42 | GEN 2:11 | Pahlī shāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahāṅ ḳhālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmar pāe jāte haiṅ. |
45 | GEN 2:14 | Tīsrī kā nām Dijlā hai jo Asūr ke mashriq ko jātī hai aur chauthī kā nām Furāt hai. |
241 | GEN 10:6 | Hām ke beṭe Kūsh, Misr, Fūt aur Kanān the. |
249 | GEN 10:14 | Fatrūsī, Kaslūhī (jin se Filistī nikle) aur Kaftūrī. |
260 | GEN 10:25 | Ibar ke hāṅ do beṭe paidā hue. Ek kā nām Falaj yānī Taqsīm thā, kyoṅki un aiyām meṅ duniyā taqsīm huī. Falaj ke bhāī kā nām Yuqtān thā. |
283 | GEN 11:16 | Ibar 34 sāl kā thā jab Falaj paidā huā. |
285 | GEN 11:18 | Falaj 30 sāl kā thā jab Raū paidā huā. |
314 | GEN 12:15 | Aur jab Firaun ke afsarān ne use dekhā to unhoṅ ne Firaun ke sāmne Sāray kī tārīf kī. Āḳhirkār use mahal meṅ pahuṅchāyā gayā. |
315 | GEN 12:16 | Firaun ne Sāray kī ḳhātir Abrām par ehsān karke use bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, gadhe-gadhiyāṅ, naukar-chākar aur ūṅṭ die. |
316 | GEN 12:17 | Lekin Rab ne Sāray ke sabab se Firaun aur us ke gharāne meṅ saḳht qism ke amrāz phailāe. |
317 | GEN 12:18 | Āḳhirkār Firaun ne Abrām ko bulā kar kahā, “Tū ne mere sāth kyā kiyā? Tū ne mujhe kyoṅ nahīṅ batāyā ki Sāray terī bīwī hai? |
319 | GEN 12:20 | Phir Firaun ne apne sipāhiyoṅ ko hukm diyā, aur unhoṅ ne Abrām, us kī bīwī aur pūrī milkiyat ko ruḳhsat karke mulk se rawānā kar diyā. |
326 | GEN 13:7 | Abrām aur Lūt ke charwāhe āpas meṅ jhagaṛne lage. (Us zamāne meṅ Kanānī aur Farizzī bhī mulk meṅ ābād the.) |
348 | GEN 14:11 | Fathmand bādshāh Sadūm aur Amūrā kā tamām māl tamām khāne wālī chīzoṅ samet lūṭ kar wāpas chal die. |
379 | GEN 15:18 | Us waqt Rab ne Abrām ke sāth ahd kiyā. Us ne kahā, “Maiṅ yih mulk Misr kī sarhad se Furāt tak terī aulād ko dūṅgā, |
381 | GEN 15:20 | Hittī, Farizzī, Rafāī, |
535 | GEN 21:21 | Jab wuh Fārān ke registān meṅ rahtā thā to us kī māṅ ne use ek Misrī aurat se byāh diyā. |
536 | GEN 21:22 | Un dinoṅ meṅ Abīmalik aur us ke sipāhsālār Fīkul ne Ibrāhīm se kahā, “Jo kuchh bhī āp karte haiṅ Allāh āp ke sāth hai. |
546 | GEN 21:32 | Yoṅ unhoṅ ne Bair-sabā meṅ ek dūsre se ahd bāndhā. Phir Abīmalik aur Fīkul Filistiyoṅ ke mulk wāpas chale gae. |
548 | GEN 21:34 | Ibrāhīm bahut arse tak Filistiyoṅ ke mulk meṅ ābād rahā, lekin ajnabī kī haisiyat se. |
560 | GEN 22:12 | Farishte ne kahā, “Apne beṭe par hāth na chalā, na us ke sāth kuchh kar. Ab maiṅ ne jān liyā hai ki tū Allāh kā ḳhauf rakhtā hai, kyoṅki tū apne iklaute beṭe ko bhī mujhe dene ke lie taiyār hai.” |
