Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   b    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

1  GEN 1:1  Ibtidā meṅ Allāh ne āsmān aur zamīn ko banāyā.
2  GEN 1:2  Abtak zamīn wīrān aur ḳhālī thī. Wuh gahre pānī se ḍhakī huī thī jis ke ūpar andherā hī andherā thā. Allāh kā Rūh pānī ke ūpar manḍlā rahā thā.
5  GEN 1:5  Allāh ne raushnī ko din kā nām diyā aur tārīkī ko rāt kā. Shām huī, phir subah. Yoṅ pahlā din guzar gayā.
6  GEN 1:6  Allāh ne kahā, “Pānī ke darmiyān ek aisā gumbad paidā ho jāe jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho jāe.”
7  GEN 1:7  Aisā hī huā. Allāh ne ek aisā gumbad banāyā jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho gayā.
8  GEN 1:8  Allāh ne gumbad ko āsmān kā nām diyā. Shām huī, phir subah. Yoṅ dūsrā din guzar gayā.
11  GEN 1:11  Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paidā kare, aise paude jo bīj rakhte hoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” Aisā hī huā.
12  GEN 1:12  Zamīn ne hariyāwal paidā kī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
13  GEN 1:13  Shām huī, phir subah. Yoṅ tīsrā din guzar gayā.
14  GEN 1:14  Allāh ne kahā, “Āsmān par raushniyāṅ paidā ho jāeṅ tāki din aur rāt meṅ imtiyāz ho aur isī tarah muḳhtalif mausamoṅ, dinoṅ aur sāloṅ meṅ bhī.
16  GEN 1:16  Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bbanāyā.
19  GEN 1:19  Shām huī, phir subah. Yoṅ chauthā din guzar gayā.
20  GEN 1:20  Allāh ne kahā, “Pānī ābī jāndāroṅ se bhar jāe aur fizā meṅ parinde uṛte phireṅ.”
21  GEN 1:21  Allāh ne baṛe baṛe samundarī jānwar banāe, pānī kī tamām dīgar maḳhlūqāt aur har qism ke par rakhne wāle jāndār bbanāe. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
22  GEN 1:22  Us ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Samundar tum se bhar jāe. Isī tarah parinde zamīn par tādād meṅ baṛh jāeṅ.”
23  GEN 1:23  Shām huī, phir subah. Yoṅ pāṅchwāṅ din guzar gayā.
25  GEN 1:25  Allāh ne har qism ke maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar banāe. Us ne dekhā ki yih achchhā hai.
26  GEN 1:26  Allāh ne kahā, “Āo ab ham insān ko apnī sūrat par banāeṅ, wuh ham se mushābahat rakhe. Wuh tamām jānwaroṅ par hukūmat kare, samundar kī machhliyoṅ par, hawā ke parindoṅ par, maweshiyoṅ par, janglī jānwaroṅ par aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par.”
27  GEN 1:27  Yoṅ Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā, Allāh kī sūrat par. Us ne unheṅ mard aur aurat banāyā.
28  GEN 1:28  Allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par hukūmat karo.”
29  GEN 1:29  Allāh ne un se mazīd kahā, “Tamām bījdār paude aur phaldār daraḳht tumhāre hī haiṅ. Maiṅ unheṅ tum ko khāne ke lie detā hūṅ.
30  GEN 1:30  Is tarah maiṅ tamām jānwaroṅ ko khāne ke lie hariyālī detā hūṅ. Jis meṅ bjān hai wuh yih khā saktā hai, ḳhāh wuh zamīn par chalne-phirne wālā jānwar, hawā kā parindā yā zamīn par reṅgne wālā kyoṅ na ho.” Aisā hī huā.
31  GEN 1:31  Allāh ne sab par nazar kī to dekhā ki wuh bahut achchhā ban gayā hai. Shām huī, phir subah. Chhaṭā din guzar gayā.
