62 | GEN 3:6 | Aurat ne daraḳht par ġhaur kiyā ki khāne ke lie achchhā aur deḳhne meṅ bhī dilkash hai. Sab se dilfareb bāt yih ki us se samajh hāsil ho saktī hai! Yih soch kar us ne us kā phal le kar use khāyā. Phir us ne apne shauhar ko bhī de diyā, kyoṅki wuh us ke sāth thā. Us ne bhī khā liyā. |
87 | GEN 4:7 | Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.” |
89 | GEN 4:9 | Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?” |
103 | GEN 4:23 | Ek din Lamak ne apnī bīwiyoṅ se kahā, “Adā aur Zillā, merī bāt suno! Lamak kī bīwiyo, mere alfāz par ġhaur karo! |
210 | GEN 9:4 | Lekin ḳhabardār! Aisā gosht na khānā jis meṅ ḳhūn hai, kyoṅki ḳhūn meṅ us kī jān hai. |
231 | GEN 9:25 | Us ne kahā, “Kanān par lānat! Wuh apne bhāiyoṅ kā zalīltarīn ġhulām hogā. |
431 | GEN 18:6 | Ibrāhīm ḳhaime kī taraf dauṛ kar Sārā ke pās āyā aur kahā, “Jaldī karo! 16 kilogrām behtarīn maidā le aur use gūṅdh kar roṭiyāṅ banā.” |
467 | GEN 19:9 | Unhoṅ ne kahā, “Rāste se haṭ jā! Dekho, yih shaḳhs jab hamāre pās āyā thā to ajnabī thā, aur ab yih ham par hākim bananā chāhtā hai. Ab tere sāth un se zyādā burā sulūk kareṅge.” Wuh use majbūr karte karte darwāze ko toṛne ke lie āge baṛhe. |
473 | GEN 19:15 | Jab pau phaṭne lagī to donoṅ ādmiyoṅ ne Lūt ko bahut samjhāyā aur kahā, “Jaldī kar! Apnī bīwī aur donoṅ beṭiyoṅ ko sāth le kar chalā jā, warnā jab shahr ko sazā dī jāegī to tū bhī halāk ho jāegā.” |
577 | GEN 23:5 | Hittiyoṅ ne jawāb diyā, “Hamāre āqā, hamārī bāt suneṅ! Āp hamāre darmiyān Allāh ke ra'īs haiṅ. Apnī bīwī ko hamārī behtarīn qabr meṅ dafn kareṅ. Ham meṅ se koī nahīṅ jo āp se apnī qabr kā inkār karegā.” |
583 | GEN 23:11 | “Nahīṅ, mere āqā! Merī bāt suneṅ. Maiṅ āp ko yih khet aur us meṅ maujūd ġhār de detā hūṅ. Sab jo hāzir haiṅ mere gawāh haiṅ, maiṅ yih āp ko detā hūṅ. Apnī bīwī ko wahāṅ dafn kar deṅ.” |
702 | GEN 26:9 | Us ne Is'hāq ko bulā kar kahā, “Wuh to āp kī bīwī hai! Āp ne kyoṅ kahā ki merī bahan hai?” Is'hāq ne jawāb diyā, “Maiṅ ne sochā ki agar maiṅ batāūṅ ki yih merī bīwī hai to log mujhe qatl kar deṅge.” |
703 | GEN 26:10 | Abīmalik ne kahā, “Āp ne hamāre sāth kaisā sulūk kar dikhāyā! Kitnī āsānī se mere ādmiyoṅ meṅ se koī āp kī bīwī se hambistar ho jātā. Is tarah ham āp ke sabab se ek baṛe jurm ke qusūrwār ṭhaharte.” |
736 | GEN 27:8 | Ab suno, mere beṭe! Jo kuchh maiṅ batātī hūṅ wuh karo. |
938 | GEN 32:10 | phir Yāqūb ne duā kī, “Ai mere dādā Ibrāhīm aur mere bāp Is'hāq ke Ḳhudā, merī duā sun! Ai Rab, tū ne ḳhud mujhe batāyā, ‘Apne mulk aur rishtedāroṅ ke pās wāpas jā, aur maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā.’ |
