Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   Word-Word-Word,    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

363  GEN 15:2  Lekin Abrām ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū mujhe kyā degā jabki abhī tak mere hāṅ koī bachchā nahīṅ hai aur Iliyazar Damishqī merī mīrās pāegā.
369  GEN 15:8  Abrām ne pūchhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kis tarah jānūṅ ki is mulk par qabzā karūṅga?”
1344  GEN 44:19  Janāb-e-ālī, āp ne ham se pūchhā, ‘Kyā tumhārā bāp yā koī aur bhāī hai?’
1346  GEN 44:21  Janāb-e-ālī, āp ne hameṅ batāyā, ‘Use yahāṅ le āo tāki maiṅ ḳhud use dekh sakūṅ.’
1369  GEN 45:10  Āp Jushan ke ilāqe meṅ rah sakte haiṅ. Wahāṅ āp mere qarīb hoṅge, āp, āp kī āl-o-aulād, gāy-bail, bheṛ-bakriyāṅ aur jo kuchh bhī āp kā hai.
2063  EXO 20:11  Kyoṅki Rab ne pahle chhih din meṅ āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai banāyā lekin sātweṅ din ārām kiyā. Is lie Rab ne Sabat ke din ko barkat de kar muqarrar kiyā ki wuh maḳhsūs aur muqaddas ho.
2406  EXO 30:23  “Masah ke tel ke lie umdā qism ke masāle istemāl karnā. 6 kilogrām āb-e-mur, 3 kilogrām ḳhushbūdār dārchīnī, 3 kilogrām ḳhushbūdār bed
2664  EXO 38:30  Ḳhaime ke darwāze ke pāe, jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā janglā, bartan aur sāz-o-sāmān,
4775  NUM 33:13  Alūs, Rafīdīm jahāṅ pīne kā pānī dastyāb na thā, Dasht-e-Sīnā, Qabrot-hattāwā, Hasīrāt, Ritmā, Rimmon-fāras, Libnā, Rissā, Qahīlātā, Sāfar Pahāṛ, Harādā, Maqhīlot, Tahat, Tārah, Mitaqā, Hashmūnā, Mausīrot, Banī-yāqān, Hor-hajjidjād, Yutbātā, Abrūnā, Asyūn-jābar, Dasht-e-Sīn meṅ wāqe Qādis aur Hor Pahāṛ jo Adom kī sarhad par wāqe hai.
5001  DEU 3:24  “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū apne ḳhādim ko apnī azmat aur qudrat dikhāne lagā hai. Kyā āsmān yā zamīn par koī aur Ḳhudā hai jo terī tarah ke azīm kām kar saktā hai? Hargiz nahīṅ!
5185  DEU 9:26  Maiṅ ne us se minnat karke kahā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, apnī qaum ko tabāh na kar. Wuh to terī hī milkiyat hai jise tū ne fidyā de kar apnī azīm qudrat se bachāyā aur baṛe iḳhtiyār ke sāth Misr se nikāl lāyā.
6125  JOS 11:16  Yoṅ Yashua ne pūre Kanān par qabzā kar liyā. Is meṅ pahāṛī ilāqā, pūrā Dasht-e-Najab, Jushan kā pūrā ilāqā, maġhrib kā nashebī pahāṛī ilāqā, Wādī-e-Yardan aur Isrāīl ke pahāṛ un ke dāman kī pahāṛiyoṅ samet shāmil the.
6173  JOS 13:17  aur Hasbon tak. Wahāṅ ke maidān-e-murtafā par wāqe tamām shahr bhī Rūbin ke sapurd kie gae yānī Dībon, Bāmāt-bāl, Bait-bāl-maūn,
6979  JDG 16:28  Phir Samsūn ne duā kī, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, mujhe yād kar. Bas ek dafā aur mujhe pahle kī tarah quwwat atā farmā tāki maiṅ ek hī wār se Filistiyoṅ se apnī āṅkhoṅ kā badlā le sakūṅ.”
