Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   ṅ    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

1  GEN 1:1  Ibtidā me Allāh ne āsmān aur zamīn ko banāyā.
5  GEN 1:5  Allāh ne raushnī ko din kā nām diyā aur tārīkī ko rāt kā. Shām huī, phir subah. Yo pahlā din guzar gayā.
8  GEN 1:8  Allāh ne gumbad ko āsmān kā nām diyā. Shām huī, phir subah. Yo dūsrā din guzar gayā.
11  GEN 1:11  Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paidā kare, aise paude jo bīj rakhte ho aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte ho.” Aisā hī huā.
13  GEN 1:13  Shām huī, phir subah. Yo tīsrā din guzar gayā.
14  GEN 1:14  Allāh ne kahā, “Āsmān par raushniyā paidā ho jāe tāki din aur rāt me imtiyāz ho aur isī tarah muḳhtalif mausamo, dino aur sālo me bhī.
15  GEN 1:15  Āsmān kī yih raushniyā duniyā ko raushan kare.” Aisā hī huā.
16  GEN 1:16  Allāh ne do baṛī raushniyā banāī, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chād jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāro ko bhī banāyā.
17  GEN 1:17  Us ne unhe āsmān par rakhā tāki wuh duniyā ko raushan kare,
18  GEN 1:18  din aur rāt par hukūmat kare aur raushnī aur tārīkī me imtiyāz paidā kare. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
19  GEN 1:19  Shām huī, phir subah. Yo chauthā din guzar gayā.
20  GEN 1:20  Allāh ne kahā, “Pānī ābī jāndāro se bhar jāe aur fizā me parinde uṛte phire.”
22  GEN 1:22  Us ne unhe barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād me baṛhte jāo. Samundar tum se bhar jāe. Isī tarah parinde zamīn par tādād me baṛh jāe.”
23  GEN 1:23  Shām huī, phir subah. Yo chwā din guzar gayā.
24  GEN 1:24  Allāh ne kahā, “Zamīn har qism ke jāndār paidā kare: maweshī, regne wāle aur janglī jānwar.” Aisā hī huā.
25  GEN 1:25  Allāh ne har qism ke maweshī, regne wāle aur janglī jānwar banāe. Us ne dekhā ki yih achchhā hai.
26  GEN 1:26  Allāh ne kahā, “Āo ab ham insān ko apnī sūrat par banāe, wuh ham se mushābahat rakhe. Wuh tamām jānwaro par hukūmat kare, samundar kī machhliyo par, hawā ke parindo par, maweshiyo par, janglī jānwaro par aur zamīn par ke tamām regne wāle jāndāro par.”
27  GEN 1:27  Yo Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā, Allāh kī sūrat par. Us ne unhe mard aur aurat banāyā.
28  GEN 1:28  Allāh ne unhe barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād me baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyo, hawā ke parindo aur zamīn par ke tamām regne wāle jāndāro par hukūmat karo.”
29  GEN 1:29  Allāh ne un se mazīd kahā, “Tamām bījdār paude aur phaldār daraḳht tumhāre hī hai. Mai unhe tum ko khāne ke lie detā.
30  GEN 1:30  Is tarah mai tamām jānwaro ko khāne ke lie hariyālī detā. Jis me bhī jān hai wuh yih khā saktā hai, ḳhāh wuh zamīn par chalne-phirne wālā jānwar, hawā kā parindā yā zamīn par regne wālā kyo na ho.” Aisā hī huā.
32  GEN 2:1  Yo āsmān-o-zamīn aur un kī tamām chīzo kī taḳhlīq mukammal huī.
33  GEN 2:2  Sātwe din Allāh kā sārā kām takmīl ko pahuchā. Is se fāriġh ho kar us ne ārām kiyā.
34  GEN 2:3  Allāh ne sātwe din ko barkat dī aur use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Kyoki us din us ne apne tamām taḳhlīqī kām se fāriġh ho kar ārām kiyā.
36  GEN 2:5  to shurū me jhāṛiyā aur paude nahī ugte the. Wajah yih thī ki Allāh ne bārish kā intazām nahī kiyā thā. Aur abhī insān bhī paidā nahī huā thā ki zamīn kī khetībāṛī kartā.
37  GEN 2:6  Is kī bajāe zamīn me se dhund uṭh kar us kī pūrī satah ko tar kartī thī.
38  GEN 2:7  Phir Rab Ḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insān ko tashkīl diyā aur us ke nathno me zindagī kā dam phūto wuh jītī jān huā.
39  GEN 2:8  Rab Ḳhudā ne mashriq me Mulk-e-Adan me ek bāġh lagāyā. Us me us ne us ādmī ko rakhā jise us ne banāyā thā.
40  GEN 2:9  Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn me se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne me dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch me do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā.
41  GEN 2:10  Adan me se ek dariyā nikal kar bāġh kī ābpāshī kartā thā. Wahā se bah kar wuh chār shāḳho me taqsīm huā.
42  GEN 2:11  Pahlī shāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahā ḳhālis sonā, gūgal kād aur aqīq-e-ahmar pāe jāte hai.
46  GEN 2:15  Rab Ḳhudā ne pahle ādmī ko Bāġh-e-Adan me rakhā tāki wuh us kī bāġhbānī aur hifāzat kare.
49  GEN 2:18  Rab Ḳhudā ne kahā, “Achchhā nahī ki ādmī akelā rahe. Mai us ke lie ek munāsib madadgār banātā.”
50  GEN 2:19  Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unhe ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yo har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā.
51  GEN 2:20  Ādmī ne tamām maweshiyo, parindo aur zamīn par phirne wāle jāndāro ke nām rakhe. Lekin use apne lie koī munāsib madadgār na milā.
52  GEN 2:21  Tab Rab Ḳhudā ne use sulā diyā. Jab wuh gahrī nīnd so rahā thā to us ne us kī pasliyo me se ek nikāl kar us kī jagah gosht bhar diyā.
54  GEN 2:23  Use dekh kar wuh pukār uṭhā, “Wāh! Yih to mujh jaisī hī hai, merī haḍḍiyo me se haḍḍī aur mere gosht me se gosht hai. Is kā nām Nārī rakhā jāe kyoki wuh nar se nikālī gaī hai.”
55  GEN 2:24  Is lie mard apne-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuh dono ek ho jāte hai.
56  GEN 2:25  Dono, ādmī aur aurat nange the, lekin yih un ke lie sharm kā bāis nahī thā.
57  GEN 3:1  p zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaro se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?”
58  GEN 3:2  Aurat ne jawāb diyā, “Hargiz nahī. Ham bāġh kā har phal khā sakte hai,