570 | GEN 22:22 | Kasad, Hazū, Fildās, Idlāf aur Batuel paidā hue haiṅ.” |
694 | GEN 26:1 | Us mulk meṅ dubārā kāl paṛā, jis tarah Ibrāhīm ke dinoṅ meṅ bhī paṛ gayā thā. Is'hāq Jirār Shahr gayā jis par Filistiyoṅ ke bādshāh Abīmalik kī hukūmat thī. |
701 | GEN 26:8 | Kāfī waqt guzar gayā. Ek din Filistiyoṅ ke bādshāh ne apnī khiṛkī meṅ se jhāṅk kar dekhā ki Is'hāq apnī bīwī ko pyār kar rahā hai. |
707 | GEN 26:14 | Us ke pās itnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ġhulām the ki Filistī us se hasad karne lage. |
711 | GEN 26:18 | Wahāṅ Filistiyoṅ ne Ibrāhīm kī maut ke bād tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhar diyā thā. Is'hāq ne un ko dubārā khudwāyā. Us ne un ke wuhī nām rakhe jo us ke bāp ne rakhe the. |
719 | GEN 26:26 | Ek din Abīmalik, us kā sāthī Aḳhūzat aur us kā sipahsālār Fīkul Jirār se us ke pās āe. |
786 | GEN 28:12 | Jab wuh so rahā thā to ḳhāb meṅ ek sīṛhī dekhī jo zamīn se āsmān tak pahuṅchtī thī. Farishte us par chaṛhte aur utarte nazar āte the. |
837 | GEN 30:6 | Rāḳhil ne kahā, “Allāh ne mere haq meṅ faislā diyā hai. Us ne merī duā sun kar mujhe beṭā de diyā hai.” Us ne us kā nām Dān yānī ‘Kisī ke Haq meṅ Faislā Karne Wālā’ rakhā. |
886 | GEN 31:12 | Farishte ne kahā, ‘Apnī nazar uṭhā kar us par ġhaur kar jo ho rahā hai. Wuh tamām menḍhe aur bakre jo bheṛ-bakriyoṅ se milāp kar rahe haiṅ un ke jism par baṛe aur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅ haiṅ. Maiṅ yih ḳhud karwā rahā hūṅ, kyoṅki maiṅ ne wuh sab kuchh dekh liyā hai jo Lāban ne tere sāth kiyā hai. |
895 | GEN 31:21 | balki apnī sārī milkiyat sameṭ kar farār huā. Dariyā-e-Furāt ko pār karke wuh Jiliyād ke pahāṛī ilāqe kī taraf safr karne lagā. |
959 | GEN 32:31 | Yāqūb ne kahā, “Maiṅ ne Allāh ko rūbarū dekhā to bhī bach gayā hūṅ.” Is lie us ne us maqām kā nām Faniyel rakhā. |
1011 | GEN 34:30 | Phir Yāqūb ne Shamāūn aur Lāwī se kahā, “Tum ne mujhe musībat meṅ ḍāl diyā hai. Ab Kanānī, Farizzī aur mulk ke bāqī bāshindoṅ meṅ merī badnāmī huī hai. Mere sāth kam ādmī haiṅ. Agar dūsre mil kar ham par hamlā kareṅ to hamāre pūre ḳhāndān kā satyānās ho jāegā.” |
1078 | GEN 36:37 | Us kī maut par Sāūl jo Dariyā-e-Furāt par Rahobot Shahr kā thā. |
1080 | GEN 36:39 | Us kī maut par Hadad jo Fāū Shahr kā thā. (Bīwī kā nām Mahetabel bint Matrid bint Mezāhāb thā.) |
