30 | GEN 1:30 | Is tarah maiṅ tamām jānwaroṅ ko khāne ke lie hariyālī detā hūṅ. Jis meṅ bhī jān hai wuh yih khā saktā hai, ḳhāh wuh zamīn par chalne-phirne wālā jānwar, hawā kā parindā yā zamīn par reṅgne wālā kyoṅ na ho.” Aisā hī huā. |
50 | GEN 2:19 | Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unheṅ ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yoṅ har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā. |
55 | GEN 2:24 | Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ. |
57 | GEN 3:1 | Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?” |
70 | GEN 3:14 | Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā. |
73 | GEN 3:17 | Ādam se us ne kahā, “Tū ne apnī bīwī kī bāt mānī aur us daraḳht kā phal khāyā jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā. Is lie tere sabab se zamīn par lānat hai. Us se ḳhurāk hāsil karne ke lie tujhe umr-bhar mehnat-mashaqqat karnī paṛegī. |
75 | GEN 3:19 | Pasīnā bahā bahā kar tujhe roṭī kamāne ke lie bhāg-dauṛ karnī paṛegī. Aur yih silsilā maut tak jārī rahegā. Tū mehnat karte karte dubārā zamīn meṅ lauṭ jāegā, kyoṅki tū usī se liyā gayā hai. Tū ḳhāk hai aur dubārā ḳhāk meṅ mil jāegā.” |
80 | GEN 3:24 | Insān ko ḳhārij karne ke bād us ne Bāġh-e-Adan ke mashriq meṅ karūbī farishte khaṛe kie aur sāth sāth ek ātishī talwār rakhī jo idhar-udhar ghūmtī thī tāki us rāste kī hifāzat kare jo zindagī baḳhshne wāle daraḳht tak pahuṅchātā thā. |
82 | GEN 4:2 | Bād meṅ Qābīl kā bhāī Hābīl paidā huā. Hābīl bheṛ-bakriyoṅ kā charwāhā ban gayā jabki Qābīl khetībāṛī karne lagā. |
84 | GEN 4:4 | Hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā, lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ ke kuchh pahlauṭhe un kī charbī samet chaṛhāe. Hābīl kā nazarānā Rab ko pasand āyā, |
89 | GEN 4:9 | Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?” |
102 | GEN 4:22 | Zillā ke bhī beṭā paidā huā jis kā nām Tūbal-qābīl thā. Wuh lohār thā. Us kī nasl ke log pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the. Tūbal-qābīl kī bahan kā nām Nāmā thā. |
110 | GEN 5:4 | Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
113 | GEN 5:7 | Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
116 | GEN 5:10 | Is ke bād wuh mazīd 815 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
119 | GEN 5:13 | Is ke bād wuh mazīd 840 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
122 | GEN 5:16 | Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
125 | GEN 5:19 | Is ke bād wuh mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
128 | GEN 5:22 | Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
136 | GEN 5:30 | Is ke bād wuh mazīd 595 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
145 | GEN 6:7 | Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.” |
213 | GEN 9:7 | Ab phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā meṅ phail jāo.” |
225 | GEN 9:19 | Duniyā-bhar ke tamām log in tīnoṅ kī aulād haiṅ. |
274 | GEN 11:7 | Is lie āo, ham duniyā meṅ utar kar un kī zabān ko darham-barham kar deṅ tāki wuh ek dūsre kī bāt samajh na pāeṅ.” |
