Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   h    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

1  GEN 1:1  Ibtidā meṅ Allāh ne āsmān aur zamīn ko banāyā.
2  GEN 1:2  Abhī tak zamīn wīrān aurhālī thī. Wuh gahre pānī sehakī hthī jis ke ūpar andherā hī andherā thā. Allāh h pānī ke ūpar manḍlā rahā thā.
3  GEN 1:3  Phir Allāh ne kahā, “Raushho jāe” to raushpaidā ho gaī.
4  GEN 1:4  Allāh ne dekhā ki raushachchhī hai, aur us ne raushko tārīkī se alag kar diyā.
5  GEN 1:5  Allāh ne raushko din kā nām diyā aur tārīkī ko rāt kā. Shām huī, phir subah. Yoṅ pahdin guzar gayā.
6  GEN 1:6  Allāh ne kahā, “Pānī ke darmiyān ek aisā gumbad paidā ho jāe jis se nichpānī ūpar ke pānī se alag ho jāe.”
7  GEN 1:7  Aisā hī huā. Allāh ne ek aisā gumbad banāyā jis se nichpānī ūpar ke pānī se alag ho gayā.
8  GEN 1:8  Allāh ne gumbad ko āsmān kā nām diyā. Shām huī, phir subah. Yoṅ dūsrā din guzar gayā.
9  GEN 1:9  Allāh ne kahā, “Jo pānī āsmān ke nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāe tāki dūsrī tarafhushk jagah nazar āe.” Aisā hī huā.
10  GEN 1:10  Allāh nehushk jagah ko zamīn kā nām diyā aur jamāshudā pānī ko samundar kā. Aur Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
11  GEN 1:11  Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paidā kare, aise paude jo bīj rakhte hoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” Aisā hī huā.
12  GEN 1:12  Zamīn ne hariyāwal paidā kī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
13  GEN 1:13  Shām huī, phir subah. Yoṅ tīsrā din guzar gayā.
14  GEN 1:14  Allāh ne kahā, “Āsmān par raushniyāṅ paidā ho jāeṅ tāki din aur rāt meṅ imtiyāz ho aur isī tarah muḳhtalif mausamoṅ, dinoṅ aur sāloṅ meṅ bhī.
15  GEN 1:15  Āsmān kī yih raushniyāṅ duniyā ko raushan kareṅ.” Aisā hī huā.
16  GEN 1:16  Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bhī banāyā.