Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   Word,    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

3  GEN 1:3  Phir Allāh ne kahā, “Raushnī ho jāe” to raushnī paidā ho gaī.
4  GEN 1:4  Allāh ne dekhā ki raushnī achchhī hai, aur us ne raushnī ko tārīkī se alag kar diyā.
5  GEN 1:5  Allāh ne raushnī ko din kā nām diyā aur tārīkī ko rāt kā. Shām huī, phir subah. Yoṅ pahlā din guzar gayā.
6  GEN 1:6  Allāh ne kahā, “Pānī ke darmiyān ek aisā gumbad paidā ho jāe jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho jāe.”
8  GEN 1:8  Allāh ne gumbad ko āsmān kā nām diyā. Shām huī, phir subah. Yoṅ dūsrā din guzar gayā.
9  GEN 1:9  Allāh ne kahā, “Jo pānī āsmān ke nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāe tāki dūsrī taraf ḳhushk jagah nazar āe.” Aisā hī huā.
11  GEN 1:11  Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paidā kare, aise paude jo bīj rakhte hoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” Aisā hī huā.
12  GEN 1:12  Zamīn ne hariyāwal paidā kī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
13  GEN 1:13  Shām huī, phir subah. Yoṅ tīsrā din guzar gayā.
14  GEN 1:14  Allāh ne kahā, “Āsmān par raushniyāṅ paidā ho jāeṅ tāki din aur rāt meṅ imtiyāz ho aur isī tarah muḳhtalif mausamoṅ, dinoṅ aur sāloṅ meṅ bhī.
16  GEN 1:16  Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bhī banāyā.
17  GEN 1:17  Us ne unheṅ āsmān par rakhā tāki wuh duniyā ko raushan kareṅ,
19  GEN 1:19  Shām huī, phir subah. Yoṅ chauthā din guzar gayā.
20  GEN 1:20  Allāh ne kahā, “Pānī ābī jāndāroṅ se bhar jāe aur fizā meṅ parinde uṛte phireṅ.”
21  GEN 1:21  Allāh ne baṛe baṛe samundarī jānwar banāe, pānī kī tamām dīgar maḳhlūqāt aur har qism ke par rakhne wāle jāndār bhī banāe. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
22  GEN 1:22  Us ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Samundar tum se bhar jāe. Isī tarah parinde zamīn par tādād meṅ baṛh jāeṅ.”
23  GEN 1:23  Shām huī, phir subah. Yoṅ pāṅchwāṅ din guzar gayā.
24  GEN 1:24  Allāh ne kahā, “Zamīn har qism ke jāndār paidā kare: maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar.” Aisā hī huā.
25  GEN 1:25  Allāh ne har qism ke maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar banāe. Us ne dekhā ki yih achchhā hai.
26  GEN 1:26  Allāh ne kahā, “Āo ab ham insān ko apnī sūrat par banāeṅ, wuh ham se mushābahat rakhe. Wuh tamām jānwaroṅ par hukūmat kare, samundar kī machhliyoṅ par, hawā ke parindoṅ par, maweshiyoṅ par, janglī jānwaroṅ par aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par.”
27  GEN 1:27  Yoṅ Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā, Allāh kī sūrat par. Us ne unheṅ mard aur aurat banāyā.
28  GEN 1:28  Allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par hukūmat karo.”
29  GEN 1:29  Allāh ne un se mazīd kahā, “Tamām bījdār paude aur phaldār daraḳht tumhāre hī haiṅ. Maiṅ unheṅ tum ko khāne ke lie detā hūṅ.
30  GEN 1:30  Is tarah maiṅ tamām jānwaroṅ ko khāne ke lie hariyālī detā hūṅ. Jis meṅ bhī jān hai wuh yih khā saktā hai, ḳhāh wuh zamīn par chalne-phirne wālā jānwar, hawā kā parindā yā zamīn par reṅgne wālā kyoṅ na ho.” Aisā hī huā.