8201  2SA 7:18  Tab Dāūd ahd ke sandūq ke pās gayā aur Rab ke huzūr baiṭh kar duā karne lagā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kaun hūṅ aur merā ḳhāndān kyā haisiyat rakhtā hai ki tū ne mujhe yahāṅ tak pahuṅchāyā hai?
8202  2SA 7:19  Aur ab ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū mujhe aur bhī zyādā atā karne ko hai, kyoṅki tū ne apne ḳhādim ke gharāne ke mustaqbil ke bāre meṅ bhī wādā kiyā hai. Kyā tū ām taur par insān ke sāth aisā sulūk kartā hai? Hargiz nahīṅ!
8203  2SA 7:20  Lekin maiṅ mazīd kyā kahūṅ? Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū to apne ḳhādim ko jāntā hai.
8205  2SA 7:22  Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū kitnā azīm hai! Tujh jaisā koī nahīṅ hai. Ham ne apne kānoṅ se sun liyā hai ki tere siwā koī aur Ḳhudā nahīṅ hai.
8208  2SA 7:25  Chunāṅche ai Rab Qādir-e-mutlaq, jo bāt tū ne apne ḳhādim aur us ke gharāne ke bāre meṅ kī hai use abad tak qāym rakh aur apnā wādā pūrā kar.
8211  2SA 7:28  Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū hī Ḳhudā hai, aur terī hī bātoṅ par etamād kiyā jā saktā hai. Tū ne apne ḳhādim se in achchhī chīzoṅ kā wādā kiyā hai.
8856  1KI 4:9  Bin-diqar: Maqas, Sālbīm, Bait-shams aur Ailon-bait-hanān,
9272  1KI 15:20  Bin-hadad muttafiq huā. Us ne apne faujī afsaroṅ ko Isrāīl ke shahroṅ par hamlā karne ke lie bhej diyā to unhoṅ ne Aiyyūn, Dān, Abīl-bait-mākā, tamām Kinnarat aur Naftālī par qabzā kar liyā.
9546  2KI 1:9  Fauran us ne ek afsar ko 50 faujiyoṅ samet Iliyās ke pās bhej diyā. Jab faujī Iliyās ke pās pahuṅche to wuh ek pahāṛī kī choṭī par baiṭhā thā. Afsar bolā, “Ai mard-e-Ḳhudā, bādshāh kahte haiṅ ki nīche utar āeṅ!”
9548  2KI 1:11  Bādshāh ne ek aur afsar ko Iliyās ke pās bhej diyā. Us ke sāth bhī 50 faujī the. Us ke pās pahuṅch kar afsar bolā, “Ai mard-e-Ḳhudā, bādshāh kahte haiṅ ki fauran utar āeṅ.”
9550  2KI 1:13  Phir bādshāh ne tīsrī bār ek afsar ko 50 faujiyoṅ ke sāth Iliyās ke pās bhej diyā. Lekin yih afsar Iliyās ke pās ūpar chaṛh āyā aur us ke sāmne ghuṭne ṭek kar iltamās karne lagā, “Ai mard-e-Ḳhudā, merī aur apne in 50 ḳhādimoṅ kī jānoṅ kī qadar kareṅ.
9958  2KI 15:29  Fiqah ke daur-e-hukūmat meṅ Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar ne Isrāīl par hamlā kiyā. Zail ke tamām shahr us ke qabze meṅ ā gae: Aiyyūn, Abīl-bait-mākā, Yānūh, Qādis aur Hasūr. Jiliyād aur Galīl ke ilāqe bhī Naftālī ke pūre qabāylī ilāqe samet us kī girift meṅ ā gae. Asūr kā bādshāh in tamām jaghoṅ meṅ ābād logoṅ ko giriftār karke apne mulk Asūr le gayā.
10364  1CH 2:54  Salmā se zail ke gharāne nikle: Bait-laham ke bāshinde, Natūfātī, Atarāt-bait-yoāb, Mānahat kā ādhā hissā, Sur'ī
10458  1CH 5:26  Yih dekh kar Isrāīl ke Ḳhudā ne Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar ko un ke ḳhilāf barpā kiyā jis ne Rūbin, Jad aur Manassī ke ādhe qabīle ko jilāwatan kar diyā. Wuh unheṅ Ḳhalah, Dariyā-e-Ḳhābūr, Hārā aur Dariyā-e-Jauzān ko le gayā jahāṅ wuh āj tak ābād haiṅ.
