4440 | NUM 23:23 | Yāqūb ke gharāne ke ḳhilāf jādūgarī nākām hai, Isrāīl ke ḳhilāf ġhaibdānī befāydā hai. Ab Yāqūb ke gharāne se kahā jāegā, ‘Allāh ne kaisā kām kiyā hai!’ |
6453 | JOS 22:25 | Āḳhir Rab ne hamāre aur āp ke darmiyān Dariyā-e-Yardan kī sarhad muqarrar kī hai. Chunāṅche āp ko Rab kī ibādat karne kā koī haq nahīṅ!’ Aisā karne se āp kī aulād hamārī aulād ko Rab kī ḳhidmat karne se rokegī. |
6698 | JDG 7:2 | Rab ne Jidāūn se kahā, “Tere pās zyādā log haiṅ! Maiṅ is qism ke baṛe lashkar ko Midiyāniyoṅ par fatah nahīṅ dūṅgā, warnā Isrāīlī mere sāmne ḍīṅgeṅ mār kar kaheṅge, ‘Ham ne apnī hī tāqat se apne āp ko bachāyā hai!’ |
6764 | JDG 9:8 | Ek din daraḳhtoṅ ne faislā kiyā ki ham par koī bādshāh honā chāhie. Wuh use chunane aur masah karne ke lie nikle. Pahle unhoṅ ne zaitūn ke daraḳht se bāt kī, ‘Hamāre bādshāh ban jāeṅ!’ |
6765 | JDG 9:9 | Lekin zaitūn ke daraḳht ne jawāb diyā, ‘Kyā maiṅ apnā tel paidā karne se bāz āūṅ jis kī Allāh aur insān itnī qadar karte haiṅ tāki daraḳhtoṅ par hukūmat karūṅ? Hargiz nahīṅ!’ |
6766 | JDG 9:10 | Is ke bād daraḳhtoṅ ne anjīr ke daraḳht se bāt kī, ‘Āeṅ, hamāre bādshāh ban jāeṅ!’ |
6767 | JDG 9:11 | Lekin anjīr ke daraḳht ne jawāb diyā, ‘Kyā maiṅ apnā mīṭhā aur achchhā phal lāne se bāz āūṅ tāki daraḳhtoṅ par hukūmat karūṅ? Hargiz nahīṅ!’ |
6768 | JDG 9:12 | Phir daraḳhtoṅ ne angūr kī bel se bāt kī, ‘Āeṅ, hamāre bādshāh ban jāeṅ!’ |
6769 | JDG 9:13 | Lekin angūr kī bel ne jawāb diyā, ‘Kyā maiṅ apnā ras paidā karne se bāz āūṅ jis se Allāh aur insān ḳhush ho jāte haiṅ tāki daraḳhtoṅ par hukūmat karūṅ? Hargiz nahīṅ!’ |
6770 | JDG 9:14 | Āḳhirkār daraḳht kāṅṭedār jhāṛī ke pās āe aur kahā, ‘Āeṅ aur hamāre bādshāh ban jāeṅ!’ |
7519 | 1SA 14:9 | Agar wuh hameṅ dekh kar pukāreṅ, ‘Ruk jāo, warnā ham tumheṅ mār deṅge!’ To ham apne mansūbe se bāz ā kar un ke pās nahīṅ jāeṅge. |
7520 | 1SA 14:10 | Lekin agar wuh pukāreṅ, ‘Āo, hamāre pās ā jāo!’ To ham zarūr un ke pās chaṛh jāeṅge. Kyoṅki yih is kā nishān hogā ki Rab unheṅ hamāre qabze meṅ kar degā.” |
7927 | 1SA 26:19 | Guzārish hai ki merā āqā aur bādshāh apne ḳhādim kī bāt sune. Agar Rab ne āp ko mere ḳhilāf uksāyā ho to wuh merī ġhallā kī nazar qabūl kare. Lekin agar insān is ke pīchhe haiṅ to Rab ke sāmne un par lānat! Apnī harkatoṅ se unhoṅ ne mujhe merī maurūsī zamīn se nikāl diyā hai aur natīje meṅ maiṅ Rab kī qaum meṅ nahīṅ rah saktā. Haqīqat meṅ wuh kah rahe haiṅ, ‘Jāo, dīgar mābūdoṅ kī pūjā karo!’ |
