Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   ā    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

1  GEN 1:1  Ibtidā meṅ Allāh ne āsmān aur zamīn ko banāyā.
2  GEN 1:2  Abhī tak zamīn wīrān aur ḳhāthī. Wuh gahre pāse ḍhakī huī thī jis ke ūpar andherā andherā thā. Allāh kā Rūh pāke ūpar manḍlā rahā thā.
3  GEN 1:3  Phir Allāh ne kahā, “Raushnī ho jāe” to raushnī paidā ho gaī.
4  GEN 1:4  Allāh ne dekhā ki raushnī achchhī hai, aur us ne raushnī ko tārīkī se alag kar diyā.
5  GEN 1:5  Allāh ne raushnī ko din kā nām diyā aur tārīkī ko rāt kā. Shām huī, phir subah. Yoṅ pahlā din guzar gayā.
6  GEN 1:6  Allāh ne kahā, “Pāke darmiyān ek aisā gumbad paidā ho jāe jis se nichlā pāūpar ke pāse alag ho jāe.”
7  GEN 1:7  Aisā huā. Allāh ne ek aisā gumbad banāyā jis se nichlā pāūpar ke pāse alag ho gayā.
8  GEN 1:8  Allāh ne gumbad ko āsmān kā nām diyā. Shām huī, phir subah. Yoṅ dūsrā din guzar gayā.
9  GEN 1:9  Allāh ne kahā, “Jo pāāsmān ke nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāe tāki dūsrī taraf ḳhushk jagah nazar āe.” Aisā huā.
10  GEN 1:10  Allāh ne ḳhushk jagah ko zamīn kā nām diyā aur jamāshudā pāko samundar kā. Aur Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
11  GEN 1:11  Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paidā kare, aise paude jo bīj rakhte hoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” Aisā huā.
12  GEN 1:12  Zamīn ne hariyāwal paidā kī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
13  GEN 1:13  Shām huī, phir subah. Yoṅ tīsrā din guzar gayā.
14  GEN 1:14  Allāh ne kahā, Āsmān par raushniyāpaidā ho jāeṅ tāki din aur rāt meṅ imtiyāz ho aur isī tarah muḳhtalif mausamoṅ, dinoṅ aur sāloṅ meṅ bhī.
15  GEN 1:15  Āsmān kī yih raushniyāduniyā ko raushan kareṅ.” Aisā huā.