10852  1CH 16:27  Us ke huzūr shān-o-shaukat, us kī sukūnatgāh meṅ qudrat aur jalāl hai.
11171  1CH 29:2  Maiṅ pūrī jāṅfishānī se apne Ḳhudā ke ghar kī tāmīr ke lie sāmān jamā kar chukā hūṅ. Is meṅ sonā-chāṅdī, pītal, lohā, lakaṛī, aqīq-e-ahmar, muḳhtalif jaṛe hue jawāhar aur pachchīkārī ke muḳhtalif patthar baṛī miqdār meṅ shāmil haiṅ.
11210  2CH 1:11  Allāh ne Sulemān se kahā, “Maiṅ ḳhush hūṅ ki tū dil se yihī kuchh chāhtā hai. Tū ne na māl-o-daulat, na izzat, na apne dushmanoṅ kī halākat aur na umr kī darāzī balki hikmat aur samajh māṅgī hai tāki merī us qaum kā insāf kar sake jis par maiṅ ne tujhe bādshāh banā diyā hai.
11220  2CH 2:3  Maiṅ ek ghar tāmīr karke use Rab apne Ḳhudā ke nām ke lie maḳhsūs karnā chāhtā hūṅ. Kyoṅki hameṅ aisī jagah kī zarūrat hai jis meṅ us ke huzūr ḳhushbūdār baḳhūr jalāyā jāe, Rab ke lie maḳhsūs roṭiyāṅ bāqāydagī se mez par rakhī jāeṅ aur ḳhās mauqoṅ par bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kī jāeṅ yānī har subh-o-shām, Sabat ke din, Nae Chāṅd kī Īdoṅ aur Rab hamāre Ḳhudā kī dīgar muqarrarā īdoṅ par. Yih Isrāīl kā dāymī farz hai.
12837  EST 8:16  Yahūdiyoṅ ke lie āb-o-tāb, ḳhushī-o-shādmānī aur izzat-o-jalāl kā zamānā shurū huā.
13064  JOB 9:9  Wuhī Dubb-e-Akbar, Jauze, Ḳhoshā-e-Parwīn aur junūbī sitāroṅ ke jhurmaṭoṅ kā Ḳhāliq hai.
13863  JOB 39:25  Jab bhī bigul baje wuh zor se hinhinātā aur dūr hī se maidān-e-jang, kamānḍaroṅ kā shor aur jang ke nāre sūṅgh letā hai.
15036  PSA 71:5  Kyoṅki tū hī merī ummīd hai. Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū merī jawānī hī se merā bharosā rahā hai.
15537  PSA 96:6  Us ke huzūr shān-o-shaukat, us ke maqdis meṅ qudrat aur jalāl hai.
15844  PSA 109:21  Lekin tū ai Rab Qādir-e-mutlaq, apne nām kī ḳhātir mere sāth mehrbānī kā sulūk kar. Mujhe bachā, kyoṅki terī hī shafqat tasallībaḳhsh hai.
16339  PSA 140:8  Ai Rab Qādir-e-mutlaq, ai merī qawī najāt! Jang ke din tū apnī ḍhāl se mere sar kī hifāzat kartā hai.
16353  PSA 141:8  Ai Rab Qādir-e-mutlaq, merī āṅkheṅ tujh par lagī rahtī haiṅ, aur maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ. Mujhe maut ke hawāle na kar.
16417  PSA 146:6  Kyoṅki us ne āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai banāyā hai. Wuh hameshā tak wafādār hai.
16690  PRO 8:18  Mere pās izzat-o-daulat, shāndār māl aur rāstī hai.
17823  ISA 5:14  Pātāl ne apnā muṅh phāṛ kar kholā hai tāki qaum kī tamām shān-o-shaukat, shor-sharābā, hangāmā aur shādmān afrād us ke gale meṅ utar jāeṅ.
