Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   H    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

42  GEN 2:11  Pahshāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahhai jahāṅ hālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmar pāe jāte haiṅ.
58  GEN 3:2  Aurat ne jawāb diyā,Hargiz nahīṅ. Ham bāġh har phal khā sakte haiṅ,
76  GEN 3:20  Ādam ne apnī bīwī kā nām Hawwā yānī Zindagī rakhā, kyoṅki bād meṅ wuh tamām zindoṅ kī māṅ ban gaī.
81  GEN 4:1  Ādam Hawwā se hambistar hto un kā pahbeṭā Qābīl paidā huā. Hawwā ne kahā, “Rab kī madad se maiṅ ne ek mard hāsil kiyā hai.”
82  GEN 4:2  Bād meṅ Qābīl kā bhāī Hābīl paidā huā. Hābīl bheṛ-bakriyoṅ charwāhā ban gayā jabki Qābīl khetībāṛī karne lagā.
84  GEN 4:4  Hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā, lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ ke kuchh pahlauṭhe un kī charbī samet chaṛhāe. Hābīl kā nazarānā Rab ko pasand āyā,
88  GEN 4:8  Ek din Qābīl ne apne bhāī se kahā, “Āo, ham har khule maidān meṅ chaleṅ.” Aur jab wuh khule maidān meṅ the to Qābīl ne apne bhāī Hābīl par hamlā karke use mār ḍālā.
89  GEN 4:9  Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?”
95  GEN 4:15  Lekin Rab ne us se kahā, Hargiz nahīṅ. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā.” Phir Rab ne us par ek nishān lagāyā tāki jo bhī Qābīl ko dekhe wuh use qatl na kar de.
97  GEN 4:17  Qābīl kī bīwī hāmilā huī. Beṭā paidā hjis kā nām Hanūk rakhā gayā. Qābīl ne ek shahr tāmīr kiyā aur apne beṭe kīhushī meṅ us kā nām Hanūk rakhā.
98  GEN 4:18  Hanūk kā beṭā Īrād thā, Īrād kā beṭā Mahūyāel, Mahūyāel kā beṭā Matūsāel aur Matūsāel kā beṭā Lamak thā.
105  GEN 4:25  Ādam aur Hawwā kā ek aur beṭā paidā huā. Hawwā ne us kā nām Set rakh kar kahā, “Allāh ne mujhe Hābīl jagah jise Qābīl ne qatl kiyā ek aur beṭā baḳhshā hai.”
124  GEN 5:18  Yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭā Hanūk paidā huā.
127  GEN 5:21  Hanūk 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Matūsilah paidā huā.
130  GEN 5:24  Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā.
135  GEN 5:29  Us ne us kā nāmh yānī Tasallī rakhā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ kahā, Hamārā khetībāṛī kā kām nihāyat taklīfdeh hai, is lie ki Allāh ne zamīn par lānat bhejī hai. Lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallī pāeṅge.”
138  GEN 5:32  h 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue.
148  GEN 6:10  h ke tīn beṭe the, Sim, Hām aur Yāfat.
157  GEN 6:19  Har qism ke jānwar kā ek nar aur ek mādā bhī apne sāth kashmeṅ le jānā tāki wuh tere sāth jīte bacheṅ.
158  GEN 6:20  Har qism ke par rakhne wāle jānwar aur har qism ke zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar do do ho kar tere pās āeṅge tāki jīte bach jāeṅ.
162  GEN 7:2  Har qism ke pāk jānwaroṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛe jabki nāpāk jānwaroṅ meṅ se nar-o-mādā kā sirf ek ek joṛā sāth le jānā.
173  GEN 7:13  Jab bārish shurū htoh, us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat, us kī bīwī aur bahueṅ kashmeṅ sawār ho chuke the.
