Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   Number,Number,Number    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

2660  EXO 38:26  Jin mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se zāyd thī unheṅ chāṅdī kā ādhā ādhā sikkā denā paṛā. Mardoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī.
3650  NUM 1:45  Un kī pūrī tādād 6,03,550 thī.
3668  NUM 2:9  Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,86,400 thī. Rawānā hote waqt yih āge chalte the.
3675  NUM 2:16  Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,51,450 thī. Rawānā hote waqt yih mashriqī qabīloṅ ke pīchhe chalte the.
3683  NUM 2:24  Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,08,100 thī. Rawānā hote waqt yih junūbī qabīloṅ ke pīchhe chalte the.
3690  NUM 2:31  Tīnoṅ qabīloṅ kī kul tādād 1,57,600 thī. Wuh āḳhir meṅ apnā alam uṭhā kar rawānā hote the.
3691  NUM 2:32  Pūrī ḳhaimāgāh ke faujiyoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī.
4542  NUM 26:51  Isrāīlī mardoṅ kī kul tādād 6,01,730 thī.
4698  NUM 31:32  Unhoṅ ne 6,75,000 bheṛ-bakriyāṅ, 72,000 gāy-bail aur 61,000 gadhe gine.
4702  NUM 31:36  Faujiyoṅ ko tamām chīzoṅ kā ādhā hissā mil gayā yānī 3,37,500 bheṛ-bakriyāṅ, 36,000 gāy-bail, 30,500 gadhe aur 16,000 qaidī kuṅwāriyāṅ. In meṅ se unhoṅ ne 675 bheṛ-bakriyāṅ, 72 gāy-bail, 61 gadhe aur 32 laṛkiyāṅ Rab ko dīṅ.
6731  JDG 8:10  Ab Zibah aur Zalmunnā qarqūr pahuṅch gae the. 15,000 afrād un ke sāth rah gae the, kyoṅki mashriqī ittahādiyoṅ ke 1,20,000 talwāroṅ se lais faujī halāk ho gae the.
7058  JDG 20:2  Isrāīlī qabīloṅ ke sardār bhī āe. Unhoṅ ne mil kar ek baṛī fauj taiyār kī, talwāroṅ se lais 4,00,000 mard jamā hue.
7073  JDG 20:17  Dūsrī taraf Isrāīl ke 4,00,000 faujī khaṛe hue, aur har ek ke pās talwār thī.
7566  1SA 15:4  Sāūl ne apne faujiyoṅ ko bulā kar Talāym meṅ un kā jāyzā liyā. Kul 2,00,000 piyāde faujī the, nīz Yahūdāh ke 10,000 afrād.
8892  1KI 5:25  Muāwaze meṅ Sulemān use sālānā taqrīban 32,50,000 kilogrām gandum aur taqrīban 4,40,000 liṭar zaitūn kā tel bhejtā rahā.
9050  1KI 8:62  Phir bādshāh aur tamām Isrāīl ne Rab ke huzūr qurbāniyāṅ pesh karke Rab ke ghar ko maḳhsūs kiyā. Is silsile meṅ Sulemān ne 22,000 gāy-bailoṅ aur 1,20,000 bheṛ-bakriyoṅ ko salāmatī kī qurbāniyoṅ ke taur par zabah kiyā.
9175  1KI 12:21  Jab Rahubiyām Yarūshalam pahuṅchā to us ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdā faujiyoṅ ko Isrāīl se jang karne ke lie bulāyā. 1,80,000 mard jamā hue tāki Rahubiyām bin Sulemān ke lie Isrāīl par dubārā qābū pāeṅ.
10100  2KI 19:35  Usī rāt Rab kā farishtā nikal āyā aur Asūrī lashkargāh meṅ se guzar kar 1,85,000 faujiyoṅ ko mār ḍālā. Jab log subah-sawere uṭhe to chāroṅ taraf lāsheṅ hī lāsheṅ nazar āīṅ.
10453  1CH 5:21  Unhoṅ ne un se bahut kuchh lūṭ liyā: 50,000 ūṅṭ, 2,50,000 bheṛ-bakriyāṅ aur 2,000 gadhe. Sāth sāth unhoṅ ne 1,00,000 logoṅ ko qaid bhī kar liyā.