1094 | GEN 37:10 | Us ne yih ḳhāb apne bāp ko bhī sunāyā to us ne use ḍānṭā. Us ne kahā, “Yih kaisā ḳhāb hai jo tū ne dekhā! Yih kaisī bāt hai ki maiṅ, terī māṅ aur tere bhāī ā kar tere sāmne zamīn tak jhuk jāeṅ?” |
1164 | GEN 39:14 | to us ne ghar ke naukaroṅ ko bulā kar kahā, “Yih dekho! Mere mālik is Ibrānī ko hamāre pās le āe haiṅ tāki wuh hameṅ zalīl kare. Wuh merī ismatdarī karne ke lie mere kamre meṅ ā gayā, lekin maiṅ ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī. |
1239 | GEN 41:43 | Phir us ne use apne dūsre rath meṅ sawār kiyā aur log us ke āge āge pukārte rahe, “Ghuṭne ṭeko! Ghuṭne ṭeko!” Yoṅ Yūsuf pūre Misr kā hākim banā. |
1281 | GEN 42:28 | Us ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Mere paise wāpas kar die gae haiṅ! Wuh merī borī meṅ haiṅ.” Yih dekh kar un ke hosh uṛ gae. Kāṅpte hue wuh ek dūsre ko deḳhne aur kahne lage, “Yih kyā hai jo Allāh ne hamāre sāth kiyā hai?” |
1385 | GEN 45:26 | Unhoṅ ne us se kahā, “Yūsuf zindā hai! Wuh pūre Misr kā hākim hai.” Lekin Yāqūb hakkā-bakkā rah gayā, kyoṅki use yaqīn na āyā. |
1387 | GEN 45:28 | aur us ne kahā, “Merā beṭā Yūsuf zindā hai! Yihī kāfī hai. Marne se pahle maiṅ jā kar us se milūṅgā.” |
1436 | GEN 47:15 | Jab Misr aur Kanān ke paise ḳhatm ho gae to Misriyoṅ ne Yūsuf ke pās ā kar kahā, “Hameṅ roṭī deṅ! Ham āp ke sāmne kyoṅ mareṅ? Hamāre paise ḳhatm ho gae haiṅ.” |
1492 | GEN 49:18 | Ai Rab, maiṅ terī hī najāt ke intazār meṅ hūṅ! |
1526 | GEN 50:19 | Lekin Yūsuf ne kahā, “Mat ḍaro. Kyā maiṅ Allāh kī jagah hūṅ? Hargiz nahīṅ! |
1614 | EXO 4:12 | Ab jā! Tere bolte waqt maiṅ ḳhud tere sāth hūṅgā aur tujhe wuh kuchh sikhāūṅgā jo tujhe kahnā hai.” |
1637 | EXO 5:4 | Lekin Misr ke bādshāh ne inkār kiyā, “Mūsā aur Hārūn, tum logoṅ ko kām se kyoṅ rok rahe ho? Jāo, jo kām ham ne tum ko diyā hai us par lag jāo! |
1644 | EXO 5:11 | Is lie ḳhud jāo aur bhūsā ḍhūnḍ kar jamā karo. Lekin ḳhabardār! Utnī hī īṅṭeṅ banāo jitnī pahle banāte the.” |
1651 | EXO 5:18 | Ab jāo, kām karo. Tumheṅ bhūsā nahīṅ diyā jāegā, lekin ḳhabardār! Utnī hī īṅṭeṅ banāo jitnī pahle banāte the.” |
1802 | EXO 10:24 | Tab Firaun ne Mūsā ko phir bulwāyā aur kahā, “Jāo, Rab kī ibādat karo! Tum apne sāth bāl-bachchoṅ ko bhī le jā sakte ho. Sirf apnī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail pīchhe chhoṛ denā.” |
1806 | EXO 10:28 | Us ne Mūsā se kahā, “Dafā ho jā. Ḳhabardār! Phir kabhī apnī shakl na dikhānā, warnā tujhe maut ke hawāle kar diyā jāegā.” |
1947 | EXO 15:26 | Us ne kahā, “Ġhaur se Rab apne Ḳhudā kī āwāz suno! Jo kuchh us kī nazar meṅ durust hai wuhī karo. Us ke ahkām par dhyān do aur us kī tamām hidāyāt par amal karo. Phir maiṅ tum par wuh bīmāriyāṅ nahīṅ lāūṅgā jo Misriyoṅ par lāyā thā, kyoṅki maiṅ Rab hūṅ jo tujhe shifā detā hūṅ.” |
