87 | GEN 4:7 | Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.” |
145 | GEN 6:7 | Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.” |
411 | GEN 17:13 | Ghar ke har ek mard kā ḳhatnā karnā lāzim hai, ḳhāh wuh ghar meṅ paidā huā ho yā kisī ajnabī se ḳharīdā gayā ho. Yih is bāt kā nishān hogā ki merā tere sāth ahd hameshā tak qāym rahegā. |
793 | GEN 28:19 | Us ne maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. (Pahle sāth wāle shahr kā nām Lūz thā.) |
839 | GEN 30:8 | Rāḳhil ne kahā, “Maiṅ ne apnī bahan se saḳht kushtī laṛī hai, lekin jīt gaī hūṅ.” Us ne us kā nām Naftālī yānī ‘Kushtī meṅ Mujh se Jītā Gayā’ rakhā. |
921 | GEN 31:47 | Lāban ne us kā nām Yajr-shāhdūthā rakhā jabki Yāqūb ne Jal-ed rakhā. Donoṅ nāmoṅ kā matlab ‘Gawāhī kā Ḍher’ hai yānī wuh ḍher jo gawāhī detā hai. |
1019 | GEN 35:7 | Yāqūb ne wahāṅ qurbāngāh banā kar maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. Kyoṅki wahāṅ Allāh ne apne āp ko us par zāhir kiyā thā jab wuh apne bhāī se farār ho rahā thā. |
1108 | GEN 37:24 | Yūsuf ko gaṛhe meṅ phaiṅk diyā. Gaṛhā ḳhālī thā, us meṅ pānī nahīṅ thā. |
1159 | GEN 39:9 | Ghar ke intazām par un kā iḳhtiyār mere iḳhtiyār se zyādā nahīṅ hai. Āp ke siwā unhoṅ ne koī bhī chīz mujh se bāz nahīṅ rakhī. To phir maiṅ kis tarah itnā ġhalat kām karūṅ? Maiṅ kis tarah Allāh kā gunāh karūṅ?” |
1161 | GEN 39:11 | Ek din wuh kām karne ke lie ghar meṅ gayā. Ghar meṅ aur koī naukar nahīṅ thā. |
1239 | GEN 41:43 | Phir us ne use apne dūsre rath meṅ sawār kiyā aur log us ke āge āge pukārte rahe, “Ghuṭne ṭeko! Ghuṭne ṭeko!” Yoṅ Yūsuf pūre Misr kā hākim banā. |
1261 | GEN 42:8 | Go Yūsuf ne apne bhāiyoṅ ko pahchān liyā, lekin unhoṅ ne use na pahchānā. |
1565 | EXO 2:10 | Jab bachchā baṛā huā to us kī māṅ use Firaun kī beṭī ke pās le gaī, aur wuh us kā beṭā ban gayā. Firaun kī beṭī ne us kā nām Mūsā yānī ‘Nikālā Gayā’ rakh kar kahā, “Maiṅ use pānī se nikāl lāī hūṅ.” |
1724 | EXO 8:9 | Rab ne us kī duā sunī. Gharoṅ, sahnoṅ aur khetoṅ meṅ meṅḍak mar gae. |
1817 | EXO 11:10 | Go Mūsā aur Hārūn ne Firaun ke sāmne yih tamām mojize dikhāe, lekin Rab ne Firaun ko ziddī banāe rakhā, is lie us ne Isrāīliyoṅ ko mulk chhoṛne na diyā. |
1922 | EXO 15:1 | Tab Mūsā aur Isrāīliyoṅ ne Rab ke lie yih gīt gāyā, “Maiṅ Rab kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgā, kyoṅki wuh nihāyat azīm hai. Ghoṛe aur us ke sawār ko us ne samundar meṅ paṭaḳh diyā hai. |
1926 | EXO 15:5 | Gahre pānī ne unheṅ ḍhāṅk liyā, aur wuh patthar kī tarah samundar kī tah tak utar gae. |
1942 | EXO 15:21 | “Rab kī tamjīd meṅ gīt gāo, kyoṅki wuh nihāyat azīm hai. Ghoṛe aur us ke sawār ko us ne samundar meṅ paṭaḳh diyā hai.” |