31  GEN 1:31  Allāh ne sab par nazar kī to dekhā ki wuh bahut achchhā ban gayā hai. Shām huī, phir subah. Chhaṭā din guzar gayā.
40  GEN 2:9  Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā.
42  GEN 2:11  Pahlī shāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahāṅ ḳhālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmar pāe jāte haiṅ.
47  GEN 2:16  Lekin Rab Ḳhudā ne use āgāh kiyā, “Tujhe har daraḳht kā phal khāne kī ijāzat hai.
49  GEN 2:18  Rab Ḳhudā ne kahā, “Achchhā nahīṅ ki ādmī akelā rahe. Maiṅ us ke lie ek munāsib madadgār banātā hūṅ.”
51  GEN 2:20  Ādmī ne tamām maweshiyoṅ, parindoṅ aur zamīn par phirne wāle jāndāroṅ ke nām rakhe. Lekin use apne lie koī munāsib madadgār na milā.
54  GEN 2:23  Use dekh kar wuh pukār uṭhā, “Wāh! Yih to mujh jaisī hī hai, merī haḍḍiyoṅ meṅ se haḍḍī aur mere gosht meṅ se gosht hai. Is kā nām Nārī rakhā jāe kyoṅki wuh nar se nikālī gaī hai.”
55  GEN 2:24  Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.
56  GEN 2:25  Donoṅ, ādmī aur aurat nange the, lekin yih un ke lie sharm kā bāis nahīṅ thā.
57  GEN 3:1  Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?”
58  GEN 3:2  Aurat ne jawāb diyā, “Hargiz nahīṅ. Ham bāġh kā har phal khā sakte haiṅ,
59  GEN 3:3  sirf us daraḳht ke phal se gurez karnā hai jo bāġh ke bīch meṅ hai. Allāh ne kahā ki us kā phal na khāo balki use chhūnā bhī nahīṅ, warnā tum yaqīnan mar jāoge.”
60  GEN 3:4  Sāṅp ne aurat se kahā, “Tum hargiz na maroge,
61  GEN 3:5  balki Allāh jāntā hai ki jab tum us kā phal khāoge to tumhārī āṅkheṅ khul jāeṅgī aur tum Allāh kī mānind ho jāoge, tum jo bhī achchhā aur burā hai use jān loge.”
62  GEN 3:6  Aurat ne daraḳht par ġhaur kiyā ki khāne ke lie achchhā aur deḳhne meṅ bhī dilkash hai. Sab se dilfareb bāt yih ki us se samajh hāsil ho saktī hai! Yih soch kar us ne us kā phal le kar use khāyā. Phir us ne apne shauhar ko bhī de diyā, kyoṅki wuh us ke sāth thā. Us ne bhī khā liyā.
65  GEN 3:9  Rab Ḳhudā ne pukār kar kahā, “Ādam, tū kahāṅ hai?”
66  GEN 3:10  Ādam ne jawāb diyā, “Maiṅ ne tujhe bāġh meṅ chalte hue sunā to ḍar gayā, kyoṅki maiṅ nangā hūṅ. Is lie maiṅ chhup gayā.”
67  GEN 3:11  Us ne pūchhā, “Kis ne tujhe batāyā ki tū nangā hai? Kyā tū ne us daraḳht kā phal khāyā hai jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā?”
68  GEN 3:12  Ādam ne kahā, “Jo aurat tū ne mere sāth rahne ke lie dī hai us ne mujhe phal diyā. Is lie maiṅ ne khā liyā.”
69  GEN 3:13  Ab Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā, “Tū ne yih kyoṅ kiyā?” Aurat ne jawāb diyā, “Sāṅp ne mujhe bahkāyā to maiṅ ne khāyā.”
