258 | GEN 10:23 | Arām ke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Mas the. |
262 | GEN 10:27 | Hadūrām, Ūzāl, Diqlā, |
263 | GEN 10:28 | Ūbāl, Abīmāel, Sabā, |
295 | GEN 11:28 | Apne bāp Tārah kī zindagī meṅ hī Hārān Kasdiyoṅ ke Ūr meṅ intaqāl kar gayā jahāṅ wuh paidā bhī huā thā. |
298 | GEN 11:31 | Tārah Kasdiyoṅ ke Ūr se rawānā ho kar Mulk-e-Kanān kī taraf safr karne lagā. Us ke sāth us kā beṭā Abrām, us kā potā Lūt yānī Hārān kā beṭā aur us kī bahū Sāray the. Jab wuh Hārān pahuṅche to wahāṅ ābād ho gae. |
368 | GEN 15:7 | Phir Rab ne us se kahā, “Maiṅ Rab hūṅ jo tujhe Kasdiyoṅ ke Ūr se yahāṅ le āyā tāki tujhe yih mulk mīrās meṅ de dūṅ.” |
569 | GEN 22:21 | Us ke pahlauṭhe Ūz ke bād Būz, Qamuel (Arām kā bāp), |
614 | GEN 24:22 | Ūṅṭ pānī pīne se fāriġh hue to us ne Ribqā ko sone kī ek nath aur do kangan die. Nath kā taqrīban 6 grām thā aur kanganoṅ kā 120 grām. |
624 | GEN 24:32 | Wuh naukar ko le kar ghar pahuṅchā. Ūṅṭoṅ se sāmān utārā gayā, aur un ko bhūsā aur chārā diyā gayā. Pānī bhī lāyā gayā tāki Ibrāhīm kā naukar aur us ke ādmī apne pāṅw dhoeṅ. |
1069 | GEN 36:28 | Dīsān ke do beṭe Ūz aur Arān the. |
2206 | EXO 25:10 | Log kīkar kī lakaṛī kā sandūq banāeṅ. Us kī lambāī paune chār fuṭ ho jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī sawā do do fuṭ ho. Pūre sandūq par andar aur bāhar se ḳhālis sonā chaṛhānā. Ūpar kī satah ke irdgird sone kī jhālar lagānā. Sandūq ko uṭhāne ke lie sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagānā. Donoṅ taraf do do kaṛe hoṅ. |
2324 | EXO 28:30 | Sīne ke kīse meṅ donoṅ qur'e banām Ūrīm aur Tummīm rakhe jāeṅ. Wuh bhī maqdis meṅ Rab ke sāmne āte waqt Hārūn ke dil par hoṅ. Yoṅ jab Hārūn Rab ke huzūr hogā to Rab kī marzī pūchhne kā wasīlā hameshā us ke dil par hogā. |
2386 | EXO 30:3 | Us kī ūpar kī satah, us ke chār pahluoṅ aur us ke sīṅgoṅ par ḳhālis sonā chaṛhānā. Ūpar kī satah ke irdgird sone kī jhālar ho. |
2423 | EXO 31:2 | “Maiṅ ne Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ko chun liyā hai tāki wuh muqaddas ḳhaime kī tāmīr meṅ rāhnumāī kare. |
2562 | EXO 35:30 | Phir Mūsā ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Rab ne Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ko chun liyā hai. |
2607 | EXO 37:2 | Us ne pūre sandūq par andar aur bāhar se ḳhālis sonā chaṛhāyā. Ūpar kī satah ke irdgird us ne sone kī jhālar lagāī. |
2631 | EXO 37:26 | Us kī ūpar kī satah, us ke chār pahluoṅ aur us ke sīṅgoṅ par ḳhālis sonā chaṛhāyā gayā. Ūpar kī satah ke irdgird Bazliyel ne sone kī jhālar banāī. |
2656 | EXO 38:22 | (Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ne wuh sab kuchh banāyā jo Rab ne Mūsā ko batāyā thā. |