8745 | 1KI 1:25 | Kyoṅki āj us ne Ain-rājil jā kar bahut-se gāy-bail, moṭe-tāze bachhṛe aur bheṛ-bakriyoṅ ko zabah kiyā hai. Ziyāfat ke lie us ne tamām shahzādoṅ, tamām faujī afsaroṅ aur Abiyātar Imām ko dāwat dī hai. Is waqt wuh us ke sāth khānā khā khā kar aur mai pī pī kar nārā lagā rahe haiṅ, ‘Adūniyāh Bādshāh zindābād!’ |
8754 | 1KI 1:34 | Wahāṅ Sadoq aur Nātan use masah karke Isrāīl kā bādshāh banā deṅ. Narsinge ko bajā bajā kar nārā lagānā, ‘Sulemān Bādshāh zindābād!’ |
9505 | 1KI 22:22 | Rab ne sawāl kiyā, ‘Kis tarah?’ Rūh ne jawāb diyā, ‘Maiṅ nikal kar us ke tamām nabiyoṅ par yoṅ qābū pāūṅgī ki wuh jhūṭ hī boleṅge.’ Rab ne farmāyā, ‘Tū kāmyāb hogī. Jā aur yoṅ hī kar!’ |
11568 | 2CH 18:21 | Rūh ne jawāb diyā, ‘Maiṅ nikal kar us ke tamām nabiyoṅ par yoṅ qābū pāūṅgī ki wuh jhūṭ hī boleṅge.’ Rab ne farmāyā, ‘Tū kāmyāb hogī. Jā aur yoṅ hī kar!’ |
12911 | JOB 3:3 | “Wuh din miṭ jāe jab maiṅ ne janm liyā, wuh rāt jis ne kahā, ‘Peṭ meṅ laṛkā paidā huā hai!’ |
13413 | JOB 22:20 | ‘Lo, yih dekho, un kī jāydād kis tarah miṭ gaī, un kī daulat kis tarah bhasm ho gaī hai!’ |
13705 | JOB 34:18 | jo bādshāh se kah saktā hai, ‘Ai badmāsh!’ Aur shurafā se, ‘Ai bedīno!’? |
15446 | PSA 90:3 | Tū insān ko dubārā ḳhāk hone detā hai. Tū farmātā hai, ‘Ai ādamzādo, dubārā ḳhāk meṅ mil jāo!’ |
17848 | ISA 6:9 | Tab Rab ne farmāyā, “Jā, is qaum ko batā, ‘Apne kānoṅ se suno magar kuchh na samajhnā. Apnī āṅkhoṅ se dekho, magar kuchh na jānanā!’ |
18008 | ISA 14:10 | Sab mil kar tujh se kaheṅge, ‘Ab tū bhī ham jaisā kamzor ho gayā hai, tū bhī hamāre barābar ho gayā hai!’ |
18548 | ISA 41:27 | Kis ne Siyyūn ko pahle batā diyā, ‘Wuh dekho, terā sahārā āne ko hai!’ Maiṅ hī ne yih farmāyā, maiṅ hī ne Yarūshalam ko ḳhushḳhabrī kā paiġhambar atā kiyā. |
18581 | ISA 43:6 | Shimāl ko maiṅ hukm dūṅgā, ‘Mujhe do!’ Aur junūb ko, ‘Unheṅ mat roknā!’ Mere beṭe-beṭiyoṅ ko duniyā kī intahā se wāpas le āo, |
18670 | ISA 47:1 | Ai kuṅwārī Bābal Beṭī, utar jā! Ḳhāk meṅ baiṭh jā! Ai Bābliyoṅ kī beṭī, zamīn par baiṭh jā jahāṅ taḳht nahīṅ hai! Ab se log tujh se nahīṅ kaheṅge, ‘Ai merī nāz-parwardā, ai merī lāḍlī!’ |
18676 | ISA 47:7 | Tū bolī, ‘Maiṅ abad tak malikā hī rahūṅgī!’ Tū ne sanjīdagī se dhyān na diyā, na is ke anjām par ġhaur kiyā. |
18715 | ISA 49:9 | ki tū qaidiyoṅ ko kahe, ‘Nikal āo’ aur tārīkī meṅ basne wāloṅ ko, ‘Raushnī meṅ ā jāo!’ Tab merī bheṛeṅ rāstoṅ ke kināre kināre chareṅgī, aur tamām banjar bulandiyoṅ par bhī un kī harī harī charāgāheṅ hoṅgī. |