70  GEN 3:14  Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā.
72  GEN 3:16  Phir Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā aur kahā, “Jab tū ummīd se hogī to maiṅ terī taklīf ko bahut baṛhāūṅgā. Jab tere bachche hoṅge to tū shadīd dard kā shikār hogī. Tū apne shauhar kī tamannā karegī lekin wuh tujh par hukūmat karegā.”
73  GEN 3:17  Ādam se us ne kahā, “Tū ne apnī bīwī kī bāt mānī aur us daraḳht kā phal khāyā jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā. Is lie tere sabab se zamīn par lānat hai. Us se ḳhurāk hāsil karne ke lie tujhe umr-bhar mehnat-mashaqqat karnī paṛegī.
74  GEN 3:18  Tere lie wuh ḳhārdār paude aur ūṅṭkaṭāre paidā karegī, hālāṅki tū us se apnī ḳhurāk bhī hāsil karegā.
75  GEN 3:19  Pasīnā bahā bahā kar tujhe roṭī kamāne ke lie bhāg-dauṛ karnī paṛegī. Aur yih silsilā maut tak jārī rahegā. Tū mehnat karte karte dubārā zamīn meṅ lauṭ jāegā, kyoṅki tū usī se liyā gayā hai. Tū ḳhāk hai aur dubārā ḳhāk meṅ mil jāegā.”
76  GEN 3:20  Ādam ne apnī bīwī kā nām Hawwā yānī Zindagī rakhā, kyoṅki bād meṅ wuh tamām zindoṅ kī māṅ ban gaī.
78  GEN 3:22  Us ne kahā, “Insān hamārī mānind ho gayā hai, wuh achchhe aur bure kā ilm rakhtā hai. Ab aisā na ho ki wuh hāth baṛhā kar zindagī baḳhshne wāle daraḳht ke phal se le aur us se khā kar hameshā tak zindā rahe.”
81  GEN 4:1  Ādam Hawwā se hambistar huā to un kā pahlā beṭā Qābīl paidā huā. Hawwā ne kahā, “Rab kī madad se maiṅ ne ek mard hāsil kiyā hai.”
84  GEN 4:4  Hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā, lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ ke kuchh pahlauṭhe un kī charbī samet chaṛhāe. Hābīl kā nazarānā Rab ko pasand āyā,
85  GEN 4:5  magar Qābīl kā nazarānā manzūr na huā. Yih dekh kar Qābīl baṛe ġhusse meṅ ā gayā, aur us kā muṅh bigaṛ gayā.
86  GEN 4:6  Rab ne pūchhā, “Tū ġhusse meṅ kyoṅ ā gayā hai? Terā muṅh kyoṅ laṭkā huā hai?
88  GEN 4:8  Ek din Qābīl ne apne bhāī se kahā, “Āo, ham bāhar khule maidān meṅ chaleṅ.” Aur jab wuh khule maidān meṅ the to Qābīl ne apne bhāī Hābīl par hamlā karke use mār ḍālā.
89  GEN 4:9  Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?”
90  GEN 4:10  Rab ne kahā, “Tū ne kyā kiyā hai? Tere bhāī kā ḳhūn zamīn meṅ se pukār kar mujh se fariyād kar rahā hai.
91  GEN 4:11  Is lie tujh par lānat hai aur zamīn ne tujhe radd kiyā hai, kyoṅki zamīn ko muṅh khol kar tere hāth se qatl kie hue bhāī kā ḳhūn pīnā paṛā.
93  GEN 4:13  Qābīl ne kahā, “Merī sazā nihāyat saḳht hai. Maiṅ ise bardāsht nahīṅ kar pāūṅgā.
94  GEN 4:14  Āj tū mujhe zamīn kī satah se bhagā rahā hai aur mujhe tere huzūr se bhī chhup jānā hai. Maiṅ mafrūr kī haisiyat se mārā mārā phirtā rahūṅgā, is lie jis ko bhī patā chalegā ki maiṅ kahāṅ hūṅ wuh mujhe qatl kar ḍālegā.”