17850  ISA 6:11  Maiṅ ne sawāl kiyā, “Ai Rab, kab tak?” Us ne jawāb diyā, “Us waqt tak ki mulk ke shahr wīrān-o-sunsān, us ke ghar ġhairābād aur us ke khet banjar na hoṅ.
18010  ISA 14:12  Ai sitārā-e-subah ai Ibn-e-sahar, tū āsmān se kis tarah gir gayā hai! Jis ne dīgar mamālik ko shikast dī thī wuh ab ḳhud pāsh pāsh ho gayā hai.
18762  ISA 51:19  Tujh par do āfateṅ āīṅ yānī barbādī-o-tabāhī, kāl aur talwār. Lekin kis ne hamdardī kā izhār kiyā? Kis ne tujhe tasallī dī?
18773  ISA 52:7  Us ke qadam kitne pyāre haiṅ jo pahāṛoṅ par chalte hue ḳhushḳhabrī sunātā hai. Kyoṅki wuh amn-o-amān, ḳhushī kā paiġhām aur najāt kā elān karegā, wuh Siyyūn se kahegā, “Terā Ḳhudā Bādshāh hai!”
19021  JER 1:6  Maiṅ ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, afsos! Maiṅ terā kalām sunāne kā sahīh ilm nahīṅ rakhtā, maiṅ to bachchā hī hūṅ.”
19106  JER 4:10  Tab maiṅ bol uṭhā, “Hāy, hāy! Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū ne is qaum aur Yarūshalam ko kitnā saḳht fareb diyā jab tū ne farmāyā, tumheṅ amn-o-amān hāsil hogā hālāṅki hamāre galoṅ par talwār phirne ko hai.”
19375  JER 14:13  Yih sun kar maiṅ ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, nabī inheṅ batāte āe haiṅ, ‘Na qatl-o-ġhārat kā ḳhatrā hogā, na kāl paṛegā balki maiṅ yihīṅ tumhāre lie amn-o-amān kā pakkā band-o-bast kar lūṅgā.’”
19817  JER 32:17  ‘Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū ne apnā hāth baṛhā kar baṛī qudrat se āsmān-o-zamīn ko banāyā, tere lie koī bhī kām nāmumkin nahīṅ.
19825  JER 32:25  Lekin ai Rab Qādir-e-mutlaq, kamāl hai ki go shahr ko Bābal kī fauj ke hawāle kiyā jāegā to bhī tū mujh se hamkalām huā hai ki chāṅdī de kar khet ḳharīd le aur gawāhoṅ se kār-rawāī kī tasdīq karwā.’”
19855  JER 33:11  un meṅ dubārā ḳhushī-o-shādmānī, dūlhe dulhan kī āwāz aur Rab ke ghar meṅ shukrguzārī kī qurbāniyāṅ pahuṅchāne wāloṅ ke gīt sunāī deṅge. Us waqt wuh gāeṅge, ‘Rabbul-afwāj kā shukr karo, kyoṅki Rab bhalā hai, aur us kī shafqat abadī hai.’ Kyoṅki maiṅ is mulk ko pahle kī tarah bahāl kar dūṅgā. Yih Rab kā farmān hai.
20124  JER 46:10  Lekin āj Qādir-e-mutlaq, Rabbul-afwāj kā hī din hai. Intaqām ke is din wuh apne dushmanoṅ se badlā legā. Us kī talwār unheṅ khā khā kar ser ho jāegī, aur un kā ḳhūn pī pī kar us kī pyās bujhegī. Kyoṅki shimāl meṅ Dariyā-e-Furāt ke kināre unheṅ Qādir-e-mutlaq, Rabbul-afwāj ko qurbān kiyā jāegā.
20612  EZK 4:14  Yih sun kar maiṅ bol uṭhā, “Hāy, hāy! Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kabhī bhī nāpāk nahīṅ huā. Jawānī se le kar āj tak maiṅ ne kabhī aise jānwar kā gosht nahīṅ khāyā jise zabah nahīṅ kiyā gayā thā yā jise janglī jānwaroṅ ne phāṛā thā. Nāpāk gosht kabhī mere muṅh meṅ nahīṅ āyā.”