2032 | EXO 19:5 | Chunāṅche agar tum merī suno aur mere ahd ke mutābiq chalo to phir tamām qaumoṅ meṅ se merī ḳhās milkiyat hoge. Go pūrī duniyā merī hī hai, |
2519 | EXO 34:22 | Gandum kī Fasal kī Kaṭāī kī Īd us waqt manānā jab tū gehūṅ kī pahlī fasal kāṭegā. Angūr aur Phal Jamā Karne kī Īd Isrāīlī sāl ke iḳhtitām par manānī hai. |
2875 | LEV 6:18 | “Hārūn aur us ke beṭoṅ ko gunāh kī qurbānī ke bāre meṅ zail kī hidāyāt denā: Gunāh kī qurbānī ko Rab ke sāmne wahīṅ zabah karnā hai jahāṅ bhasm hone wālī qurbānī zabah kī jātī hai. Wuh nihāyat muqaddas hai. |
2887 | LEV 7:7 | Gunāh aur qusūr kī qurbānī ke lie ek hī usūl hai, jo imām qurbānī ko pesh karke kaffārā detā hai us ko us kā gosht miltā hai. |
2895 | LEV 7:15 | Gosht usī din khāyā jāe jab jānwar ko zabah kiyā gayā ho. Aglī subah tak kuchh nahīṅ bachnā chāhie. |
2949 | LEV 8:31 | Mūsā ne un se kahā, “Gosht ko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ubāl kar use un roṭiyoṅ ke sāth khānā jo maḳhsūsiyat kī qurbāniyoṅ kī ṭokrī meṅ paṛī haiṅ. Kyoṅki Rab ne mujhe yihī hukm diyā hai. |
2950 | LEV 8:32 | Gosht aur roṭiyoṅ kā baqāyā jalā denā. |
3125 | LEV 14:13 | Phir wuh bheṛ ke is bachche ko ḳhaime ke darwāze par zabah kare jahāṅ gunāh kī qurbāniyāṅ aur bhasm hone wālī qurbāniyāṅ zabah kī jātī haiṅ. Gunāh kī qurbāniyoṅ kī tarah qusūr kī yih qurbānī imām kā hissā hai aur nihāyat muqaddas hai. |
3938 | NUM 7:87 | Sardāroṅ ne mil kar bhasm hone wālī qurbānī ke lie 12 jawān bail, 12 menḍhe aur bheṛ ke 12 yaksālā bachche un kī ġhallā kī nazaroṅ samet pesh kie. Gunāh kī qurbānī ke lie unhoṅ ne 12 bakre pesh kie |
4100 | NUM 13:24 | Us jagah kā nām us guchchhe ke sabab se jo Isrāīliyoṅ ne wahāṅ se kāṭ liyā Iskāl yānī Guchchhā rakhā gayā. |
4139 | NUM 14:30 | Go maiṅ ne hāth uṭhā kar qasam khāī thī ki maiṅ tujhe us meṅ basāūṅgā tum meṅ se koī bhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hogā. Sirf Kālib bin Yafunnā aur Yashua bin Nūn dāḳhil hoṅge. |
4401 | NUM 22:25 | Gadhī yih dekh kar chārdīwārī ke sāth sāth chalne lagī, aur Bilām kā pāṅw kuchlā gayā. Us ne use dubārā mārā. |
4406 | NUM 22:30 | Gadhī ne Bilām se kahā, “Kyā maiṅ āp kī gadhī nahīṅ hūṅ jis par āp āj tak sawār hote rahe haiṅ? Kyā mujhe kabhī aisā karne kī ādat thī?” Us ne kahā, “Nahīṅ.” |
4409 | NUM 22:33 | Gadhī tīn martabā mujhe dekh kar merī taraf se haṭ gaī. Agar wuh na haṭtī to tū us waqt halāk ho gayā hotā agarche maiṅ gadhī ko chhoṛ detā.” |
4601 | NUM 28:22 | Gunāh kī qurbānī ke taur par ek bakrā bhī pesh karnā tāki tumhārā kaffārā diyā jāe. |
