35 | GEN 2:4 | Yih āsmān-o-zamīn kī taḳhlīq kā bayān hai. Jab Rab Ḳhudā ne āsmān-o-zamīn ko banāyā |
38 | GEN 2:7 | Phir Rab Ḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insān ko tashkīl diyā aur us ke nathnoṅ meṅ zindagī kā dam phūṅkā to wuh jītī jān huā. |
39 | GEN 2:8 | Rab Ḳhudā ne mashriq meṅ Mulk-e-Adan meṅ ek bāġh lagāyā. Us meṅ us ne us ādmī ko rakhā jise us ne banāyā thā. |
40 | GEN 2:9 | Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā. |
46 | GEN 2:15 | Rab Ḳhudā ne pahle ādmī ko Bāġh-e-Adan meṅ rakhā tāki wuh us kī bāġhbānī aur hifāzat kare. |
47 | GEN 2:16 | Lekin Rab Ḳhudā ne use āgāh kiyā, “Tujhe har daraḳht kā phal khāne kī ijāzat hai. |
49 | GEN 2:18 | Rab Ḳhudā ne kahā, “Achchhā nahīṅ ki ādmī akelā rahe. Maiṅ us ke lie ek munāsib madadgār banātā hūṅ.” |
50 | GEN 2:19 | Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unheṅ ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yoṅ har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā. |
52 | GEN 2:21 | Tab Rab Ḳhudā ne use sulā diyā. Jab wuh gahrī nīnd so rahā thā to us ne us kī pasliyoṅ meṅ se ek nikāl kar us kī jagah gosht bhar diyā. |
57 | GEN 3:1 | Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?” |
64 | GEN 3:8 | Shām ke waqt jab ṭhanḍī hawā chalne lagī to unhoṅ ne Rab Ḳhudā ko bāġh meṅ chalte phirte sunā. Wuh ḍar ke māre daraḳhtoṅ ke pīchhe chhup gae. |
65 | GEN 3:9 | Rab Ḳhudā ne pukār kar kahā, “Ādam, tū kahāṅ hai?” |
69 | GEN 3:13 | Ab Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā, “Tū ne yih kyoṅ kiyā?” Aurat ne jawāb diyā, “Sāṅp ne mujhe bahkāyā to maiṅ ne khāyā.” |
70 | GEN 3:14 | Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā. |
72 | GEN 3:16 | Phir Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā aur kahā, “Jab tū ummīd se hogī to maiṅ terī taklīf ko bahut baṛhāūṅgā. Jab tere bachche hoṅge to tū shadīd dard kā shikār hogī. Tū apne shauhar kī tamannā karegī lekin wuh tujh par hukūmat karegā.” |
77 | GEN 3:21 | Rab Ḳhudā ne Ādam aur us kī bīwī ke lie khāloṅ se libās banā kar unheṅ pahnāyā. |
79 | GEN 3:23 | Is lie Rab Ḳhudā ne use Bāġh-e-Adan se nikāl kar us zamīn kī khetībāṛī karne kī zimmedārī dī jis meṅ se use liyā gayā thā. |
232 | GEN 9:26 | Mubārak ho Rab jo Sim kā Ḳhudā hai. Kanān Sim kā ġhulām ho. |
352 | GEN 14:15 | Wahāṅ us ne apne bandoṅ ko gurohoṅ meṅ taqsīm karke rāt ke waqt dushman par hamlā kiyā. Dushman shikast khā kar bhāg gayā aur Abrām ne Damishq ke shimāl meṅ wāqe Ḳhūbā tak us kā tāqqub kiyā. |
356 | GEN 14:19 | Us ne Abrām ko barkat de kar kahā, “Abrām par Allāh T'ālā kī barkat ho, jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai. |
359 | GEN 14:22 | Lekin Abrām ne us se kahā, “Maiṅ ne Rab se qasam khāī hai, Allāh T'ālā se jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai |
405 | GEN 17:7 | Maiṅ apnā ahd tere aur terī aulād ke sāth nasl-dar-nasl qāym karūṅga, ek abadī ahd jis ke mutābiq maiṅ terā aur terī aulād kā Ḳhudā hūṅgā. |