2926 | LEV 8:8 | Is ke bād us ne sīne kā kīsā lagā kar us meṅ donoṅ qur'e banām Ūrīm aur Tummīm rakhe. |
3002 | LEV 11:4 | Ūṅṭ, bijjū yā ḳhargosh khānā manā hai. Wuh tumhāre lie nāpāk haiṅ, kyoṅki wuh jugālī to karte haiṅ lekin un ke khur yā pāṅw chire hue nahīṅ haiṅ. |
4577 | NUM 27:21 | Rab kī marzī jānane ke lie wuh Iliyazar Imām ke sāmne khaṛā hogā to Iliyazar Rab ke sāmne Ūrīm aur Tummīm istemāl karke us kī marzī dariyāft karegā. Usī ke hukm par Yashua aur Isrāīl kī pūrī jamāt ḳhaimāgāh se nikleṅge aur wāpas āeṅge.” |
5299 | DEU 14:7 | Ūṅṭ, bijjū yā ḳhargosh khānā manā hai. Wuh tumhāre lie nāpāk haiṅ, kyoṅki wuh jugālī to karte haiṅ lekin un ke khur yā pāṅw chire hue nahīṅ haiṅ. |
5820 | DEU 33:8 | Lāwī kī Barkat: Terī marzī mālūm karne ke qur'e banām Ūrīm aur Tummīm tere wafādār ḳhādim Lāwī ke pās hote haiṅ. Tū ne use Massā meṅ āzmāyā aur Marībā meṅ us se laṛā. |
8265 | 2SA 11:3 | Dāūd ne kisī ko us ke bāre meṅ mālūmāt hāsil karne ke lie bhej diyā. Wāpas ā kar us ne ittalā dī, “Aurat kā nām Bat-sabā hai. Wuh Iliyām kī beṭī aur Ūriyāh Hittī kī bīwī hai.” |
8268 | 2SA 11:6 | Yih sunte hī Dāūd ne Yoāb ko paiġhām bhejā, “Ūriyāh Hittī ko mere pās bhej deṅ!” Yoāb ne use bhej diyā. |
8269 | 2SA 11:7 | Jab Ūriyāh darbār meṅ pahuṅchā to Dāūd ne us se Yoāb aur fauj kā hāl mālūm kiyā aur pūchhā ki jang kis tarah chal rahī hai? |
8270 | 2SA 11:8 | Phir us ne Ūriyāh ko batāyā, “Ab apne ghar jāeṅ aur pāṅw dho kar ārām kareṅ.” Ūriyāh abhī mahal se dūr nahīṅ gayā thā ki ek mulāzim ne us ke pīchhe bhāg kar use bādshāh kī taraf se tohfā diyā. |
8271 | 2SA 11:9 | Lekin Ūriyāh apne ghar na gayā balki rāt ke lie bādshāh ke muhāfizoṅ ke sāth ṭhahrā rahā jo mahal ke darwāze ke pās sote the. |
8273 | 2SA 11:11 | Ūriyāh ne jawāb diyā, “Ahd kā sandūq aur Isrāīl aur Yahūdāh ke faujī jhoṅpṛiyoṅ meṅ rah rahe haiṅ. Yoāb aur bādshāh ke afsar bhī khule maidān meṅ ṭhahre hue haiṅ to kyā munāsib hai ki maiṅ apne ghar jā kar ārām se khāūṅ-piyūṅ aur apnī bīwī se hambistar ho jāūṅ? Hargiz nahīṅ! Āp kī hayāt kī qasam, maiṅ kabhī aisā nahīṅ karūṅga.” |
8274 | 2SA 11:12 | Dāūd ne use kahā, “Ek aur din yahāṅ ṭhahreṅ. Kal maiṅ āp ko wāpas jāne dūṅgā.” Chunāṅche Ūriyāh ek aur din Yarūshalam meṅ ṭhahrā rahā. |
8275 | 2SA 11:13 | Shām ke waqt Dāūd ne use khāne kī dāwat dī. Us ne use itnī mai pilāī ki Ūriyāh nashe meṅ dhut ho gayā, lekin is martabā bhī wuh apne ghar na gayā balki dubārā mahal meṅ muhāfizoṅ ke sāth so gayā. |
8276 | 2SA 11:14 | Agle din subah Dāūd ne Yoāb ko ḳhat likh kar Ūriyāh ke hāth bhej diyā. |
8277 | 2SA 11:15 | Us meṅ likhā thā, “Ūriyāh ko sab se aglī saf meṅ khaṛā kareṅ, jahāṅ laṛāī sab se saḳht hotī hai. Phir achānak pīchhe kī taraf haṭ kar use chhoṛ deṅ tāki dushman use mār de.” |