4829 | NUM 34:11 | Riblā jo Ain ke mashriq meṅ hai aur Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl ke mashriq meṅ wāqe pahāṛī ilāqā. |
4994 | DEU 3:17 | Us kī maġhribī sarhad Dariyā-e-Yardan hai yānī Kinnarat (Galīl) kī Jhīl se le kar Bahīrā-e-Murdār tak jo Pisgā ke pahāṛī silsile ke dāman meṅ hai. |
5114 | DEU 7:1 | Rab terā Ḳhudā tujhe us mulk meṅ le jāegā jis par tū jā kar qabzā karegā. Wuh tere sāmne se bahut-sī qaumeṅ bhagā degā. Go yih sāt qaumeṅ yānī Hittī, Jirjāsī, Amorī, Kanānī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī tādād aur tāqat ke lihāz se tujh se baṛī hoṅgī |
5130 | DEU 7:17 | Go terā dil kahe, “Yih qaumeṅ ham se tāqatwar haiṅ. Ham kis tarah inheṅ nikāl sakte haiṅ?” |
5239 | DEU 11:29 | Jab Rab terā Ḳhudā tujhe us mulk meṅ le jāegā jis par tū qabzā karegā to lāzim hai ki Garizīm Pahāṛ par chaṛh kar barkat kā elān kare aur Aibāl Pahāṛ par lānat kā. |
5347 | DEU 16:3 | Gosht ke sāth beḳhamīrī roṭī khānā. Sāt din tak yihī roṭī khā, bilkul usī tarah jis tarah tū ne kiyā jab jaldī jaldī Misr se niklā. Musībat kī yih roṭī is lie khā tāki wuh din tere jīte-jī yād rahe jab tū Misr se rawānā huā. |
5599 | DEU 27:12 | “Dariyā-e-Yardan ko pār karne ke bād Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh, Ishkār, Yūsuf aur Binyamīn ke qabīle Garizīm Pahāṛ par khaṛe ho jāeṅ. Wahāṅ wuh barkat ke alfāz boleṅ. |
5620 | DEU 28:7 | Jab tere dushman tujh par hamlā kareṅge to wuh Rab kī madad se shikast khāeṅge. Go wuh mil kar tujh par hamlā kareṅ to bhī tū unheṅ chāroṅ taraf muntashir kar degā. |
5632 | DEU 28:19 | Ghar meṅ āte aur wahāṅ se nikalte waqt tujh par lānat hogī. |
5638 | DEU 28:25 | Jab tū apne dushmanoṅ kā sāmnā kare to Rab tujhe shikast dilāegā. Go tū mil kar un kī taraf baṛhegā to bhī un se bhāg kar chāroṅ taraf muntashir ho jāegā. Duniyā ke tamām mamālik meṅ logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge jab wuh terī musībateṅ dekheṅge. |
5653 | DEU 28:40 | Go tere pūre mulk meṅ zaitūn ke daraḳht hoṅge to bhī tū un kā tel istemāl nahīṅ kar sakegā, kyoṅki zaitūn ḳharāb ho kar zamīn par gir jāeṅge. |
5835 | DEU 33:23 | Naftālī kī Barkat: Naftālī Rab kī manzūrī se ser hai, use us kī pūrī barkat hāsil hai. Wuh Galīl kī Jhīl aur us ke junūb kā ilāqā mīrās meṅ pāegā. |
6037 | JOS 8:33 | Phir buzurgoṅ, nigahbānoṅ aur qāziyoṅ ke sāth mil kar tamām Isrāīlī do gurohoṅ meṅ taqsīm hue. Pardesī bhī un meṅ shāmil the. Ek guroh Garizīm Pahāṛ ke sāmne khaṛā huā aur dūsrā Aibāl Pahāṛ ke sāmne. Donoṅ guroh ek dūsre ke muqābil khaṛe rahe jabki Lāwī ke qabīle ke imām un ke darmiyān khaṛe hue. Unhoṅ ne Rab ke ahd kā sandūq uṭhā rakhā thā. Sab kuchh un hidāyāt ke ain mutābiq huā jo Rab ke ḳhādim Mūsā ne Isrāīliyoṅ ko barkat dene ke lie dī thīṅ. |
