Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   Word,”    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

762  GEN 27:34  Yih sun kar Esau zordār aur talḳh chīḳheṅ mārne lagā. “Abbū, mujhe bhī barkat deṅ,” us ne kahā.
6594  JDG 3:24  Thoṛī der ke bād bādshāh ke naukaroṅ ne ā kar dekhā ki darwāzoṅ par kunḍī lagī hai. Unhoṅ ne ek dūsre se kahā, “Wuh hājat rafā kar rahe hoṅge,”
7943  1SA 27:10  to wuh pūchhtā, “Āj āp ne kis par chhāpā mārā?” Phir Dāūd jawāb detā, “Yahūdāh ke junūbī ilāqe par,” yā “Yarahmiyeliyoṅ ke junūbī ilāqe par,” yā “Qīniyoṅ ke junūbī ilāqe par.”
8394  2SA 15:2  Rozānā wuh subah-sawere uṭh kar shahr ke darwāze par jātā. Jab kabhī koī shaḳhs is maqsad se shahr meṅ dāḳhil hotā ki bādshāh us ke kisī muqaddame kā faislā kare to Abīsalūm us se muḳhātib ho kar pūchhtā, “Āp kis shahr se haiṅ?” Agar wuh jawāb detā, “Maiṅ Isrāīl ke fulāṅ qabīle se hūṅ,”
15090  PSA 73:15  Agar maiṅ kahtā, “Maiṅ bhī un kī tarah bolūṅgā,” to tere farzandoṅ kī nasl se ġhaddārī kartā.
15469  PSA 91:9  Kyoṅki tū ne kahā hai, “Rab merī panāhgāh hai,” tū Allāh T'ālā ke sāy meṅ chhup gayā hai.
16318  PSA 139:11  Agar maiṅ kahūṅ, “Tārīkī mujhe chhupā de, aur mere irdgird kī raushnī rāt meṅ badal jāe,” to bhī koī farq nahīṅ paṛegā.
16649  PRO 7:4  Hikmat se kah, “Tū merī bahan hai,” aur samajh se, “Tū merī qarībī rishtedār hai.”
17336  PRO 30:15  Joṅk kī do beṭiyāṅ haiṅ, chūsne ke do āzā jo chīḳhte rahte haiṅ, “Aur do, aur do.” Tīn chīzeṅ haiṅ jo kabhī ser nahīṅ hotīṅ balki chār haiṅ jo kabhī nahīṅ kahtīṅ, “Ab bas karo, ab kāfī hai,”
17372  PRO 31:18  Wuh mahsūs kartī hai, “Merā kārobār fāydāmand hai,” is lie us kā charāġh rāt ke waqt bhī nahīṅ bujhtā.
17522  ECC 7:23  Hikmat ke zariye maiṅ ne in tamām bātoṅ kī jāṅch-paṛtāl kī. Maiṅ bolā, “Maiṅ dānishmand bananā chāhtā hūṅ,” lekin hikmat mujh se dūr rahī.
17545  ECC 8:17  Tab maiṅ ne Allāh kā sārā kām dekh kar jān liyā ki insān us tamām kām kī tah tak nahīṅ pahuṅch saktā jo sūraj tale hotā hai. Ḳhāh wuh us kī kitnī tahqīq kyoṅ na kare to bhī wuh tah tak nahīṅ pahuṅch saktā. Ho saktā hai koī dānishmand dāwā kare, “Mujhe is kī pūrī samajh āī hai,” lekin aisā nahīṅ hai, wuh tah tak nahīṅ pahuṅch saktā.
17561  ECC 9:16  Yih dekh kar maiṅ bolā, “Hikmat tāqat se behtar hai,” lekin ġharīb kī hikmat haqīr jānī jātī hai. Koī bhī us kī bātoṅ par dhyān nahīṅ detā.
18373  ISA 33:24  Siyyūn kā koī bhī fard nahīṅ kahegā, “Maiṅ kamzor hūṅ,” kyoṅki us ke bāshindoṅ ke gunāh baḳhshe gae hoṅge.
23684  MAT 14:18  Us ne kahā, “Unheṅ yahāṅ mere pās le āo,”
23692  MAT 14:26  Jab shāgirdoṅ ne use jhīl kī satah par chalte hue dekhā to unhoṅ ne dahshat khāī. “Yih koī bhūt hai,” unhoṅ ne kahā aur ḍar ke māre chīḳheṅ mārne lage.