20699  EZK 9:8  Rab ke ghar ke sahan meṅ sirf mujhe hī zindā chhoṛā gayā thā. Maiṅ aundhe muṅh gir kar chīḳh uṭhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, kyā tū Yarūshalam par apnā ġhazab nāzil karke Isrāīl ke tamām bache huoṅ ko maut ke ghāṭ utāregā?”
20737  EZK 11:13  Maiṅ abhī is peshgoī kā elān kar rahā thā ki Falatiyāh bin Bināyāh faut huā. Yih dekh kar maiṅ muṅh ke bal gir gayā aur buland āwāz se chīḳh uṭhā, “Hāy, hāy! Ai Rab Qādir-e-mutlaq, kyā tū Isrāīl ke bache-khuche hisse ko sarāsar miṭānā chāhtā hai?”
21013  EZK 21:5  Yih sun kar maiṅ bolā, “Ai Qādir-e-mutlaq, yih batāne kā kyā fāydā hai? Log pahle se mere bāre meṅ kahte haiṅ ki yih hameshā nāqābil-e-samajh tamsīleṅ pesh kartā hai.”
21239  EZK 28:13  Allāh ke Bāġh-e-Adan meṅ rah kar tū har qism ke jawāhar se sajā huā thā. Lāl, zabarjad, hajrul-qamar, pukhrāj, aqīq-e-ahmar aur yashab, sang-e-lājaward, fīrozā aur zumurrad sab tujhe ārāstā karte the. Sab kuchh sone ke kām se mazīd ḳhūbsūrat banāyā gayā thā. Jis din tujhe ḳhalaq kiyā gayā usī din yih chīzeṅ tere lie taiyār huīṅ.
21469  EZK 37:3  Rab ne mujh se pūchhā, “Ai ādamzād, kyā yih haḍḍiyāṅ dubārā zindā ho saktī haiṅ?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū hī jāntā hai.”
22301  HOS 10:7  Sāmariya nest-o-nābūd, us kā bādshāh pānī par tairtī huī ṭahnī kī tarah bebas hogā.
22535  AMO 7:2  Tab ṭiḍḍiyāṅ mulk kī pūrī hariyālī par ṭūṭ paṛīṅ aur sab kuchh khā gaīṅ. Maiṅ chillā uṭhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, mehrbānī karke muāf kar, warnā Yāqūb kis tarah qāym rahegā? Wuh pahle se itnī chhoṭī qaum hai.”
22538  AMO 7:5  Tab maiṅ chillā uṭhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, mehrbānī karke is se bāz ā, warnā Yāqūb kis tarah qāym rahegā? Wuh pahle se itnī chhoṭī qaum hai.”
22859  ZEP 1:3  insān-o-haiwān, parindoṅ, machhliyoṅ, ṭhokar khilāne wālī chīzoṅ aur bedīnoṅ ko. Tab zamīn par insān kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.” Yih Rab kā farmān hai.
22871  ZEP 1:15  Rab kā pūrā ġhazab nāzil hogā, aur log pareshānī aur musībat meṅ mubtalā raheṅge. Har taraf tabāhī-o-barbādī, har taraf andherā hī andherā, har taraf ghane bādal chhāe raheṅge.
22879  ZEP 2:5  Krete se āī huī qaum par afsos jo sāhilī ilāqe meṅ rahtī hai. Kyoṅki Rab tumhāre bāre meṅ farmātā hai, “Ai Filistiyoṅ kī sarzamīn, ai Mulk-e-Kanān, maiṅ tujhe tabāh karūṅga, ek bhī bāqī nahīṅ rahegā.”
23721  MAT 15:19  Dil hī se bure ḳhayālāt, qatl-o-ġhārat, zinākārī, harāmkārī, chorī, jhūṭī gawāhī aur buhtān nikalte haiṅ.
23724  MAT 15:22  Is ilāqe kī ek Kanānī ḳhātūn us ke pās ā kar chillāne lagī, “Ḳhudāwand, Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ. Ek badrūh merī beṭī ko bahut satātī hai.”