1951 | EXO 16:3 | Unhoṅ ne kahā, “Kāsh Rab hameṅ Misr meṅ hī mār ḍāltā! Wahāṅ ham kam az kam jī bhar kar gosht aur roṭī to khā sakte the. Āp hameṅ sirf is lie registān meṅ le āe haiṅ ki ham sab bhūke mar jāeṅ.” |
2010 | EXO 18:10 | Us ne kahā, “Rab kī tamjīd ho jis ne āp ko Misriyoṅ aur Firaun ke qabze se najāt dilāī hai. Usī ne qaum ko ġhulāmī se chhuṛāyā hai! |
2019 | EXO 18:19 | Merī bāt suneṅ! Maiṅ āp ko ek mashwarā detā hūṅ. Allāh us meṅ āp kī madad kare. Lāzim hai ki āp Allāh ke sāmne qaum ke numāindā raheṅ aur un ke muāmalāt us ke sāmne pesh kareṅ. |
4018 | NUM 10:29 | Mūsā ne apne Midiyānī susar Raūel yānī Yitro ke beṭe Hobāb se kahā, “Ham us jagah ke lie rawānā ho rahe haiṅ jis kā wādā Rab ne ham se kiyā hai. Hamāre sāth chaleṅ! Ham āp par ehsān kareṅge, kyoṅki Rab ne Isrāīl par ehsān karne kā wādā kiyā hai.” |
4030 | NUM 11:5 | Misr meṅ ham machhlī muft khā sakte the. Hāy, wahāṅ ke khīre, tarbūz, gandane, pyāz aur lahsan kitne achchhe the! |
4111 | NUM 14:2 | Sab Mūsā aur Hārūn ke ḳhilāf buṛbuṛāne lage. Pūrī jamāt ne un se kahā, “Kāsh ham Misr yā is registān meṅ mar gae hote! |
4122 | NUM 14:13 | Lekin Mūsā ne Rab se kahā, “Phir Misrī yih sun leṅge! Kyoṅki tū ne apnī qudrat se in logoṅ ko Misr se nikāl kar yahāṅ tak pahuṅchāyā hai. |
4203 | NUM 16:8 | Mūsā ne Qorah se bāt jārī rakhī, “Ai Lāwī kī aulād, suno! |
4221 | NUM 16:26 | Us ne jamāt ko āgāh kiyā, “In sharīroṅ ke ḳhaimoṅ se dūr ho jāo! Jo kuchh bhī un ke pās hai use na chhuo, warnā tum bhī un ke sāth tabāh ho jāoge jab wuh apne gunāhoṅ ke bāis halāk hoṅge.” |
4315 | NUM 20:3 | Wuh Mūsā se yih kah kar jhagaṛne lage, “Kāsh ham apne bhāiyoṅ ke sāth Rab ke sāmne mar gae hote! |
4322 | NUM 20:10 | aur Hārūn ke sāth jamāt ko chaṭān ke sāmne ikaṭṭhā kiyā. Mūsā ne un se kahā, “Ai baġhāwat karne wālo, suno! Kyā ham is chaṭān meṅ se tumhāre lie pānī nikāleṅ?” |
4358 | NUM 21:17 | Us waqt Isrāīliyoṅ ne yih gīt gāyā, “Ai kueṅ, phūṭ nikal! Us ke bāre meṅ gīt gāo, |
4370 | NUM 21:29 | Ai Moāb, tujh par afsos! Ai Kamos Dewatā kī qaum, tū halāk huī hai. Kamos ne apne beṭoṅ ko mafrūr aur apnī beṭiyoṅ ko Amorī bādshāh Sīhon kī qaidī banā diyā hai. |
4405 | NUM 22:29 | Bilām ne jawāb diyā, “Tū ne mujhe bewuqūf banāyā hai! Kāsh mere hāth meṅ talwār hotī to maiṅ abhī tujhe zabah kar detā!” |
4452 | NUM 24:5 | Ai Yāqūb, tere ḳhaime kitne shāndār haiṅ! Ai Isrāīl, tere ghar kitne achchhe haiṅ! |
4458 | NUM 24:11 | Ab dafā ho jā! Apne ghar wāpas bhāg jā! Maiṅ ne kahā thā ki baṛā inām dūṅgā. Lekin Rab ne tujhe inām pāne se rok diyā hai.” |