18845 | ISA 57:10 | Go tū safr karte karte bahut thak gaī to bhī tū ne kabhī na kahā, ‘Fuzūl hai!’ Ab tak tujhe taqwiyat miltī rahī, is lie tū niḍhāl na huī. |
18967 | ISA 65:1 | “Jo mere bāre meṅ dariyāft nahīṅ karte the unheṅ maiṅ ne mujhe ḍhūṅḍne kā mauqā diyā. Jo mujhe talāsh nahīṅ karte the unheṅ maiṅ ne mujhe pāne kā mauqā diyā. Maiṅ bolā, ‘Maiṅ hāzir hūṅ, maiṅ hāzir hūṅ!’ Hālāṅki jis qaum se maiṅ muḳhātib huā wuh merā nām nahīṅ pukārtī thī. |
19054 | JER 2:20 | “Kyoṅki shurū se hī tū apne jue aur rassoṅ ko toṛ kar kahtī rahī, ‘Maiṅ terī ḳhidmat nahīṅ karūṅgī!’ Tū har bulandī par aur har ghane daraḳht ke sāy meṅ leṭ kar ismatfaroshī kartī rahī. |
19101 | JER 4:5 | Yahūdāh meṅ elān karo aur Yarūshalam ko ittalā do, ‘Mulk-bhar meṅ narsingā bajāo!’ Galā phāṛ kar chillāo, ‘Ikaṭṭhe ho jāo! Āo, ham qilāband shahroṅ meṅ panāh leṅ!’ |
19175 | JER 6:17 | Dekho, maiṅ ne tum par pahredār muqarrar kie aur kahā, ‘Jab narsingā phūṅkā jāegā to dhyān do!’ Lekin tum ne inkār kiyā, ‘Nahīṅ, ham tawajjuh nahīṅ deṅge.’ |
19228 | JER 8:6 | Maiṅ ne dhyān de kar dekhā hai ki yih jhūṭ hī bolte haiṅ. Koī bhī pachhtā kar nahīṅ kahtā, ‘Yih kaisā ġhalat kām hai jo maiṅ ne kiyā!’ Jis tarah jang meṅ ghoṛe dushman par ṭūṭ paṛte haiṅ usī tarah har ek sīdhā apnī ġhalat rāh par dauṛtā rahtā hai. |
19783 | JER 31:23 | Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Jab maiṅ Isrāīliyoṅ ko bahāl karūṅga to Mulk-e-Yahūdāh aur us ke shahroṅ ke bāshinde dubārā kaheṅge, ‘Ai rāstī ke ghar, ai muqaddas pahāṛ, Rab tujhe barkat de!’ |
19808 | JER 32:8 | Aisā hī huā jis tarah Rab ne farmāyā thā. Merā chachāzād bhāī Hanamel shāhī muhāfizoṅ ke sahan meṅ āyā aur mujh se kahā, ‘Binyamīn ke qabīle ke shahr Anatot meṅ merā khet ḳharīd leṅ. Yih khet ḳharīdnā āp kā maurūsī haq balki farz bhī hai tāki zamīn hamāre ḳhāndān kī milkiyat rahe. Āeṅ, use ḳharīd leṅ!’ Tab maiṅ ne jān liyā ki yih wuhī bāt hai jo Rab ne farmāī thī. |
19875 | JER 34:5 | balki tabaī maut maregā, aur log usī tarah terī tāzīm meṅ lakaṛī kā baṛā ḍher banā kar āg lagāeṅge jis tarah tere bāpdādā ke lie karte āe haiṅ. Wuh tujh par bhī mātam kareṅge aur kaheṅge, ‘Hāy, mere āqā!’ Yih Rab kā farmān hai.” |
20055 | JER 42:11 | Is waqt tum Shāh-e-Bābal se ḍarte ho, lekin us se ḳhauf mat khānā!’ Rab farmātā hai, ‘Us se dahshat na khāo, kyoṅki maiṅ tumhāre sāth hūṅ aur tumhārī madad karke us ke hāth se chhuṭkārā dūṅgā. |