406 | GEN 17:8 | Tū is waqt Mulk-e-Kanān meṅ pardesī hai, lekin maiṅ is pūre mulk ko tujhe aur terī aulād ko detā hūṅ. Yih hameshā tak un kā hī rahegā, aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā.” |
434 | GEN 18:9 | Unhoṅ ne pūchhā, “Terī bīwī Sārā kahāṅ hai?” Us ne jawāb diyā, “Ḳhaime meṅ.” |
547 | GEN 21:33 | Is ke bād Ibrāhīm ne Bair-sabā meṅ jhāū kā daraḳht lagāyā. Wahāṅ us ne Rab kā nām le kar us kī ibādat kī jo abadī Ḳhudā hai. |
595 | GEN 24:3 | Rab kī qasam khāo jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhudā hai ki tum in Kanāniyoṅ meṅ se jin ke darmiyān maiṅ rahtā hūṅ mere beṭe ke lie bīwī nahīṅ lāoge |
598 | GEN 24:6 | Ibrāhīm ne kahā, “Ḳhabardār! Use hargiz wāpas na le jānā. |
599 | GEN 24:7 | Rab jo āsmān kā Ḳhudā hai apnā farishtā tumhāre āge bhejegā, is lie tum wahāṅ mere beṭe ke lie bīwī chunane meṅ zarūr kāmyāb hoge. Kyoṅki wuhī mujhe mere bāp ke ghar aur mere watan se yahāṅ le āyā hai, aur usī ne qasam khā kar mujh se wādā kiyā hai ki maiṅ Kanān kā yih mulk terī aulād ko dūṅgā. |
604 | GEN 24:12 | Phir us ne duā kī, “Ai Rab mere āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā, mujhe āj kāmyābī baḳhsh aur mere āqā Ibrāhīm par mehrbānī kar. |
619 | GEN 24:27 | Us ne kahā, “Mere āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ke karm aur wafādārī ne mere āqā ko nahīṅ chhoṛā. Rab ne mujhe sīdhā mere mālik ke rishtedāroṅ tak pahuṅchāyā hai.” |
634 | GEN 24:42 | Āj jab maiṅ kueṅ ke pās āyā to maiṅ ne duā kī, ‘Ai Rab, mere āqā ke Ḳhudā, agar terī marzī ho to mujhe is mishan meṅ kāmyābī baḳhsh jis ke lie maiṅ yahāṅ āyā hūṅ. |
640 | GEN 24:48 | Tab maiṅ ne Rab ko sijdā karke apne āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī tamjīd kī jis ne mujhe sīdhā mere mālik kī bhatījī tak pahuṅchāyā tāki wuh Is'hāq kī bīwī ban jāe. |
717 | GEN 26:24 | Usī rāt Rab us par zāhir huā aur kahā, “Maiṅ tere bāp Ibrāhīm kā Ḳhudā hūṅ. Mat ḍar, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ. Maiṅ tujhe barkat dūṅgā aur tujhe apne ḳhādim Ibrāhīm kī ḳhātir bahut aulād dūṅgā.” |
730 | GEN 27:2 | Is'hāq ne kahā, “Maiṅ būṛhā ho gayā hūṅ aur Ḳhudā jāne kab mar jāūṅ. |
748 | GEN 27:20 | Is'hāq ne pūchhā, “Beṭā, tujhe yih shikār itnī jaldī kis tarah mil gayā?” Us ne jawāb diyā, “Rab āp ke Ḳhudā ne use mere sāmne se guzarne diyā.” |
787 | GEN 28:13 | Rab us ke ūpar khaṛā thā. Us ne kahā, “Maiṅ Rab Ibrāhīm aur Is'hāq kā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih zamīn dūṅgā jis par tū leṭā hai. |
795 | GEN 28:21 | aur maiṅ salāmatī se apne bāp ke ghar wāpas pahuṅchūṅ to phir wuh merā Ḳhudā hogā. |
842 | GEN 30:11 | Liyāh ne kahā, “Maiṅ kitnī ḳhushqismat hūṅ!” Chunāṅche us ne us kā nām Jad yānī Ḳhushqismatī rakhā. |
879 | GEN 31:5 | un se kahā, “Maiṅ ne dekh liyā hai ki āp ke bāp kā mere sāth rawaiyā pahle kī nisbat bigaṛ gayā hai. Lekin mere bāp kā Ḳhudā mere sāth rahā hai. |
