṅki us kī jagah Bahīrā-e-Murdār ā gayā hai.)
345  GEN 14:8  Us waqt Sadūm, Amūrā, Admā, Zaboīm aur Bālā yānī Zuġhar ke bādshāh un se laṛne ke lie Siddīm kī Wādī meṅ jamā hue.
354  GEN 14:17  Jab Abrām Kidarlāumar aur us ke ittahādiyoṅ par fatah pāne ke bād wāpas pahuṅchā to Sadūm kā bādshāh us se milne ke lie Wādī-e-Sawī meṅ āyā. (Ise ājkal Bādshāh kī Wādī kahā jātā hai.)
396  GEN 16:14  Is lie us jagah ke kueṅ kā nāmBair-lahī-roī’ yānī ‘Us Zindā Hastī kā Kuāṅ Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ paṛ gayā. Wuh Qādis aur Barad ke darmiyān wāqe hai.
403  GEN 17:5  Ab se tū Abrām yānī ‘Azīm Bāp’ nahīṅ kahlāegā balki terā nām Ibrāhīm yānīBahut Qaumoṅ kā Bāp’ hogā. Kyoṅki maiṅ ne tujhe bahut qaumoṅ kā bāp banā diyā hai.
495  GEN 19:37  Baṛī beṭī ke hāṅ beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Moāb rakhā. Us se Moābī nikle haiṅ.
496  GEN 19:38  Chhoṭī beṭī ke hāṅ bbeṭā paidā huā. Us ne us kā nām Bin-ammī rakhā. Us se Ammonī nikle haiṅ.
528  GEN 21:14  Ibrāhīm subah-sawere uṭhā. Us ne roṭī aur pānī kī mashk Hājirā ke kandhoṅ par rakh kar use laṛke ke sāth ghar se nikāl diyā. Hājirā chalte chalte Bair-sabā ke registān meṅ idhar-udhar phirne lagī.
544  GEN 21:30  Ibrāhīm ne jawāb diyā,Bheṛ ke in sāt bachchoṅ ko mujh se le leṅ. Yih is ke gawāh hoṅ ki maiṅ ne is kueṅ ko khodā hai.”
545  GEN 21:31  Is lie us jagah kā nām Bair-sabā yānī ‘Qasam kā Kuāṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ un donoṅ mardoṅ ne qasam khāī.
546  GEN 21:32  Yoṅ unhoṅ ne Bair-sabā meṅ ek dūsre se ahd bāndhā. Phir Abīmalik aur Fīkul Filistiyoṅ ke mulk wāpas chale gae.
547  GEN 21:33  Is ke bād Ibrāhīm ne Bair-sabā meṅ jhāū kā daraḳht lagāyā. Wahāṅ us ne Rab kā nām le kar us kī ibādat kī jo abadī Ḳhudā hai.
567  GEN 22:19  Is ke bād Ibrāhīm apne naukaroṅ ke pās wāpas āyā, aur wuh mil kar Bair-sabā lauṭe. Wahāṅ Ibrāhīm ābād rahā.
569  GEN 22:21  Us ke pahlauṭhe Ūz ke bād Būz, Qamuel (Arām kā bāp),
570  GEN 22:22  Kasad, Hazū, Fildās, Idlāf aur Batuel paidā hue haiṅ.”
571  GEN 22:23  Milkāh aur Nahūr ke hāṅ yih āṭh beṭe paidā hue. (Batuel Rib bāp thā.)
607  GEN 24:15  Wuh abduā kar hī rahā thā ki Ribshahr se nikal āī. Us ke kandhe par ghaṛā thā. Wuh Batuel beṭī thī. (Batuel Ibrāhīm ke bhāī Nahūr kī bīwī Milkāh kā beṭā thā.)
616  GEN 24:24  Ribne jawāb diyā, “Merā bāp Batuel hai. Wuh Nahūr aur Milkāh kā beṭā hai.
625  GEN 24:33  Lekin jab khānā ā gayā to Ibrāhīm ke naukar ne kahā, “Is se pahle ki maiṅ khānā khāūṅ lāzim hai ki apnā muāmalā pesh karūṅ.”ban ne kahā,Batāeṅ apnī bāt.”
639  GEN 24:47  Phir maiṅ ne us se pūchhā, ‘Āp kis kī beṭī haiṅ?’ Us ne jawāb diyā, ‘Merā bāp Batuel hai. Wuh Nahūr aur Milkāh kā beṭā hai.’ Phir maiṅ ne us kī nāk meṅ nath aur us kī kalāiyoṅ meṅ kangan pahnā die.
642  GEN 24:50  ban aur Batuel ne jawāb diyā, “Yih bāt Rab kī taraf se hai, is lie ham kisī tarah binkār nahīṅ kar sakte.
