Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   Word,’    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

606  GEN 24:14  Maiṅ un meṅ se kisī se kahūṅgā, ‘Zarā apnā ghaṛā nīche karke mujhe pānī pilāeṅ.’ Agar wuh jawāb de, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilā detī hūṅ,’ to wuh wuhī hogī jise tū ne apne ḳhādim Is'hāq ke lie chun rakhā hai. Agar aisā huā to maiṅ jān lūṅgā ki tū ne mere āqā par mehrbānī kī hai.”
11198  1CH 29:29  Bāqī jo kuchh Dāūd kī hukūmat ke daurān huā wuh tīnoṅ kitāboṅ ‘Samuel Ġhaibbīn kī Tārīḳh,’ ‘Nātan Nabī kī Tārīḳh’ aur ‘Jād Ġhaibbīn kī Tārīḳh’ meṅ darj hai.
11398  2CH 9:29  Sulemān kī zindagī ke bāre meṅ mazīd bāteṅ shurū se le kar āḳhir tak ‘Nātan Nabī kī Tārīḳh,’ Sailā ke rahne wāle nabī Aḳhiyāh kī kitāb ‘Aḳhiyāh kī Nabuwwat’ aur Yarubiyām bin Nabāt se mutālliq kitāb ‘Iddū Ġhaibbīn kī Royāeṅ’ meṅ darj haiṅ.
13308  JOB 19:7  Go maiṅ chīḳh kar kahūṅ, ‘Mujh par zulm ho rahā hai,’ lekin jawāb koī nahīṅ miltā. Go maiṅ madad ke lie pukārūṅ, lekin insāf nahīṅ pātā.
13410  JOB 22:17  Unhoṅ ne Allāh se kahā, ‘Ham se dūr ho jā,’ aur ‘Qādir-e-mutlaq hamāre lie kyā kuchh kar saktā hai?’
13522  JOB 28:14  Samundar kahtā hai, ‘Hikmat mere pās nahīṅ hai,’ aur us kī gahrāiyāṅ bayān kartī haiṅ, ‘Yahāṅ bhī nahīṅ hai.’
13738  JOB 35:14  To phir wuh āp par kyoṅ tawajjuh de jab āp dāwā karte haiṅ, ‘Maiṅ use nahīṅ dekh saktā,’ aur ‘Merā muāmalā us ke sāmne hī hai, maiṅ ab tak us kā intazār kar rahā hūṅ’?
15131  PSA 75:5  Sheḳhībāzoṅ se maiṅ ne kahā, ‘Ḍīṅgeṅ mat māro,’ aur bedīnoṅ se, ‘Apne āp par faḳhr mat karo.
18608  ISA 44:5  Ek kahegā, ‘Maiṅ Rab kā hūṅ,’ dūsrā Yāqūb kā nām le kar pukāregā aur tīsrā apne hāth par ‘Rab kā bandā’ likh kar Isrāīl kā ezāzī nām rakhegā.”
18629  ISA 44:26  Maiṅ hī apne ḳhādim kā kalām pūrā hone detā aur apne paiġhambaroṅ kā mansūbā takmīl tak pahuṅchātā hūṅ, maiṅ hī Yarūshalam ke bāre meṅ farmātā hūṅ, ‘Wuh dubārā ābād ho jāegā,’ aur Yahūdāh ke shahroṅ ke bāre meṅ, ‘Wuh nae sire se tāmīr ho jāeṅge, maiṅ un ke khanḍarāt dubārā khaṛe karūṅga.’
19541  JER 22:18  Chunāṅche Rab Yahūdāh ke bādshāh Yahūyaqīm bin Yūsiyāh ke bāre meṅ farmātā hai, “Log us par mātam nahīṅ kareṅge ki ‘Hāy mere bhāī, hāy merī bahan,’ na wuh ro kar kaheṅge, ‘Hāy, mere āqā! Hāy, us kī shān jātī rahī hai.’
23137  ZEC 13:9  Is bache hue hisse ko maiṅ āg meṅ ḍāl kar chāṅdī yā sone kī tarah pāk-sāf karūṅga. Tab wuh merā nām pukāreṅge, aur maiṅ un kī sunūṅgā. Maiṅ kahūṅgā, ‘Yih merī qaum hai,’ aur wuh kaheṅge, ‘Rab hamārā Ḳhudā hai.’”
23389  MAT 7:4  Tū kyoṅkar apne bhāī se kah saktā hai, ‘Ṭhahro, mujhe tumhārī āṅkh meṅ paṛā tinkā nikālne do,’ jabki terī apnī āṅkh meṅ shahtīr hai.
23789  MAT 17:20  Us ne jawāb diyā, “Apne īmān kī kamī ke sabab se. Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ, agar tumhārā īmān rāī ke dāne ke barābar bhī ho to phir tum is pahāṛ ko kah sakoge, ‘Idhar se udhar khisak jā,’ to wuh khisak jāegā. Aur tumhāre lie kuchh bhī nāmumkin nahīṅ hogā.
23924  MAT 21:29  Beṭe ne jawāb diyā, ‘Maiṅ jānā nahīṅ chāhtā,’ lekin bād meṅ us ne apnā ḳhayāl badal liyā aur bāġh meṅ chalā gayā.
23925  MAT 21:30  Itne meṅ bāp chhoṭe beṭe ke pās bhī gayā aur use bāġh meṅ jāne ko kahā. ‘Jī janāb, maiṅ jāūṅgā,’ chhoṭe beṭe ne kahā. Lekin wuh na gayā.
23973  MAT 22:32  Us ne farmāyā, ‘Maiṅ Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ,’ hālāṅki us waqt tīnoṅ kāfī arse se mar chuke the. Is kā matlab hai ki yih haqīqat meṅ zindā haiṅ. Kyoṅki Allāh murdoṅ kā nahīṅ balki zindoṅ kā Ḳhudā hai.”
24768  MRK 12:26  Rahī yih bāt ki murde jī uṭheṅge. Kyā tum ne Mūsā kī kitāb meṅ nahīṅ paṛhā ki Allāh jaltī huī jhāṛī meṅ se kis tarah Mūsā se hamkalām huā? Us ne farmāyā, ‘Maiṅ Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ,’ hālāṅki us waqt tīnoṅ kāfī arse se mar chuke the.
24807  MRK 13:21  Us waqt agar koī tum ko batāe, ‘Dekho, Masīh yahāṅ hai,’ yā ‘Wuh wahāṅ hai’ to us kī bāt na mānanā.
25885  LUK 20:37  Aur yih bāt ki murde jī uṭheṅge Mūsā se bhī zāhir kī gaī hai. Kyoṅki jab wuh kāṅṭedār jhāṛī ke pās āyā to us ne Rab ko yih nām diyā, ‘Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā,’ hālāṅki us waqt tīnoṅ bahut pahle mar chuke the. Is kā matlab hai ki yih haqīqat meṅ zindā haiṅ.
26034  LUK 23:30  Phir log pahāṛoṅ se kahne lageṅge, ‘Ham par gir paṛo,’ aur pahāṛiyoṅ se ki ‘Hameṅ chhupā lo.’
27190  ACT 7:5  Us waqt Allāh ne use is mulk meṅ koī bhī maurūsī zamīn na dī thī, ek murabbā fuṭ tak bhī nahīṅ. Lekin us ne us se wādā kiyā, ‘Maiṅ is mulk ko tere aur terī aulād ke qabze meṅ kar dūṅgā,’ agarche us waqt Ibrāhīm ke hāṅ koī bachchā paidā nahīṅ huā thā.