887 | GEN 31:13 | Maiṅ wuh Ḳhudā hūṅ jo Baitel meṅ tujh par zāhir huā thā, us jagah jahāṅ tū ne satūn par tel unḍel kar use mere lie maḳhsūs kiyā aur mere huzūr qasam khāī thī. Ab uṭh aur rawānā ho kar apne watan wāpas chalā jā.’” |
898 | GEN 31:24 | Lekin us rāt Allāh ne ḳhāb meṅ Lāban ke pās ā kar us se kahā, “Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.” |
903 | GEN 31:29 | Maiṅ āp ko bahut nuqsān pahuṅchā saktā hūṅ. Lekin pichhlī rāt āp ke abbū ke Ḳhudā ne mujh se kahā, ‘Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.’ |
916 | GEN 31:42 | Agar mere bāp Is'hāq kā Ḳhudā aur mere dādā Ibrāhīm kā mābūd mere sāth na hotā to āp mujhe zarūr ḳhālī hāth ruḳhsat karte. Lekin Allāh ne merī musībat aur merī saḳht mehnat-mashaqqat dekhī hai, is lie us ne kal rāt ko mere haq meṅ faislā diyā.” |
927 | GEN 31:53 | Ibrāhīm, Nahūr aur un ke bāp kā Ḳhudā ham donoṅ ke darmiyān faislā kare agar aisā koī muāmalā ho.” Jawāb meṅ Yāqūb ne Is'hāq ke mābūd kī qasam khāī ki maiṅ yih ahd kabhī nahīṅ toṛūṅgā. |
937 | GEN 32:9 | Ḳhayāl yih thā ki agar Esau ā kar ek guroh par hamlā kare to bāqī guroh shāyad bach jāe |
938 | GEN 32:10 | phir Yāqūb ne duā kī, “Ai mere dādā Ibrāhīm aur mere bāp Is'hāq ke Ḳhudā, merī duā sun! Ai Rab, tū ne ḳhud mujhe batāyā, ‘Apne mulk aur rishtedāroṅ ke pās wāpas jā, aur maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā.’ |
981 | GEN 33:20 | Wahāṅ us ne qurbāngāh banāī jis kā nām us ne ‘El Ḳhudā-e-Isrāīl’ rakhā. |
1015 | GEN 35:3 | kyoṅki hameṅ yih jagah chhoṛ kar Baitel jānā hai. Wahāṅ maiṅ us Ḳhudā ke lie qurbāngāh banāūṅgā jis ne musībat ke waqt merī duā sunī. Jahāṅ bhī maiṅ gayā wahāṅ wuh mere sāth rahā hai.” |
1030 | GEN 35:18 | Lekin wuh dam toṛne wālī thī, aur marte marte us ne us kā nām Bin-ūnī yānī ‘Merī Musībat kā Beṭā’ rakhā. Lekin us ke bāp ne us kā nām Binyamīn yānī ‘Dahne Hāth yā Ḳhushqismatī kā Beṭā’ rakhā. |
1181 | GEN 40:8 | Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham donoṅ ne ḳhāb dekhā hai, aur koī nahīṅ jo hameṅ un kā matlab batāe.” Yūsuf ne kahā, “Ḳhāboṅ kī tābīr to Allāh kā kām hai. Zarā mujhe apne ḳhāb to sunāeṅ.” |
1313 | GEN 43:22 | Nīz, ham mazīd ḳhurāk ḳharīdne ke lie aur paise le āe haiṅ. Ḳhudā jāne kis ne hamāre yih paise hamārī boriyoṅ meṅ rakh die.” |
1314 | GEN 43:23 | Mulāzim ne kahā, “Fikr na kareṅ. Mat ḍareṅ. Āp ke aur āp ke bāp ke Ḳhudā ne āp ke lie āp kī boriyoṅ meṅ yih ḳhazānā rakhā hogā. Baharhāl mujhe āp ke paise mil gae haiṅ.” Mulāzim Shamāūn ko un ke pās bāhar le āyā. |
1388 | GEN 46:1 | Yāqūb sab kuchh le kar rawānā huā aur Bair-sabā pahuṅchā. Wahāṅ us ne apne bāp Is'hāq ke Ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. |
1390 | GEN 46:3 | Allāh ne kahā, “Maiṅ Allāh hūṅ, tere bāp Is'hāq kā Ḳhudā. Misr jāne se mat ḍar, kyoṅki wahāṅ maiṅ tujh se ek baṛī qaum banāūṅgā. |
