Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   i    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

1  GEN 1:1  Ibtimeṅ Allāh ne āsmān aur zamīn ko banāyā.
2  GEN 1:2  Abhī tak zamīn wīrān aur ḳhālī thī. Wuh gahre pānī se ḍhakī huī thī jis ke ūpar andherā hī andherā thā. Allāh kā Rūh pānī ke ūpar manḍlā rahā thā.
3  GEN 1:3  Phir Allāh ne kahā, “Raushnī ho jāe” to raushnī paiho gaī.
4  GEN 1:4  Allāh ne dekhā ki raushnī achchhī hai, aur us ne raushnī ko tārīkī se alag kar diyā.
5  GEN 1:5  Allāh ne raushnī ko din kā nām diaur tārīkī ko rāt kā. Shām huī, phir subah. Yoṅ pahlā din guzar gayā.
6  GEN 1:6  Allāh ne kahā, “Pānī ke darmiyān ek aigumbad paiho jāe jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho jāe.”
7  GEN 1:7  Aihī huā. Allāh ne ek aigumbad banāyā jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho gayā.
8  GEN 1:8  Allāh ne gumbad ko āsmān kā nām diyā. Shām huī, phir subah. Yoṅ dūsrā din guzar gayā.
9  GEN 1:9  Allāh ne kahā, “Jo pānī āsmān ke nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāe tāki dūsrī taraf ḳhushk jagah nazar āe.” Aihī huā.
10  GEN 1:10  Allāh ne ḳhushk jagah ko zamīn kā nām diaur jamāshudā pānī ko samundar kā. Aur Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
11  GEN 1:11  Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paikare, aise paude jo bīj rakhte hoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” Aihī huā.
12  GEN 1:12  Zamīn ne hariyāwal paikī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
13  GEN 1:13  Shām huī, phir subah. Yoṅ tīsrā din guzar gayā.
14  GEN 1:14  Allāh ne kahā, “Āsmān par raushniyāṅ paiho jāeṅ tāki din aur rāt meṅ imtiyāz ho aur itarah muḳhtalif mausamoṅ, dinoṅ aur sāloṅ meṅ bhī.
15  GEN 1:15  Āsmān kī yih raushniyāṅ duniko raushan kareṅ.” Aihī huā.
16  GEN 1:16  Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bhī banāyā.
17  GEN 1:17  Us ne unheṅ āsmān par rakhā tāki wuh duniko raushan kareṅ,
18  GEN 1:18  din aur rāt par hukūmat kareṅ aur raushnī aur tārīkī meṅ imtiyāz paikareṅ. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
19  GEN 1:19  Shām huī, phir subah. Yoṅ chauthā din guzar gayā.
20  GEN 1:20  Allāh ne kahā, “Pānī ābī jāndāroṅ se bhar jāe aur fimeṅ parinde uṛte phireṅ.”
21  GEN 1:21  Allāh ne baṛe baṛe samundarī jānwar banāe, pānī kī tamām dīgar maḳhlūqāt aur har qism ke par rakhne wāle jāndār bhī banāe. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
22  GEN 1:22  Us ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Samundar tum se bhar jāe. Itarah parinde zamīn par tādād meṅ baṛh jāeṅ.”
23  GEN 1:23  Shām huī, phir subah. Yoṅ pāṅchwāṅ din guzar gayā.
24  GEN 1:24  Allāh ne kahā, “Zamīn har qism ke jāndār paikare: maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar.” Aihī huā.
25  GEN 1:25  Allāh ne har qism ke maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar banāe. Us ne dekhā ki yih achchhā hai.
26  GEN 1:26  Allāh ne kahā, “Āo ab ham insān ko apnī sūrat par banāeṅ, wuh ham se mushābahat rakhe. Wuh tamām jānwaroṅ par hukūmat kare, samundar kī machhliyoṅ par, hawā ke parindoṅ par, maweshiyoṅ par, janglī jānwaroṅ par aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par.”
27  GEN 1:27  Yoṅ Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā, Allāh kī sūrat par. Us ne unheṅ mard aur aurat banāyā.
28  GEN 1:28  Allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Dunitum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par hukūmat karo.”
29  GEN 1:29  Allāh ne un se mazīd kahā, “Tamām bījdār paude aur phaldār daraḳht tumhāre hī haiṅ. Maiunheṅ tum ko khāne ke lie detā hūṅ.