10762  1CH 12:38  Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ ābād qabīloṅ Rūbin, Jad aur Manassī ke ādhe hisse ke 1,20,000 mard the. Har ek har qism ke hathiyār se lais thā.
10944  1CH 21:5  Wahāṅ us ne Dāūd ko mardumshumārī kī pūrī riporṭ pesh kī. Isrāīl meṅ 11,00,000 talwār chalāne ke qābil afrād the jabki Yahūdāh ke 4,70,000 mard the.
10983  1CH 22:14  Dekheṅ, maiṅ ne baṛī jidd-o-jahd ke sāth Rab ke ghar ke lie sone ke 34,00,000 kilogrām aur chāṅdī ke 3,40,00,000 kilogrām taiyār kar rakhe haiṅ. Is ke alāwā maiṅ ne itnā pītal aur lohā ikaṭṭhā kiyā ki use tolā nahīṅ jā saktā, nīz lakaṛī aur patthar kā ḍher lagāyā, agarche āp aur bhī jamā kareṅge.
11173  1CH 29:4  yānī taqrīban 1,00,000 kilogrām ḳhālis sonā aur 2,35,000 kilogrām ḳhālis chāṅdī. Maiṅ chāhtā hūṅ ki yih kamroṅ kī dīwāroṅ par chaṛhāī jāe.
11176  1CH 29:7  Us din Rab ke ghar ke lie taqrīban 1,70,000 kilogrām sonā, sone ke 10,000 sikke, 3,40,000 kilogrām chāṅdī, 6,10,000 kilogrām pītal aur 34,00,000 kilogrām lohā jamā huā.
11218  2CH 2:1  Is ke lie us ne 1,50,000 ādmiyoṅ kī bhartī kī. 80,000 ko us ne pahāṛī kānoṅ meṅ lagāyā tāki wuh patthar nikāleṅ jabki 70,000 afrād kī zimmedārī yih patthar Yarūshalam lānā thī. In sab par Sulemān ne 3,600 nigarān muqarrar kie.
11226  2CH 2:9  Āp ke lakaṛhāroṅ ke kām ke muāwaze meṅ maiṅ 32,75,000 kilogrām gandum, 27,00,000 kilogrām jau, 4,40,000 liṭar mai aur 4,40,000 liṭar zaitūn kā tel dūṅgā.”
11233  2CH 2:16  Sulemān ne Isrāīl meṅ ābād tamām ġhairmulkiyoṅ kī mardumshumārī karwāī. (Us ke bāp Dāūd ne bhī un kī mardumshumārī karwāī thī.) Mālūm huā ki Isrāīl meṅ 1,53,600 ġhairmulkī rahte haiṅ.
11333  2CH 7:4  Phir bādshāh aur tamām qaum ne Rab ke huzūr qurbāniyāṅ pesh karke Allāh ke ghar ko maḳhsūs kiyā. Is silsile meṅ Sulemān ne 22,000 gāy-bailoṅ aur 1,20,000 bheṛ-bakriyoṅ ko qurbān kiyā.
11420  2CH 11:1  Jab Rahubiyām Yarūshalam pahuṅchā to us ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdā faujiyoṅ ko Isrāīl se jang karne ke lie bulāyā. 1,80,000 mard jamā hue tāki Rahubiyām ke lie Isrāīl par dubārā qābū pāeṅ.
11461  2CH 13:3  4,00,000 tajrabākār faujiyoṅ ko jamā karke Abiyāh Yarubiyām se laṛne ke lie niklā. Yarubiyām 8,00,000 tajrabākār faujiyoṅ ke sāth us ke muqābil saf-ārā huā.
11475  2CH 13:17  Abiyāh aur us ke log unheṅ baṛā nuqsān pahuṅchā sake. Isrāīl ke 5,00,000 tajrabākār faujī maidān-e-jang meṅ māre gae.
11488  2CH 14:7  Āsā kī fauj meṅ baṛī ḍhāloṅ aur nezoṅ se lais Yahūdāh ke 3,00,000 afrād the. Is ke alāwā chhoṭī ḍhāloṅ aur kamānoṅ se musallah Binyamīn ke 2,80,000 afrād the. Sab tajrabākār faujī the.
11542  2CH 17:14  Yahūsafat kī fauj ko kunboṅ ke mutābiq tartīb diyā gayā thā. Yahūdāh ke qabīle kā kamānḍar Adnā thā. Us ke taht 3,00,000 tajrabākār faujī the.