23794  MAT 17:25  “Jī, wuh kartā hai,” Patras ne jawāb diyā. Wuh ghar meṅ āyā to Īsā pahle hī bolne lagā, “Kyā ḳhayāl hai Shamāūn, duniyā ke bādshāh kin se ḍyūṭī aur ṭaiks lete haiṅ, apne farzandoṅ se yā ajnabiyoṅ se?”
23883  MAT 20:22  Īsā ne kahā, “Tum ko nahīṅ mālūm ki kyā māṅg rahe ho. Kyā tum wuh pyālā pī sakte ho jo maiṅ pīne ko hūṅ?” “Jī, ham pī sakte haiṅ,” unhoṅ ne jawāb diyā.
23926  MAT 21:31  Ab mujhe batāo ki kis beṭe ne apne bāp kī marzī pūrī kī?” “Pahle beṭe ne,” unhoṅ ne jawāb diyā. Īsā ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ṭaiks lene wāle aur kasbiyāṅ tum se pahle Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil ho rahe haiṅ.
26860  JHN 18:6  Jab Īsā ne elān kiyā, “Maiṅ hī hūṅ,” to sab pīchhe haṭ kar zamīn par gir paṛe.
26955  JHN 20:19  Us Itwār kī shām ko shāgird jamā the. Unhoṅ ne darwāzoṅ par tāle lagā die the kyoṅki wuh Yahūdiyoṅ se ḍarte the. Achānak Īsā un ke darmiyān ā khaṛā huā aur kahā, “Tumhārī salāmatī ho,”
27423  ACT 12:17  Lekin us ne apne hāth se ḳhāmosh rahne kā ishārā kiyā aur unheṅ sārā wāqiyā sunāyā ki Ḳhudāwand mujhe kis tarah jel se nikāl lāyā hai. “Yāqūb aur bāqī bhāiyoṅ ko bhī yih batānā,” yih kah kar wuh kahīṅ aur chalā gayā.
28443  1CO 1:12  Matlab yih hai ki āp meṅ se koī kahtā hai, “Maiṅ Paulus kī pārṭī kā hūṅ,” koī “Maiṅ Apullos kī pārṭī kā hūṅ,” koī “Maiṅ Kaifā kī pārṭī kā hūṅ” aur koī ki “Maiṅ Masīh kī pārṭī kā hūṅ.”
28723  1CO 12:21  Āṅkh hāth se nahīṅ kah saktī, “Mujhe terī zarūrat nahīṅ,” na sar pāṅwoṅ se kah saktā hai, “Mujhe tumhārī zarūrat nahīṅ.”
28933  2CO 4:6  Kyoṅki jis Ḳhudā ne farmāyā, “Andhere meṅ se raushnī chamke,” us ne hamāre diloṅ meṅ apnī raushnī chamakne dī tāki ham Allāh kā wuh jalāl jān leṅ jo Īsā Masīh ke chehre se chamaktā hai.
29691  1TH 5:3  Jab log kaheṅge, “Ab amn-o-amān hai,” to halākat achānak hī un par ān paṛegī. Wuh is tarah musībat meṅ paṛ jāeṅge jis tarah wuh aurat jis kā bachchā paidā ho rahā hai. Wuh hargiz nahīṅ bach sakeṅge.
30258  HEB 11:19  Ibrāhīm ne sochā, “Allāh murdoṅ ko bhī zindā kar saktā hai,” aur majāzan use wāqaī Is'hāq murdoṅ meṅ se wāpas mil gayā.
30363  JAS 2:3  Aur āp shāndār kapṛe pahne hue ādmī par ḳhās dhyān de kar us se kaheṅ, “Yahāṅ is achchhī kursī par tashrīf rakheṅ,” lekin ġharīb ādmī ko kaheṅ, “Wahāṅ khaṛā ho jā” yā “Ā, mere pāṅwoṅ ke pās farsh par baiṭh jā.”
31008  REV 14:13  Phir maiṅ ne āsmān se ek āwāz yih kahtī huī sunī, “Likh, mubārak haiṅ wuh murde jo ab se Ḳhudāwand meṅ wafāt pāte haiṅ.” “Jī hāṅ,” Rūh farmātā hai, “Wuh apnī mehnat-mashaqqat se ārām pāeṅge, kyoṅki un ke nek kām un ke pīchhe ho kar un ke sāth chaleṅge.”