95  GEN 4:15  Lekin Rab ne us se kahā, “Hargiz nahīṅ. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā.” Phir Rab ne us par ek nishān lagāyā tāki jo bhī Qābīl ko dekhe wuh use qatl na kar de.
98  GEN 4:18  Hanūk kā beṭā Īrād thā, Īrād kā beṭā Mahūyāel, Mahūyāel kā beṭā Matūsāel aur Matūsāel kā beṭā Lamak thā.
99  GEN 4:19  Lamak kī do bīwiyāṅ thīṅ, Adā aur Zillā.
103  GEN 4:23  Ek din Lamak ne apnī bīwiyoṅ se kahā, “Adā aur Zillā, merī bāt suno! Lamak kī bīwiyo, mere alfāz par ġhaur karo!
104  GEN 4:24  Ek ādmī ne mujhe zaḳhmī kiyā to maiṅ ne use mār ḍālā. Ek laṛke ne mere choṭ lagāī to maiṅ ne use qatl kar diyā. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā, lekin jo Lamak ko qatl kare us se satattar gunā badlā liyā jāegā.”
105  GEN 4:25  Ādam aur Hawwā kā ek aur beṭā paidā huā. Hawwā ne us kā nām Set rakh kar kahā, “Allāh ne mujhe Hābīl kī jagah jise Qābīl ne qatl kiyā ek aur beṭā baḳhshā hai.”
109  GEN 5:3  Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā.
130  GEN 5:24  Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā.
135  GEN 5:29  Us ne us kā nām Nūh yānī Tasallī rakhā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ kahā, “Hamārā khetībāṛī kā kām nihāyat taklīfdeh hai, is lie ki Allāh ne zamīn par lānat bhejī hai. Lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallī pāeṅge.”
138  GEN 5:32  Nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue.
140  GEN 6:2  Tab āsmānī hastiyoṅ ne dekhā ki banī nau insān kī beṭiyāṅ ḳhūbsūrat haiṅ, aur unhoṅ ne un meṅ se kuchh chun kar un se shādī kī.
141  GEN 6:3  Phir Rab ne kahā, “Merī rūh hameshā ke lie insān meṅ na rahe kyoṅki wuh fānī maḳhlūq hai. Ab se wuh 120 sāl se zyādā zindā nahīṅ rahegā.”
143  GEN 6:5  Rab ne dekhā ki insān nihāyat bigaṛ gayā hai, ki us ke tamām ḳhayālāt lagātār burāī kī taraf māyl rahte haiṅ.
144  GEN 6:6  Wuh pachhtāyā ki maiṅ ne insān ko banā kar duniyā meṅ rakh diyā hai, aur use saḳht dukh huā.
145  GEN 6:7  Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.”
148  GEN 6:10  Nūh ke tīn beṭe the, Sim, Hām aur Yāfat.
150  GEN 6:12  Jahāṅ bhī Allāh deḳhtā duniyā ḳharāb thī, kyoṅki tamām jāndāroṅ ne zamīn par apnī rawish ko bigāṛ diyā thā.
151  GEN 6:13  Tab Allāh ne Nūh se kahā, “Maiṅ ne tamām jāndāroṅ ko ḳhatm karne kā faislā kiyā hai, kyoṅki un ke sabab se pūrī duniyā zulm-o-tashaddud se bhar gaī hai. Chunāṅche maiṅ un ko zamīn samet tabāh kar dūṅgā.
153  GEN 6:15  Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho.
154  GEN 6:16  Kashtī kī chhat ko yoṅ banānā ki us ke nīche 18 inch khulā rahe. Ek taraf darwāzā ho, aur us kī tīn manzileṅ hoṅ.
156  GEN 6:18  Lekin tere sāth maiṅ ahd bāndhūṅgā jis ke taht tū apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ jāegā.