23891  MAT 20:30  Do andhe rāste ke kināre baiṭhe the. Jab unhoṅ ne sunā ki Īsā guzar rahā hai to wuh chillāne lage, “Ḳhudāwand, Ibn-e-Dāūd, ham par rahm kareṅ.”
23892  MAT 20:31  Hujūm ne unheṅ ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh aur bhī ūṅchī āwāz se pukārte rahe, “Ḳhudāwand, Ibn-e-Dāūd, ham par rahm kareṅ.”
24553  MRK 7:21  Kyoṅki logoṅ ke andar se, un ke diloṅ hī se bure ḳhayālāt, harāmkārī, chorī, qatl-o-ġhārat,
24704  MRK 10:47  Jab us ne sunā ki Īsā Nāsarī qarīb hī hai to wuh chillāne lagā, “Īsā Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ!”
25056  LUK 2:14  “Āsmān kī bulandiyoṅ par Allāh kī izzat-o-jalāl, zamīn par un logoṅ kī salāmatī jo use manzūr haiṅ.”
25748  LUK 17:28  Bilkul yihī kuchh Lūt ke aiyām meṅ huā. Log khāne-pīne, ḳharīd-o-faroḳht, kāshtkārī aur tāmīr ke kām meṅ lage rahe.
25795  LUK 18:38  Andhā chillāne lagā, “Ai Īsā Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ.”
25796  LUK 18:39  Āge chalne wāloṅ ne use ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh mazīd ūṅchī āwāz se pukārtā rahā, “Ai Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ.”
27498  ACT 14:15  “Mardo, yih āp kyā kar rahe haiṅ? Ham bhī āp jaise insān haiṅ. Ham to āp ko Allāh kī yih ḳhushḳhabrī sunāne āe haiṅ ki āp in bekār chīzoṅ ko chhoṛ kar zindā Ḳhudā kī taraf rujū farmāeṅ jis ne āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai paidā kiyā hai.
28749  1CO 14:3  Is ke baraks nabuwwat karne wālā logoṅ se aisī bāteṅ kartā hai jo un kī tāmīr-o-taraqqī, hauslā-afzāī aur tasallī kā bāis bantī haiṅ.
29915  2TI 2:21  Agar koī apne āp ko in burī chīzoṅ se pāk-sāf kare to wuh sharīf kāmoṅ ke lie istemāl hone wālā bartan hogā. Wuh maḳhsūs-o-muqaddas, mālik ke lie mufīd aur har nek kām ke lie taiyār hogā.
30132  HEB 7:1  Yih Malik-e-sidq, Sālim kā bādshāh aur Allāh T'ālā kā imām thā. Jab Ibrāhīm chār bādshāhoṅ ko shikast dene ke bād wāpas ā rahā thā to Malik-e-sidq us se milā aur use barkat dī.
30552  2PE 1:6  ilm se zabt-e-nafs, zabt-e-nafs se sābitqadmī, sābitqadmī se ḳhudātars zindagī,
30831  REV 3:17  Tū kahtā hai, “Maiṅ amīr hūṅ, maiṅ ne bahut daulat hāsil kar lī hai aur mujhe kisī bhī chīz kī zarūrat nahīṅ.” Aur tū nahīṅ jāntā ki tū asal meṅ badbaḳht, qābil-e-rahm, ġharīb, andhā aur nangā hai.
30856  REV 5:9  Sāth sāth wuh ek nayā gīt gāne lage, “Tū tūmār ko le kar us kī muhroṅ ko kholne ke lāyq hai. Kyoṅki tujhe zabah kiyā gayā, aur apne ḳhūn se tū ne logoṅ ko har qabīle, har ahl-e-zabān, har millat aur har qaum se Allāh ke lie ḳharīd liyā hai.
30871  REV 6:10  Unhoṅ ne ūṅchī āwāz se chillā kar kahā, “Ai Qādir-e-mutlaq, quddūs aur sachche Rab, kitnī der aur lagegī? Tū kab tak zamīn ke bāshindoṅ kī adālat karke hamāre shahīd hone kā intaqām na legā?”
30929  REV 9:21  Wuh qatl-o-ġhārat, jādūgarī, zinākārī aur choriyoṅ se bhī taubā karke bāz na āe.