Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   “Word-Word    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

22  GEN 1:22  Us ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Samundar tum se bhar jāe. Isī tarah parinde zamīn par tādād meṅ baṛh jāeṅ.”
28  GEN 1:28  Allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par hukūmat karo.”
207  GEN 9:1  Phir Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe
1756  EXO 9:13  Is ke bād Rab ne Mūsā se kahā, “Subah-sawere uṭh aur Firaun ke sāmne khaṛe ho kar use batā ki Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ.
6512  JDG 1:1  Yashua kī maut ke bād Isrāīliyoṅ ne Rab se pūchhā, “Kaun-sā qabīlā pahle nikal kar Kanāniyoṅ par hamlā kare?”
7074  JDG 20:18  Pahle Isrāīlī Baitel chale gae. Wahāṅ unhoṅ ne Allāh se dariyāft kiyā, “Kaun-sā qabīlā hamāre āge āge chale jab ham Binyamīniyoṅ par hamlā kareṅ?” Rab ne jawāb diyā, “Yahūdāh sab se āge chale.”
7114  JDG 21:10  Tab unhoṅ ne 12,000 faujiyoṅ ko chun kar unheṅ hukm diyā, “Yabīs-jiliyād par hamlā karke tamām bāshindoṅ ko bāl-bachchoṅ samet mār ḍālo.
7952  1SA 28:7  Tab Sāūl ne apne mulāzimoṅ ko hukm diyā, “Mere lie murdoṅ se rābitā karne wālī ḍhūnḍo tāki maiṅ jā kar us se mālūmāt hāsil kar lūṅ.” Mulāzimoṅ ne jawāb diyā, “Ain-dor meṅ aisī aurat hai.”
8748  1KI 1:28  Jawāb meṅ Dāūd ne kahā, “Bat-sabā ko bulāeṅ!” Wuh wāpas āī aur bādshāh ke sāmne khaṛī ho gaī.
8842  1KI 3:23  Phir bādshāh bolā, “Sīdhī-sī bāt yih hai ki donoṅ hī dāwā kartī haiṅ ki zindā bachchā merā hai aur murdā bachchā dūsrī kā hai.
9359  1KI 18:15  Iliyās ne kahā, “Rabbul-afwāj kī hayāt kī qasam jis kī ḳhidmat maiṅ kartā hūṅ, āj maiṅ apne āp ko zarūr bādshāh ko pesh karūṅga.”
9495  1KI 22:12  Dūsre nabī bhī is qism kī peshgoiyāṅ kar rahe the, “Rāmāt-jiliyād par hamlā kareṅ, kyoṅki āp zarūr kāmyāb ho jāeṅge. Rab shahr ko āp ke hawāle kar degā.”
9594  2KI 3:14  Ilīshā ne kahā, “Rabbul-afwāj kī hayāt kī qasam jis kī ḳhidmat maiṅ kartā hūṅ, agar Yahūdāh kā bādshāh yahāṅ maujūd na hotā to phir maiṅ āp kā lihāz na kartā balki āp kī taraf deḳhtā bhī na. Lekin maiṅ Yahūsafat kā ḳhayāl kartā hūṅ,
10116  2KI 20:14  Tab Yasāyāh Nabī Hizqiyāh Bādshāh ke pās āyā aur pūchhā, “In ādmiyoṅ ne kyā kahā? Kahāṅ se āe haiṅ?” Hizqiyāh ne jawāb diyā, “Dūr-darāz mulk Bābal se āe haiṅ.”
11558  2CH 18:11  Dūsre nabī bhī is qism kī peshgoiyāṅ kar rahe the, “Rāmāt-jiliyād par hamlā kareṅ, kyoṅki āp zarūr kāmyāb ho jāeṅge. Rab shahr ko āp ke hawāle kar degā.”
15856  PSA 110:2  Rab Siyyūn se terī saltanat kī sarhaddeṅ baṛhā kar kahegā, “Ās-pās ke dushmanoṅ par hukūmat kar!”
17383  PRO 31:29  “Bahut-sī aurateṅ sughaṛ sābit huī haiṅ, lekin tū un sab par sabqat rakhtī hai!”
18485  ISA 39:3  Tab Yasāyāh Nabī Hizqiyāh Bādshāh ke pās āyā aur pūchhā, “In ādmiyoṅ ne kyā kahā? Kahāṅ se āe haiṅ?” Hizqiyāh ne jawāb diyā, “Dūr-darāz mulk Bābal se mere pās āe haiṅ.”
18487  ISA 39:5  Tab Yasāyāh ne kahā, “Rabbul-afwāj kā farmān suneṅ!
19491  JER 19:15  “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki suno! Maiṅ is shahr aur Yahūdāh ke dīgar shahroṅ par wuh tamām musībat lāne ko hūṅ jis kā elān maiṅ ne kiyā hai. Kyoṅki tum aṛ gae ho aur merī bāteṅ sunane ke lie taiyār hī nahīṅ.”
19689  JER 28:2  “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki maiṅ Shāh-e-Bābal kā juā toṛ ḍālūṅgā.
19708  JER 29:4  “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Ai tamām jilāwatano jinheṅ maiṅ Yarūshalam se nikāl kar Bābal le gayā hūṅ, dhyān se suno!
