2 | GEN 1:2 | Abhī tak zamīn wīrān aur ḳhālī thī. Wuh gahre pānī se ḍhakī huī thī jis ke ūpar andherā hī andherā thā. Allāh kā Rūh pānī ke ūpar manḍlā rahā thā. |
6 | GEN 1:6 | Allāh ne kahā, “Pānī ke darmiyān ek aisā gumbad paidā ho jāe jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho jāe.” |
7 | GEN 1:7 | Aisā hī huā. Allāh ne ek aisā gumbad banāyā jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho gayā. |
8 | GEN 1:8 | Allāh ne gumbad ko āsmān kā nām diyā. Shām huī, phir subah. Yoṅ dūsrā din guzar gayā. |
9 | GEN 1:9 | Allāh ne kahā, “Jo pānī āsmān ke nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāe tāki dūsrī taraf ḳhushk jagah nazar āe.” Aisā hī huā. |
16 | GEN 1:16 | Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bhī banāyā. |
18 | GEN 1:18 | din aur rāt par hukūmat kareṅ aur raushnī aur tārīkī meṅ imtiyāz paidā kareṅ. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
21 | GEN 1:21 | Allāh ne baṛe baṛe samundarī jānwar banāe, pānī kī tamām dīgar maḳhlūqāt aur har qism ke par rakhne wāle jāndār bhī banāe. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai. |
22 | GEN 1:22 | Us ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Samundar tum se bhar jāe. Isī tarah parinde zamīn par tādād meṅ baṛh jāeṅ.” |
26 | GEN 1:26 | Allāh ne kahā, “Āo ab ham insān ko apnī sūrat par banāeṅ, wuh ham se mushābahat rakhe. Wuh tamām jānwaroṅ par hukūmat kare, samundar kī machhliyoṅ par, hawā ke parindoṅ par, maweshiyoṅ par, janglī jānwaroṅ par aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par.” |
27 | GEN 1:27 | Yoṅ Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā, Allāh kī sūrat par. Us ne unheṅ mard aur aurat banāyā. |
28 | GEN 1:28 | Allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par hukūmat karo.” |
29 | GEN 1:29 | Allāh ne un se mazīd kahā, “Tamām bījdār paude aur phaldār daraḳht tumhāre hī haiṅ. Maiṅ unheṅ tum ko khāne ke lie detā hūṅ. |
30 | GEN 1:30 | Is tarah maiṅ tamām jānwaroṅ ko khāne ke lie hariyālī detā hūṅ. Jis meṅ bhī jān hai wuh yih khā saktā hai, ḳhāh wuh zamīn par chalne-phirne wālā jānwar, hawā kā parindā yā zamīn par reṅgne wālā kyoṅ na ho.” Aisā hī huā. |
34 | GEN 2:3 | Allāh ne sātweṅ din ko barkat dī aur use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Kyoṅki us din us ne apne tamām taḳhlīqī kām se fāriġh ho kar ārām kiyā. |
36 | GEN 2:5 | to shurū meṅ jhāṛiyāṅ aur paude nahīṅ ugte the. Wajah yih thī ki Allāh ne bārish kā intazām nahīṅ kiyā thā. Aur abhī insān bhī paidā nahīṅ huā thā ki zamīn kī khetībāṛī kartā. |
37 | GEN 2:6 | Is kī bajāe zamīn meṅ se dhund uṭh kar us kī pūrī satah ko tar kartī thī. |
38 | GEN 2:7 | Phir Rab Ḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insān ko tashkīl diyā aur us ke nathnoṅ meṅ zindagī kā dam phūṅkā to wuh jītī jān huā. |
40 | GEN 2:9 | Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā. |
42 | GEN 2:11 | Pahlī shāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahāṅ ḳhālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmar pāe jāte haiṅ. |
44 | GEN 2:13 | Dūsrī kā nām Jaihūn hai jo Kūsh ko ghere hue bahtī hai. |
45 | GEN 2:14 | Tīsrī kā nām Dijlā hai jo Asūr ke mashriq ko jātī hai aur chauthī kā nām Furāt hai. |