6111 | JOS 11:2 | Is ke alāwā us ne un bādshāhoṅ ko paiġhām bheje jo shimāl meṅ the yānī shimālī pahāṛī ilāqe meṅ, Wādī-e-Yardan ke us hisse meṅ jo Kinnarat yānī Galīl ke junūb meṅ hai, maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe meṅ, maġhrib meṅ wāqe Nāfat-dor meṅ |
6135 | JOS 12:3 | Is ke alāwā Sīhon kā qabzā Dariyā-e-Yardan ke pūre mashriqī kināre par Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl se le kar Bahīrā-e-Murdār ke pās shahr Bait-yasīmot tak balki us ke junūb meṅ pahāṛī silsile Pisgā ke dāman tak thā. |
6155 | JOS 12:23 | Nāfat-dor meṅ wāqe Dor, Jiljāl kā Goim |
6182 | JOS 13:26 | aur Hasbon ke bādshāh Sīhon kī bādshāhī kā bāqī shimālī hissā yānī Hasbon, Rāmatul-Misfāh aur Batūnīm ke darmiyān kā ilāqā aur Mahanāym aur Dabīr ke darmiyān kā ilāqā. Is ke alāwā Jad ko Wādī-e-Yardan kā wuh mashriqī hissā bhī mil gayā jo Bait-hāram, Bait-nimrā, Sukkāt aur Safon par mushtamil thā. Yoṅ us kī shimālī sarhad Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl kā junūbī kinārā thā. |
6381 | JOS 20:7 | Isrāīliyoṅ ne panāh ke yih shahr chun lie: Naftālī ke pahāṛī ilāqe meṅ Galīl kā Qādis, Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ Sikam aur Yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ Qiriyat-arbā yānī Habrūn. |
6415 | JOS 21:32 | Naftālī ke qabīle ne tīn shahr un kī charāgāhoṅ samet die: Galīl kā Qādis jis meṅ har wuh shaḳhs panāh le saktā thā jis se koī ġhairirādī taur par halāk huā thā, phir Hammāt-dor aur Qartān. |
6438 | JOS 22:10 | Yih mard chalte chalte Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ ek jagah pahuṅche jis kā nām Galīlot thā. Wahāṅ yānī Mulk-e-Kanān meṅ hī unhoṅ ne ek baṛī aur shāndār qurbāngāh banāī. |
6439 | JOS 22:11 | Isrāīliyoṅ ko ḳhabar dī gaī, “Rūbin, Jad aur Manassī ke ādhe qabīle ne Kanān kī sarhad par Galīlot meṅ qurbāngāh banā lī hai. Yih qurbāngāh Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ yānī hamāre hī ilāqe meṅ hai!” |
6486 | JOS 24:8 | Āḳhirkār maiṅ ne tumheṅ un Amoriyoṅ ke mulk meṅ pahuṅchāyā jo Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ ābād the. Go unhoṅ ne tum se jang kī, lekin maiṅ ne unheṅ tumhāre hāth meṅ kar diyā. Tumhāre āge āge chal kar maiṅ ne unheṅ nest-o-nābūd kar diyā, is lie tum un ke mulk par qabzā kar sake. |
6564 | JDG 2:17 | Lekin wuh un kī na sunte balki zinā karke dīgar mābūdoṅ ke pīchhe lage aur un kī pūjā karte rahte. Go un ke bāpdādā Rab ke ahkām ke tābe rahe the, lekin wuh ḳhud baṛī jaldī se us rāh se haṭ jāte jis par un ke bāpdādā chale the. |