19905  JER 35:13  “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki Yahūdāh aur Yarūshalam ke bāshindoṅ ke pās jā kar kah, ‘Tum merī tarbiyat kyoṅ qabūl nahīṅ karte? Tum merī kyoṅ nahīṅ sunte?
19910  JER 35:18  Lekin Raikābiyoṅ se Yarmiyāh ne kahā, “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Tum apne bāp Yūnadab ke hukm par pūre utar kar us kī har hidāyat aur har hukm par amal karte ho.’
20081  JER 44:2  “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Tum ne ḳhud wuh baṛī āfat dekhī jo maiṅ Yarūshalam aur Yahūdāh ke dīgar tamām shahroṅ par lāyā. Āj wuh wīrān-o-sunsān haiṅ, aur un meṅ koī nahīṅ bastā.
20231  JER 49:35  “Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Maiṅ Ailām kī kamān ko toṛ ḍāltā hūṅ, us hathiyār ko jis par Ailām kī tāqat mabnī hai.
21945  DAN 5:2  Nashe meṅ us ne hukm diyā, “Sone-chāṅdī ke jo pyāle mere bāp Nabūkadnazzar ne Yarūshalam meṅ wāqe Allāh ke ghar se chhīn lie the wuh mere pās le āo tāki maiṅ apne baṛoṅ, bīwiyoṅ aur dāshtāoṅ ke sāth un se mai pī lūṅ.”
22935  HAG 2:11  “Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Imāmoṅ se sawāl kar ki sharīat zail ke muāmale ke bāre meṅ kyā farmātī hai,
22988  ZEC 3:7  “Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Merī rāhoṅ par chal kar mere ahkām par amal kar to tū mere ghar kī rāhnumāī aur us kī bārgāhoṅ kī dekh-bhāl karegā. Phir maiṅ tere lie yahāṅ āne aur hāzirīn meṅ khaṛe hone kā rāstā qāym rakhūṅgā.
23040  ZEC 7:9  “Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Adālat meṅ munsifānā faisle karo, ek dūsre par mehrbānī aur rahm karo!
23047  ZEC 8:2  “Rabbul-afwāj farmātā hai ki maiṅ baṛī ġhairat se Siyyūn ke lie laṛ rahā hūṅ, baṛe ġhusse meṅ us ke lie jidd-o-jahd kar rahā hūṅ.
23064  ZEC 8:19  “Rabbul-afwāj farmātā hai ki āj tak Yahūdāh ke log chauthe, pāṅchweṅ, sātweṅ aur dasweṅ mahīne meṅ rozā rakh kar mātam karte āe haiṅ. Lekin ab se yih auqāt ḳhushī-o-shādmānī ke mauqe hoṅge jin par jashn manāoge. Lekin sachchāī aur salāmatī ko pyār karo!
23246  MAT 2:8  Phir us ne unheṅ batāyā, “Bait-laham jāeṅ aur tafsīl se bachche kā patā lagāeṅ. Jab āp use pā leṅ to mujhe ittalā deṅ tāki maiṅ bhī jā kar use sijdā karūṅ.”
23849  MAT 19:18  Ādmī ne pūchhā, “Kaun-se ahkām?” Īsā ne jawāb diyā, “Qatl na karnā, zinā na karnā, chorī na karnā, jhūṭī gawāhī na denā,
24219  MAT 27:21  “Maiṅ in donoṅ meṅ se kis ko tumhāre lie āzād karūṅ?” Wuh chillāe, “Bar-abbā ko.”
24997  LUK 1:35  Farishte ne jawāb diyā, “Rūhul-quds tujh par nāzil hogā, Allāh T'ālā kī qudrat kā sāyā tujh par chhā jāegā. Is lie yih bachchā quddūs hogā aur Allāh kā Farzand kahlāegā.
25570  LUK 12:42  Ḳhudāwand ne jawāb diyā, “Kaun-sā naukar wafādār aur samajhdār hai? Farz karo ki ghar ke mālik ne kisī naukar ko bāqī naukaroṅ par muqarrar kiyā ho. Us kī ek zimmedārī yih bhī hai ki unheṅ waqt par munāsib khānā khilāe.
26184  JHN 2:20  Yahūdiyoṅ ne kahā, “Baitul-muqaddas ko tāmīr karne meṅ 46 sāl lag gae the aur āp use tīn din meṅ tāmīr karnā chāhte haiṅ?”
26958  JHN 20:22  Phir un par phūṅk kar us ne farmāyā, “Rūhul-quds ko pā lo.
27743  ACT 21:11  Jab wuh ham se milne āyā to us ne Paulus kī peṭī le kar apne pāṅwoṅ aur hāthoṅ ko bāndh liyā aur kahā, “Rūhul-quds farmātā hai ki Yarūshalam meṅ Yahūdī is peṭī ke mālik ko yoṅ bāndh kar Ġhairyahūdiyoṅ ke hawāle kareṅge.”
27992  ACT 28:25  Un meṅ nā-ittafāqī paidā huī to wuh chale gae. Jab wuh jāne lage to Paulus ne un se kahā, “Rūhul-quds ne Yasāyāh Nabī kī mārifat āp ke bāpdādā se ṭhīk kahā ki
28277  ROM 10:21  Lekin Isrāīl ke bāre meṅ wuh farmātā hai, “Din-bhar maiṅ ne apne hāth phailāe rakhe tāki ek nāfarmān aur sarkash qaum kā istiqbāl karūṅ.”