49 | GEN 2:18 | Rab Ḳhudā ne kahā, “Achchhā nahīṅ ki ādmī akelā rahe. Maiṅ us ke lie ek munāsib madadgār banātā hūṅ.” |
50 | GEN 2:19 | Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unheṅ ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yoṅ har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā. |
57 | GEN 3:1 | Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?” |
59 | GEN 3:3 | sirf us daraḳht ke phal se gurez karnā hai jo bāġh ke bīch meṅ hai. Allāh ne kahā ki us kā phal na khāo balki use chhūnā bhī nahīṅ, warnā tum yaqīnan mar jāoge.” |
63 | GEN 3:7 | Lekin khāte hī un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur un ko mālūm huā ki ham nange haiṅ. Chunāṅche unhoṅ ne anjīr ke patte sī kar lungiyāṅ banā līṅ. |
65 | GEN 3:9 | Rab Ḳhudā ne pukār kar kahā, “Ādam, tū kahāṅ hai?” |
66 | GEN 3:10 | Ādam ne jawāb diyā, “Maiṅ ne tujhe bāġh meṅ chalte hue sunā to ḍar gayā, kyoṅki maiṅ nangā hūṅ. Is lie maiṅ chhup gayā.” |
67 | GEN 3:11 | Us ne pūchhā, “Kis ne tujhe batāyā ki tū nangā hai? Kyā tū ne us daraḳht kā phal khāyā hai jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā?” |
68 | GEN 3:12 | Ādam ne kahā, “Jo aurat tū ne mere sāth rahne ke lie dī hai us ne mujhe phal diyā. Is lie maiṅ ne khā liyā.” |
69 | GEN 3:13 | Ab Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā, “Tū ne yih kyoṅ kiyā?” Aurat ne jawāb diyā, “Sāṅp ne mujhe bahkāyā to maiṅ ne khāyā.” |
70 | GEN 3:14 | Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā. |
71 | GEN 3:15 | Maiṅ tere aur aurat ke darmiyān dushmanī paidā karūṅga. Us kī aulād terī aulād kī dushman hogī. Wuh tere sar ko kuchal ḍālegī jabki tū us kī eṛī par kāṭegā.” |
72 | GEN 3:16 | Phir Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā aur kahā, “Jab tū ummīd se hogī to maiṅ terī taklīf ko bahut baṛhāūṅgā. Jab tere bachche hoṅge to tū shadīd dard kā shikār hogī. Tū apne shauhar kī tamannā karegī lekin wuh tujh par hukūmat karegā.” |
73 | GEN 3:17 | Ādam se us ne kahā, “Tū ne apnī bīwī kī bāt mānī aur us daraḳht kā phal khāyā jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā. Is lie tere sabab se zamīn par lānat hai. Us se ḳhurāk hāsil karne ke lie tujhe umr-bhar mehnat-mashaqqat karnī paṛegī. |
74 | GEN 3:18 | Tere lie wuh ḳhārdār paude aur ūṅṭkaṭāre paidā karegī, hālāṅki tū us se apnī ḳhurāk bhī hāsil karegā. |
75 | GEN 3:19 | Pasīnā bahā bahā kar tujhe roṭī kamāne ke lie bhāg-dauṛ karnī paṛegī. Aur yih silsilā maut tak jārī rahegā. Tū mehnat karte karte dubārā zamīn meṅ lauṭ jāegā, kyoṅki tū usī se liyā gayā hai. Tū ḳhāk hai aur dubārā ḳhāk meṅ mil jāegā.” |
80 | GEN 3:24 | Insān ko ḳhārij karne ke bād us ne Bāġh-e-Adan ke mashriq meṅ karūbī farishte khaṛe kie aur sāth sāth ek ātishī talwār rakhī jo idhar-udhar ghūmtī thī tāki us rāste kī hifāzat kare jo zindagī baḳhshne wāle daraḳht tak pahuṅchātā thā. |
85 | GEN 4:5 | magar Qābīl kā nazarānā manzūr na huā. Yih dekh kar Qābīl baṛe ġhusse meṅ ā gayā, aur us kā muṅh bigaṛ gayā. |
86 | GEN 4:6 | Rab ne pūchhā, “Tū ġhusse meṅ kyoṅ ā gayā hai? Terā muṅh kyoṅ laṭkā huā hai? |
87 | GEN 4:7 | Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.” |
89 | GEN 4:9 | Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?” |