8278 | 2SA 11:16 | Yih paṛh kar Yoāb ne Ūriyāh ko ek aisī jagah par khaṛā kiyā jis ke bāre meṅ use ilm thā ki dushman ke sab se zabardast faujī wahāṅ laṛte haiṅ. |
8279 | 2SA 11:17 | Jab Ammoniyoṅ ne shahr se nikal kar un par hamlā kiyā to kuchh Isrāīlī shahīd hue. Ūriyāh Hittī bhī un meṅ shāmil thā. |
8283 | 2SA 11:21 | Kyā āp ko yād nahīṅ ki qadīm zamāne meṅ Jidāūn ke beṭe Abīmalik ke sāth kyā huā? Taibiz Shahr meṅ ek aurat hī ne use mār ḍālā. Aur wajah yih thī ki wuh qile ke itne qarīb ā gayā thā ki aurat dīwār par se chakkī kā ūpar kā pāṭ us par phaiṅk sakī. Shahr kī fasīl ke is qadar qarīb laṛne kī kyā zarūrat thī?’ Agar bādshāh āp par aise ilzāmāt lagāeṅ to jawāb meṅ bas itnā hī kah denā, ‘Ūriyāh Hittī bhī mārā gayā hai.’” |
8286 | 2SA 11:24 | Lekin afsos ki phir kuchh tīrandāz ham par fasīl par se tīr barsāne lage. Āp ke kuchh ḳhādim khet āe aur Ūriyāh Hittī bhī un meṅ shāmil hai.” |
8288 | 2SA 11:26 | Jab Bat-sabā ko ittalā milī ki Ūriyāh nahīṅ rahā to us ne us kā mātam kiyā. |
8298 | 2SA 12:9 | Ab mujhe batā ki tū ne merī marzī ko haqīr jān kar aisī harkat kyoṅ kī hai jis se mujhe nafrat hai? Tū ne Ūriyāh Hittī ko qatl karwā ke us kī bīwī ko chhīn liyā hai. Hāṅ, tū qātil hai, kyoṅki tū ne hukm diyā ki Ūriyāh ko Ammoniyoṅ se laṛte laṛte marwānā hai. |
8299 | 2SA 12:10 | Chūṅki tū ne mujhe haqīr jān kar Ūriyāh Hittī kī bīwī ko us se chhīn liyā is lie āindā talwār tere gharāne se nahīṅ haṭegī.’ |
8695 | 2SA 23:39 | aur Ūriyāh Hittī. Ādmiyoṅ kī kul tādād 37 thī. |
8866 | 1KI 4:19 | Jabar bin Ūrī Jiliyād kā wuh ilāqā jis par pahle Amorī bādshāh Sīhon aur Basan ke bādshāh Oj kī hukūmat thī. Is pūre ilāqe par sirf yihī ek afsar muqarrar thā. |
9257 | 1KI 15:5 | kyoṅki Dāūd ne wuh kuchh kiyā thā jo Rab ko pasand thā. Jīte-jī wuh Rab ke ahkām ke tābe rahā, siwāe us jurm ke jab us ne Ūriyāh Hittī ke silsile meṅ ġhalat qadam uṭhāe the. |
9977 | 2KI 16:10 | Āḳhaz Bādshāh Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar se milne ke lie Damishq gayā. Wahāṅ ek qurbāngāh thī jis kā namūnā Āḳhaz ne banā kar Ūriyāh Imām ko bhej diyā. Sāth sāth us ne ḍizāyn kī tamām tafsīlāt bhī Yarūshalam bhej dīṅ. |
9978 | 2KI 16:11 | Jab Ūriyāh ko hidāyāt milīṅ to us ne unhīṅ ke mutābiq Yarūshalam meṅ ek qurbāngāh banāī. Āḳhaz ke Damishq se wāpas āne se pahle pahle use taiyār kar liyā gayā. |
9982 | 2KI 16:15 | Ūriyāh Imām ko us ne hukm diyā, “Ab se āp ko tamām qurbāniyoṅ ko naī qurbāngāh par pesh karnā hai. In meṅ subh-o-shām kī rozānā qurbāniyāṅ bhī shāmil haiṅ aur bādshāh aur ummat kī muḳhtalif qurbāniyāṅ bhī, masalan bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur ġhallā aur mai kī nazareṅ. Qurbāniyoṅ ke tamām ḳhūn ko bhī sirf naī qurbāngāh par chhiṛaknā hai. Āindā pītal kī purānī qurbāngāh sirf mere zātī istemāl ke lie hogī jab mujhe Allāh se kuchh dariyāft karnā hogā.” |