1498 | GEN 49:24 | Lekin us kī kamān mazbūt rahī, aur us ke bāzū Yāqūb ke zorāwar Ḳhudā ke sabab se tāqatwar rahe, us charwāhe ke sabab se jo Isrāīl kā Zabardast Sūrmā hai. |
1499 | GEN 49:25 | Kyoṅki tere bāp kā Ḳhudā terī madad kartā hai, Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe āsmān kī barkat, zamīn kī gahrāiyoṅ kī barkat aur aulād kī barkat detā hai. |
1522 | GEN 50:15 | Jab Yāqūb intaqāl kar gayā to Yūsuf ke bhāī ḍar gae. Unhoṅ ne kahā, “Ḳhatrā hai ki ab Yūsuf hamārā tāqqub karke us ġhalat kām kā badlā le jo ham ne us ke sāth kiyā thā. Phir kyā hogā?” |
1524 | GEN 50:17 | ki Yūsuf ko batānā, ‘Apne bhāiyoṅ ke us ġhalat kām ko muāf kar denā jo unhoṅ ne tumhāre sāth kiyā.’ Ab hameṅ jo āp ke bāp ke Ḳhudā ke pairokār haiṅ muāf kar deṅ.” Yih ḳhabar sun kar Yūsuf ro paṛā. |
1586 | EXO 3:6 | Maiṅ tere bāp kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ.” Yih sun kar Mūsā ne apnā muṅh ḍhāṅk liyā, kyoṅki wuh Allāh ko deḳhne se ḍarā. |
1593 | EXO 3:13 | Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Agar maiṅ Isrāīliyoṅ ke pās jā kar unheṅ batāūṅ ki tumhāre bāpdādā ke Ḳhudā ne mujhe tumhāre pās bhejā hai to wuh pūchheṅge, ‘Us kā nām kyā hai?’ Phir maiṅ un ko kyā jawāb dūṅ?” |
1595 | EXO 3:15 | Rab jo tumhāre bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hai usī ne mujhe tumhāre pās bhejā hai.’ Yih abad tak merā nām rahegā. Log yihī nām le kar mujhe nasl-dar-nasl yād kareṅge. |
1596 | EXO 3:16 | Ab jā aur Isrāīl ke buzurgoṅ ko jamā karke un ko batā de ki Rab tumhāre bāpdādā Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb kā Ḳhudā mujh par zāhir huā hai. Wuh farmātā hai, ‘Maiṅ ne ḳhūb dekh liyā hai ki Misr meṅ tumhāre sāth kyā sulūk ho rahā hai. |
1598 | EXO 3:18 | Buzurg terī suneṅge. Phir un ke sāth Misr ke bādshāh ke pās jā kar us se kahnā, ‘Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā ham par zāhir huā hai. Is lie hameṅ ijāzat deṅ ki ham tīn din kā safr karke registān meṅ Rab apne Ḳhudā ke lie qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ.’ |
1607 | EXO 4:5 | Rab ne kahā, “Yih dekh kar logoṅ ko yaqīn āegā ki Rab jo un ke bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hai tujh par zāhir huā hai. |
1628 | EXO 4:26 | Tab Allāh ne Mūsā ko chhoṛ diyā. Saffūrā ne use ḳhatne ke bāis hī ‘Ḳhūnī Dūlhā’ kahā thā. |
1634 | EXO 5:1 | Phir Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko registān meṅ jāne de tāki wuh mere lie īd manāeṅ.’” |
1636 | EXO 5:3 | Hārūn aur Mūsā ne kahā, “Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā ham par zāhir huā hai. Is lie mehrbānī karke hameṅ ijāzat deṅ ki registān meṅ tīn din kā safr karke Rab apne Ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅ pesh kareṅ. Kahīṅ wuh hameṅ kisī bīmārī yā talwār se na māre.” |
1641 | EXO 5:8 | To bhī wuh utnī hī īṅṭeṅ banāeṅ jitnī pahle banāte the. Wuh sust ho gae haiṅ aur isī lie chīḳh rahe haiṅ ki hameṅ jāne deṅ tāki apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ. |
