11 | GEN 1:11 | Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paidā kare, aise paude jo bīj rakhte hoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” Aisā hī huā. |
12 | GEN 1:12 | Zamīn ne hariyāwal paidā kī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
24 | GEN 1:24 | Allāh ne kahā, “Zamīn har qism ke jāndār paidā kare: maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar.” Aisā hī huā. |
76 | GEN 3:20 | Ādam ne apnī bīwī kā nām Hawwā yānī Zindagī rakhā, kyoṅki bād meṅ wuh tamām zindoṅ kī māṅ ban gaī. |
99 | GEN 4:19 | Lamak kī do bīwiyāṅ thīṅ, Adā aur Zillā. |
102 | GEN 4:22 | Zillā ke bhī beṭā paidā huā jis kā nām Tūbal-qābīl thā. Wuh lohār thā. Us kī nasl ke log pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the. Tūbal-qābīl kī bahan kā nām Nāmā thā. |
103 | GEN 4:23 | Ek din Lamak ne apnī bīwiyoṅ se kahā, “Adā aur Zillā, merī bāt suno! Lamak kī bīwiyo, mere alfāz par ġhaur karo! |
107 | GEN 5:1 | Zail meṅ Ādam kā nasabnāmā darj hai. Jab Allāh ne insān ko ḳhalaq kiyā to us ne use apnī sūrat par banāyā. |
155 | GEN 6:17 | Maiṅ pānī kā itnā baṛā sailāb lāūṅgā ki wuh zamīn ke tamām jāndāroṅ ko halāk kar ḍālegā. Zamīn par sab kuchh fanā ho jāegā. |
168 | GEN 7:8 | Zamīn par phirne wāle pāk aur nāpāk jānwar, par rakhne wāle aur tamām reṅgne wāle jānwar bhī āe. |
181 | GEN 7:21 | Zamīn par rahne wālī har maḳhlūq halāk huī. Parinde, maweshī, janglī jānwar, tamām jāndār jin se zamīn bharī huī thī aur insān, sab kuchh mar gayā. |
182 | GEN 7:22 | Zamīn par har jāndār maḳhlūq halāk huī. |
186 | GEN 8:2 | Zamīn ke chashme aur āsmān par ke pānī ke darīche band ho gae. Aur bārish ruk gaī. |
254 | GEN 10:19 | ki un kī hudūd shimāl meṅ Saidā se junūb kī taraf Jirār se ho kar Ġhazzā tak aur wahāṅ se mashriq kī taraf Sadūm, Amūrā, Admā aur Zaboīm se ho kar lasā tak thīṅ. |
329 | GEN 13:10 | Lūt ne apnī nazar uṭhā kar dekhā ki Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe meṅ Zuġhar tak pānī kī kasrat hai. Wuh Rab ke bāġh yā Mulk-e-Misr kī mānind thā, kyoṅki us waqt Rab ne Sadūm aur Amūrā ko tabāh nahīṅ kiyā thā. |
339 | GEN 14:2 | Kanān ke bādshāh yih the: Sadūm se Birā, Amūrā se Birshā, Admā se Siniyāb, Zaboīm se Shimebar aur Bālā yānī Zuġhar kā bādshāh. |
342 | GEN 14:5 | Ab ek sāl ke bād Kidarlāumar aur us ke ittahādī apnī faujoṅ ke sāth āe. Pahle unhoṅ ne Astārāt-qarnaim meṅ Rafāiyoṅ ko, Hām meṅ Zūziyoṅ ko, Sawī-qiriyatāym meṅ Aimiyoṅ ko |
345 | GEN 14:8 | Us waqt Sadūm, Amūrā, Admā, Zaboīm aur Bālā yānī Zuġhar ke bādshāh un se laṛne ke lie Siddīm kī Wādī meṅ jamā hue. |
396 | GEN 16:14 | Is lie us jagah ke kueṅ kā nām ‘Bair-lahī-roī’ yānī ‘Us Zindā Hastī kā Kuāṅ Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ paṛ gayā. Wuh Qādis aur Barad ke darmiyān wāqe hai. |