9983 | 2KI 16:16 | Ūriyāh Imām ne waisā hī kiyā jaisā bādshāh ne use hukm diyā. |
10126 | 2KI 21:3 | Ūṅchī jaghoṅ ke jin mandiroṅ ko us ke bāp Hizqiyāh ne ḍhā diyā thā unheṅ us ne nae sire se tāmīr kiyā. Us ne Bāl Dewatā kī qurbāngāheṅ banwāīṅ aur Yasīrat Dewī kā khambā khaṛā kiyā, bilkul usī tarah jis tarah Isrāīl ke bādshāh Aḳhiyab ne kiyā thā. In ke alāwā wuh sūraj, chāṅd balki āsmān ke pūre lashkar ko sijdā karke un kī ḳhidmat kartā thā. |
10273 | 1CH 1:17 | Sim ke beṭe Ailām, Asūr, Arfaksad, Lūd aur Arām the. Arām ke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Masak the. |
10277 | 1CH 1:21 | Hadūrām, Ūzāl, Diqlā, |
10278 | 1CH 1:22 | Ūbāl, Abīmāel, Sabā, |
10298 | 1CH 1:42 | Esar ke tīn beṭe Bilhān, Zāwān aur Aqān the. Dīsān ke do beṭe Ūz aur Arān the. |
10330 | 1CH 2:20 | Hūr Ūrī kā aur Ūrī Bazliyel kā bāp thā. |
10482 | 1CH 6:9 | Assīr ke Tahat, Tahat ke Ūriyel, Ūriyel ke Uzziyāh aur Uzziyāh ke Sāūl. |
10623 | 1CH 9:4 | Yahūdāh ke qabīle ke darj-e-zail ḳhāndānī sarparast wahāṅ ābād hue: Ūtī bin Ammīhūd bin Umrī bin Imrī bin Bānī. Bānī Fāras bin Yahūdāh kī aulād meṅ se thā. |
10712 | 1CH 11:35 | Aḳhiyām bin Sakār Harārī, Ilīfal bin Ūr, |
10718 | 1CH 11:41 | Ūriyāh Hittī, Zabad bin Aḳhlī, |
10801 | 1CH 15:5 | Darj-e-zail un Lāwī sarparastoṅ kī fahrist hai jo apne rishtedāroṅ ko le kar āe. Qihāt ke ḳhāndān se Ūriyel 120 mardoṅ samet, |
11204 | 2CH 1:5 | Lekin pītal kī jo qurbāngāh Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ne banāī thī wuh ab tak Jibaūn meṅ Rab ke ḳhaime ke sāmne thī. Ab Sulemān aur Isrāīl us ke sāmne jamā hue tāki Rab kī marzī dariyāft kareṅ. |
11460 | 2CH 13:2 | Wuh tīn sāl bādshāh rahā, aur us kā dārul-hukūmat Yarūshalam thā. Us kī māṅ Mākā bint Ūriyel Jibiyā kī rahne wālī thī. Ek din Abiyāh aur Yarubiyām ke darmiyān jang chhiṛ gaī. |
11916 | 2CH 33:3 | Ūṅchī jaghoṅ ke jin mandiroṅ ko us ke bāp Hizqiyāh ne ḍhā diyā thā unheṅ us ne nae sire se tāmīr kiyā. Us ne Bāl dewatāoṅ kī qurbāngāheṅ banwāīṅ aur Yasīrat Dewī ke khambe khaṛe kie. In ke alāwā wuh sūraj, chāṅd balki āsmān ke pūre lashkar ko sijdā karke un kī ḳhidmat kartā thā. |
12095 | EZR 2:63 | Yahūdāh ke gawarnar ne hukm diyā ki in tīn ḳhāndānoṅ ke imām filhāl qurbāniyoṅ kā wuh hissā khāne meṅ sharīk na hoṅ jo imāmoṅ ke lie muqarrar hai. Jab dubārā imām-e-āzam muqarrar kiyā jāe to wuhī Ūrīm aur Tummīm nāmī qurā ḍāl kar muāmalā hal kare. |
12220 | EZR 8:14 | Bigwī kā ḳhāndān kā Ūtī aur Zabūd 70 mardoṅ ke sāth. |