20105 | JER 44:26 | Lekin ai Misr meṅ rahne wāle tamām hamwatano, Rab ke kalām par dhyān do! Rab farmātā hai ki mere azīm nām kī qasam, āindā Misr meṅ tum meṅ se koī merā nām le kar qasam nahīṅ khāegā, koī nahīṅ kahegā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq kī hayāt kī qasam!’ |
20148 | JER 47:6 | ‘Hāy, ai Rab kī talwār, kyā tū kabhī nahīṅ ārām karegī? Dubārā apne miyān meṅ chhup jā! Ḳhāmosh ho kar ārām kar!’ |
20210 | JER 49:14 | Maiṅ ne Rab kī taraf se paiġhām sunā hai, “Ek qāsid ko aqwām ke pās bhejā gayā hai jo unheṅ hukm de, ‘Jamā ho kar Adom par hamlā karne ke lie niklo! Us se laṛne ke lie uṭho!’ |
20237 | JER 50:2 | “Aqwām ke sāmne elān karo, har jagah ittalā do! Jhanḍā gāṛ kar kuchh na chhupāo balki sab ko sāf batāo, ‘Bābal Shahr dushman ke qabze meṅ ā gayā hai! Bel Dewatā kī behurmatī huī hai, Marduk Dewatā pāsh pāsh ho gayā hai. Bābal ke tamām dewatāoṅ kī behurmatī huī hai, tamām but chaknāchūr ho gae haiṅ!’ |
20598 | EZK 3:27 | Lekin jab bhī maiṅ tujh se hamkalām hūṅgā to tere muṅh ko kholūṅgā. Tab tū merā kalām sunā kar kahegā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai!’ Tab jo sunane ke lie taiyār ho wuh sune, aur jo taiyār na ho wuh na sune. Kyoṅki yih qaum sarkash hai. |
21448 | EZK 36:20 | Lekin jahāṅ bhī wuh pahuṅche wahāṅ unhīṅ ke sabab se mere muqaddas nām kī behurmatī huī. Kyoṅki jin se bhī un kī mulāqāt huī unhoṅ ne kahā, ‘Go yih Rab kī qaum haiṅ to bhī inheṅ us ke mulk ko chhoṛnā paṛā!’ |
21477 | EZK 37:11 | Tab Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, yih haḍḍiyāṅ Isrāīlī qaum ke tamām afrād haiṅ. Wuh kahte haiṅ, ‘Hamārī haḍḍiyāṅ sūkh gaī haiṅ, hamārī ummīd jātī rahī hai. Ham ḳhatm hī ho gae haiṅ!’ |
22422 | JOL 4:10 | Apne hal kī phāliyoṅ ko kūṭ kūṭ kar talwāreṅ banā lo, kāṅṭ-chhāṅṭ ke auzāroṅ ko nezoṅ meṅ tabdīl karo. Kamzor ādmī bhī kahe, ‘Maiṅ sūrmā hūṅ!’ |
22564 | AMO 8:14 | Jo is waqt Sāmariya ke makrūh but kī qasam khāte aur kahte haiṅ, ‘Ai Dān, tere dewatā kī hayāt kī qasam’ yā ‘Ai Bair-sabā, tere dewatā kī qasam!’ Wuh us waqt gir jāeṅge aur dubārā kabhī nahīṅ uṭheṅge.” |
22675 | MIC 2:11 | Haqīqat meṅ yih qaum aisā farebdeh nabī chāhtī hai jo ḳhālī hāth ā kar us se kahe, ‘Tumheṅ kasrat kī mai aur sharāb hāsil hogī!’ |
22788 | NAM 3:7 | Tab sab tujhe dekh kar bhāg jāeṅge. Wuh kaheṅge, ‘Nīnwā tabāh ho gaī hai!’ Ab us par afsos karne wālā kaun rahā? Ab mujhe kahāṅ se log mileṅge jo tujhe tasallī deṅ?” |
