4 | GEN 1:4 | Allāh ne dekhā ki raushnī achchhī hai, aur us ne raushnī ko tārīkī se alag kar diyā. |
6 | GEN 1:6 | Allāh ne kahā, “Pānī ke darmiyān ek aisā gumbad paidā ho jāe jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho jāe.” |
7 | GEN 1:7 | Aisā hī huā. Allāh ne ek aisā gumbad banāyā jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho gayā. |
9 | GEN 1:9 | Allāh ne kahā, “Jo pānī āsmān ke nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāe tāki dūsrī taraf ḳhushk jagah nazar āe.” Aisā hī huā. |
10 | GEN 1:10 | Allāh ne ḳhushk jagah ko zamīn kā nām diyā aur jamāshudā pānī ko samundar kā. Aur Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
12 | GEN 1:12 | Zamīn ne hariyāwal paidā kī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
16 | GEN 1:16 | Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bhī banāyā. |
18 | GEN 1:18 | din aur rāt par hukūmat kareṅ aur raushnī aur tārīkī meṅ imtiyāz paidā kareṅ. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
19 | GEN 1:19 | Shām huī, phir subah. Yoṅ chauthā din guzar gayā. |
21 | GEN 1:21 | Allāh ne baṛe baṛe samundarī jānwar banāe, pānī kī tamām dīgar maḳhlūqāt aur har qism ke par rakhne wāle jāndār bhī banāe. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
23 | GEN 1:23 | Shām huī, phir subah. Yoṅ pāṅchwāṅ din guzar gayā. |
25 | GEN 1:25 | Allāh ne har qism ke maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar banāe. Us ne dekhā ki yih achchhā hai. |
26 | GEN 1:26 | Allāh ne kahā, “Āo ab ham insān ko apnī sūrat par banāeṅ, wuh ham se mushābahat rakhe. Wuh tamām jānwaroṅ par hukūmat kare, samundar kī machhliyoṅ par, hawā ke parindoṅ par, maweshiyoṅ par, janglī jānwaroṅ par aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par.” |
28 | GEN 1:28 | Allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par hukūmat karo.” |
30 | GEN 1:30 | Is tarah maiṅ tamām jānwaroṅ ko khāne ke lie hariyālī detā hūṅ. Jis meṅ bhī jān hai wuh yih khā saktā hai, ḳhāh wuh zamīn par chalne-phirne wālā jānwar, hawā kā parindā yā zamīn par reṅgne wālā kyoṅ na ho.” Aisā hī huā. |
31 | GEN 1:31 | Allāh ne sab par nazar kī to dekhā ki wuh bahut achchhā ban gayā hai. Shām huī, phir subah. Chhaṭā din guzar gayā. |
32 | GEN 2:1 | Yoṅ āsmān-o-zamīn aur un kī tamām chīzoṅ kī taḳhlīq mukammal huī. |
33 | GEN 2:2 | Sātweṅ din Allāh kā sārā kām takmīl ko pahuṅchā. Is se fāriġh ho kar us ne ārām kiyā. |
40 | GEN 2:9 | Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā. |
41 | GEN 2:10 | Adan meṅ se ek dariyā nikal kar bāġh kī ābpāshī kartā thā. Wahāṅ se bah kar wuh chār shāḳhoṅ meṅ taqsīm huā. |
45 | GEN 2:14 | Tīsrī kā nām Dijlā hai jo Asūr ke mashriq ko jātī hai aur chauthī kā nām Furāt hai. |
48 | GEN 2:17 | Lekin jis daraḳht kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā hai us kā phal khānā manā hai. Agar use khāe to yaqīnan maregā.” |
49 | GEN 2:18 | Rab Ḳhudā ne kahā, “Achchhā nahīṅ ki ādmī akelā rahe. Maiṅ us ke lie ek munāsib madadgār banātā hūṅ.” |
50 | GEN 2:19 | Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unheṅ ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yoṅ har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā. |
55 | GEN 2:24 | Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ. |
57 | GEN 3:1 | Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?” |
59 | GEN 3:3 | sirf us daraḳht ke phal se gurez karnā hai jo bāġh ke bīch meṅ hai. Allāh ne kahā ki us kā phal na khāo balki use chhūnā bhī nahīṅ, warnā tum yaqīnan mar jāoge.” |
