2 | GEN 1:2 | Abhī tak zamīn wīrān aur ḳhālī thī. Wuh gahre pānī se ḍhakī huī thī jis ke ūpar andherā hī andherā thā. Allāh kā Rūh pānī ke ūpar manḍlā rahā thā. |
3 | GEN 1:3 | Phir Allāh ne kahā, “Raushnī ho jāe” to raushnī paidā ho gaī. |
6 | GEN 1:6 | Allāh ne kahā, “Pānī ke darmiyān ek aisā gumbad paidā ho jāe jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho jāe.” |
7 | GEN 1:7 | Aisā hī huā. Allāh ne ek aisā gumbad banāyā jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho gayā. |
9 | GEN 1:9 | Allāh ne kahā, “Jo pānī āsmān ke nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāe tāki dūsrī taraf ḳhushk jagah nazar āe.” Aisā hī huā. |
10 | GEN 1:10 | Allāh ne ḳhushk jagah ko zamīn kā nām diyā aur jamāshudā pānī ko samundar kā. Aur Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
11 | GEN 1:11 | Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paidā kare, aise paude jo bīj rakhte hoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” Aisā hī huā. |
12 | GEN 1:12 | Zamīn ne hariyāwal paidā kī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
14 | GEN 1:14 | Allāh ne kahā, “Āsmān par raushniyāṅ paidā ho jāeṅ tāki din aur rāt meṅ imtiyāz ho aur isī tarah muḳhtalif mausamoṅ, dinoṅ aur sāloṅ meṅ bhī. |
16 | GEN 1:16 | Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bhī banāyā. |
20 | GEN 1:20 | Allāh ne kahā, “Pānī ābī jāndāroṅ se bhar jāe aur fizā meṅ parinde uṛte phireṅ.” |
21 | GEN 1:21 | Allāh ne baṛe baṛe samundarī jānwar banāe, pānī kī tamām dīgar maḳhlūqāt aur har qism ke par rakhne wāle jāndār bhī banāe. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
22 | GEN 1:22 | Us ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Samundar tum se bhar jāe. Isī tarah parinde zamīn par tādād meṅ baṛh jāeṅ.” |
24 | GEN 1:24 | Allāh ne kahā, “Zamīn har qism ke jāndār paidā kare: maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar.” Aisā hī huā. |
25 | GEN 1:25 | Allāh ne har qism ke maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar banāe. Us ne dekhā ki yih achchhā hai. |
26 | GEN 1:26 | Allāh ne kahā, “Āo ab ham insān ko apnī sūrat par banāeṅ, wuh ham se mushābahat rakhe. Wuh tamām jānwaroṅ par hukūmat kare, samundar kī machhliyoṅ par, hawā ke parindoṅ par, maweshiyoṅ par, janglī jānwaroṅ par aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par.” |
28 | GEN 1:28 | Allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par hukūmat karo.” |
29 | GEN 1:29 | Allāh ne un se mazīd kahā, “Tamām bījdār paude aur phaldār daraḳht tumhāre hī haiṅ. Maiṅ unheṅ tum ko khāne ke lie detā hūṅ. |
30 | GEN 1:30 | Is tarah maiṅ tamām jānwaroṅ ko khāne ke lie hariyālī detā hūṅ. Jis meṅ bhī jān hai wuh yih khā saktā hai, ḳhāh wuh zamīn par chalne-phirne wālā jānwar, hawā kā parindā yā zamīn par reṅgne wālā kyoṅ na ho.” Aisā hī huā. |
36 | GEN 2:5 | to shurū meṅ jhāṛiyāṅ aur paude nahīṅ ugte the. Wajah yih thī ki Allāh ne bārish kā intazām nahīṅ kiyā thā. Aur abhī insān bhī paidā nahīṅ huā thā ki zamīn kī khetībāṛī kartā. |
37 | GEN 2:6 | Is kī bajāe zamīn meṅ se dhund uṭh kar us kī pūrī satah ko tar kartī thī. |
38 | GEN 2:7 | Phir Rab Ḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insān ko tashkīl diyā aur us ke nathnoṅ meṅ zindagī kā dam phūṅkā to wuh jītī jān huā. |
39 | GEN 2:8 | Rab Ḳhudā ne mashriq meṅ Mulk-e-Adan meṅ ek bāġh lagāyā. Us meṅ us ne us ādmī ko rakhā jise us ne banāyā thā. |
40 | GEN 2:9 | Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā. |
42 | GEN 2:11 | Pahlī shāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahāṅ ḳhālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmar pāe jāte haiṅ. |
44 | GEN 2:13 | Dūsrī kā nām Jaihūn hai jo Kūsh ko ghere hue bahtī hai. |
45 | GEN 2:14 | Tīsrī kā nām Dijlā hai jo Asūr ke mashriq ko jātī hai aur chauthī kā nām Furāt hai. |
47 | GEN 2:16 | Lekin Rab Ḳhudā ne use āgāh kiyā, “Tujhe har daraḳht kā phal khāne kī ijāzat hai. |
48 | GEN 2:17 | Lekin jis daraḳht kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā hai us kā phal khānā manā hai. Agar use khāe to yaqīnan maregā.” |