34  GEN 2:3  Allāh ne sātweṅ din ko barkat dī aur use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Kyoṅki us din us ne apne tamām taḳhlīqī kām se fāriġh ho kar ārām kiyā.
35  GEN 2:4  Yih āsmān-o-zamīn kī taḳhlīq kā bayān hai. Jab Rab Ḳhudā ne āsmān-o-zamīn ko banāyā
36  GEN 2:5  to shurū meṅ jhāṛiyāṅ aur paude nahīṅ ugte the. Wajah yih thī ki Allāh ne bārish kā intazām nahīṅ kiyā thā. Aur abinsān bpaidā nahīṅ huā thā ki zamīn kī khetībāṛī kartā.
37  GEN 2:6  Is kī bajāe zamīn meṅ se dhund uṭh kar us kī pūrī satah ko tar kartī thī.
38  GEN 2:7  Phir Rab Ḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insān ko tashkīl diyā aur us ke nathnoṅ meṅ zindagī kā dam phūṅkā to wuh jītī jān huā.
39  GEN 2:8  Rab Ḳhudā ne mashriq meṅ Mulk-e-Adan meṅ ek bāġh lagāyā. Us meṅ us ne us ādmī ko rakhā jise us ne banāyā thā.
40  GEN 2:9  Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā.
41  GEN 2:10  Adan meṅ se ek dariyā nikal kar bāġh ābpāshī kartā thā. Wahāṅ se bah kar wuh chār shāḳhoṅ meṅ taqsīm huā.
42  GEN 2:11  Pahlī shāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahāṅ ḳhālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmar pāe jāte haiṅ.
44  GEN 2:13  Dūsrī kā nām Jaihūn hai jo Kūsh ko ghere hue bahtī hai.
46  GEN 2:15  Rab Ḳhudā ne pahle ādmī ko Bāġh-e-Adan meṅ rakhā tāki wuh us kī bāġhbānī aur hifāzat kare.
47  GEN 2:16  Lekin Rab Ḳhudā ne use āgāh kiyā, “Tujhe har daraḳht kā phal khāne kī ijāzat hai.
48  GEN 2:17  Lekin jis daraḳht kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā hai us kā phal khānā manā hai. Agar use khāe to yaqīnan maregā.”
49  GEN 2:18  Rab Ḳhudā ne kahā, “Achchhā nahīṅ ki ādmī akelā rahe. Maiṅ us ke lie ek munāsib madadgār banātā hūṅ.”
50  GEN 2:19  Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unheṅ ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yoṅ har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā.
51  GEN 2:20  Ādmī ne tamām maweshiyoṅ, parindoṅ aur zamīn par phirne wāle jāndāroṅ ke nām rakhe. Lekin use apne lie koī munāsib madadgār na milā.
52  GEN 2:21  Tab Rab Ḳhudā ne use sulā diyā. Jab wuh gahrī nīnd so rahā thā to us ne us kī pasliyoṅ meṅ se ek nikāl kar us kī jagah gosht bhar diyā.
53  GEN 2:22  Paslī se us ne aurat banāī aur use ādmī ke pās le āyā.
55  GEN 2:24  Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.
56  GEN 2:25  Donoṅ, ādmī aur aurat nange the, lekin yih un ke lie sharm kā bāis nahīṅ thā.
57  GEN 3:1  Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bdaraḳht kā phal na khānā?”
58  GEN 3:2  Aurat ne jawāb diyā, “Hargiz nahīṅ. Ham bāġh kā har phal khā sakte haiṅ,
59  GEN 3:3  sirf us daraḳht ke phal se gurez karnā hai jo bāġh ke bīch meṅ hai. Allāh ne kahā ki us kā phal na khāo balki use chhūnā bnahīṅ, warnā tum yaqīnan mar jāoge.”
61  GEN 3:5  balki Allāh jāntā hai ki jab tum us kā phal khāoge to tumhārī āṅkheṅ khul jāeṅgī aur tum Allāh kī mānind ho jāoge, tum jo bachchhā aur burā hai use jān loge.”