61 | GEN 3:5 | balki Allāh jāntā hai ki jab tum us kā phal khāoge to tumhārī āṅkheṅ khul jāeṅgī aur tum Allāh kī mānind ho jāoge, tum jo bhī achchhā aur burā hai use jān loge.” |
62 | GEN 3:6 | Aurat ne daraḳht par ġhaur kiyā ki khāne ke lie achchhā aur deḳhne meṅ bhī dilkash hai. Sab se dilfareb bāt yih ki us se samajh hāsil ho saktī hai! Yih soch kar us ne us kā phal le kar use khāyā. Phir us ne apne shauhar ko bhī de diyā, kyoṅki wuh us ke sāth thā. Us ne bhī khā liyā. |
63 | GEN 3:7 | Lekin khāte hī un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur un ko mālūm huā ki ham nange haiṅ. Chunāṅche unhoṅ ne anjīr ke patte sī kar lungiyāṅ banā līṅ. |
64 | GEN 3:8 | Shām ke waqt jab ṭhanḍī hawā chalne lagī to unhoṅ ne Rab Ḳhudā ko bāġh meṅ chalte phirte sunā. Wuh ḍar ke māre daraḳhtoṅ ke pīchhe chhup gae. |
66 | GEN 3:10 | Ādam ne jawāb diyā, “Maiṅ ne tujhe bāġh meṅ chalte hue sunā to ḍar gayā, kyoṅki maiṅ nangā hūṅ. Is lie maiṅ chhup gayā.” |
67 | GEN 3:11 | Us ne pūchhā, “Kis ne tujhe batāyā ki tū nangā hai? Kyā tū ne us daraḳht kā phal khāyā hai jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā?” |
70 | GEN 3:14 | Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā. |
71 | GEN 3:15 | Maiṅ tere aur aurat ke darmiyān dushmanī paidā karūṅga. Us kī aulād terī aulād kī dushman hogī. Wuh tere sar ko kuchal ḍālegī jabki tū us kī eṛī par kāṭegā.” |
72 | GEN 3:16 | Phir Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā aur kahā, “Jab tū ummīd se hogī to maiṅ terī taklīf ko bahut baṛhāūṅgā. Jab tere bachche hoṅge to tū shadīd dard kā shikār hogī. Tū apne shauhar kī tamannā karegī lekin wuh tujh par hukūmat karegā.” |
78 | GEN 3:22 | Us ne kahā, “Insān hamārī mānind ho gayā hai, wuh achchhe aur bure kā ilm rakhtā hai. Ab aisā na ho ki wuh hāth baṛhā kar zindagī baḳhshne wāle daraḳht ke phal se le aur us se khā kar hameshā tak zindā rahe.” |
80 | GEN 3:24 | Insān ko ḳhārij karne ke bād us ne Bāġh-e-Adan ke mashriq meṅ karūbī farishte khaṛe kie aur sāth sāth ek ātishī talwār rakhī jo idhar-udhar ghūmtī thī tāki us rāste kī hifāzat kare jo zindagī baḳhshne wāle daraḳht tak pahuṅchātā thā. |
82 | GEN 4:2 | Bād meṅ Qābīl kā bhāī Hābīl paidā huā. Hābīl bheṛ-bakriyoṅ kā charwāhā ban gayā jabki Qābīl khetībāṛī karne lagā. |
83 | GEN 4:3 | Kuchh der ke bād Qābīl ne Rab ko apnī fasloṅ meṅ se kuchh pesh kiyā. |
84 | GEN 4:4 | Hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā, lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ ke kuchh pahlauṭhe un kī charbī samet chaṛhāe. Hābīl kā nazarānā Rab ko pasand āyā, |
86 | GEN 4:6 | Rab ne pūchhā, “Tū ġhusse meṅ kyoṅ ā gayā hai? Terā muṅh kyoṅ laṭkā huā hai? |
87 | GEN 4:7 | Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.” |
88 | GEN 4:8 | Ek din Qābīl ne apne bhāī se kahā, “Āo, ham bāhar khule maidān meṅ chaleṅ.” Aur jab wuh khule maidān meṅ the to Qābīl ne apne bhāī Hābīl par hamlā karke use mār ḍālā. |
89 | GEN 4:9 | Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?” |
94 | GEN 4:14 | Āj tū mujhe zamīn kī satah se bhagā rahā hai aur mujhe tere huzūr se bhī chhup jānā hai. Maiṅ mafrūr kī haisiyat se mārā mārā phirtā rahūṅgā, is lie jis ko bhī patā chalegā ki maiṅ kahāṅ hūṅ wuh mujhe qatl kar ḍālegā.” |
96 | GEN 4:16 | Is ke bād Qābīl Rab ke huzūr se chalā gayā aur Adan ke mashriq kī taraf Nod ke ilāqe meṅ jā basā. |
102 | GEN 4:22 | Zillā ke bhī beṭā paidā huā jis kā nām Tūbal-qābīl thā. Wuh lohār thā. Us kī nasl ke log pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the. Tūbal-qābīl kī bahan kā nām Nāmā thā. |