654  GEN 24:62  Us waqt Is'hāq mulk ke junūbī hisse, Dasht-e-Najab meṅ rahtā thā. Wuh Bair-lahī-roī se āyā thā.
670  GEN 25:11  Ibrāhīm kī wafāt ke bād Allāh ne Is'hāq ko barkat dī. Us waqt Is'hāq Bair-lahī-roī ke qarīb ābād thā.
679  GEN 25:20  Is'hāq 40 sāl kā thā jab us kī Ribse shādī huī. Ribban bahan aur Arāmī mard Batuel beṭī thī. (Batuel Masoputāmiyā kā thā.)
684  GEN 25:25  Pahlā bachchā niklā to surḳh-sā thā, aur aisā lag rahā thā ki wuh ghane bāloṅ kā koṭ hī pahne hue hai. Is lie us kā nām Esau yānīBāloṅ Wālā’ rakhā gayā.
716  GEN 26:23  Wahāṅ se wuh Bair-sabā chalā gayā.
726  GEN 26:33  Us ne kueṅ kā nām Sabā yānī ‘Qasam’ rakhā. Āj tak sāth wāle shahr kā nām Bair-sabā hai.
727  GEN 26:34  Jab Esau 40 sāl kā thā to us ne do Hittī auratoṅ se shādī kī, Bairī beṭī Yahūdit se aur Ailon kī beṭī Bāsamat se.
729  GEN 27:1  Is'hāq būṛhā ho gayā to us kī nazar dhundlā gaī. Us ne apne baṛe beṭe ko bulā kar kahā,Beṭā.” Esau ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
741  GEN 27:13  Us kī māṅ ne kahā, “Tum par āne wālī lānat mujh par āe, beṭā. Bas merī bāt mān lo. Jāo aur bakriyoṅ ke wuh bachche le āo.”
748  GEN 27:20  Is'hāq ne pūchhā,Beṭā, tujhe yih shikār itnī jaldī kis tarah mil gayā?” Us ne jawāb diyā, “Rab āp ke Ḳhudā ne use mere sāmne se guzarne diyā.”
749  GEN 27:21  Is'hāq ne kahā,Beṭā, mere qarīb ā tāki maiṅ tujhe chhū lūṅ ki tū wāqaī merā beṭā Esau hai ki nahīṅ.”
754  GEN 27:26  phir kahā,Beṭā, mere pās ā aur mujhe bosā de.”
769  GEN 27:41  Bāp barkat ke sabab se Esau Yāqūb kā dushman ban gayā. Us ne dil meṅ kahā, “Wuh din qarīb ā gae haiṅ ki Abbū intaqāl kar jāeṅge aur ham un kā mātam kareṅge. Phir maiṅ apne bhāī ko mār ḍālūṅgā.”
771  GEN 27:43  Beṭā, ab merī suno, yahāṅ se hijrat kar jāo. Hārān Shahr meṅ mere bhāī ban ke pās chale jāo.
776  GEN 28:2  Ab sīdhe Masoputāmiyā meṅ apne nānā Batuel ke ghar jā aur wahāṅ apne māmūṅban kī laṛkiyoṅ meṅ se kisī ek se shādī kar.
779  GEN 28:5  Yoṅ Is'hāq ne Yāqūb ko Masoputāmiyā meṅban ke ghar bhejā. ban Arāmī mard Batuel beṭā aur Rib bhāī thā.
784  GEN 28:10  Yāqūb Bair-sabā se Hārān kī taraf rawānā huā.
793  GEN 28:19  Us ne maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. (Pahle sāth wāle shahr kā nām Lūz thā.)
811  GEN 29:15  Phirban Yāqūb se kahne lagā,Beshak āp mere rishtedār haiṅ, lekin āp ko mere lie kām karne ke badle meṅ kuchh milnā chāhie. Maiṅ āp ko kitne paise dūṅ?”
812  GEN 29:16  ban kī do beṭiyāṅ thīṅ. Baṛī kā nām Liyāh thā aur chhoṭī kā Rāḳhil.
825  GEN 29:29  (Lāban ne Rāḳhil ko apnī launḍī Bilhāh de dī tāki wuh us kī ḳhidmat kare.)
828  GEN 29:32  Liyāh hāmilā huī aur us ke beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Rab ne merī musībat dekhī hai aur ab merā shauhar mujhe pyār karegā.” Us ne us kā nāmbin yānī ‘Dekho Ek Beṭā’ rakhā.
830  GEN 29:34  Wuh ek aur dafā hāmilā huī. Tīsrā beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Ab āḳhirkār shauhar ke sāth merā bandhan mazbūt ho jāegā, kyoṅki maiṅ ne us ke lie tīn beṭoṅ ko janm diyā hai.” Us ne us kā nām Lāwī yānī Bandhan rakhā.
834  GEN 30:3  Rāḳhil ne kahā, “Yahāṅ merī launḍī Bilhāh hai. Us ke sāth hambistar hoṅ tāki wuh mere lie bachche ko janm de aur maiṅ us kī mārifat māṅ ban jāūṅ.”