6632 | JDG 5:7 | Dehāt kī zindagī Sūnī ho gaī. Gāṅw meṅ rahnā mushkil thā jab tak maiṅ, Daborā jo Isrāīl kī māṅ hūṅ khaṛī na huī. |
6676 | JDG 6:20 | Rab ke farishte ne kahā, “Gosht aur beḳhamīrī roṭī ko le kar is patthar par rakh de, phir shorbā us par unḍel de.” Jidāūn ne aisā hī kiyā. |
6763 | JDG 9:7 | Jab Yūtām ko is kī ittalā milī to wuh Garizīm Pahāṛ kī choṭī par chaṛh gayā aur ūṅchī āwāz se chillāyā, “Ai Sikam ke bāshindo, suneṅ merī bāt! Suneṅ agar āp chāhte haiṅ ki Allāh āp kī bhī sune. |
6889 | JDG 13:3 | Ek din Rab kā farishtā Manohā kī bīwī par zāhir huā aur kahā, “Go tujh se bachche paidā nahīṅ ho sakte, ab tū hāmilā hogī, aur tere beṭā paidā hogā. |
6947 | JDG 15:16 | Us waqt us ne nārā lagāyā, “Gadhe ke jabṛe se maiṅ ne un ke ḍher lagāe haiṅ! Gadhe ke jabṛe se maiṅ ne hazār mardoṅ ko mār ḍālā hai!” |
7045 | JDG 19:19 | hālāṅki hamāre pās khāne kī tamām chīzeṅ maujūd haiṅ. Gadhoṅ ke lie bhūsā aur chārā hai, aur hamāre lie bhī kāfī roṭī aur mai hai. Hameṅ kisī bhī chīz kī zarūrat nahīṅ hai.” |
7164 | RUT 2:13 | Rūt ne kahā, “Mere āqā, Allāh kare ki maiṅ āindā bhī āp kī manzūr-e-nazar rahūṅ. Go maiṅ āp kī naukarāniyoṅ kī haisiyat bhī nahīṅ rakhtī to bhī āp ne mujh se shafqat bharī bāteṅ karke mujhe tasallī dī hai.” |
7245 | 1SA 2:3 | Ḍīṅgeṅ mārne se bāz āo! Gustāḳh bāteṅ mat bako! Kyoṅki Rab aisā Ḳhudā hai jo sab kuchh jāntā hai, wuh tamām āmāl ko tol kar parakhtā hai. |
7270 | 1SA 2:28 | Go Isrāīl ke bārah qabīle the lekin maiṅ ne muqarrar kiyā ki usī ke gharāne ke mard mere imām ban kar qurbāngāh ke sāmne ḳhidmat kareṅ, baḳhūr jalāeṅ aur mere huzūr imām kā bālāposh pahneṅ. Sāth sāth maiṅ ne unheṅ qurbāngāh par jalne wālī qurbāniyoṅ kā ek hissā milne kā haq de diyā. |
7340 | 1SA 6:7 | Ab bailgāṛī banā kar us ke āge do gāeṅ joteṅ. Aisī gāeṅ hoṅ jin ke dūdh pīne wāle bachche hoṅ aur jin par ab tak juā na rakhā gayā ho. Gāyoṅ ko bailgāṛī ke āge joteṅ, lekin un ke bachchoṅ ko sāth jāne na deṅ balki unheṅ kahīṅ band rakheṅ. |
7479 | 1SA 12:17 | Is waqt gandum kī kaṭāī kā mausam hai. Go in dinoṅ meṅ bārish nahīṅ hotī, lekin maiṅ duā karūṅga to Rab garajte bādal aur bārish bhejegā. Tab āp jān leṅge ki āp ne bādshāh kā taqāzā karte hue Rab ke nazdīk kitnī burī bāt kī hai.” |
7807 | 1SA 22:17 | Us ne sāth khaṛe apne muhāfizoṅ ko hukm diyā, “Jā kar imāmoṅ ko mār do, kyoṅki yih bhī Dāūd ke ittahādī haiṅ. Go in ko mālūm thā ki Dāūd mujh se bhāg rahā hai to bhī inhoṅ ne mujhe ittalā na dī.” Lekin muhāfizoṅ ne Rab ke imāmoṅ ko mār ḍālne se inkār kiyā. |