480 | GEN 19:22 | Lekin bhāg kar wahāṅ panāh le, kyoṅki jab tak tū wahāṅ pahuṅch na jāe maiṅ kuchh nahīṅ kar saktā.” Is lie qasbe kā nām Zuġhar yānī Chhoṭā hai. |
481 | GEN 19:23 | Jab Lūt Zuġhar pahuṅchā to sūraj niklā huā thā. |
488 | GEN 19:30 | Lūt aur us kī beṭiyāṅ zyādā der tak Zuġhar meṅ na ṭhahre. Wuh rawānā ho kar pahāṛoṅ meṅ ābād hue, kyoṅki Lūt Zuġhar meṅ rahne se ḍartā thā. Wahāṅ unhoṅ ne ek ġhār ko apnā ghar banā liyā. |
606 | GEN 24:14 | Maiṅ un meṅ se kisī se kahūṅgā, ‘Zarā apnā ghaṛā nīche karke mujhe pānī pilāeṅ.’ Agar wuh jawāb de, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilā detī hūṅ,’ to wuh wuhī hogī jise tū ne apne ḳhādim Is'hāq ke lie chun rakhā hai. Agar aisā huā to maiṅ jān lūṅgā ki tū ne mere āqā par mehrbānī kī hai.” |
609 | GEN 24:17 | Ibrāhīm kā naukar dauṛ kar us se milā. Us ne kahā, “Zarā mujhe apne ghaṛe se thoṛā-sā pānī pilāeṅ.” |
635 | GEN 24:43 | Ab maiṅ is kueṅ ke pās khaṛā hūṅ. Jab koī jawān aurat shahr se nikal kar yahāṅ āe to maiṅ us se kahūṅgā, “Zarā mujhe apne ghaṛe se thoṛā-sā pānī pilāeṅ.” |
637 | GEN 24:45 | Maiṅ abhī dil meṅ yih duā kar rahā thā ki Ribqā shahr se nikal āī. Us ke kandhe par ghaṛā thā. Wuh chashme tak utrī aur apnā ghaṛā bhar liyā. Maiṅ ne us se kahā, ‘Zarā mujhe pānī pilāeṅ.’ |
661 | GEN 25:2 | Qatūrā ke chhih beṭe paidā hue, Zimrān, Yuqsān, Midān, Midiyān, Isbāq aur Sūḳh. |
820 | GEN 29:24 | (Lāban ne Liyāh ko apnī launḍī Zilfā de dī thī tāki wuh us kī ḳhidmat kare.) |
840 | GEN 30:9 | Jab Liyāh ne dekhā ki mere aur bachche paidā nahīṅ ho rahe to us ne Yāqūb ko apnī launḍī Zilfā de dī tāki wuh bhī us kī bīwī ho. |
841 | GEN 30:10 | Zilfā ke bhī ek beṭā paidā huā. |
843 | GEN 30:12 | Phir Zilfā ke dūsrā beṭā paidā huā. |
851 | GEN 30:20 | Us ne kahā, “Allāh ne mujhe ek achchhā-ḳhāsā tohfā diyā hai. Ab merā ḳhāwind mere sāth rahegā, kyoṅki mujh se us ke chhih beṭe paidā hue haiṅ.” Us ne us kā nām Zabūlūn yānī Rihāish rakhā. |
1035 | GEN 35:23 | Liyāh ke beṭe yih the: us kā sab se baṛā beṭā Rūbin, phir Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh, Ishkār aur Zabūlūn. |
1038 | GEN 35:26 | Liyāh kī launḍī Zilfā ke do beṭe the, Jad aur Āshar. Yāqūb ke yih beṭe Masoputāmiyā meṅ paidā hue. |
1054 | GEN 36:13 | Raūel ke beṭe Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā the. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād meṅ shāmil the. |
1058 | GEN 36:17 | Esau ke beṭe Raūel se yih qabāylī sardār nikle: Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād the. |
1068 | GEN 36:27 | Esar ke tīn beṭe Bilhān, Zāwān aur Aqān the. |
1074 | GEN 36:33 | Us kī maut par Yūbāb bin Zārah jo Busrā Shahr kā thā. |