161  GEN 7:1  Phir Rab ne Nūh se kahā, “Apne gharāne samet kashtī meṅ dāḳhil ho jā, kyoṅki is daur ke logoṅ meṅ se maiṅ ne sirf tujhe rāstbāz pāyā hai.
164  GEN 7:4  Ek hafte ke bād maiṅ chālīs din aur chālīs rāt mutawātir bārish barsāūṅgā. Is se maiṅ tamām jāndāroṅ ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā, agarche maiṅ hī ne unheṅ banāyā hai.”
167  GEN 7:7  Tūfānī sailāb se bachne ke lie Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ sawār huā.
168  GEN 7:8  Zamīn par phirne wāle pāk aur nāpāk jānwar, par rakhne wāle aur tamām reṅgne wāle jānwar bhī āe.
173  GEN 7:13  Jab bārish shurū huī to Nūh, us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat, us kī bīwī aur bahueṅ kashtī meṅ sawār ho chuke the.
174  GEN 7:14  Un ke sāth har qism ke janglī jānwar, maweshī, reṅgne aur par rakhne wāle jānwar the.
178  GEN 7:18  Pānī zor pakaṛ kar bahut baṛh gayā, aur kashtī us par tairne lagī.
181  GEN 7:21  Zamīn par rahne wālī har maḳhlūq halāk huī. Parinde, maweshī, janglī jānwar, tamām jāndār jin se zamīn bharī huī thī aur insān, sab kuchh mar gayā.
183  GEN 7:23  Yoṅ har maḳhlūq ko rū-e-zamīn par se miṭā diyā gayā. Insān, zamīn par phirne aur reṅgne wāle jānwar aur parinde, sab kuchh ḳhatm kar diyā gayā. Sirf Nūh aur kashtī meṅ sawār us ke sāthī bach gae.
190  GEN 8:6  Chālīs din ke bād Nūh ne kashtī kī khiṛkī khol kar ek kawwā chhoṛ diyā, aur wuh uṛ kar chalā gayā. Lekin jab tak zamīn par pānī thā wuh ātā jātā rahā.
193  GEN 8:9  Lekin kabūtar ko kahīṅ bhī baiṭhne kī jagah na milī, kyoṅki ab tak pūrī zamīn par pānī hī pānī thā. Wuh kashtī aur Nūh ke pās wāpas ā gayā, aur Nūh ne apnā hāth baṛhāyā aur kabūtar ko pakaṛ kar apne pās kashtī meṅ rakh liyā.
199  GEN 8:15  Phir Allāh ne Nūh se kahā,
200  GEN 8:16  “Apnī bīwī, beṭoṅ aur bahuoṅ ke sāth kashtī se nikal ā.
201  GEN 8:17  Jitne bhī jānwar sāth haiṅ unheṅ nikāl de, ḳhāh parinde hoṅ, ḳhāh zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar. Wuh duniyā meṅ phail jāeṅ, nasl baṛhāeṅ aur tādād meṅ baṛhte jāeṅ.”
202  GEN 8:18  Chunāṅche Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ samet nikal āyā.
205  GEN 8:21  Yih qurbāniyāṅ dekh kar Rab ḳhush huā aur apne dil meṅ kahā, “Ab se maiṅ kabhī zamīn par insān kī wajah se lānat nahīṅ bhejūṅgā, kyoṅki us kā dil bachpan hī se burāī kī taraf māyl hai. Ab se maiṅ kabhī is tarah tamām jān rakhne wālī maḳhlūqāt ko rū-e-zamīn par se nahīṅ miṭāūṅgā.
206  GEN 8:22  Duniyā ke muqarrarā auqāt jārī raheṅge. Bīj bone aur fasal kāṭne kā waqt, ṭhanḍ aur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kā mausam, din aur rāt, yih sab kuchh duniyā ke Aḳhīr tak qāym rahegā.”
207  GEN 9:1  Phir Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe