9240 | 1KI 14:19 | Bāqī jo kuchh Yarubiyām kī zindagī ke bāre meṅ likhā hai wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us kitāb meṅ paṛhā jā saktā hai ki wuh kis tarah hukūmat kartā thā aur us ne kaun kaun-sī jangeṅ kīṅ. |
9250 | 1KI 14:29 | Bāqī jo kuchh Rahubiyām Bādshāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
9259 | 1KI 15:7 | Bāqī jo kuchh Abiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
9275 | 1KI 15:23 | Bāqī jo kuchh Āsā kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us meṅ us kī kāmyābiyoṅ aur us ke tāmīr kie gae shahroṅ kā zikr hai. Buṛhāpe meṅ us ke pāṅwoṅ ko bīmārī lag gaī. |
9283 | 1KI 15:31 | Bāqī jo kuchh Nadab kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
9291 | 1KI 16:5 | Bāqī jo kuchh Bāshā kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. |
9300 | 1KI 16:14 | Bāqī jo kuchh Ailā kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
9306 | 1KI 16:20 | Jo kuchh Zimrī kī hukūmat ke daurān huā aur jo sāzisheṅ us ne kīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. |
9313 | 1KI 16:27 | Bāqī jo kuchh Umrī kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kī gaī haiṅ. |
9522 | 1KI 22:39 | Bāqī jo kuchh Aḳhiyab kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us meṅ bādshāh kā tāmīrkardā hāthīdāṅt kā mahal aur wuh shahr bayān kie gae haiṅ jin kī qilābandī us ne kī. |
9529 | 1KI 22:46 | Bāqī jo kuchh Yahūsafat kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us kī kāmyābiyāṅ aur jangeṅ sab us meṅ bayān kī gaī haiṅ. |
9555 | 2KI 1:18 | Bāqī jo kuchh Aḳhaziyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. |
9754 | 2KI 8:23 | Bāqī jo kuchh Yahūrām kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. |
9831 | 2KI 10:34 | Bāqī jo kuchh Yāhū kī hukūmat ke daurān huā, jo us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. |
9883 | 2KI 13:8 | Bāqī jo kuchh Yahuāḳhaz kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kī gaī haiṅ. |
9887 | 2KI 13:12 | Bāqī jo kuchh Yahuās kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. Us meṅ us kī Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh ke sāth jang kā zikr bhī hai. |
9915 | 2KI 14:15 | Bāqī jo kuchh Yahuās kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. Us meṅ us kī Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāh ke sāth jang kā zikr bhī hai. |
9918 | 2KI 14:18 | Bāqī jo kuchh Amasiyāh kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
9928 | 2KI 14:28 | Bāqī jo kuchh Yarubiyām Duwum kī hukūmat ke daurān huā, jo kuchh us ne kiyā aur jo jangī kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ un kā zikr ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ huā hai. Us meṅ yih bhī bayān kiyā gayā hai ki us ne kis tarah Damishq aur Hamāt par dubārā qabzā kar liyā. |
9935 | 2KI 15:6 | Bāqī jo kuchh Uzziyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
9940 | 2KI 15:11 | Bāqī jo kuchh Zakariyāh kī hukūmat ke daurān huā us kā zikr ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ kiyā gayā hai. |
9944 | 2KI 15:15 | Bāqī jo kuchh Sallūm kī hukūmat ke daurān huā aur jo sāzisheṅ us ne kīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. |
9950 | 2KI 15:21 | Bāqī jo kuchh Manāhim kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
9955 | 2KI 15:26 | Bāqī jo kuchh Fiqahiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. |
9960 | 2KI 15:31 | Bāqī jo kuchh Fiqah kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
9965 | 2KI 15:36 | Bāqī jo kuchh Yūtām kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ qalamband hai. |
9986 | 2KI 16:19 | Bāqī jo kuchh Āḳhaz kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
10122 | 2KI 20:20 | Bāqī jo kuchh Hizqiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. Wahāṅ yih bhī bayān kiyā gayā hai ki us ne kis tarah tālāb banwā kar wuh surang khudwāī jis ke zariye chashme kā pānī shahr tak pahuṅchtā hai. |
10140 | 2KI 21:17 | Bāqī jo kuchh Manassī kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us meṅ us ke gunāhoṅ kā zikr bhī kiyā gayā hai. |
10148 | 2KI 21:25 | Bāqī jo kuchh Amūn kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. |
10197 | 2KI 23:28 | Bāqī jo kuchh Yūsiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. |
10211 | 2KI 24:5 | Bāqī jo kuchh Yahūyaqīm kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. |
11626 | 2CH 20:34 | Bāqī jo kuchh Yahūsafat kī hukūmat ke daurān huā wuh shurū se le kar āḳhir tak Yāhū bin Hanānī kī tārīḳh meṅ bayān kiyā gayā hai. Bād meṅ sab kuchh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj kiyā gayā. |
11931 | 2CH 33:18 | Bāqī jo kuchh Manassī kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Wahāṅ us kī apne Ḳhudā se duā bhī bayān kī gaī hai aur wuh bāteṅ bhī jo ġhaibbīnoṅ ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke nām meṅ use batāī thīṅ. |
13410 | JOB 22:17 | Unhoṅ ne Allāh se kahā, ‘Ham se dūr ho jā,’ aur ‘Qādir-e-mutlaq hamāre lie kyā kuchh kar saktā hai?’ |
19220 | JER 7:32 | Chunāṅche Rab kā kalām suno! Wuh din āne wāle haiṅ jab yih maqām ‘Tūfat’ yā ‘Wādī-e-Bin-hinnūm’ nahīṅ kahlāegā balki ‘Qatl-o-Ġhārat kī Wādī.’ Us waqt log Tūfat meṅ itnī lāsheṅ dafnāeṅge ki āḳhirkār ḳhālī jagah nahīṅ rahegī. |
20315 | JER 51:34 | Siyyūn Beṭī rotī hai, ‘Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ne mujhe haṛap kar liyā, chūs liyā, ḳhālī bartan kī tarah ek taraf rakh diyā hai. Us ne azhdahe kī tarah mujhe nigal liyā, apne peṭ ko merī lazīz chīzoṅ se bhar liyā hai. Phir us ne mujhe watan se nikāl diyā.’ |
22972 | ZEC 2:8 | Is dūsre farishte ne kahā, “Bhāg kar paimāish karne wāle naujawān ko batā de, ‘Insān-o-haiwān kī itnī baṛī tādād hogī ki āindā Yarūshalam kī fasīl nahīṅ hogī. |