5001 | DEU 3:24 | “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū apne ḳhādim ko apnī azmat aur qudrat dikhāne lagā hai. Kyā āsmān yā zamīn par koī aur Ḳhudā hai jo terī tarah ke azīm kām kar saktā hai? Hargiz nahīṅ! |
5003 | DEU 3:26 | Lekin tumhāre sabab se Rab mujh se nārāz thā. Us ne merī na sunī balki kahā, “Bas kar! Āindā mere sāth is kā zikr na karnā. |
5039 | DEU 4:33 | Tū ne āg meṅ se boltī huī Allāh kī āwāz sunī to bhī jītā bachā! Kyā kisī aur qaum ke sāth aisā huā hai? |
5081 | DEU 5:26 | Kyoṅki fānī insānoṅ meṅ se kaun hamārī tarah zindā Ḳhudā ko āg meṅ se bāteṅ karte hue sun kar zindā rahā hai? Koī bhī nahīṅ! |
5084 | DEU 5:29 | Kāsh un kī soch hameshā aisī hī ho! Kāsh wuh hameshā isī tarah merā ḳhauf māneṅ aur mere ahkām par amal kareṅ! Agar wuh aisā kareṅge to wuh aur un kī aulād hameshā kāmyāb raheṅge. |
5091 | DEU 6:3 | Ai Isrāīl, yih merī bāteṅ sun aur baṛī ehtiyāt se in par amal kar! Phir Rab tere Ḳhudā kā wādā pūrā ho jāegā ki tū kāmyāb rahegā aur terī tādād us mulk meṅ ḳhūb baṛhtī jāegī jis meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. |
5092 | DEU 6:4 | Sun ai Isrāīl! Rab hamārā Ḳhudā ek hī Rab hai. |
5100 | DEU 6:12 | to ḳhabardār! Rab ko na bhūlnā jo tujhe Misr kī ġhulāmī se nikāl lāyā. |
5120 | DEU 7:7 | Rab ne kyoṅ tumhāre sāth tālluq qāym kiyā aur tumheṅ chun liyā? Kyā is wajah se ki tum tādād meṅ dīgar qaumoṅ kī nisbat zyādā the? Hargiz nahīṅ! Tum to bahut kam the. |
5160 | DEU 9:1 | Sun ai Isrāīl! Āj tū Dariyā-e-Yardan ko pār karne wālā hai. Dūsrī taraf tū aisī qaumoṅ ko bhagā degā jo tujh se baṛī aur tāqatwar haiṅ aur jin ke shāndār shahroṅ kī fasīleṅ āsmān se bāteṅ kartī haiṅ. |
5200 | DEU 10:12 | Ai Isrāīl, ab merī bāt sun! Rab terā Ḳhudā tujh se kyā taqāzā kartā hai? Sirf yih ki tū us kā ḳhauf māne, us kī tamām rāhoṅ par chale, use pyār kare, apne pūre dil-o-jān se us kī ḳhidmat kare |
5273 | DEU 12:31 | Aisā mat kar! Yih qaumeṅ aise ghinaune tarīqe se pūjā kartī haiṅ jin se Rab nafrat kartā hai. Wuh apne bachchoṅ ko bhī jalā kar apne dewatāoṅ ko pesh karte haiṅ. |
5432 | DEU 20:3 | kahe, “Sun ai Isrāīl! Āj tum apne dushman se laṛne jā rahe ho. Un ke sabab se pareshān na ho. Un se na ḳhauf khāo, na ghabrāo, |
5448 | DEU 20:19 | Shahr kā muhāsarā karte waqt irdgird ke phaldār daraḳhtoṅ ko kāṭ kar tabāh na kar denā ḳhāh baṛī der bhī ho jāe, warnā tū un kā phal nahīṅ khā sakegā. Unheṅ na kāṭnā. Kyā daraḳht tere dushman haiṅ jin kā muhāsarā karnā hai? Hargiz nahīṅ! |