7895 | 1SA 25:31 | to koī aisī bāt sāmne nahīṅ āegī jo ṭhokar kā bāis ho. Mere āqā kā zamīr sāf hogā, kyoṅki āp badlā le kar qātil nahīṅ bane hoṅge. Guzārish hai ki jab Rab āp ko kāmyābī de to apnī ḳhādimā ko bhī yād kareṅ.” |
7927 | 1SA 26:19 | Guzārish hai ki merā āqā aur bādshāh apne ḳhādim kī bāt sune. Agar Rab ne āp ko mere ḳhilāf uksāyā ho to wuh merī ġhallā kī nazar qabūl kare. Lekin agar insān is ke pīchhe haiṅ to Rab ke sāmne un par lānat! Apnī harkatoṅ se unhoṅ ne mujhe merī maurūsī zamīn se nikāl diyā hai aur natīje meṅ maiṅ Rab kī qaum meṅ nahīṅ rah saktā. Haqīqat meṅ wuh kah rahe haiṅ, ‘Jāo, dīgar mābūdoṅ kī pūjā karo!’ |
8043 | 2SA 1:18 | Us ne hidāyat dī ki Yahūdāh ke tamām bāshinde yih gīt yād kareṅ. Gīt kā nām ‘Kamān kā Gīt’ hai aur ‘Yāshar kī Kitāb’ meṅ darj hai. Gīt yih hai, |
8128 | 2SA 4:5 | Ek din Rimmon Bairotī ke beṭe Raikāb aur Bānā dopahar ke waqt Ishbosat ke ghar gae. Garmī urūj par thī, is lie Ishbosat ārām kar rahā thā. |
8306 | 2SA 12:17 | Ghar ke buzurg us ke irdgird khaṛe koshish karte rahe ki wuh farsh se uṭh jāe, lekin befāydā. Wuh un ke sāth khāne ke lie bhī taiyār nahīṅ thā. |
8415 | 2SA 15:23 | Āḳhir meṅ Dāūd ne Wādī-e-Qidron ko pār karke registān kī taraf ruḳh kiyā. Gird-o-nawāh ke tamām log bādshāh ko us ke pairokāroṅ samet rawānā hote hue dekh kar phūṭ phūṭ kar rone lage. |
8431 | 2SA 16:2 | Bādshāh ne pūchhā, “Āp in chīzoṅ ke sāth kyā karnā chāhte haiṅ?” Zībā ne jawāb diyā, “Gadhe bādshāh ke ḳhāndān ke lie haiṅ, wuh in par baiṭh kar safr kareṅ. Roṭī aur phal jawānoṅ ke lie haiṅ, aur mai un ke lie jo registān meṅ chalte chalte thak jāeṅ.” |
8549 | 2SA 19:36 | Merī umr 80 sāl hai. Na maiṅ achchhī aur burī chīzoṅ meṅ imtiyāz kar saktā, na mujhe khāne-pīne kī chīzoṅ kā mazā ātā hai. Gīt gāne wāloṅ kī āwāzeṅ bhī mujh se sunī nahīṅ jātīṅ. Nahīṅ mere āqā aur bādshāh, agar maiṅ āp ke sāth jāūṅ to āp ke lie sirf bojh kā bāis hūṅgā. |
8799 | 1KI 2:26 | Abiyātar Imām se bādshāh ne kahā, “Ab yahāṅ se chale jāeṅ. Anatot meṅ apne ghar meṅ raheṅ aur wahāṅ apnī zamīneṅ saṅbhāleṅ. Go āp sazā-e-maut ke lāyq haiṅ to bhī maiṅ is waqt āp ko nahīṅ mār dūṅgā, kyoṅki āp mere bāp Dāūd ke sāmne Rab Qādir-e-mutlaq ke ahd kā sandūq uṭhāe har jagah un ke sāth gae. Āp mere bāp ke tamām taklīfdeh aur mushkiltarīn lamhāt meṅ sharīk rahe haiṅ.” |
8884 | 1KI 5:17 | “Āp jānte haiṅ ki mere bāp Dāūd Rab apne Ḳhudā ke nām ke lie ghar tāmīr karnā chāhte the. Lekin yih un ke bas kī bāt nahīṅ thī, kyoṅki un ke jīte-jī irdgird ke mamālik un se jang karte rahe. Go Rab ne Dāūd ko tamām dushmanoṅ par fatah baḳhshī thī, lekin laṛte laṛte wuh Rab kā ghar na banā sake. |