276 | GEN 11:9 | Is lie shahr kā nām Bābal yānī Abtarī ṭhahrā, kyoṅki Rab ne wahāṅ tamām logoṅ kī zabān ko darham-barham karke unheṅ tamām rū-e-zamīn par muntashir kar diyā. |
278 | GEN 11:11 | Is ke bād wuh mazīd 500 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
280 | GEN 11:13 | Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
282 | GEN 11:15 | Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
284 | GEN 11:17 | Is ke bād wuh mazīd 430 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
286 | GEN 11:19 | Is ke bād wuh mazīd 209 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
288 | GEN 11:21 | Is ke bād wuh mazīd 207 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
290 | GEN 11:23 | Is ke bād wuh mazīd 200 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
292 | GEN 11:25 | Is ke bād wuh mazīd 119 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
304 | GEN 12:5 | Us ke sāth us kī bīwī Sāray aur us kā bhatījā Lūt the. Wuh apne naukar-chākaroṅ samet apnī pūrī milkiyat bhī sāth le gayā jo us ne Hārān meṅ hāsil kī thī. Chalte chalte wuh Kanān pahuṅche. |
315 | GEN 12:16 | Firaun ne Sāray kī ḳhātir Abrām par ehsān karke use bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, gadhe-gadhiyāṅ, naukar-chākar aur ūṅṭ die. |
321 | GEN 13:2 | Abrām nihāyat daulatmand ho gayā thā. Us ke pās bahut-se maweshī aur sonā-chāṅdī thī. |
324 | GEN 13:5 | Lūt ke pās bhī bahut-sī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ḳhaime the. |
342 | GEN 14:5 | Ab ek sāl ke bād Kidarlāumar aur us ke ittahādī apnī faujoṅ ke sāth āe. Pahle unhoṅ ne Astārāt-qarnaim meṅ Rafāiyoṅ ko, Hām meṅ Zūziyoṅ ko, Sawī-qiriyatāym meṅ Aimiyoṅ ko |
343 | GEN 14:6 | aur Horiyoṅ ko un ke pahāṛī ilāqe Saīr meṅ shikast dī. Yoṅ wuh El-fārān tak pahuṅch gae jo registān ke kināre par hai. |
344 | GEN 14:7 | Phir wuh wāpas āe aur Ain-misfāt yānī Qādis pahuṅche. Unhoṅ ne Amālīqiyoṅ ke pūre ilāqe ko tabāh kar diyā aur Hassūn-tamr meṅ ābād Amoriyoṅ ko bhī shikast dī. |
371 | GEN 15:10 | Abrām ne aisā hī kiyā aur phir har ek jānwar ko do hissoṅ meṅ kāṭ kar un ko ek dūsre ke āmne-sāmne rakh diyā. Lekin parindoṅ ko us ne sālim rahne diyā. |
418 | GEN 17:20 | Maiṅ Ismāīl ke silsile meṅ bhī terī darḳhāst pūrī karūṅga. Maiṅ use bhī barkat de kar phalne-phūlne dūṅgā aur us kī aulād bahut hī zyādā baṛhā dūṅgā. Wuh bārah ra'īsoṅ kā bāp hogā, aur maiṅ us kī mārifat ek baṛī qaum banāūṅgā. |
430 | GEN 18:5 | Sāth sāth maiṅ āp ke lie thoṛā-bahut khānā bhī le āūṅ tāki āp taqwiyat pā kar āge baṛh sakeṅ. Mujhe yih karne deṅ, kyoṅki āp apne ḳhādim ke ghar ā gae haiṅ.” Unhoṅ ne kahā, “Ṭhīk hai. Jo kuchh tū ne kahā hai wuh kar.” |
432 | GEN 18:7 | Phir wuh bhāg kar bailoṅ ke pās pahuṅchā. Un meṅ se us ne ek moṭā-tāzā bachhṛā chun liyā jis kā gosht narm thā aur use apne naukar ko diyā jis ne jaldī se use taiyār kiyā. |
436 | GEN 18:11 | Donoṅ miyāṅ-bīwī būṛhe ho chuke the aur Sārā us umr se guzar chukī thī jis meṅ auratoṅ ke bachche paidā hote haiṅ. |
437 | GEN 18:12 | Is lie Sārā andar hī andar haṅs paṛī aur sochā, “Yih kaise ho saktā hai? Kyā jab maiṅ buṛhāpe ke bāis ghise-phaṭe libās kī mānind hūṅ to jawānī ke joban kā lutf uṭhāūṅ? Aur merā shauhar bhī būṛhā hai.” |