1663 | EXO 6:7 | Maiṅ tumheṅ apnī qaum banāūṅgā aur tumhārā Ḳhudā hūṅgā. Tab tum jān loge ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ jis ne tumheṅ Misriyoṅ ke jue se āzād kar diyā hai. |
1702 | EXO 7:16 | Jab wuh wahāṅ pahuṅche to us se kahnā, ‘Rab Ibrāniyoṅ ke Ḳhudā ne mujhe āp ko yih batāne ke lie bhejā hai ki merī qaum ko merī ibādat karne ke lie registān meṅ jāne de. Lekin āp ne abhī tak us kī nahīṅ sunī. |
1721 | EXO 8:6 | Firaun ne kahā, “Ṭhīk hai, kal unheṅ ḳhatm karo.” Mūsā ne kahā, “Jaisā āp kahte haiṅ waisā hī hogā. Is tarah āp ko mālūm hogā ki hamāre Ḳhudā kī mānind koī nahīṅ hai. |
1736 | EXO 8:21 | Phir Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Chalo, isī mulk meṅ apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh karo.” |
1737 | EXO 8:22 | Lekin Mūsā ne kahā, “Yih munāsib nahīṅ hai. Jo qurbāniyāṅ ham Rab apne Ḳhudā ko pesh kareṅge wuh Misriyoṅ kī nazar meṅ ghinaunī haiṅ. Agar ham yahāṅ aisā kareṅ to kyā wuh hameṅ sangsār nahīṅ kareṅge? |
1738 | EXO 8:23 | Is lie lāzim hai ki ham tīn din kā safr karke registān meṅ hī Rab apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ jis tarah us ne hameṅ hukm bhī diyā hai.” |
1739 | EXO 8:24 | Firaun ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, maiṅ tumheṅ jāne dūṅgā tāki tum registān meṅ Rab apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh karo. Lekin tumheṅ zyādā dūr nahīṅ jānā hai. Aur mere lie bhī duā karnā.” |
1744 | EXO 9:1 | Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā kar use batā ki Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ.’ |
1756 | EXO 9:13 | Is ke bād Rab ne Mūsā se kahā, “Subah-sawere uṭh aur Firaun ke sāmne khaṛe ho kar use batā ki Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ. |
1773 | EXO 9:30 | Lekin maiṅ jāntā hūṅ ki āp aur āp ke ohdedār abhī tak Rab Ḳhudā kā ḳhauf nahīṅ mānte.” |
1781 | EXO 10:3 | Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne us se kahā, “Rab Ibrāniyoṅ ke Ḳhudā kā farmān hai, ‘Tū kab tak mere sāmne hathiyār ḍālne se inkār karegā? Merī qaum ko merī ibādat karne ke lie jāne de, |
1785 | EXO 10:7 | Is par darbāriyoṅ ne Firaun se bāt kī, “Ham kab tak is mard ke jāl meṅ phaṅse raheṅ? Isrāīliyoṅ ko Rab apne Ḳhudā kī ibādat karne ke lie jāne deṅ. Kyā āp ko abhī tak mālūm nahīṅ ki Misr barbād ho gayā hai?” |
1786 | EXO 10:8 | Tab Mūsā aur Hārūn ko Firaun ke pās bulāyā gayā. Us ne un se kahā, “Jāo, apne Ḳhudā kī ibādat karo. Lekin yih batāo ki kaun kaun sāth jāegā?” |
1794 | EXO 10:16 | Tab Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko jaldī se bulwāyā. Us ne kahā, “Maiṅ ne tumhāre Ḳhudā kā aur tumhārā gunāh kiyā hai. |
1795 | EXO 10:17 | Ab ek aur martabā merā gunāh muāf karo aur Rab apne Ḳhudā se duā karo tāki maut kī yih hālat mujh se dūr ho jāe.” |
1803 | EXO 10:25 | Mūsā ne jawāb diyā, “Kyā āp hī hameṅ qurbāniyoṅ ke lie jānwar deṅge tāki unheṅ Rab apne Ḳhudā ko pesh kareṅ? |