12239 | EZR 8:33 | Chauthe din ham ne apne Ḳhudā ke ghar meṅ sonā-chāṅdī aur bāqī maḳhsūs sāmān tol kar imām Marīmot bin Ūriyāh ke hawāle kar diyā. Us waqt Iliyazar bin Fīnhās aur do Lāwī banām Yūzabad bin Yashua aur Nauadiyāh bin Binnūī us ke sāth the. |
12281 | EZR 10:24 | Gulūkāroṅ meṅ se qusūrwār: Iliyāsib. Rab ke ghar ke darbānoṅ meṅ se qusūrwār: Sallūm, Talam aur Ūrī. |
12291 | EZR 10:34 | Bānī ke ḳhāndān kā Mādī, Amrām, Ūel, |
12336 | NEH 3:4 | Agle hisse kī marammat Marīmot bin Ūriyāh bin Haqqūz ne kī. Aglā hissā Masullām bin Barakiyāh bin Mashezabel kī zimmedārī thī. Sadoq bin Bānā ne agle hisse ko tāmīr kiyā. |
12353 | NEH 3:21 | Aglā hissā Marīmot bin Ūriyāh bin Haqqūz kī zimmedārī thī aur Iliyāsib ke ghar ke darwāze se shurū ho kar us ke kone par ḳhatm huā. |
12357 | NEH 3:25 | Aglā hissā Fālāl bin Ūzī kī zimmedārī thī. Yih hissā moṛ se shurū huā, aur ūpar kā jo burj shāhī mahal se us jagah nikaltā hai jahāṅ muhāfizoṅ kā sahan hai wuh bhī is meṅ shāmil thā. Aglā hissā Fidāyāh bin Parūs |
12490 | NEH 7:65 | Yahūdāh ke gawarnar ne hukm diyā ki in tīn ḳhāndānoṅ ke imām filhāl qurbāniyoṅ kā wuh hissā khāne meṅ sharīk na hoṅ jo imāmoṅ ke lie muqarrar hai. Jab dubārā imām-e-āzam muqarrar kiyā jāe to wuhī Ūrīm aur Tummīm nāmī qurā ḍāl kar muāmalā hal kare. |
12501 | NEH 8:4 | Azrā lakaṛī ke ek chabūtare par khaṛā thā jo ḳhāskar is mauqe ke lie banāyā gayā thā. Us ke dāeṅ hāth Mattitiyāh, Samā, Anāyāh, Ūriyāh, Ḳhilqiyāh aur Māsiyāh khaṛe the. Us ke bāeṅ hāth Fidāyāh, Mīsāel, Malkiyāh, Hāshūm, Hasbaddānā, Zakariyāh aur Masullām khaṛe the. |
12522 | NEH 9:7 | Tū hī Rab aur wuh Ḳhudā hai jis ne Abrām ko chun liyā aur Kasdiyoṅ ke shahr Ūr se bāhar lā kar Ibrāhīm kā nām rakhā. |
12874 | JOB 1:1 | Mulk-e-Ūz meṅ ek be'ilzām ādmī rahtā thā jis kā nām Ayyūb thā. Wuh sīdhī rāh par chaltā, Allāh kā ḳhauf māntā aur har burāī se dūr rahtā thā. |
17879 | ISA 8:2 | Maiṅ ne Ūriyāh Imām aur Zakariyāh bin Yabarakiyāh kī maujūdagī meṅ aisā hī likh diyā, kyoṅki donoṅ motabar gawāh the. |
18131 | ISA 22:9 | Tum ne un muta'addid darāṛoṅ kā jāyzā liyā jo Dāūd ke shahr kī fasīl meṅ paṛ gaī thīṅ. Use mazbūt karne ke lie tum ne Yarūshalam ke makānoṅ ko gin kar un meṅ se kuchh girā die. Sāth sāth tum ne nichle tālāb kā pānī jamā kiyā. Ūpar ke purāne tālāb se nikalne wālā pānī jamā karne ke lie tum ne andarūnī aur bairūnī fasīl ke darmiyān ek aur tālāb banā liyā. Lekin afsos, tum us kī parwā nahīṅ karte jo yih sārā silsilā amal meṅ lāyā. Us par tum tawajjuh hī nahīṅ dete jis ne baṛī der pahle ise tashkīl diyā thā. |