11543  2CH 17:15  Us ke alāwā Yūhanān thā jis ke taht 2,80,000 afrād the
11544  2CH 17:16  aur Amasiyāh bin Zikrī jis ke taht 2,00,000 afrād the. Amasiyāh ne apne āp ko razākārānā taur par Rab kī ḳhidmat ke lie waqf kar diyā thā.
11545  2CH 17:17  Binyamīn ke qabīle kā kamānḍar Ilyadā thā jo zabardast faujī thā. Us ke taht kamān aur ḍhāloṅ se lais 2,00,000 faujī the.
11546  2CH 17:18  Us ke alāwā Yahūzabad thā jis ke 1,80,000 musallah ādmī the.
11714  2CH 25:5  Amasiyāh ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke tamām mardoṅ ko bulā kar unheṅ ḳhāndānoṅ ke mutābiq tartīb diyā. Us ne hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par afsar muqarrar kie. Jitne bhī mard 20 yā is se zāyd sāl ke the un sab kī bhartī huī. Is tarah 3,00,000 faujī jamā hue. Sab baṛī ḍhāloṅ aur nezoṅ se lais the.
11715  2CH 25:6  Is ke alāwā Amasiyāh ne Isrāīl ke 1,00,000 tajrabākār faujiyoṅ ko ujrat par bhartī kiyā tāki wuh jang meṅ madad kareṅ. Unheṅ us ne chāṅdī ke taqrīban 3,400 kilogrām die.
11750  2CH 26:13  Fauj 3,07,500 jang laṛne ke qābil mardoṅ par mushtamil thī. Jang meṅ bādshāh un par pūrā bharosā kar saktā thā.
11765  2CH 27:5  Jab Ammonī bādshāh ke sāth jang chhiṛ gaī to us ne Ammoniyoṅ ko shikast dī. Tīn sāl tak unheṅ use sālānā ḳharāj ke taur par taqrīban 3,400 kilogrām chāṅdī, 16,00,000 kilogrām gandum aur 13,50,000 kilogrām jau adā karnā paṛā.
11775  2CH 28:6  Ek hī din meṅ Yahūdāh ke 1,20,000 tajrabākār faujī shahīd hue. Yih sab kuchh is lie huā ki qaum ne Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ko tark kar diyā thā.
11777  2CH 28:8  Isrāīliyoṅ ne Yahūdāh kī 2,00,000 aurateṅ aur bachche chhīn lie aur kasrat kā māl lūṭ kar Sāmariya le gae.
12760  EST 3:9  Agar bādshāh ko manzūr ho to elān kareṅ ki is qaum ko halāk kar diyā jāe. Tab maiṅ shāhī ḳhazānoṅ meṅ 3,35,000 kilogrām chāṅdī jamā karā dūṅgā.”
18458  ISA 37:36  Usī rāt Rab kā farishtā nikal āyā aur Asūrī lashkargāh meṅ se guzar kar 1,85,000 faujiyoṅ ko mār ḍālā. Jab log subah-sawere uṭhe to chāroṅ taraf lāsheṅ hī lāsheṅ nazar āīṅ.
22648  JON 4:11  jabki Nīnwā bahut baṛā shahr hai, us meṅ 1,20,000 afrād aur muta'addid jānwar baste haiṅ. Aur yih log itne jāhil haiṅ ki apne dāeṅ aur bāeṅ hāth meṅ imtiyāz nahīṅ kar pāte. Kyā mujhe is baṛe shahr par ġham nahīṅ khānā chāhie.?”
30882  REV 7:4  Aur maiṅ ne sunā ki jin par muhr lagāī gaī thī wuh 1,44,000 afrād the aur wuh Isrāīl ke har ek qabīle se the:
30996  REV 14:1  Phir maiṅ ne dekhā ki Lelā mere sāmne hī Siyyūn ke pahāṛ par khaṛā hai. Us ke sāth 1,44,000 afrād khaṛe the jin ke māthoṅ par us kā aur us ke Bāp kā nām likhā thā.
30998  REV 14:3  Yih 1,44,000 afrād taḳht, chār jāndāroṅ aur buzurgoṅ ke sāmne khaṛe ek nayā gīt gā rahe the, ek aisā gīt jo sirf wuhī sīkh sake jinheṅ Lele ne zamīn se ḳharīd liyā thā.