175  GEN 7:15  Har qism ke jāndār do do ho karh ke pās ā kar kashmeṅ sawār ho chuke the.
224  GEN 9:18  h ke jo beṭe us ke sāth kashse nikle Sim, Hām aur Yāfat the. Hām Kanān kā bāp thā.
228  GEN 9:22  Kanān ke bāp Hām ne use yoṅ paṛā hdekhā tohar jā kar apne donoṅ bhāiyoṅ ko us ke bāre meṅ batāyā.
236  GEN 10:1  Yih h ke beṭoṅ Sim, Hām aur Yāfat kā nasabnāmā hai. Un ke beṭe sailāb ke bād paidā hue.
241  GEN 10:6  Hām ke beṭe Kūsh, Misr, Fūt aur Kanān the.
242  GEN 10:7  Kūsh ke beṭe Sibā, Hawīlā, Sabtā, Rāmā aur Sabtakā the. Rāmā ke beṭe Sabā aur Dadān the.
250  GEN 10:15  Kanān kā pahlauṭhā Saidā thā. Kanān zail kī qaumoṅ kā bāp bhī thā: Hittī
252  GEN 10:17  Hiwwī, Arqī, Sīnī,
253  GEN 10:18  Arwādī, Samārī aur Hamātī. Bād meṅ Kanānī qabīle itne phail gae
255  GEN 10:20  Yih sab Hām kī aulād haiṅ, jo un ke apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ.
258  GEN 10:23  Arām ke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Mas the.
261  GEN 10:26  Yuqtān ke beṭe Almūdād, Salaf, Hasarmāwat, Irāḳh,
262  GEN 10:27  Hadūrām, Ūzāl, Diqlā,
264  GEN 10:29  Ofīr, Hawīlā aur Yūbāb the. Yih sab Yuqtān ke beṭe the.
293  GEN 11:26  Tārah 70 sāl kā thā jab us ke beṭe Abrām, Nahūr aur Hārān paidā hue.
294  GEN 11:27  Yih Tārah kā nasabnāmā hai: Abrām, Nahūr aur Hārān Tārah ke beṭe the. Lūt Hārān kā beṭā thā.
295  GEN 11:28  Apne bāp Tārah kī zindagī meṅ hī Hārān Kasdiyoṅ ke Ūr meṅ intaqāl kar gayā jahāṅ wuh paidā bhī hthā.
296  GEN 11:29  Bāqī donoṅ beṭoṅ kī shādī huī. Abrām kī bīwī kā nām Sāray thā aur Nahūr kī bīwī kā nām Milkāh. Milkāh Hārān kī beṭī thī, aur us kī ek bahan banām Iskā thī.
298  GEN 11:31  Tārah Kasdiyoṅ ke Ūr se rawānā ho kar Mulk-e-Kanān kī taraf safr karne lagā. Us ke sāth us kā beṭā Abrām, us kā potā Lūt yānī Hārān kā beṭā aur us kī bahū Sāray the. Jab wuh Hārān pahuṅche to wahāṅ ābād ho gae.
299  GEN 11:32  Tārah 205 sāl kā thā jab us ne Hārān meṅ wafāt pāī.
303  GEN 12:4  Abrām ne Rab kī sunī aur Hārān se rawānā huā. Lūt us ke sāth thā. Us waqt Abrām 75 sāl kā thā.
304  GEN 12:5  Us ke sāth us kī bīwī Sāray aur us kā bhatījā Lūt the. Wuh apne naukar-chākaroṅ samet apnī pūrī milkiyat bhī sāth le gayā jo us ne Hārān meṅ hāsil thī. Chalte chalte wuh Kanān pahuṅche.
327  GEN 13:8  Tab Abrām ne Lūt se bāt kī, “Aisā nahīṅ honā chāhie ki tere aur mere darmiyān jhagaṛā ho yā tere charwāhoṅ aur mere charwāhoṅ ke darmiyān. Ham to bhāī haiṅ.
337  GEN 13:18  Abrām rawānā huā. Chalte chalte us ne apne ḍere Habrūn ke qarīb Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās lagāe. Wahāṅ us ne Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī.
342  GEN 14:5  Ab ek sāl ke bād Kidarlāumar aur us ke ittahādī apnī faujoṅ ke sāth āe. Pahle unhoṅ ne Astārāt-qarnaim meṅ Rafāiyoṅ ko, Hām meṅ Zūziyoṅ ko, Sawī-qiriyatāym meṅ Aimiyoṅ ko
343  GEN 14:6  aur Horiyoṅ ko un ke pahāṛī ilāqe Saīr meṅ shikast dī. Yoṅ wuh El-fārān tak pahuṅch gae jo registān ke kināre par hai.
344  GEN 14:7  Phir wuh wāpas āe aur Ain-misfāt yānī Qādis pahuṅche. Unhoṅ ne Amālīqiyoṅ ke pūre ilāqe ko tabāh kar diyā aur Hassūn-tamr meṅ ābād Amoriyoṅ ko bhī shikast dī.
381  GEN 15:20  Hittī, Farizzī, Rafāī,
383  GEN 16:1  Ab tak Abrām kī bīwī Sāray ke koī bachchā nahīṅ hthā. Lekin unhoṅ ne ek Misrī launḍī rakhī thī jis kā nām Hājirā thā,
385  GEN 16:3  Chunāṅche Sāray ne apnī Misrī launḍī Hājirā ko apne shauhar Abrām ko de diyā tāki wuh us kī bīwī ban jāe us waqt Abrām ko Kanān meṅ baste hue das sāl ho gae the.