460 | GEN 19:2 | Us ne kahā, “Sāhibo, apne bande ke ghar tashrīf lāeṅ tāki apne pāṅw dho kar rāt ko ṭhahreṅ aur phir kal subah-sawere uṭh kar apnā safr jārī rakheṅ.” Unhoṅ ne kahā, “Koī bāt nahīṅ, ham chauk meṅ rāt guzāreṅge.” |
485 | GEN 19:27 | Ibrāhīm subah-sawere uṭh kar us jagah wāpas āyā jahāṅ wuh kal Rab ke sāmne khaṛā huā thā. |
486 | GEN 19:28 | Jab us ne nīche Sadūm, Amūrā aur pūrī wādī kī taraf nazar kī to wahāṅ se bhaṭṭe kā-sā dhuāṅ uṭh rahā thā. |
496 | GEN 19:38 | Chhoṭī beṭī ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Bin-ammī rakhā. Us se Ammonī nikle haiṅ. |
504 | GEN 20:8 | Abīmalik ne subah-sawere uṭh kar apne tamām kārindoṅ ko yih sab kuchh batāyā. Yih sun kar un par dahshat chhā gaī. |
509 | GEN 20:13 | Phir jab Allāh ne hone diyā ki maiṅ apne bāp ke gharāne se nikal kar idhar-udhar phirūṅ to maiṅ ne apnī bīwī se kahā, ‘Mujh par yih mehrbānī kar ki jahāṅ bhī ham jāeṅ mere bāre meṅ kah denā ki wuh merā bhāī hai.’” |
528 | GEN 21:14 | Ibrāhīm subah-sawere uṭhā. Us ne roṭī aur pānī kī mashk Hājirā ke kandhoṅ par rakh kar use laṛke ke sāth ghar se nikāl diyā. Hājirā chalte chalte Bair-sabā ke registān meṅ idhar-udhar phirne lagī. |
541 | GEN 21:27 | Tab Ibrāhīm ne Abīmalik ko bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail die, aur donoṅ ne ek dūsre ke sāth ahd bāndhā. |
545 | GEN 21:31 | Is lie us jagah kā nām Bair-sabā yānī ‘Qasam kā Kuāṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ un donoṅ mardoṅ ne qasam khāī. |
546 | GEN 21:32 | Yoṅ unhoṅ ne Bair-sabā meṅ ek dūsre se ahd bāndhā. Phir Abīmalik aur Fīkul Filistiyoṅ ke mulk wāpas chale gae. |
547 | GEN 21:33 | Is ke bād Ibrāhīm ne Bair-sabā meṅ jhāū kā daraḳht lagāyā. Wahāṅ us ne Rab kā nām le kar us kī ibādat kī jo abadī Ḳhudā hai. |
551 | GEN 22:3 | Subah-sawere Ibrāhīm uṭhā aur apne gadhe par zīn kasā. Us ne apne sāth do naukaroṅ aur apne beṭe Is'hāq ko liyā. Phir wuh qurbānī ko jalāne ke lie lakaṛī kāṭ kar us jagah kī taraf rawānā huā jo Allāh ne use batāī thī. |
567 | GEN 22:19 | Is ke bād Ibrāhīm apne naukaroṅ ke pās wāpas āyā, aur wuh mil kar Bair-sabā lauṭe. Wahāṅ Ibrāhīm ābād rahā. |
574 | GEN 23:2 | Us zamāne meṅ Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā, aur wuh Mulk-e-Kanān meṅ thā. Ibrāhīm ne us ke pās ā kar mātam kiyā. |
609 | GEN 24:17 | Ibrāhīm kā naukar dauṛ kar us se milā. Us ne kahā, “Zarā mujhe apne ghaṛe se thoṛā-sā pānī pilāeṅ.” |
635 | GEN 24:43 | Ab maiṅ is kueṅ ke pās khaṛā hūṅ. Jab koī jawān aurat shahr se nikal kar yahāṅ āe to maiṅ us se kahūṅgā, “Zarā mujhe apne ghaṛe se thoṛā-sā pānī pilāeṅ.” |
684 | GEN 25:25 | Pahlā bachchā niklā to surḳh-sā thā, aur aisā lag rahā thā ki wuh ghane bāloṅ kā koṭ hī pahne hue hai. Is lie us kā nām Esau yānī ‘Bāloṅ Wālā’ rakhā gayā. |
707 | GEN 26:14 | Us ke pās itnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ġhulām the ki Filistī us se hasad karne lage. |
716 | GEN 26:23 | Wahāṅ se wuh Bair-sabā chalā gayā. |
724 | GEN 26:31 | Phir subah-sawere uṭh kar unhoṅ ne ek dūsre ke sāmne qasam khāī. Is ke bād Is'hāq ne unheṅ ruḳhsat kiyā aur wuh salāmatī se rawānā hue. |