1086 | GEN 37:2 | Yih Yāqūb ke ḳhāndān kā bayān hai. Us waqt Yāqūb kā beṭā Yūsuf 17 sāl kā thā. Wuh apne bhāiyoṅ yānī Bilhāh aur Zilfā ke beṭoṅ ke sāth bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā thā. Yūsuf apne bāp ko apne bhāiyoṅ kī burī harkatoṅ kī ittalā diyā kartā thā. |
1136 | GEN 38:16 | Wuh rāste se haṭ kar us ke pās gayā aur kahā, “Zarā mujhe apne hāṅ āne deṅ.” (Us ne nahīṅ pahchānā ki yih merī bahū hai.) Tamr ne kahā, “Āp mujhe kyā deṅge?” |
1150 | GEN 38:30 | Phir us kā bhāī paidā huā jis ke hāth meṅ surḳh dhāgā bandhā huā thā. Us kā nām Zārah yānī Chamak rakhā gayā. |
1181 | GEN 40:8 | Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham donoṅ ne ḳhāb dekhā hai, aur koī nahīṅ jo hameṅ un kā matlab batāe.” Yūsuf ne kahā, “Ḳhāboṅ kī tābīr to Allāh kā kām hai. Zarā mujhe apne ḳhāb to sunāeṅ.” |
1399 | GEN 46:12 | Yahūdāh ke beṭe Er, Onān, Selā, Fāras aur Zārah the. (Er aur Onān Kanān meṅ mar chuke the.) Fāras ke do beṭe Hasron aur Hamūl the. |
1401 | GEN 46:14 | Zabūlūn ke beṭe sard, Ailon aur Yahliyel the. |
1405 | GEN 46:18 | Kul 16 afrād Zilfā kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Liyāh ko diyā thā. |
1418 | GEN 46:31 | Phir Yūsuf ne apne bhāiyoṅ aur apne bāp ke ḳhāndān ke bāqī afrād se kahā, “Zarūrī hai ki maiṅ jā kar bādshāh ko ittalā dūṅ ki mere bhāī aur mere bāp kā pūrā ḳhāndān jo Kanān ke rahne wāle haiṅ mere pās ā gae haiṅ. |
1487 | GEN 49:13 | Zabūlūn sāhil par ābād hogā jahāṅ bahrī jahāz hoṅge. Us kī had Saidā tak hogī. |
1498 | GEN 49:24 | Lekin us kī kamān mazbūt rahī, aur us ke bāzū Yāqūb ke zorāwar Ḳhudā ke sabab se tāqatwar rahe, us charwāhe ke sabab se jo Isrāīl kā Zabardast Sūrmā hai. |
1534 | EXO 1:1 | Zail meṅ un beṭoṅ ke nām haiṅ jo apne bāp Yāqūb aur apne ḳhāndānoṅ samet Misr meṅ āe the: |
1536 | EXO 1:3 | Ishkār, Zabūlūn, Binyamīn, |
1677 | EXO 6:21 | Izhār ke tīn beṭe Qorah, Nafaj aur Zikrī the. |
1839 | EXO 12:22 | Zūfe kā guchchhā le kar use ḳhūn se bhare hue bāsan meṅ ḍubo denā. Phir use le kar ḳhūn ko chaukhaṭ ke ūpar wāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzuoṅ par lagā denā. Subah tak koī apne ghar se na nikle. |
2066 | EXO 20:14 | Zinā na karnā. |
2333 | EXO 28:39 | Zerjāme ko bārīk katān se bunanā aur is tarah pagaṛī bhī. Phir kamarband banānā. Us par kaṛhāī kā kām kiyā jāe. |
2655 | EXO 38:21 | Zail meṅ us sāmān kī fahrist hai jo maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā. Mūsā ke hukm par imām-e-āzam Hārūn ke beṭe Itamar ne Lāwiyoṅ kī mārifat yih fahrist taiyār kī. |
3011 | LEV 11:13 | Zail ke parinde tumhāre lie qābil-e-ghin hoṅ. Inheṅ khānā manā hai, kyoṅki wuh makrūh haiṅ: uqāb, daṛhiyal giddh, kālā giddh, |
3027 | LEV 11:29 | Zamīn par reṅgne wāle jānwaroṅ meṅ se chhachhūṅdar, muḳhtalif qism ke chūhe aur muḳhtalif qism kī chhipkliyāṅ tumhāre lie nāpāk haiṅ. |