1081 | GEN 36:40 | Esau se Adomī qabīloṅ ke yih sardār nikle: Timnā, Alwah, Yatet, Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, Qanaz, Temān, Mibsār, Majdiyel aur Irām. Adom ke sardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. Esau un kā bāp hai. |
1120 | GEN 37:36 | Itne meṅ Midiyānī Misr pahuṅch kar Yūsuf ko bech chuke the. Misr ke bādshāh Firaun ke ek ālā afsar Fūtīfār ne use ḳharīd liyā. Fūtīfār bādshāh ke muhāfizoṅ par muqarrar thā. |
1149 | GEN 38:29 | Lekin us ne apnā hāth wāpas khīṅch liyā, aur us kā bhāī pahle paidā huā. Yih dekh kar dāī bol uṭhī, “Tū kis tarah phūṭ niklā hai!” Us ne us kā nām Fāras yānī Phūṭ rakhā. |
1151 | GEN 39:1 | Ismāīliyoṅ ne Yūsuf ko Misr le jā kar bech diyā thā. Misr ke bādshāh ke ek ālā afsar banām Fūtīfār ne use ḳharīd liyā. Wuh shāhī muhāfizoṅ kā kaptān thā. |
1154 | GEN 39:4 | Chunāṅche Yūsuf ko mālik kī ḳhās mehrbānī hāsil huī, aur Fūtīfār ne use apnā zātī naukar banā liyā. Us ne use apne gharāne ke intazām par muqarrar kiyā aur apnī pūrī milkiyat us ke sapurd kar dī. |
1155 | GEN 39:5 | Jis waqt se Fūtīfār ne apne gharāne kā intazām aur pūrī milkiyat Yūsuf ke sapurd kī us waqt se Rab ne Fūtīfār ko Yūsuf ke sabab se barkat dī. Us kī barkat Fūtīfār kī har chīz par thī, ḳhāh ghar meṅ thī yā khet meṅ. |
1156 | GEN 39:6 | Fūtīfār ne apnī har chīz Yūsuf ke hāth meṅ chhoṛ dī. Aur chūṅki Yūsuf sab kuchh achchhī tarah chalātā thā is lie Fūtīfār ko khānā khāne ke siwā kisī bhī muāmale kī fikr nahīṅ thī. Yūsuf nihāyat ḳhūbsūrat ādmī thā. |
1162 | GEN 39:12 | Fūtīfār kī bīwī ne Yūsuf kā libās pakaṛ kar kahā, “Mere sāth hambistar ho!” Yūsuf bhāg kar bāhar chalā gayā lekin us kā libās pīchhe aurat ke hāth meṅ hī rah gayā. |
1169 | GEN 39:19 | Yih sun kar Fūtīfār baṛe ġhusse meṅ ā gayā. |
1175 | GEN 40:2 | Firaun ko donoṅ afsaroṅ par ġhussā ā gayā. |
1186 | GEN 40:13 | Tīn din ke bād Firaun āp ko bahāl kar legā. Āp ko pahlī zimmedārī wāpas mil jāegī. Āp pahle kī tarah sardār sāqī kī haisiyat se bādshāh kā pyālā saṅbhāleṅge. |
1192 | GEN 40:19 | Tīn din ke bād hī Firaun āp ko qaidḳhāne se nikāl kar daraḳht se laṭkā degā. Parinde āp kī lāsh ko khā jāeṅge.” |
1203 | GEN 41:7 | Anāj kī sāt dublī-patlī bāloṅ ne sāt moṭī aur ḳhūbsūrat bāloṅ ko nigal liyā. Phir Firaun jāg uṭhā to mālūm huā ki maiṅ ne ḳhāb hī dekhā hai. |
1205 | GEN 41:9 | Phir sardār sāqī ne Firaun se kahā, “Āj mujhe apnī ḳhatāeṅ yād ātī haiṅ. |
1206 | GEN 41:10 | Ek din Firaun apne ḳhādimoṅ se nārāz hue. Huzūr ne mujhe aur bekarī ke inchārj ko qaidḳhāne meṅ ḍalwā diyā jis par shāhī muhāfizoṅ kā kaptān muqarrar thā. |
