|
24041 | Ek din āegā jab tum muqaddas maqām meṅ wuh kuchh khaṛā dekhoge jis kā zikr Dānyāl nabī ne kiyā aur jo behurmatī aur tabāhī kā bāis hai.” (Qārī is par dhyān de!) | |
24800 | Ek din āegā jab tum wahāṅ jahāṅ use nahīṅ honā chāhie wuh kuchh khaṛā dekhoge jo behurmatī aur tabāhī kā bāis hai.” (Qārī is par dhyān de!) “Us waqt Yahūdiyā ke rahne wāle bhāg kar pahāṛī ilāqe meṅ panāh leṅ. | |
29080 | Kyā wuh Masīh ke ḳhādim haiṅ? (Ab to maiṅ goyā beḳhud ho gayā hūṅ ki is tarah kī bāteṅ kar rahā hūṅ!) Maiṅ un se zyādā Masīh kī ḳhidmat kartā hūṅ. Maiṅ ne un se kahīṅ zyādā mehnat-mashaqqat kī, zyādā dafā jel meṅ rahā, mere zyādā saḳhtī se koṛe lagāe gae aur maiṅ bār bār marne ke ḳhatroṅ meṅ rahā hūṅ. |