386  GEN 16:4  Abrām Hājirā se hambistar hto wuh ummīd se ho gaī. Jab Hājirā ko yih mālūm hto wuh apnī mālikan ko haqīr jānane lagī.
388  GEN 16:6  Abrām ne jawāb diyā, “Dekho, yih tumhārī launḍī hai aur tumhāre iḳhtiyār meṅ hai. Jo tumhārā chāhe us ke sāth karo.” Is par Sāray us se itnā burā sulūk karne lagī ki Hājirā farār ho gaī.
389  GEN 16:7  Rab ke farishte ko Hājirā registān ke us chashme ke qarīb milī jo Shūr ke rāste par hai.
390  GEN 16:8  Us ne kahā, “Sāray kī launḍī Hājirā, kahāṅ se ā rahī hai aur kahāṅ rahī hai?” Hājirā ne jawāb diyā, “Maiṅ apnī mālikan Sāray se farār ho rahī hūṅ.”
393  GEN 16:11  Rab ke farishte ne mazīd kahā, “Tū ummīd se hai. Ek beṭā paidā hogā. Us kā nām Ismāīl yānī ‘Allāh Suntā Hai’ rakh, kyoṅki Rab ne musībat meṅ terī āwāz sunī.
395  GEN 16:13  Rab ke us ke sāth bāt karne ke bād Hājirā ne us kā nām Attā-el-roī yānī ‘Tū Ek Mābūd Hai Jo Mujhe DeḳhHai’ rakhā. Us ne kahā, “Kyā maiṅ ne wāqaī us ke pīchhe dekhā hai jis ne mujhe dekhā hai?”
396  GEN 16:14  Is lie us jagah ke kueṅ kā nām ‘Bair-lahī-roī’ yānī ‘Us Zindā Hastī kā Kuāṅ Jo Mujhe DeḳhHai’ paṛ gayā. Wuh Qādis aur Barad ke darmiyān wāqe hai.
397  GEN 16:15  Hājirā wāpas gaī, aur us ke beṭā paidā huā. Abrām ne us kā nām Ismāīl rakhā.
416  GEN 17:18  Us ne Allāh se kahā, Hāṅ, Ismāīl hī tere sāmne jītā rahe.”
417  GEN 17:19  Allāh ne kahā, “Nahīṅ, terī bīwī Sārā ke hāṅ beṭā paidā hogā. Tū us kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhnā. Maiṅ us ke aur us kī aulād ke sāth abadī ahd bāndhūṅgā.
449  GEN 18:24  Ho saktā hai ki shahr meṅ 50 rāstbāz hoṅ. Kyā tū phir bhī shahr ko barbād kar degā aur use un 50 ke sabab se muāf nahīṅ karegā?
502  GEN 20:6  Allāh ne kahā, Hāṅ, maiṅ jāntā hūṅ ki is meṅ terī nīyat achchhī thī. Is lie maiṅ ne tujhe merā gunāh karne aur use chhūne se rok diyā.
508  GEN 20:12  Haqīqat meṅ wuh merī bahan bhī hai. Wuh mere bāp kī beṭī hai agarche us kī aur merī māṅ farq haiṅ. Yoṅ maiṅ us se shādī kar sakā.
517  GEN 21:3  Ibrāhīm ne apne is beṭe kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhā.
523  GEN 21:9  Ek din Sārā ne dekhā ki Misrī launḍī Hājirā kā beṭā Ismāīl Is'hāq kā mazāq uṛā rahā hai.
528  GEN 21:14  Ibrāhīm subah-sawere uṭhā. Us ne roṭī aur pānī kī mashk Hājirā ke kandhoṅ par rakh kar use laṛke ke sāth ghar se nikāl diyā. Hājirā chalte chalte Bair-sabā ke registān meṅ idhar-udhar phirne lagī.
529  GEN 21:15  Phir pānīhatm ho gayā. Hājirā laṛke ko kisī jhāṛī ke nīche chhoṛ kar
531  GEN 21:17  Lekin Allāh ne beṭe kī rotī hāwāz sun lī. Allāh ke farishte ne āsmān par se pukār kar Hājirā se bāt kī,Hājirā, kyā bāt hai? Mat ḍar, kyoṅki Allāh ne laṛke kā jo wahāṅ paṛā hai ronā sun liyā hai.
533  GEN 21:19  Phir Allāh ne Hājirā āṅkheṅ khol dīṅ, aur us kī nazar ek kueṅ par paṛī. Wuh wahāṅ gaī aur mashk ko pānī se bhar kar laṛke ko pilāyā.