1210 | GEN 41:14 | Yih sun kar Firaun ne Yūsuf ko bulāyā, aur use jaldī se qaidḳhāne se lāyā gayā. Us ne shew karwā kar apne kapṛe badle aur sīdhe bādshāh ke huzūr pahuṅchā. |
1213 | GEN 41:17 | Firaun ne Yūsuf ko apne ḳhāb sunāe, “Maiṅ ḳhāb meṅ Dariyā-e-Nīl ke kināre khaṛā thā. |
1240 | GEN 41:44 | Firaun ne us se kahā, “Maiṅ to bādshāh hūṅ, lekin terī ijāzat ke baġhair pūre mulk meṅ koī bhī apnā hāth yā pāṅw nahīṅ hilāegā.” |
1241 | GEN 41:45 | Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī. Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā. |
1251 | GEN 41:55 | Jab kāl ne tamām Misr meṅ zor pakaṛā to log chīḳh kar khāne ke lie bādshāh se minnat karne lage. Tab Firaun ne un se kahā, “Yūsuf ke pās jāo. Jo kuchh wuh tumheṅ batāegā wuhī karo.” |
1268 | GEN 42:15 | Maiṅ tumhārī bāteṅ jāṅch lūṅgā. Firaun kī hayāt kī qasam, pahle tumhārā sab se chhoṭā bhāī āe, warnā tum is jagah se kabhī nahīṅ jā sakoge. |
1269 | GEN 42:16 | Ek bhāī ko use lāne ke lie bhej do. Bāqī sab yahāṅ giriftār raheṅge. Phir patā chalegā ki tumhārī bāteṅ sach haiṅ ki nahīṅ. Agar nahīṅ to Firaun kī hayāt kī qasam, is kā matlab yih hogā ki tum jāsūs ho.” |
1314 | GEN 43:23 | Mulāzim ne kahā, “Fikr na kareṅ. Mat ḍareṅ. Āp ke aur āp ke bāp ke Ḳhudā ne āp ke lie āp kī boriyoṅ meṅ yih ḳhazānā rakhā hogā. Baharhāl mujhe āp ke paise mil gae haiṅ.” Mulāzim Shamāūn ko un ke pās bāhar le āyā. |
1361 | GEN 45:2 | Wuh itne zor se ro paṛā ki Misriyoṅ ne us kī āwāz sunī aur Firaun ke gharāne ko patā chal gayā. |
1367 | GEN 45:8 | chunāṅche tum ne mujhe yahāṅ nahīṅ bhejā balki Allāh ne. Us ne mujhe Firaun kā bāp, us ke pūre gharāne kā mālik aur Misr kā hākim banā diyā hai. |
1375 | GEN 45:16 | Jab yih ḳhabar bādshāh ke mahal tak pahuṅchī ki Yūsuf ke bhāī āe haiṅ to Firaun aur us ke tamām afsarān ḳhush hue. |
1396 | GEN 46:9 | ke beṭe Hanūk, Fallū, Hasron aur Karmī the. |
1399 | GEN 46:12 | Yahūdāh ke beṭe Er, Onān, Selā, Fāras aur Zārah the. (Er aur Onān Kanān meṅ mar chuke the.) Fāras ke do beṭe Hasron aur Hamūl the. |
1400 | GEN 46:13 | Ishkār ke beṭe Tolā, Fuwwā, Yob aur Simron the. |
1407 | GEN 46:20 | Yūsuf ke do beṭe Manassī aur Ifrāīm Misr meṅ paidā hue. Un kī māṅ On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat thī. |
1422 | GEN 47:1 | Yūsuf Firaun ke pās gayā aur use ittalā de kar kahā, “Merā bāp aur bhāī apnī bheṛ-bakriyoṅ, gāy-bailoṅ aur sāre māl samet Mulk-e-Kanān se ā kar Jushan meṅ ṭhahre hue haiṅ.” |
1423 | GEN 47:2 | Us ne apne bhāiyoṅ meṅ se pāṅch ko chun kar Firaun ke sāmne pesh kiyā. |