726 | GEN 26:33 | Us ne kueṅ kā nām Sabā yānī ‘Qasam’ rakhā. Āj tak sāth wāle shahr kā nām Bair-sabā hai. |
777 | GEN 28:3 | Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe barkat de kar phalne-phūlne de aur tujhe itnī aulād de ki tū bahut sārī qaumoṅ kā bāp bane. |
781 | GEN 28:7 | aur ki Yāqūb apne māṅ-bāp kī sun kar Masoputāmiyā chalā gayā hai. |
784 | GEN 28:10 | Yāqūb Bair-sabā se Hārān kī taraf rawānā huā. |
792 | GEN 28:18 | Yāqūb subah-sawere uṭhā. Us ne wuh patthar liyā jo us ne apne sirhāne rakhā thā aur use satūn kī tarah khaṛā kiyā. Phir us ne us par zaitūn kā tel unḍel diyā. |
798 | GEN 29:2 | Wahāṅ us ne khet meṅ kuāṅ dekhā jis ke irdgird bheṛ-bakriyoṅ ke tīn rewaṛ jamā the. Rewaṛoṅ ko kueṅ kā pānī pilāyā jānā thā, lekin us ke muṅh par baṛā patthar paṛā thā. |
805 | GEN 29:9 | Yāqūb abhī un se bāt kar hī rahā thā ki Rāḳhil apne bāp kā rewaṛ le kar ā pahuṅchī, kyoṅki bheṛ-bakriyoṅ ko charānā us kā kām thā. |
806 | GEN 29:10 | Jab Yāqūb ne Rāḳhil ko māmūṅ Lāban ke rewaṛ ke sāth āte dekhā to us ne kueṅ ke pās jā kar patthar ko luṛhkā kar muṅh se haṭā diyā aur bheṛ-bakriyoṅ ko pānī pilāyā. |
851 | GEN 30:20 | Us ne kahā, “Allāh ne mujhe ek achchhā-ḳhāsā tohfā diyā hai. Ab merā ḳhāwind mere sāth rahegā, kyoṅki mujh se us ke chhih beṭe paidā hue haiṅ.” Us ne us kā nām Zabūlūn yānī Rihāish rakhā. |
857 | GEN 30:26 | Mujhe mere bāl-bachche deṅ jin ke ewaz maiṅ ne āp kī ḳhidmat kī hai. Phir maiṅ chalā jāūṅgā. Āp to ḳhud jānte haiṅ ki maiṅ ne kitnī mehnat ke sāth āp ke lie kām kiyā hai.” |
861 | GEN 30:30 | Jo thoṛā-bahut mere āne se pahle āp ke pās thā wuh ab bahut zyādā baṛh gayā hai. Rab ne mere kām se āp ko bahut barkat dī hai. Ab wuh waqt ā gayā hai ki maiṅ apne ghar ke lie kuchh karūṅ.” |
862 | GEN 30:31 | Lāban ne kahā, “Maiṅ āp ko kyā dūṅ?” Yāqūb ne kahā, “Mujhe kuchh na deṅ. Maiṅ is shart par āp kī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl jārī rakhūṅgā ki |
867 | GEN 30:36 | jo un ke sāth Yāqūb se itnā dūr chale gae ki un ke darmiyān tīn din kā fāsilā thā. Tab Yāqūb Lāban kī bāqī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā gayā. |
869 | GEN 30:38 | Us ne unheṅ bheṛ-bakriyoṅ ke sāmne un hauzoṅ meṅ gāṛ diyā jahāṅ wuh pānī pīte the, kyoṅki wahāṅ yih jānwar mast ho kar milāp karte the. |
874 | GEN 30:43 | Yoṅ Yāqūb bahut amīr ban gayā. Us ke pās bahut-se rewaṛ, ġhulām aur launḍiyāṅ, ūṅṭ aur gadhe the. |
882 | GEN 31:8 | Jab māmūṅ Lāban kahte the, ‘Jin jānwaroṅ ke jism par dhabbe hoṅ wuhī āp ko ujrat ke taur par mileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ ke aise bachche paidā hue jin ke jismoṅ par dhabbe hī the. Jab unhoṅ ne kahā, ‘Jin jānwaroṅ ke jism par dhāriyāṅ hoṅgī wuhī āp ko ujrat ke taur par mileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ ke aise bachche paidā hue jin ke jismoṅ par dhāriyāṅ hī thīṅ. |
884 | GEN 31:10 | Ab aisā huā ki haiwānoṅ kī mastī ke mausam meṅ maiṅ ne ek ḳhāb dekhā. Us meṅ jo menḍhe aur bakre bheṛ-bakriyoṅ se milāp kar rahe the un ke jism par baṛe aur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅ thīṅ. |
886 | GEN 31:12 | Farishte ne kahā, ‘Apnī nazar uṭhā kar us par ġhaur kar jo ho rahā hai. Wuh tamām menḍhe aur bakre jo bheṛ-bakriyoṅ se milāp kar rahe haiṅ un ke jism par baṛe aur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅ haiṅ. Maiṅ yih ḳhud karwā rahā hūṅ, kyoṅki maiṅ ne wuh sab kuchh dekh liyā hai jo Lāban ne tere sāth kiyā hai. |
889 | GEN 31:15 | Us kā hamāre sāth ajnabī kā-sā sulūk hai. Pahle us ne hameṅ bech diyā, aur ab us ne wuh sāre paise khā bhī lie haiṅ. |
891 | GEN 31:17 | Tab Yāqūb ne uṭh kar apne bāl-bachchoṅ ko ūṅṭoṅ par biṭhāyā |
893 | GEN 31:19 | Us waqt Lāban apnī bheṛ-bakriyoṅ kī pashm katarne ko gayā huā thā. Us kī ġhairmaujūdagī meṅ Rāḳhil ne apne bāp ke but churā lie. |
898 | GEN 31:24 | Lekin us rāt Allāh ne ḳhāb meṅ Lāban ke pās ā kar us se kahā, “Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.” |
902 | GEN 31:28 | Āp ne mujhe apne nawāse-nawāsiyoṅ aur beṭiyoṅ ko bosā dene kā mauqā bhī na diyā. Āp kī yih harkat baṛī ahmaqānā thī. |
903 | GEN 31:29 | Maiṅ āp ko bahut nuqsān pahuṅchā saktā hūṅ. Lekin pichhlī rāt āp ke abbū ke Ḳhudā ne mujh se kahā, ‘Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.’ |
912 | GEN 31:38 | Maiṅ bīs sāl tak āp ke sāth rahā hūṅ. Us daurān āp kī bheṛ-bakriyāṅ bachchoṅ se mahrūm nahīṅ rahīṅ balki maiṅ ne āp kā ek menḍhā bhī nahīṅ khāyā. |
915 | GEN 31:41 | Pūre bīs sāl isī hālat meṅ guzar gae. Chaudah sāl maiṅ ne āp kī beṭiyoṅ ke ewaz kām kiyā aur chhih sāl āp kī bheṛ-bakriyoṅ ke lie. Us daurān āp ne das bār merī tanḳhāh badal dī. |
916 | GEN 31:42 | Agar mere bāp Is'hāq kā Ḳhudā aur mere dādā Ibrāhīm kā mābūd mere sāth na hotā to āp mujhe zarūr ḳhālī hāth ruḳhsat karte. Lekin Allāh ne merī musībat aur merī saḳht mehnat-mashaqqat dekhī hai, is lie us ne kal rāt ko mere haq meṅ faislā diyā.” |
917 | GEN 31:43 | Tab Lāban ne Yāqūb se kahā, “Yih beṭiyāṅ to merī beṭiyāṅ haiṅ, aur in ke bachche mere bachche haiṅ. Yih bheṛ-bakriyāṅ bhī merī hī haiṅ. Lekin ab maiṅ apnī beṭiyoṅ aur un ke bachchoṅ ke lie kuchh nahīṅ kar saktā. |
921 | GEN 31:47 | Lāban ne us kā nām Yajr-shāhdūthā rakhā jabki Yāqūb ne Jal-ed rakhā. Donoṅ nāmoṅ kā matlab ‘Gawāhī kā Ḍher’ hai yānī wuh ḍher jo gawāhī detā hai. |
922 | GEN 31:48 | Lāban ne kahā, “Āj ham donoṅ ke darmiyān yih ḍher ahd kī gawāhī detā hai.” Is lie us kā nām Jal-ed rakhā gayā. |
929 | GEN 32:1 | Agle din subah-sawere Lāban ne apne nawāse-nawāsiyoṅ aur beṭiyoṅ ko bosā de kar unheṅ barkat dī. Phir wuh apne ghar wāpas chalā gayā. |
936 | GEN 32:8 | Yāqūb ghabrā kar bahut pareshān huā. Us ne apne sāth ke tamām logoṅ, bheṛ-bakriyoṅ, gāy-bailoṅ aur ūṅṭoṅ ko do gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. |
940 | GEN 32:12 | Mujhe apne bhāī Esau se bachā, kyoṅki mujhe ḍar hai ki wuh mujh par hamlā karke bāl-bachchoṅ samet sab kuchh tabāh kar degā. |
974 | GEN 33:13 | Yāqūb ne jawāb diyā, “Mere mālik, āp jānte haiṅ ki mere bachche nāzuk haiṅ. Mere pās bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur un ke dūdh pīne wāle bachche bhī haiṅ. Agar maiṅ unheṅ ek din ke lie bhī had se zyādā hāṅkūṅ to wuh mar jāeṅge. |