90 | GEN 4:10 | Rab ne kahā, “Tū ne kyā kiyā hai? Tere bhāī kā ḳhūn zamīn meṅ se pukār kar mujh se fariyād kar rahā hai. |
91 | GEN 4:11 | Is lie tujh par lānat hai aur zamīn ne tujhe radd kiyā hai, kyoṅki zamīn ko muṅh khol kar tere hāth se qatl kie hue bhāī kā ḳhūn pīnā paṛā. |
92 | GEN 4:12 | Ab se jab tū khetībāṛī karegā to zamīn apnī paidāwār dene se inkār karegī. Tū mafrūr ho kar mārā mārā phiregā.” |
93 | GEN 4:13 | Qābīl ne kahā, “Merī sazā nihāyat saḳht hai. Maiṅ ise bardāsht nahīṅ kar pāūṅgā. |
94 | GEN 4:14 | Āj tū mujhe zamīn kī satah se bhagā rahā hai aur mujhe tere huzūr se bhī chhup jānā hai. Maiṅ mafrūr kī haisiyat se mārā mārā phirtā rahūṅgā, is lie jis ko bhī patā chalegā ki maiṅ kahāṅ hūṅ wuh mujhe qatl kar ḍālegā.” |
96 | GEN 4:16 | Is ke bād Qābīl Rab ke huzūr se chalā gayā aur Adan ke mashriq kī taraf Nod ke ilāqe meṅ jā basā. |
97 | GEN 4:17 | Qābīl kī bīwī hāmilā huī. Beṭā paidā huā jis kā nām Hanūk rakhā gayā. Qābīl ne ek shahr tāmīr kiyā aur apne beṭe kī ḳhushī meṅ us kā nām Hanūk rakhā. |
98 | GEN 4:18 | Hanūk kā beṭā Īrād thā, Īrād kā beṭā Mahūyāel, Mahūyāel kā beṭā Matūsāel aur Matūsāel kā beṭā Lamak thā. |
101 | GEN 4:21 | Yābal kā bhāī Yūbal thā. Us kī nasl ke log sarod aur bāṅsrī bajāte the. |
102 | GEN 4:22 | Zillā ke bhī beṭā paidā huā jis kā nām Tūbal-qābīl thā. Wuh lohār thā. Us kī nasl ke log pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the. Tūbal-qābīl kī bahan kā nām Nāmā thā. |
106 | GEN 4:26 | Set ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Anūs rakhā. Un dinoṅ meṅ log Rab kā nām le kar ibādat karne lage. |
107 | GEN 5:1 | Zail meṅ Ādam kā nasabnāmā darj hai. Jab Allāh ne insān ko ḳhalaq kiyā to us ne use apnī sūrat par banāyā. |
109 | GEN 5:3 | Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā. |
112 | GEN 5:6 | Set 105 sāl kā thā jab us kā beṭā Anūs paidā huā. |
115 | GEN 5:9 | Anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭā Qīnān paidā huā. |
124 | GEN 5:18 | Yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭā Hanūk paidā huā. |
127 | GEN 5:21 | Hanūk 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Matūsilah paidā huā. |
130 | GEN 5:24 | Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā. |
131 | GEN 5:25 | Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā. |
135 | GEN 5:29 | Us ne us kā nām Nūh yānī Tasallī rakhā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ kahā, “Hamārā khetībāṛī kā kām nihāyat taklīfdeh hai, is lie ki Allāh ne zamīn par lānat bhejī hai. Lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallī pāeṅge.” |
138 | GEN 5:32 | Nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue. |
140 | GEN 6:2 | Tab āsmānī hastiyoṅ ne dekhā ki banī nau insān kī beṭiyāṅ ḳhūbsūrat haiṅ, aur unhoṅ ne un meṅ se kuchh chun kar un se shādī kī. |
141 | GEN 6:3 | Phir Rab ne kahā, “Merī rūh hameshā ke lie insān meṅ na rahe kyoṅki wuh fānī maḳhlūq hai. Ab se wuh 120 sāl se zyādā zindā nahīṅ rahegā.” |
142 | GEN 6:4 | Un dinoṅ meṅ aur bād meṅ bhī duniyā meṅ dewqāmat afrād the jo insānī auratoṅ aur un āsmānī hastiyoṅ kī shādiyoṅ se paidā hue the. Yih dewqāmat afrād qadīm zamāne ke mashhūr sūrmā the. |
145 | GEN 6:7 | Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.” |