835  GEN 30:4  Yoṅ us ne apne shauhar ko Bilhāh dī, aur wuh us se hambistar huā.
836  GEN 30:5  Bilhāh hāmilā huī aur beṭā paidā huā.
838  GEN 30:7  Bilhāh dubārā hāmilā huī aur ek aur beṭā paidā huā.
887  GEN 31:13  Maiṅ wuh Ḳhudā hūṅ jo Baitel meṅ tujh par zāhir huā thā, us jagah jahāṅ tū ne satūn par tel unḍel kar use mere lie maḳhsūs kiyā aur mere huzūr qasam khāī thī. Ab uṭh aur rawānā ho kar apne watan wāpas chalā jā.’”
1013  GEN 35:1  Allāh ne Yāqūb se kahā, “Uṭh, Baitel jā kar wahāṅ ābād ho. Wahīṅ Allāh ke lie jo tujh par zāhir huā jab tū apne bhāī Esau se bhāg rahā thā qurbāngāh banā.”
1015  GEN 35:3  kyoṅki hameṅ yih jagah chhoṛ kar Baitel jānā hai. Wahāṅ maiṅ us Ḳhudā ke lie qurbāngāh banāūṅgā jis ne musībat ke waqt merī duā sunī. Jahāṅ bmaiṅ gayā wahāṅ wuh mere sāth rahā hai.”
1018  GEN 35:6  Chalte chalte Yāqūb apne logoṅ samet Lūz pahuṅch gayā jo Mulk-e-Kanān meṅ thā. Āj Lūz kā nām Baitel hai.
1019  GEN 35:7  Yāqūb ne wahāṅ qurbāngāh banā kar maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. Kyoṅki wahāṅ Allāh ne apne āp ko us par zāhir kiyā thā jab wuh apne bhāī se farār ho rahā thā.
1020  GEN 35:8  Wahāṅ Ribkī dāyā Daborā mar gaī. Wuh Baitel ke junūb meṅ balūt ke daraḳht ke nīche dafn huī, is lie us kā nām Allon-bakūt yānī ‘Rone kā Balūt kā Daraḳht’ rakhā gayā.
1027  GEN 35:15  Us ne jagah kā nām Baitel rakhā.
1028  GEN 35:16  Phir Yāqūb apne ghar wāloṅ ke sāth Baitel ko chhoṛ kar Ifrātā kī taraf chal paṛā. Rāḳhil ummīd se thī, aur rāste meṅ bachche kī paidāish kā waqt ā gayā. Bachchā baṛī mushkil se paidā huā.
1030  GEN 35:18  Lekin wuh dam toṛne wālī thī, aur marte marte us ne us kā nām Bin-ūnī yānī ‘Merī Musībat Beṭā’ rakhā. Lekin us ke bāp ne us kā nām Binyamīn yānī ‘Dahne Hāth yā Ḳhushqismatī kā Beṭā’ rakhā.
1031  GEN 35:19  Rāḳhil faut huī, aur wuh Ifrātā ke rāste meṅ dafn huī. Ājkal Ifrātā ko Bait-laham kahā jātā hai.
1034  GEN 35:22  Jab wuh wahāṅ ṭhahre the tobin Yāqūb kī haram Bilhāh se hambistar huā. Yāqūb ko mālūm ho gayā. Yāqūb ke bārah beṭe the.
1036  GEN 35:24  Rāḳhil ke do beṭe the, Yūsuf aur Binyamīn.
1037  GEN 35:25  Rāḳhil kī launḍī Bilhāh ke do beṭe the, Dān aur Naftālī.
1044  GEN 36:3  aur Ismāīl kī beṭī Bāsamat se jo Nabāyot bahan thī.
1045  GEN 36:4  Adā kā ek beṭā Ilīfaz aur Bāsamat kā ek beṭā Raūel paidā huā.
1047  GEN 36:6  Bād meṅ Esau dūsre mulk meṅ chalā gayā. Us ne apnī bīwiyoṅ, beṭe-beṭiyoṅ aur ghar ke rahne wāloṅ ko apne tamām maweshiyoṅ aur Mulk-e-Kanān meṅ hāsil kie hue māl samet apne sāth liyā.
1051  GEN 36:10  Esau kī bīwī Adā kā ek beṭā Ilīfaz thā jabki us kī bīwī Bāsamat kā ek beṭā Raūel thā.
1054  GEN 36:13  Raūel ke beṭe Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā the. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād meṅ shāmil the.
1058  GEN 36:17  Esau ke beṭe Raūel se yih qabāylī sardār nikle: Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād the.
1068  GEN 36:27  Esar ke tīn beṭe Bilhān, Zāwān aur Aqān the.
1073  GEN 36:32  Bālā bin Bor jo Dinhābā Shahr kā thā Mulk-e-Adom kā pahlā bādshāh thā.
1074  GEN 36:33  Us kī maut parbāb bin Zārah jo Busrā Shahr kā thā.
1076  GEN 36:35  Us kī maut par Hadad bin Bidad jis ne Mulk-e-Moāb meṅ Midiyāniyoṅ ko shikast dī. Wuh Awīt kā thā.
1079  GEN 36:38  Us kī maut par Bāl-hanān bin Akbor.