104 | GEN 4:24 | Ek ādmī ne mujhe zaḳhmī kiyā to maiṅ ne use mār ḍālā. Ek laṛke ne mere choṭ lagāī to maiṅ ne use qatl kar diyā. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā, lekin jo Lamak ko qatl kare us se satattar gunā badlā liyā jāegā.” |
128 | GEN 5:22 | Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
130 | GEN 5:24 | Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā. |
140 | GEN 6:2 | Tab āsmānī hastiyoṅ ne dekhā ki banī nau insān kī beṭiyāṅ ḳhūbsūrat haiṅ, aur unhoṅ ne un meṅ se kuchh chun kar un se shādī kī. |
144 | GEN 6:6 | Wuh pachhtāyā ki maiṅ ne insān ko banā kar duniyā meṅ rakh diyā hai, aur use saḳht dukh huā. |
145 | GEN 6:7 | Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.” |
147 | GEN 6:9 | Yih us kī zindagī kā bayān hai. Nūh rāstbāz thā. Us zamāne ke logoṅ meṅ sirf wuhī bequsūr thā. Wuh Allāh ke sāth sāth chaltā thā. |
151 | GEN 6:13 | Tab Allāh ne Nūh se kahā, “Maiṅ ne tamām jāndāroṅ ko ḳhatm karne kā faislā kiyā hai, kyoṅki un ke sabab se pūrī duniyā zulm-o-tashaddud se bhar gaī hai. Chunāṅche maiṅ un ko zamīn samet tabāh kar dūṅgā. |
153 | GEN 6:15 | Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho. |
154 | GEN 6:16 | Kashtī kī chhat ko yoṅ banānā ki us ke nīche 18 inch khulā rahe. Ek taraf darwāzā ho, aur us kī tīn manzileṅ hoṅ. |
155 | GEN 6:17 | Maiṅ pānī kā itnā baṛā sailāb lāūṅgā ki wuh zamīn ke tamām jāndāroṅ ko halāk kar ḍālegā. Zamīn par sab kuchh fanā ho jāegā. |
157 | GEN 6:19 | Har qism ke jānwar kā ek nar aur ek mādā bhī apne sāth kashtī meṅ le jānā tāki wuh tere sāth jīte bacheṅ. |
158 | GEN 6:20 | Har qism ke par rakhne wāle jānwar aur har qism ke zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar do do ho kar tere pās āeṅge tāki jīte bach jāeṅ. |
160 | GEN 6:22 | Nūh ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Allāh ne use batāyā. |
163 | GEN 7:3 | Isī tarah har qism ke par rakhne wāloṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛe bhī sāth le jānā tāki un kī nasleṅ bachī raheṅ. |
164 | GEN 7:4 | Ek hafte ke bād maiṅ chālīs din aur chālīs rāt mutawātir bārish barsāūṅgā. Is se maiṅ tamām jāndāroṅ ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā, agarche maiṅ hī ne unheṅ banāyā hai.” |
167 | GEN 7:7 | Tūfānī sailāb se bachne ke lie Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ sawār huā. |
169 | GEN 7:9 | Nar-o-mādā kī sūrat meṅ do do ho kar wuh Nūh ke pās ā kar kashtī meṅ sawār hue. Sab kuchh waisā hī huā jaisā Allāh ne Nūh ko hukm diyā thā. |
171 | GEN 7:11 | Yih sab kuchh us waqt huā jab Nūh 600 sāl kā thā. Dūsre mahīne ke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae. |
172 | GEN 7:12 | Chālīs din aur chālīs rāt tak mūslādhār bārish hotī rahī. |
173 | GEN 7:13 | Jab bārish shurū huī to Nūh, us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat, us kī bīwī aur bahueṅ kashtī meṅ sawār ho chuke the. |
175 | GEN 7:15 | Har qism ke jāndār do do ho kar Nūh ke pās ā kar kashtī meṅ sawār ho chuke the. |
176 | GEN 7:16 | Nar-o-mādā āe the. Sab kuchh waisā hī huā thā jaisā Allāh ne Nūh ko hukm diyā thā. Phir Rab ne darwāze ko band kar diyā. |
177 | GEN 7:17 | Chālīs din tak tūfānī sailāb jārī rahā. Pānī chaṛhā to us ne kashtī ko zamīn par se uṭhā liyā. |
179 | GEN 7:19 | Āḳhirkār pānī itnā zyādā ho gayā ki tamām ūṅche pahāṛ bhī us meṅ chhup gae. |
180 | GEN 7:20 | Balki sab se ūṅchī choṭī par pānī kī gahrāī 20 fuṭ thī. |