22836 | HAB 2:19 | Us par afsos jo lakaṛī se kahtā hai, ‘Jāg uṭh.’ Aur ḳhāmosh patthar se, ‘Khaṛā ho jā!’ Kyā yih chīzeṅ hidāyat de saktī haiṅ? Hargiz nahīṅ! Un meṅ jān hī nahīṅ, ḳhāh un par sonā yā chāṅdī kyoṅ na chaṛhāī gaī ho. |
23051 | ZEC 8:6 | Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Shāyad yih us waqt bache hue Isrāīliyoṅ ko nāmumkin lage. Lekin kyā aisā kām mere lie jo Rabbul-afwāj hūṅ nāmumkin hai? Hargiz nahīṅ!’ |
23058 | ZEC 8:13 | Ai Yahūdāh aur Isrāīl, pahle tum dīgar aqwām meṅ lānat kā nishānā ban gae the, lekin ab jab maiṅ tumheṅ rihā karūṅga to tum barkat kā bāis hoge. Ḍaro mat! Hauslā rakho!’ |
23102 | ZEC 11:5 | Jo unheṅ ḳharīd lete wuh unheṅ zabah karte haiṅ aur qusūrwār nahīṅ ṭhaharte. Aur jo unheṅ bechte wuh kahte haiṅ, ‘Allāh kī hamd ho, maiṅ amīr ho gayā hūṅ!’ Un ke apne charwāhe un par tars nahīṅ khāte. |
23171 | MAL 1:13 | Tum shikāyat karte ho, ‘Hāy, yih ḳhidmat kitnī taklīfdeh hai!’ Aur qurbānī kī āg ko hiqārat kī nazaroṅ se deḳhte hue tez karte ho. Har qism kā jānwar pesh kiyā jātā hai, ḳhāh wuh zaḳhmī, langaṛā yā bīmār kyoṅ na ho.” Rabbul-afwāj farmātā hai, “Kyā maiṅ tumhāre hāthoṅ se aisī qurbāniyāṅ qabūl kar saktā hūṅ? Hargiz nahīṅ! |
23824 | MAT 18:28 | Lekin jab yihī naukar bāhar niklā to ek hamḳhidmat milā jo us kā chand hazār rūpoṅ kā qarzdār thā. Use pakaṛ kar wuh us kā galā dabā kar kahne lagā, ‘Apnā qarz adā kar!’ |
24083 | MAT 25:6 | Ādhī rāt ko shor mach gayā, ‘Dekho, dūlhā pahuṅch rahā hai, use milne ke lie niklo!’ |
25272 | LUK 7:8 | Kyoṅki mujhe ḳhud ālā afsaroṅ ke hukm par chalnā paṛtā hai aur mere mātaht bhī faujī haiṅ. Ek ko kahtā hūṅ, ‘Jā!’ To wuh jātā hai aur dūsre ko ‘Ā!’ To wuh ātā hai. Isī tarah maiṅ apne naukar ko hukm detā hūṅ, ‘Yih kar!’ To wuh kartā hai.” |
25614 | LUK 13:27 | Lekin wuh jawāb degā, ‘Na maiṅ tum ko jāntā hūṅ, na yih ki tum kahāṅ ke ho. Ai tamām badkāro, mujh se dūr ho jāo!’ |
25770 | LUK 18:13 | Lekin ṭaiks lene wālā dūr hī khaṛā rahā. Us ne apnī āṅkheṅ āsmān kī taraf uṭhāne tak kī jurrat na kī balki apnī chhātī pīṭ pīṭ kar kahne lagā, ‘Ai Ḳhudā, mujh gunāhgār par rahm kar!’ |
27383 | ACT 11:7 | Phir ek āwāz mujh se muḳhātib huī, ‘Patras, uṭh. Kuchh zabah karke khā!’ |
27785 | ACT 22:13 | Wuh āyā aur mere pās khaṛe ho kar kahā, ‘Sāūl bhāī, dubārā bīnā ho jāeṅ!’ Usī lamhe maiṅ use dekh sakā. |