570  GEN 22:22  Kasad, Hazū, Fildās, Idlāf aur Batuel paidā hue haiṅ.”
573  GEN 23:1  Sārā 127 sāl kī umr meṅ Habrūn meṅ intaqāl kar gaī.
574  GEN 23:2  Us zamāne meṅ Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā, aur wuh Mulk-e-Kanān meṅ thā. Ibrāhīm ne us ke pās ā kar mātam kiyā.
575  GEN 23:3  Phir wuh janāze ke pās se uṭhā aur Hittiyoṅ se bāt kī. Us ne kahā,
577  GEN 23:5  Hittiyoṅ ne jawāb diyā,Hamāre āqā, hamārī bāt suneṅ! Āp hamāre darmiyān Allāh ke ra'īs haiṅ. Apnī bīwī ko hamārī behtarīn qabr meṅ dafn kareṅ. Ham meṅ se koī nahīṅ jo āp se apnī qabr kā inkār karegā.”
579  GEN 23:7  Ibrāhīm uṭhā aur mulk ke bāshindoṅ yānī Hittiyoṅ ke sāmne tāzīman jhuk gayā.
582  GEN 23:10  Ifron Hittiyoṅ kī jamāt meṅ maujūd thā. Ibrāhīm darḳhāst par us ne un tamām Hittiyoṅ ke sāmne jo shahr ke darwāze par jamā the jawāb diyā,
590  GEN 23:18  Hittiyoṅ kī pūrī jamāt ne jo shahr ke darwāze par jamā thī zamīn ke intaqāl kī tasdīq kī.
591  GEN 23:19  Phir Ibrāhīm ne apnī bīwī Sārā ko Mulk-e-Kanān ke us ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre yānī Habrūn ke mashriq meṅ wāqe Makfīlā ke khet meṅ thā.
592  GEN 23:20  Is tarīqe se yih khet aur us kā ġhār Hittiyoṅ se Ibrāhīm ke nām par muntaqil kar diyā gayā tāki us ke pās qabr ho.
617  GEN 24:25  Hamāre pās bhūsā aur chārā hai. Rāt guzārne ke lie bhī kāfī jagah hai.”
652  GEN 24:60  Pahle unhoṅ ne Ribqā ko barkat de kar kahā, Hamārī bahan, Allāh kare ki tū karoṛoṅ kī māṅ bane. Terī aulād apne dushmanoṅ ke shahroṅ ke darwāzoṅ par qabzā kare.”
663  GEN 25:4  Midiyān ke beṭe Aifā, Ifar, Hanūk, Abīdā aur Ilda'ā the. Yih sab Qatūrā kī aulād the.
668  GEN 25:9  Us ke beṭoṅ Is'hāq aur Ismāīl ne use Makfīlā ke ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre ke mashriq meṅ hai. Yih wuhī ġhār thā jise khet samet Hittī ādmī Ifron bin Suhar seharīdā gayā thā. Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā donoṅ ko us meṅ dafn kiyā gayā.
671  GEN 25:12  Ibrāhīm kā beṭā Ismāīl jo Sārā kī Misrī launḍī Hājirā ke hāṅ paidā hus kā nasabnāmā yih hai.
674  GEN 25:15  Hadad, Taimā, Yatūr, Nafīs aur Qidmā.
677  GEN 25:18  Us kī aulād us ilāqe meṅ ābād thī jo Hawīlā aur Shūr ke darmiyān hai aur jo Misr ke mashriq meṅ Asūr kī taraf hai. Yoṅ Ismāīl apne tamām bhāiyoṅ ke sāmne hī ābād huā.
721  GEN 26:28  Unhoṅ ne jawāb diyā,Ham ne jān liyā hai ki Rab āp ke sāth hai. Is lie ham ne kahā ki hamārā āp ke sāth ahd honā chāhie. Āie ham qasam khā kar ek dūsre se ahd bāndheṅ
725  GEN 26:32  Usī din Is'hāq ke naukar āe aur use us kueṅ ke bāre meṅ ittalā dī jo unhoṅ ne khodā thā. Unhoṅ ne kahā, Hameṅ pānī mil gayā hai.”
727  GEN 26:34  Jab Esau 40 sāl kā thā to us ne do Hittī auratoṅ se shādī kī, Bairī kī beṭī Yahūdit se aur Ailon kī beṭī Bāsamat se.
771  GEN 27:43  Beṭā, ab merī suno, yahāṅ se hijrat kar jāo. Hārān Shahr meṅ mere bhāī Lāban ke pās chale jāo.