1806 | EXO 10:28 | Us ne Mūsā se kahā, “Dafā ho jā. Ḳhabardār! Phir kabhī apnī shakl na dikhānā, warnā tujhe maut ke hawāle kar diyā jāegā.” |
1923 | EXO 15:2 | Rab merī quwwat aur merā gīt hai, wuh merī najāt ban gayā hai. Wuhī merā Ḳhudā hai, aur maiṅ us kī tārīf karūṅga. Wuhī mere bāp kā Ḳhudā hai, aur maiṅ us kī tāzīm karūṅga. |
1947 | EXO 15:26 | Us ne kahā, “Ġhaur se Rab apne Ḳhudā kī āwāz suno! Jo kuchh us kī nazar meṅ durust hai wuhī karo. Us ke ahkām par dhyān do aur us kī tamām hidāyāt par amal karo. Phir maiṅ tum par wuh bīmāriyāṅ nahīṅ lāūṅgā jo Misriyoṅ par lāyā thā, kyoṅki maiṅ Rab hūṅ jo tujhe shifā detā hūṅ.” |
1960 | EXO 16:12 | “Maiṅ ne Isrāīliyoṅ kī shikāyat sun lī hai. Unheṅ batā, ‘Āj jab sūraj ġhurūb hone lagegā to tum gosht khāoge aur kal subah peṭ bhar kar roṭī. Phir tum jān loge ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.’” |
2004 | EXO 18:4 | Dūsre beṭe kā nām Iliyazar yānī ‘Merā Ḳhudā Madadgār Hai’ thā, kyoṅki jab wuh paidā huā to Mūsā ne kahā thā, “Mere bāp ke Ḳhudā ne merī madad karke mujhe Firaun kī talwār se bachāyā hai.” |
2040 | EXO 19:13 | Aur use hāth se chhū kar nahīṅ mārnā hai balki pattharoṅ yā tīroṅ se. Ḳhāh insān ho yā haiwān, wuh zindā nahīṅ rah saktā. Jab tak narsingā der tak phūṅkā na jāe us waqt tak logoṅ ko pahāṛ par chaṛhnī kī ijāzat nahīṅ hai.” |
2043 | EXO 19:16 | Tīsre din subah pahāṛ par ghanā bādal chhā gayā. Bijlī chamakne lagī, bādal garajne lagā aur narsinge kī nihāyat zordār āwāz sunāī dī. Ḳhaimāgāh meṅ log laraz uṭhe. |
2054 | EXO 20:2 | “Maiṅ Rab terā Ḳhudā hūṅ jo tujhe Mulk-e-Misr kī ġhulāmī se nikāl lāyā. |
2057 | EXO 20:5 | Na butoṅ kī parastish, na un kī ḳhidmat karnā, kyoṅki maiṅ terā Rab ġhayūr Ḳhudā hūṅ. Jo mujh se nafrat karte haiṅ unheṅ maiṅ tīsrī aur chauthī pusht tak sazā dūṅgā. |
2059 | EXO 20:7 | Rab apne Ḳhudā kā nām bemaqsad yā ġhalat maqsad ke lie istemāl na karnā. Jo bhī aisā kartā hai use Rab sazā die baġhair nahīṅ chhoṛegā. |
2062 | EXO 20:10 | lekin sātwāṅ din Rab tere Ḳhudā kā ārām kā din hai. Us din kisī tarah kā kām na karnā. Na tū, na terā beṭā, na terī beṭī, na terā naukar, na terī naukarānī aur na tere maweshī. Jo pardesī tere darmiyān rahtā hai wuh bhī kām na kare. |
2064 | EXO 20:12 | Apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā. Phir tū us mulk meṅ jo Rab terā Ḳhudā tujhe dene wālā hai der tak jītā rahegā. |
2164 | EXO 23:19 | Apnī zamīn kī pahlī paidāwār kā behtarīn hissā Rab apne Ḳhudā ke ghar meṅ lānā. Bheṛ yā bakrī ke bachche ko us kī māṅ ke dūdh meṅ na pakānā. |
2170 | EXO 23:25 | Rab apne Ḳhudā kī ḳhidmat karnā. Phir maiṅ terī ḳhurāk aur pānī ko barkat de kar tamām bīmāriyāṅ tujh se dūr karūṅga. |
2188 | EXO 24:10 | Wahāṅ unhoṅ ne Isrāīl ke Ḳhudā ko dekhā. Lagtā thā ki us ke pāṅwoṅ ke nīche sang-e-lājaward kā-sā taḳhtā thā. Wuh āsmān kī mānind sāf-o-shaffāf thā. |