5757 | DEU 31:27 | Kyoṅki maiṅ ḳhūb jāntā hūṅ ki tū kitnā sarkash aur haṭdharm hai. Merī maujūdagī meṅ bhī tum ne kitnī dafā Rab se sarkashī kī. To phir mere marne ke bād tum kyā kuchh nahīṅ karoge! |
5761 | DEU 32:1 | Ai āsmān, merī bāt par ġhaur kar! Ai zamīn, merā gīt sun! |
5763 | DEU 32:3 | Maiṅ Rab kā nām pukārūṅga. Hamāre Ḳhudā kī azmat kī tamjīd karo! |
5789 | DEU 32:29 | Kāsh wuh dānishmand ho kar yih bāt samjheṅ! Kāsh wuh jān leṅ ki un kā kyā anjām hai. |
5803 | DEU 32:43 | Ai dīgar qaumo, us kī ummat ke sāth ḳhushī manāo! Kyoṅki wuh apne ḳhādimoṅ ke ḳhūn kā intaqām legā. Wuh apne muḳhālifoṅ se badlā le kar apne mulk aur qaum kā kaffārā degā. |
5985 | JOS 7:7 | Yashua ne kahā, “Hāy, ai Rab Qādir-e-mutlaq! Tū ne is qaum ko Dariyā-e-Yardan meṅ se guzarne kyoṅ diyā agar terā maqsad sirf yih thā ki hameṅ Amoriyoṅ ke hawāle karke halāk kare? Kāsh ham dariyā ke mashriqī kināre par rahne ke lie taiyār hote! |
5988 | JOS 7:10 | Jawāb meṅ Rab ne Yashua se kahā, “Uṭh kar khaṛā ho jā! Tū kyoṅ muṅh ke bal paṛā hai? |
6072 | JOS 10:6 | Us waqt Yashua ne apne ḳhaime Jiljāl meṅ lagāe the. Jibaūn ke logoṅ ne use paiġhām bhej diyā, “Apne ḳhādimoṅ ko tark na kareṅ. Jaldī se hamāre pās ā kar hameṅ bachāeṅ! Hamārī madad kījie, kyoṅki pahāṛī ilāqe ke tamām Amorī bādshāh hamāre ḳhilāf muttahid ho gae haiṅ.” |
6078 | JOS 10:12 | Us din jab Rab ne Amoriyoṅ ko Isrāīl ke hāth meṅ kar diyā to Yashua ne Isrāīliyoṅ kī maujūdagī meṅ Rab se kahā, “Ai sūraj, Jibaūn ke ūpar ruk jā! Ai chāṅd, Wādī-e-Aiyālon par ṭhahar jā!” |
6300 | JOS 18:5 | mulk ko sāt ilāqoṅ meṅ taqsīm kareṅ. Lekin dhyān rakheṅ ki junūb meṅ Yahūdāh kā ilāqā aur shimāl meṅ Ifrāīm aur Manassī kā ilāqā hai. Un kī sarhaddeṅ mat chheṛnā! |
6447 | JOS 22:19 | Agar āp samajhte haiṅ ki āp kā mulk nāpāk hai aur āp is lie us meṅ Rab kī ḳhidmat nahīṅ kar sakte to hamāre pās Rab ke mulk meṅ āeṅ jahāṅ Rab kī sukūnatgāh hai, aur hamārī zamīnoṅ meṅ sharīk ho jāeṅ. Lekin Rab se yā ham se sarkashī mat karnā. Rab hamāre Ḳhudā kī qurbāngāh ke alāwā apne lie koī aur qurbāngāh na banāeṅ! |
6450 | JOS 22:22 | “Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā, hāṅ Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā haqīqat jāntā hai, aur Isrāīl bhī yih bāt jān le! Na ham sarkash hue haiṅ, na Rab se bewafā. Agar ham jhūṭ boleṅ to āj hī hameṅ mār ḍāleṅ! |
6492 | JOS 24:14 | Yashua ne bāt jārī rakhte hue kahā, “Chunāṅche Rab kā ḳhauf māneṅ aur pūrī wafādārī ke sāth us kī ḳhidmat kareṅ. Un butoṅ ko nikāl phaiṅkeṅ jin kī pūjā āp ke bāpdādā Dariyā-e-Furāt ke pār aur Misr meṅ karte rahe. Ab Rab hī kī ḳhidmat kareṅ! |