3044 | LEV 11:46 | Zamīn par chalne wāle jānwaroṅ, parindoṅ, ābī jānwaroṅ aur zamīn par reṅgne wāle jānwaroṅ ke bāre meṅ shar'a yihī hai. |
3485 | LEV 25:15 | Zamīn kī qīmat is hisāb se muqarrar kī jāe ki wuh agle bahālī ke sāl tak kitne sāl fasleṅ paidā karegī. |
3489 | LEV 25:19 | Zamīn apnī pūrī paidāwār degī, tum ser ho jāoge aur mahfūz rahoge. |
3613 | NUM 1:8 | Ishkār ke qabīle se Nataniyel bin Zuġhar, |
3614 | NUM 1:9 | Zabūlūn ke qabīle se Iliyāb bin Helon, |
3635 | NUM 1:30 | Zabūlūn ke qabīle ke 57,400 mard, |
3664 | NUM 2:5 | Dūsre, Ishkār kā qabīlā jis kā kamānḍar Nataniyel bin Zuġhar thā, |
3666 | NUM 2:7 | Tīsre, Zabūlūn kā qabīlā jis kā kamānḍar Iliyāb bin Helon thā |
3869 | NUM 7:18 | Agle gyārah din bāqī sardār bhī yihī hadiye maqdis ke pās le āe. Dūsre din Ishkār ke sardār Nataniyel bin Zuġhar kī bārī thī, |
3875 | NUM 7:24 | tīsre din Zabūlūn ke sardār Iliyāb bin Helon kī, |
4004 | NUM 10:15 | Sāth chalne wāle qabīle Ishkār kā kamānḍar Nataniyel bin Zuġhar thā. |
4005 | NUM 10:16 | Zabūlūn kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Iliyāb bin Helon thā. |
4080 | NUM 13:4 | Un ke nām yih haiṅ: Rūbin ke qabīle se Sammua bin Zakkūr, |
4086 | NUM 13:10 | Zabūlūn ke qabīle se Jaddiyel bin Sodī, |
4098 | NUM 13:22 | Wuh Dasht-e-Najab se guzar kar Habrūn pahuṅche jahāṅ Anāq ke beṭe Aḳhīmān, Sīsī aur Talmī rahte the. (Habrūn ko Misr ke shahr Zuan se sāt sāl pahle tāmīr kiyā gayā thā.) |
4228 | NUM 16:33 | Wuh apnī pūrī milkiyat samet jīte-jī dafn ho gae. Zamīn un ke ūpar wāpas ā gaī. Yoṅ unheṅ jamāt se nikālā gayā aur wuh halāk ho gae. |
4353 | NUM 21:12 | Wahāṅ se rawānā ho kar wuh Wādī-e-Zirad meṅ ḳhaimāzan hue. |
4354 | NUM 21:13 | Jab Wādī-e-Zirad se rawānā hue to Dariyā-e-Arnon ke parle yānī junūbī kināre par ḳhaimāzan hue. Yih dariyā registān meṅ hai aur Amoriyoṅ ke ilāqe se nikaltā hai. Yih Amoriyoṅ aur Moābiyoṅ ke darmiyān kī sarhad hai. |
4486 | NUM 25:14 | Jis ādmī ko Midiyānī aurat ke sāth mār diyā gayā us kā nām Zimrī bin Salū thā, aur wuh Shamāūn ke qabīle ke ek ābāī gharāne kā sarparast thā. |
4503 | NUM 26:12 | Shamāūn ke qabīle ke 22,200 mard the. Qabīle ke pāṅch kunbe Namuelī, Yamīnī, Yakīnī, Zārhī aur Sāūlī Shamāūn ke beṭoṅ Namuel, Yamīn, Yakīn, Zārah aur Sāūl se nikle hue the. |
4510 | NUM 26:19 | Yahūdāh ke qabīle ke 76,500 mard the. Yahūdāh ke do beṭe Er aur Onān Misr āne se pahle Kanān meṅ mar gae the. Qabīle ke tīn kunbe Selānī, Fārsī aur Zārhī Yahūdāh ke beṭoṅ Selā, Fāras aur Zārah se nikle hue the. Fāras ke do beṭoṅ Hasron aur Hamūl se do kunbe Hasronī aur hamūlī nikle hue the. |
4517 | NUM 26:26 | Zabūlūn ke qabīle ke 60,500 mard the. Qabīle ke tīn kunbe Sardī, Ailonī aur Yahliyelī Zabūlūn ke beṭoṅ sard, Ailon aur Yahliyel se nikle hue the. |