1424 | GEN 47:3 | Firaun ne bhāiyoṅ se pūchhā, “Tum kyā kām karte ho?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp ke ḳhādim bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. Yih hamāre bāpdādā kā peshā thā aur hamārā bhī hai. |
1428 | GEN 47:7 | Phir Yūsuf apne bāp Yāqūb ko le āyā aur Firaun ke sāmne pesh kiyā. Yāqūb ne bādshāh ko barkat dī. |
1431 | GEN 47:10 | Yih kah kar Yāqūb Firaun ko dubārā barkat de kar chalā gayā. |
1435 | GEN 47:14 | Misr aur Kanān ke tamām paise anāj ḳharīdne ke lie sarf ho gae. Yūsuf unheṅ jamā karke Firaun ke mahal meṅ le āyā. |
1440 | GEN 47:19 | Ham kyoṅ āp kī āṅkhoṅ ke sāmne mar jāeṅ? Hamārī zamīn kyoṅ tabāh ho jāe? Hameṅ roṭī deṅ to ham aur hamārī zamīn bādshāh kī hogī. Ham Firaun ke ġhulām hoṅge. Hameṅ bīj deṅ tāki ham jīte bacheṅ aur zamīn tabāh na ho jāe.” |
1441 | GEN 47:20 | Chunāṅche Yūsuf ne Firaun ke lie Misr kī pūrī zamīn ḳharīd lī. Kāl kī saḳhtī ke sabab se tamām Misriyoṅ ne apne khet bech die. Is tarīqe se pūrā mulk Firaun kī milkiyat meṅ ā gayā. |
1443 | GEN 47:22 | Sirf pujāriyoṅ kī zamīn āzād rahī. Unheṅ apnī zamīn bechne kī zarūrat hī nahīṅ thī, kyoṅki unheṅ Firaun se itnā wazīfā miltā thā ki guzārā ho jātā thā. |
1445 | GEN 47:24 | Āp ko Firaun ko fasal kā pāṅchwāṅ hissā denā hai. Bāqī paidāwār āp kī hogī. Āp is se bīj bo sakte haiṅ, aur yih āp ke aur āp ke gharānoṅ aur bachchoṅ ke khāne ke lie hogā.” |
1446 | GEN 47:25 | Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp ne hameṅ bachāyā hai. Hamāre mālik ham par mehrbānī kareṅ to ham Firaun ke ġhulām baneṅge.” |
1513 | GEN 50:6 | Firaun ne jawāb diyā, “Jā, apne bāp ko dafn kar jis tarah us ne tujhe qasam dilāī thī.” |
1544 | EXO 1:11 | Chunāṅche Misriyoṅ ne Isrāīliyoṅ par nigarān muqarrar kie tāki begār meṅ un se kām karwā kar unheṅ dabāte raheṅ. Us waqt unhoṅ ne pitom aur Rāmsīs ke shahr tāmīr kie. In shahroṅ meṅ Firaun Bādshāh ke baṛe baṛe godām the. |
1548 | EXO 1:15 | Isrāīliyoṅ kī do dāiyāṅ thīṅ jin ke nām Sifrā aur Fuā the. Misr ke bādshāh ne un se kahā, |
1560 | EXO 2:5 | Us waqt Firaun kī beṭī nahāne ke lie dariyā par āī. Us kī naukarāniyāṅ dariyā ke kināre ṭahalne lagīṅ. Tab us ne sarkanḍoṅ meṅ ṭokrī dekhī aur apnī launḍī ko use lāne bhejā. |
1561 | EXO 2:6 | Use kholā to chhoṭā laṛkā dikhāī diyā jo ro rahā thā. Firaun kī beṭī ko us par tars āyā. Us ne kahā, “Yih koī Ibrānī bachchā hai.” |
1562 | EXO 2:7 | Ab bachche kī bahan Firaun kī beṭī ke pās gaī aur pūchhā, “Kyā maiṅ bachche ko dūdh pilāne ke lie koī Ibrānī aurat ḍhūnḍ lāūṅ?” |