6505 | JOS 24:27 | Us ne tamām logoṅ se kahā, “Is patthar ko dekheṅ! Yih gawāh hai, kyoṅki is ne sab kuchh sun liyā hai jo Rab ne hameṅ batā diyā hai. Agar āp kabhī Allāh kā inkār kareṅ to yih āp ke ḳhilāf gawāhī degā.” |
6607 | JDG 4:6 | Ek din Daborā ne Baraq bin Abīnūsam ko bulāyā. Baraq Naftālī ke qabāylī ilāqe ke shahr Qādis meṅ rahtā thā. Daborā ne Baraq se kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā āp ko hukm detā hai, ‘Naftālī aur Zabūlūn ke qabīloṅ meṅ se 10,000 mardoṅ ko jamā karke un ke sāth Tabūr Pahāṛ par chaṛh jā! |
6621 | JDG 4:20 | Sīsarā ne darḳhāst kī, “Darwāze meṅ khaṛī ho jāo! Agar koī āe aur pūchhe ki kyā ḳhaime meṅ koī hai to bolo ki nahīṅ, koī nahīṅ hai.” |
6627 | JDG 5:2 | “Allāh kī satāish ho! Kyoṅki Isrāīl ke sardāroṅ ne rāhnumāī kī, aur awām nikalne ke lie taiyār hue. |
6628 | JDG 5:3 | Ai bādshāho, suno! Ai hukmrāno, merī bāt par tawajjuh do! Maiṅ Rab kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgī, Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī madahsarāī karūṅgī. |
6634 | JDG 5:9 | Merā dil Isrāīl ke sardāroṅ ke sāth hai aur un ke sāth jo ḳhushī se jang ke lie nikle. Rab kī satāish karo! |
6635 | JDG 5:10 | Ai tum jo safed gadhoṅ par kapṛe bichhā kar un par sawār ho, Allāh kī tamjīd karo! Ai tum jo paidal chal rahe ho, Allāh kī tārīf karo! |
6636 | JDG 5:11 | Suno! Jahāṅ jānwaroṅ ko pānī pilāyā jātā hai wahāṅ log Rab ke najātbaḳhsh kāmoṅ kī tārīf kar rahe haiṅ, un najātbaḳhsh kāmoṅ kī jo us ne Isrāīl ke dehātiyoṅ kī ḳhātir kie. Tab Rab ke log shahr ke darwāzoṅ ke pās utar āe. |
6637 | JDG 5:12 | Ai Daborā, uṭheṅ, uṭheṅ! Uṭheṅ, hāṅ uṭheṅ aur gīt gāeṅ! Ai Baraq, khaṛe ho jāeṅ! Ai Abīnūsam ke beṭe, apne qaidiyoṅ ko bāndh kar le jāeṅ! |
6646 | JDG 5:21 | Qaison nadī unheṅ uṛā le gaī, wuh nadī jo qadīm zamāne se bahtī hai. Ai merī jān, mazbūtī se āge chaltī jā! |
6648 | JDG 5:23 | Rab ke farishte ne kahā, ‘Mīroz Shahr par lānat karo, us ke bāshindoṅ par ḳhūb lānat karo! Kyoṅki wuh Rab kī madad karne na āe, wuh sūrmāoṅ ke ḳhilāf Rab kī madad karne na āe.’ |
6649 | JDG 5:24 | Hibar Qīnī kī bīwī mubārak hai! Ḳhaimoṅ meṅ rahne wālī auratoṅ meṅ se wuh sab se mubārak hai! |
6656 | JDG 5:31 | Ai Rab, tere tamām dushman Sīsarā kī tarah halāk ho jāeṅ! Lekin jo tujh se pyār karte haiṅ wuh pūre zor se tulū hone wāle sūraj kī mānind hoṅ.” Baraq kī is fatah ke bād Isrāīl meṅ 40 sāl amn-o-amān qāym rahā. |
6698 | JDG 7:2 | Rab ne Jidāūn se kahā, “Tere pās zyādā log haiṅ! Maiṅ is qism ke baṛe lashkar ko Midiyāniyoṅ par fatah nahīṅ dūṅgā, warnā Isrāīlī mere sāmne ḍīṅgeṅ mār kar kaheṅge, ‘Ham ne apnī hī tāqat se apne āp ko bachāyā hai!’ |