18833 | ISA 56:10 | Isrāīl ke pahredār andhe haiṅ, sab ke sab kuchh bhī nahīṅ jānte. Sab ke sab bahre kutte haiṅ jo bhaunk hī nahīṅ sakte. Farsh par leṭe hue wuh achchhe achchhe ḳhāb deḳhte rahte haiṅ. Ūṅghnā unheṅ kitnā pasand hai! |
18897 | ISA 60:6 | Ūṅṭoṅ kā ġhol balki Midiyān aur Aifā ke jawān ūṅṭ tere mulk ko ḍhāṅp deṅge. Wuh sone aur baḳhūr se lade hue aur Rab kī hamd-o-sanā karte hue Mulk-e-Sabā se āeṅge. |
19623 | JER 25:20 | aur mulk meṅ basne wāle ġhairmulkī, Mulk-e-Ūz ke tamām bādshāh, Filistī bādshāh aur un ke shahr Askqalūn, Ġhazzā aur Aqrūn, nīz Filistī shahr Ashdūd kā bachā-khuchā hissā, |
19661 | JER 26:20 | Un dinoṅ meṅ ek aur nabī bhī Yarmiyāh kī tarah Rab kā nām le kar nabuwwat kartā thā. Us kā nām Ūriyāh bin Samāyāh thā, aur wuh Qiriyat-yārīm kā rahne wālā thā. Us ne bhī Yarūshalam aur Yahūdāh ke ḳhilāf wuhī peshgoiyāṅ sunāīṅ jo Yarmiyāh sunātā thā. |
19662 | JER 26:21 | Jab Yahūyaqīm Bādshāh aur us ke tamām faujī aur sarkārī afsaroṅ ne us kī bāteṅ sunīṅ to bādshāh ne use mār ḍālne kī koshish kī. Lekin Ūriyāh ko is kī ḳhabar milī, aur wuh ḍar kar bhāg gayā. Chalte chalte wuh Misr pahuṅch gayā. |
19664 | JER 26:23 | Wahāṅ pahuṅch kar wuh Ūriyāh ko pakaṛ kar Yahūyaqīm ke pās wāpas lāe. Bādshāh ke hukm par us kā sar qalam kar diyā gayā aur us kī nāsh ko nichle tabqe ke logoṅ ke qabristān meṅ dafnāyā gayā. |
20510 | LAM 4:21 | Ai Adom Beṭī, beshak shādiyānā bajā! Beshak Mulk-e-Ūz meṅ rah kar ḳhushī manā! Lekin ḳhabardār, Allāh ke ġhazab kā pyālā tujhe bhī pilāyā jāegā. Tab tū use pī pī kar mast ho jāegī aur nashe meṅ apne kapṛe utār kar barahnā phiregī. |
20993 | EZK 20:29 | Maiṅ ne un kā sāmnā karke kahā, “Yih kis tarah kī ūṅchī jagheṅ haiṅ jahāṅ tum jāte ho?” Āj tak yih qurbāngāheṅ Ūṅchī Jagheṅ kahlātī haiṅ.’ |
21209 | EZK 27:19 | Widān aur Yūnān tere gāhak the. Wuh Ūzāl kā ḍhālā huā lohā, dārchīnī aur kalamas kā masālā pahuṅchāte the. |
22032 | DAN 8:2 | Royā meṅ maiṅ sūbā Ailām ke qilāband shahr Sosan kī nahar Ūlāī ke kināre par khaṛā thā. |
22046 | DAN 8:16 | Sāth sāth maiṅ ne nahar Ūlāī kī taraf se kisī shaḳhs kī āwāz sunī jis ne kahā, “Ai Jibrāīl, is ādmī ko royā kā matlab batā de.” |
23219 | MAT 1:6 | Yassī Dāūd Bādshāh kā bāp thā. Dāūd Sulemān kā bāp thā. (Sulemān kī māṅ pahle Ūriyyāh kī bīwī thī.) |
25342 | LUK 8:28 | Īsā ko dekh kar wuh chillāyā aur us ke sāmne gir gayā. Ūṅchī āwāz se us ne kahā, “Īsā Allāh T'ālā ke Farzand, merā āp ke sāth kyā wāstā hai? Maiṅ minnat kartā hūṅ, mujhe azāb meṅ na ḍāleṅ.” |
27702 | ACT 20:8 | Ūpar kī manzil meṅ jis kamre meṅ ham jamā the wahāṅ bahut-se charāġh jal rahe the. |
28329 | ROM 12:16 | Ek dūsre ke sāth achchhe tālluqāt rakheṅ. Ūṅchī soch na rakheṅ balki dabe huoṅ se rifāqat rakheṅ. Apne āp ko dānā mat samjheṅ. |