8968 | 1KI 7:31 | Frem ke andar jis jagah bāsan ko rakhā jātā thā wuh gol thī. Us kī ūṅchāī ḍeṛh fuṭ thī, aur us kā muṅh sawā do fuṭ chauṛā thā. Us ke bairūnī pahlū par chīzeṅ kandā kī gaī thīṅ. Gāṛī kā frem gol nahīṅ balki chauras thā. |
8969 | 1KI 7:32 | Gāṛī ke frem ke nīche mazkūrā chār pahie the jo dhuroṅ se juṛe the. Dhure frem ke sāth hī ḍhal gae the. Har pahiyā sawā do fuṭ chauṛā thā. |
8971 | 1KI 7:34 | Gāṛiyoṅ ke chār konoṅ par daste lage the jo frem ke sāth mil kar ḍhāle gae the. |
9065 | 1KI 9:11 | Us daurān Sūr kā bādshāh Hīrām Sulemān ko deodār aur jūnīpar kī utnī lakaṛī aur utnā sonā bhejtā rahā jitnā Sulemān chāhtā thā. Jab imārateṅ takmīl tak pahuṅch gaīṅ to Sulemān ne Hīrām ko muāwaze meṅ Galīl ke 20 shahr de die. |
9066 | 1KI 9:12 | Lekin jab Hīrām un kā muāynā karne ke lie Sūr se Galīl āyā to wuh use pasand na āe. |
9121 | 1KI 11:10 | Go us ne use dīgar mābūdoṅ kī pūjā karne se sāf manā kiyā thā to bhī Sulemān ne us kā hukm na mānā. |
9209 | 1KI 13:22 | Go us ne farmāyā thā ki yahāṅ na kuchh khā aur na kuchh pī to bhī tū ne wāpas ā kar yahāṅ roṭī khāī aur pānī piyā hai. Is lie marte waqt tujhe tere bāpdādā kī qabr meṅ dafnāyā nahīṅ jāegā.’” |
9255 | 1KI 15:3 | Abiyāh se wuhī gunāh sarzad hue jo us ke bāp ne kie the, aur wuh pūre dil se Rab apne Ḳhudā kā wafādār na rahā. Go wuh is meṅ apne pardādā Dāūd se farq thā |
9271 | 1KI 15:19 | “Merā āp ke sāth ahd hai jis tarah mere bāp kā āp ke bāp ke sāth ahd thā. Guzārish hai ki āp sone-chāṅdī kā yih tohfā qabūl karke Isrāīl ke bādshāh Bāshā ke sāth apnā ahd mansūḳh kar deṅ tāki wuh mere mulk se nikal jāe.” |
9382 | 1KI 18:38 | Achānak āsmān se Rab kī āg nāzil huī. Āg ne na sirf qurbānī aur lakaṛī ko bhasm kar diyā balki qurbāngāh ke pattharoṅ aur us ke nīche kī miṭṭī ko bhī. Gaṛhe meṅ pānī bhī ek dam sūkh gayā. |
9388 | 1KI 18:44 | Āḳhirkār jab naukar sātwīṅ dafā gayā to us ne wāpas ā kar ittalā dī, “Ek chhoṭā-sā bādal samundar meṅ se nikal kar ūpar chaṛh rahā hai. Wuh ādmī ke hāth ke barābar hai.” Tab Iliyās ne hukm diyā, “Jāo, Aḳhiyab ko ittalā do, ‘Ghoṛoṅ ko fauran rath meṅ jot kar ghar chale jāeṅ, warnā bārish āp ko rok legī.’” |
9460 | 1KI 21:6 | Aḳhiyab ne jawāb diyā, “Yazrael kā rahne wālā Nabot mujhe angūr kā bāġh nahīṅ denā chāhtā. Go maiṅ use paise denā chāhtā thā balki use is kī jagah koī aur bāġh dene ke lie taiyār thā to bhī wuh bazid rahā.” |
9597 | 2KI 3:17 | Go tum na hawā aur na bārish dekhoge to bhī wādī pānī se bhar jāegī. Pānī itnā hogā ki tum, tumhāre rewaṛ aur bāqī tamām jānwar pī sakeṅge. |
9631 | 2KI 4:24 | Gadhī par zīn kas kar us ne naukar ko hukm diyā, “Gadhī ko tez chalā tāki ham jaldī pahuṅch jāeṅ. Jab maiṅ kahūṅgī tab hī ruknā hai, warnā nahīṅ.” |