50 | GEN 2:19 | Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unheṅ ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yoṅ har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā. |
51 | GEN 2:20 | Ādmī ne tamām maweshiyoṅ, parindoṅ aur zamīn par phirne wāle jāndāroṅ ke nām rakhe. Lekin use apne lie koī munāsib madadgār na milā. |
52 | GEN 2:21 | Tab Rab Ḳhudā ne use sulā diyā. Jab wuh gahrī nīnd so rahā thā to us ne us kī pasliyoṅ meṅ se ek nikāl kar us kī jagah gosht bhar diyā. |
54 | GEN 2:23 | Use dekh kar wuh pukār uṭhā, “Wāh! Yih to mujh jaisī hī hai, merī haḍḍiyoṅ meṅ se haḍḍī aur mere gosht meṅ se gosht hai. Is kā nām Nārī rakhā jāe kyoṅki wuh nar se nikālī gaī hai.” |
55 | GEN 2:24 | Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ. |
57 | GEN 3:1 | Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?” |
58 | GEN 3:2 | Aurat ne jawāb diyā, “Hargiz nahīṅ. Ham bāġh kā har phal khā sakte haiṅ, |
59 | GEN 3:3 | sirf us daraḳht ke phal se gurez karnā hai jo bāġh ke bīch meṅ hai. Allāh ne kahā ki us kā phal na khāo balki use chhūnā bhī nahīṅ, warnā tum yaqīnan mar jāoge.” |
61 | GEN 3:5 | balki Allāh jāntā hai ki jab tum us kā phal khāoge to tumhārī āṅkheṅ khul jāeṅgī aur tum Allāh kī mānind ho jāoge, tum jo bhī achchhā aur burā hai use jān loge.” |
62 | GEN 3:6 | Aurat ne daraḳht par ġhaur kiyā ki khāne ke lie achchhā aur deḳhne meṅ bhī dilkash hai. Sab se dilfareb bāt yih ki us se samajh hāsil ho saktī hai! Yih soch kar us ne us kā phal le kar use khāyā. Phir us ne apne shauhar ko bhī de diyā, kyoṅki wuh us ke sāth thā. Us ne bhī khā liyā. |
63 | GEN 3:7 | Lekin khāte hī un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur un ko mālūm huā ki ham nange haiṅ. Chunāṅche unhoṅ ne anjīr ke patte sī kar lungiyāṅ banā līṅ. |
64 | GEN 3:8 | Shām ke waqt jab ṭhanḍī hawā chalne lagī to unhoṅ ne Rab Ḳhudā ko bāġh meṅ chalte phirte sunā. Wuh ḍar ke māre daraḳhtoṅ ke pīchhe chhup gae. |
66 | GEN 3:10 | Ādam ne jawāb diyā, “Maiṅ ne tujhe bāġh meṅ chalte hue sunā to ḍar gayā, kyoṅki maiṅ nangā hūṅ. Is lie maiṅ chhup gayā.” |
67 | GEN 3:11 | Us ne pūchhā, “Kis ne tujhe batāyā ki tū nangā hai? Kyā tū ne us daraḳht kā phal khāyā hai jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā?” |
68 | GEN 3:12 | Ādam ne kahā, “Jo aurat tū ne mere sāth rahne ke lie dī hai us ne mujhe phal diyā. Is lie maiṅ ne khā liyā.” |
69 | GEN 3:13 | Ab Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā, “Tū ne yih kyoṅ kiyā?” Aurat ne jawāb diyā, “Sāṅp ne mujhe bahkāyā to maiṅ ne khāyā.” |
70 | GEN 3:14 | Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā. |
71 | GEN 3:15 | Maiṅ tere aur aurat ke darmiyān dushmanī paidā karūṅga. Us kī aulād terī aulād kī dushman hogī. Wuh tere sar ko kuchal ḍālegī jabki tū us kī eṛī par kāṭegā.” |
72 | GEN 3:16 | Phir Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā aur kahā, “Jab tū ummīd se hogī to maiṅ terī taklīf ko bahut baṛhāūṅgā. Jab tere bachche hoṅge to tū shadīd dard kā shikār hogī. Tū apne shauhar kī tamannā karegī lekin wuh tujh par hukūmat karegā.” |
73 | GEN 3:17 | Ādam se us ne kahā, “Tū ne apnī bīwī kī bāt mānī aur us daraḳht kā phal khāyā jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā. Is lie tere sabab se zamīn par lānat hai. Us se ḳhurāk hāsil karne ke lie tujhe umr-bhar mehnat-mashaqqat karnī paṛegī. |
75 | GEN 3:19 | Pasīnā bahā bahā kar tujhe roṭī kamāne ke lie bhāg-dauṛ karnī paṛegī. Aur yih silsilā maut tak jārī rahegā. Tū mehnat karte karte dubārā zamīn meṅ lauṭ jāegā, kyoṅki tū usī se liyā gayā hai. Tū ḳhāk hai aur dubārā ḳhāk meṅ mil jāegā.” |
79 | GEN 3:23 | Is lie Rab Ḳhudā ne use Bāġh-e-Adan se nikāl kar us zamīn kī khetībāṛī karne kī zimmedārī dī jis meṅ se use liyā gayā thā. |
80 | GEN 3:24 | Insān ko ḳhārij karne ke bād us ne Bāġh-e-Adan ke mashriq meṅ karūbī farishte khaṛe kie aur sāth sāth ek ātishī talwār rakhī jo idhar-udhar ghūmtī thī tāki us rāste kī hifāzat kare jo zindagī baḳhshne wāle daraḳht tak pahuṅchātā thā. |