4763 | NUM 33:1 | Zail meṅ un jaghoṅ ke nām haiṅ jahāṅ jahāṅ Isrāīlī qabīle apne dastoṅ ke mutābiq Mūsā aur Hārūn kī rāhnumāī meṅ Misr se nikal kar ḳhaimāzan hue the. |
4803 | NUM 33:41 | Hor Pahāṛ se rawānā ho kar Isrāīlī zail kī jaghoṅ par ṭhahre: Zalmūnā, Fūnon, Obot, Aiye-abārīm jo Moāb ke ilāqe meṅ thā, Dībon-jad, Almūn-diblātāym aur Nabū ke qarīb wāqe Abārīm kā pahāṛī ilāqā. |
4827 | NUM 34:9 | Zifrūn aur Hasar-enān. Hasar-enān shimālī sarhad kā sab se mashriqī maqām hogā. |
4843 | NUM 34:25 | Zabūlūn ke qabīle kā Ilīsafan bin Farnāk, |
4953 | DEU 2:13 | Rab ne kahā, “Ab jā kar Wādī-e-Zirad ko ubūr karo.” Ham ne aisā hī kiyā. |
5042 | DEU 4:36 | Us ne tujhe nasīhat dene ke lie āsmān se apnī āwāz sunāī. Zamīn par us ne tujhe apnī azīm āg dikhāī jis meṅ se tū ne us kī bāteṅ sunīṅ. |
5073 | DEU 5:18 | Zinā na karnā. |
5243 | DEU 12:1 | Zail meṅ wuh ahkām aur qawānīn haiṅ jin par tumheṅ dhyān se amal karnā hogā jab tum us mulk meṅ ābād hoge jo Rab tere bāpdādā kā Ḳhudā tujhe de rahā hai tāki tū us par qabzā kare. Mulk meṅ rahte hue umr-bhar un ke tābe raho. |
5269 | DEU 12:27 | Wahīṅ, Rab apne Ḳhudā kī qurbāngāh par apnī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ gosht aur ḳhūn samet chaṛhā. Zabah kī qurbāniyoṅ kā ḳhūn qurbāngāh par unḍel denā, lekin un kā gosht tū khā saktā hai. |
5498 | DEU 22:26 | Laṛkī ko koī sazā na denā, kyoṅki us ne kuchh nahīṅ kiyā jo maut ke lāyq ho. Ziyādatī karne wāle kī harkat us shaḳhs ke barābar hai jis ne kisī par hamlā karke use qatl kar diyā hai. |
5541 | DEU 24:14 | Zarūratmand mazdūr se ġhalat fāydā na uṭhānā, chāhe wuh Isrāīlī ho yā pardesī. |
5600 | DEU 27:13 | Bāqī qabīle yānī Rūbin, Jad, Āshar, Zabūlūn, Dān aur Naftālī Aibāl Pahāṛ par khaṛe ho kar lānat ke alfāz boleṅ. |
5704 | DEU 29:22 | Chāroṅ taraf zamīn jhulsī huī aur gandhak aur namak se ḍhakī huī nazar āegī. Bīj us meṅ boyā nahīṅ jāegā, kyoṅki ḳhudrau paudoṅ tak kuchh nahīṅ ugegā. Tumhārā mulk Sadūm, Amūrā, Admā aur Zaboīm kī mānind hogā jin ko Rab ne apne ġhazab meṅ tabāh kiyā. |
5828 | DEU 33:16 | Zamīn ke tamām zaḳhīre us ke lie khul jāeṅ. Wuh us ko pasand ho jo jaltī huī jhāṛī meṅ sukūnat kartā thā. Yih tamām barkateṅ Yūsuf ke sar par ṭhahreṅ, us ke sar par jo apne bhāiyoṅ meṅ shahzādā hai. |
5830 | DEU 33:18 | Zabūlūn aur Ishkār kī Barkat: Ai Zabūlūn, ghar se nikalte waqt ḳhushī manā. Ai Ishkār, apne ḳhaimoṅ meṅ rahte hue ḳhush ho. |
5844 | DEU 34:3 | junūb meṅ Dasht-e-Najab aur Khajūr ke Shahr Yarīhū kī Wādī se le kar Zuġhar tak. |
5911 | JOS 3:16 | to āne wāle pānī kā bahāw ruk gayā. Wuh un se dūr ek shahr ke qarīb ḍher ban gayā jis kā nām Ādam thā aur jo Zartān ke nazdīk hai. Jo pānī dūsrī yānī Bahīrā-e-Murdār kī taraf bah rahā thā wuh pūrī tarah utar gayā. Tab Isrāīliyoṅ ne Yarīhū Shahr ke muqābil dariyā ko pār kiyā. |