9721 | 2KI 7:10 | Chunāṅche wuh shahr ke darwāze ke pās gae aur pahredāroṅ ko āwāz de kar unheṅ sab kuchh sunāyā, “Ham Shām kī lashkargāh meṅ gae to wahāṅ na koī dikhāī diyā, na kisī kī āwāz sunāī dī. Ghoṛe aur gadhe bandhe hue the aur ḳhaime tartīb se khaṛe the, lekin ādmī ek bhī maujūd nahīṅ thā!” |
9723 | 2KI 7:12 | Go rāt kā waqt thā to bhī bādshāh ne uṭh kar apne afsaroṅ ko bulāyā aur kahā, “Maiṅ āp ko batātā hūṅ ki Shām ke faujī kyā kar rahe haiṅ. Wuh to ḳhūb jānte haiṅ ki ham bhūke mar rahe haiṅ. Ab wuh apnī lashkargāh ko chhoṛ kar khule maidān meṅ chhup gae haiṅ, kyoṅki wuh samajhte haiṅ ki Isrāīlī ḳhālī lashkargāh ko dekh kar shahr se zarūr nikleṅge aur phir ham unheṅ zindā pakaṛ kar shahr meṅ dāḳhil ho jāeṅge.” |
9736 | 2KI 8:5 | Aur ab jab Jaihāzī sunā rahā thā ki Ilīshā ne murdā laṛke ko kis tarah zindā kar diyā to us kī māṅ andar ā kar bādshāh se iltamās karne lagī, “Ghar aur zamīn wāpas milne meṅ merī madad kījie.” Use dekh kar Jaihāzī ne bādshāh se kahā, “Mere āqā aur bādshāh, yih wuhī aurat hai aur yih us kā wuhī beṭā hai jise Ilīshā ne zindā kar diyā thā.” |
9778 | 2KI 9:18 | Ghuṛsawār shahr se niklā aur Yāhū ke pās ā kar kahā, “Bādshāh pūchhte haiṅ ki kyā sab ḳhairiyat hai?” Yāhū ne jawāb diyā, “Is se āp kā kyā wāstā? Āeṅ, mere pīchhe ho leṅ.” Burj par ke pahredār ne bādshāh ko ittalā dī, “Qāsid un tak pahuṅch gayā hai, lekin wuh wāpas nahīṅ ā rahā.” |
9958 | 2KI 15:29 | Fiqah ke daur-e-hukūmat meṅ Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar ne Isrāīl par hamlā kiyā. Zail ke tamām shahr us ke qabze meṅ ā gae: Aiyyūn, Abīl-bait-mākā, Yānūh, Qādis aur Hasūr. Jiliyād aur Galīl ke ilāqe bhī Naftālī ke pūre qabāylī ilāqe samet us kī girift meṅ ā gae. Asūr kā bādshāh in tamām jaghoṅ meṅ ābād logoṅ ko giriftār karke apne mulk Asūr le gayā. |
10045 | 2KI 18:17 | Phir bhī Asūr kā bādshāh mutma'in na huā. Us ne apne sab se ālā afsaroṅ ko baṛī fauj ke sāth Lakīs se Yarūshalam ko bhejā. (Un kī apnī zabān meṅ afsaroṅ ke ohdoṅ ke nām Tartān, Rab-sāris aur Rabshāqī the.) Yarūshalam pahuṅch kar wuh us nāle ke pās ruk gae jo pānī ko ūpar wāle tālāb tak pahuṅchātā hai. (Yih tālāb us rāste par hai jo Dhobiyoṅ ke Ghāṭ tak le jātā hai.) |
10180 | 2KI 23:11 | Ghoṛe ke jo mujassame Yahūdāh ke bādshāhoṅ ne Sūraj Dewatā kī tāzīm meṅ khaṛe kie the unheṅ bhī Yūsiyāh ne girā diyā aur un ke rathoṅ ko jalā diyā. Yih ghoṛe Rab ke ghar ke sahan meṅ darwāze ke sāth khaṛe the, wahāṅ jahāṅ darbārī afsar banām Nātan-malik kā kamrā thā. |
10534 | 1CH 6:61 | Aur Naftālī ke qabīle se Galīl kā Qādis, Hammūn aur Qiriyatāym. |