1563 | EXO 2:8 | Firaun kī beṭī ne kahā, “Hāṅ, jāo.” Laṛkī chalī gaī aur bachche kī sagī māṅ ko le kar wāpas āī. |
1564 | EXO 2:9 | Firaun kī beṭī ne māṅ se kahā, “Bachche ko le jāo aur use mere lie dūdh pilāyā karo. Maiṅ tumheṅ is kā muāwazā dūṅgī.” Chunāṅche bachche kī māṅ ne use dūdh pilāne ke lie le liyā. |
1565 | EXO 2:10 | Jab bachchā baṛā huā to us kī māṅ use Firaun kī beṭī ke pās le gaī, aur wuh us kā beṭā ban gayā. Firaun kī beṭī ne us kā nām Mūsā yānī ‘Nikālā Gayā’ rakh kar kahā, “Maiṅ use pānī se nikāl lāī hūṅ.” |
1588 | EXO 3:8 | Ab maiṅ unheṅ Misriyoṅ ke qābū se bachāne ke lie utar āyā hūṅ. Maiṅ unheṅ Misr se nikāl kar ek achchhe wasī mulk meṅ le jāūṅgā, ek aise mulk meṅ jahāṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai, go is waqt Kanānī, Hittī, Amorī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī us meṅ rahte haiṅ. |
1590 | EXO 3:10 | Chunāṅche ab jā. Maiṅ tujhe Firaun ke pās bhejtā hūṅ, kyoṅki tujhe merī qaum Isrāīl ko Misr se nikāl kar lānā hai.” |
1591 | EXO 3:11 | Lekin Mūsā ne Allāh se kahā, “Maiṅ kaun hūṅ ki Firaun ke pās jā kar Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāl lāūṅ?” |
1597 | EXO 3:17 | Is lie maiṅ ne faislā kiyā hai ki tumheṅ Misr kī musībat se nikāl kar Kanāniyoṅ, Hittiyoṅ, Amoriyoṅ, Farizziyoṅ, Hiwwiyoṅ aur Yabūsiyoṅ ke mulk meṅ le jāūṅ, aise mulk meṅ jahāṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai.’ |
1623 | EXO 4:21 | Rab ne us se yih bhī kahā, “Misr jā kar Firaun ke sāmne wuh tamām mojize dikhā jin kā maiṅ ne tujhe iḳhtiyār diyā hai. Lekin mere kahne par wuh aṛā rahegā. Wuh Isrāīliyoṅ ko jāne kī ijāzat nahīṅ degā. |
1624 | EXO 4:22 | Us waqt Firaun ko batā denā, ‘Rab farmātā hai ki Isrāīl merā pahlauṭhā hai. |
1634 | EXO 5:1 | Phir Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko registān meṅ jāne de tāki wuh mere lie īd manāeṅ.’” |
1635 | EXO 5:2 | Firaun ne jawāb diyā, “Yih Rab kaun hai? Maiṅ kyoṅ us kā hukm mān kar Isrāīliyoṅ ko jāne dūṅ? Na maiṅ Rab ko jāntā hūṅ, na Isrāīliyoṅ ko jāne dūṅgā.” |
1639 | EXO 5:6 | Usī din Firaun ne Misrī nigarānoṅ aur un ke taht ke Isrāīlī nigarānoṅ ko hukm diyā, |
1643 | EXO 5:10 | Misrī nigarān aur un ke taht ke Isrāīlī nigarānoṅ ne logoṅ ke pās jā kar un se kahā, “Firaun kā hukm hai ki tumheṅ bhūsā na diyā jāe. |
1648 | EXO 5:15 | Phir Isrāīlī nigarān Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne shikāyat karke kahā, “Āp apne ḳhādimoṅ ke sāth aisā sulūk kyoṅ kar rahe haiṅ? |