6700 | JDG 7:4 | Lekin Rab ne dubārā Jidāūn se bāt kī, “Abhī tak zyādā log haiṅ! In ke sāth utar kar chashme ke pās jā. Wahāṅ maiṅ unheṅ jāṅch kar un ko muqarrar karūṅga jinheṅ tere sāth jānā hai.” |
6710 | JDG 7:14 | Dūsre ne jawāb diyā, “Is kā sirf yih matlab ho saktā hai ki Isrāīlī mard Jidāūn bin Yuās kī talwār ġhālib āegī! Allāh use Midiyāniyoṅ aur pūrī lashkargāh par fatah degā.” |
6720 | JDG 7:24 | Us ne apne qāsidoṅ ke zariye Ifrāīm ke pūre pahāṛī ilāqe ke bāshindoṅ ko bhī paiġhām bhej diyā, “Utar āeṅ aur Midiyāniyoṅ ko bhāg jāne se rokeṅ! Bait-bārā tak un tamām jaghoṅ par qabzā kar leṅ jahāṅ dushman Dariyā-e-Yardan ko pā-piyādā pār kar saktā hai.” Ifrāīmī mān gae. |
6736 | JDG 8:15 | Jidāūn un ke pās gayā aur kahā, “Dekho, yih haiṅ Zibah aur Zalmunnā! Tum ne inhīṅ kī wajah se merā mazāq uṛā kar kahā thā ki ham āp ke thakehāre faujiyoṅ ko roṭī kyoṅ deṅ? Kyā āp Zibah aur Zalmunnā ko pakaṛ chuke haiṅ ki ham aisā kareṅ?” |
6742 | JDG 8:21 | Tab Zibah aur Zalmunnā ne kahā, “Āp hī hameṅ mār deṅ! Kyoṅki jaisā ādmī waisī us kī tāqat!” Jidāūn ne khaṛe ho kar unheṅ talwār se mār ḍālā aur un ke ūṅṭoṅ kī gardanoṅ par lage tāwīz utār kar apne pās rakhe. |
6763 | JDG 9:7 | Jab Yūtām ko is kī ittalā milī to wuh Garizīm Pahāṛ kī choṭī par chaṛh gayā aur ūṅchī āwāz se chillāyā, “Ai Sikam ke bāshindo, suneṅ merī bāt! Suneṅ agar āp chāhte haiṅ ki Allāh āp kī bhī sune. |
6775 | JDG 9:19 | Ab suneṅ! Agar āp ne Jidāūn aur us ke ḳhāndān ke sāth wafādārī aur sachchāī kā izhār kiyā hai to phir Allāh kare ki Abīmalik āp ke lie ḳhushī kā bāis ho aur āp us ke lie. |
6776 | JDG 9:20 | Lekin agar aisā nahīṅ thā to Allāh kare ki Abīmalik se āg nikal kar āp sab ko bhasm kar de jo Sikam aur Bait-millo meṅ rahte haiṅ! Aur āg āp se nikal kar Abīmalik ko bhī bhasm kar de!” |
6784 | JDG 9:28 | Jāl bin Abad ne kahā, “Sikam kā Abīmalik ke sāth kyā wāstā ki ham us ke tābe raheṅ? Wuh to sirf Yarubbāl kā beṭā hai, jis kā numāindā Zabūl hai. Us kī ḳhidmat mat karnā balki Sikam ke bānī Hamor ke logoṅ kī! Ham Abīmalik kī ḳhidmat kyoṅ kareṅ? |
6785 | JDG 9:29 | Kāsh shahr kā intazām mere hāth meṅ hotā! Phir maiṅ Abīmalik ko jald hī nikāl detā. Maiṅ use chaileṅj detā ki āo, apne faujiyoṅ ko jamā karke ham se laṛo!” |
6804 | JDG 9:48 | to wuh apne faujiyoṅ samet Zalmon Pahāṛ par chaṛh gayā. Wahāṅ us ne kulhāṛī se shāḳh kāṭ kar apne kandhoṅ par rakh lī aur apne faujiyoṅ ko hukm diyā, “Jaldī karo! Sab aisā hī karo.” |
6810 | JDG 9:54 | Jaldī se Abīmalik ne apne silāhbardār ko bulāyā. Us ne kahā, “Apnī talwār khīṅch kar mujhe mār do! Warnā log kaheṅge ki ek aurat ne mujhe mār ḍālā.” Chunāṅche naujawān ne apnī talwār us ke badan meṅ se guzār dī aur wuh mar gayā. |