2492 | EXO 33:18 | Phir Mūsā bolā, “Barāh-e-karm mujhe apnā jalāl dikhā.” |
4093 | NUM 13:17 | Unheṅ ruḳhsat karne se pahle us ne kahā, “Dasht-e-Najab se guzar kar pahāṛī ilāqe tak pahuṅcho. |
5599 | DEU 27:12 | “Dariyā-e-Yardan ko pār karne ke bād Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh, Ishkār, Yūsuf aur Binyamīn ke qabīle Garizīm Pahāṛ par khaṛe ho jāeṅ. Wahāṅ wuh barkat ke alfāz boleṅ. |
7032 | JDG 19:6 | Donoṅ dubārā khāne-pīne ke lie baiṭh gae. Susar ne kahā, “Barāh-e-karm ek aur rāt yahāṅ ṭhahar kar apnā dil bahlāeṅ.” |
9681 | 2KI 6:3 | Kisī ne guzārish kī, “Barāh-e-karm hamāre sāth chaleṅ.” Nabī rāzī ho kar |
9739 | 2KI 8:8 | to us ne apne afsar Hazāel ko hukm diyā, “Mard-e-Ḳhudā ke lie tohfā le kar use milne jāeṅ. Wuh Rab se dariyāft kare ki kyā maiṅ bīmārī se shifā pāūṅgā yā nahīṅ?” |
10054 | 2KI 18:26 | Yih sun kar Iliyāqīm bin Ḳhilqiyāh, Shibnāh aur Yuāḳh ne Rabshāqī kī taqrīr meṅ daḳhl de kar kahā, “Barāh-e-karm Arāmī zabān meṅ apne ḳhādimoṅ ke sāth guftgū kījie, kyoṅki ham yih achchhī tarah bol lete haiṅ. Ibrānī zabān istemāl na kareṅ, warnā shahr kī fasīl par khaṛe log āp kī bāteṅ sun leṅge.” |
10153 | 2KI 22:4 | “Imām-e-āzam Ḳhilqiyāh ke pās jā kar use batā denā ki un tamām paisoṅ ko gin leṅ jo darbānoṅ ne logoṅ se jamā kie haiṅ. |
11594 | 2CH 20:2 | Ek qāsid ne ā kar bādshāh ko ittalā dī, “Mulk-e-Adom se ek baṛī fauj āp se laṛne ke lie ā rahī hai. Wuh Bahīrā-e-Murdār ke dūsre kināre se baṛhtī baṛhtī is waqt Hassūn-tamr pahuṅch chukī hai.” (Hassūn Ain-jadī kā dūsrā nām hai.) |
11890 | 2CH 32:10 | “Shāh-e-Asūr Sanherib farmāte haiṅ, tumhārā bharosā kis chīz par hai ki tum muhāsare ke waqt Yarūshalam ko chhoṛnā nahīṅ chāhte? |
18411 | ISA 36:11 | Yih sun kar Iliyāqīm, Shibnāh aur Yuāḳh ne Rabshāqī kī taqrīr meṅ daḳhl de kar kahā, “Barāh-e-karm Arāmī zabān meṅ apne ḳhādimoṅ ke sāth guftgū kījie, kyoṅki ham yih achchhī tarah bol lete haiṅ. Ibrānī zabān istemāl na kareṅ, warnā shahr kī fasīl par khaṛe log āp kī bāteṅ sun leṅge.” |
19524 | JER 22:1 | Rab ne farmāyā, “Shāh-e-Yahūdāh ke mahal ke pās jā kar merā yih kalām sunā, |
19677 | JER 27:12 | Maiṅ ne yihī paiġhām Yahūdāh ke bādshāh Sidqiyāh ko bhī sunāyā. Maiṅ bolā, “Shāh-e-Bābal ke jue ko qabūl karke us kī aur us kī qaum kī ḳhidmat karo to tum zindā rahoge. |
20213 | JER 49:17 | “Mulk-e-Adom yoṅ barbād ho jāegā ki wahāṅ se guzarne wāloṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge. Us ke zaḳhmoṅ ko dekh kar wuh ‘Taubā taubā’ kaheṅge.” |
20256 | JER 50:21 | Rab farmātā hai, “Mulk-e-Marātāym aur Fiqod ke bāshindoṅ par hamlā karo! Unheṅ mārte mārte safhā-e-hastī se miṭā do! Jo bhī hukm maiṅ ne diyā us par amal karo. |
21261 | EZK 29:9 | Mulk-e-Misr wīrān-o-sunsān ho jāegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ. Chūṅki tū ne dāwā kiyā, “Dariyā-e-Nīl merā hī hai, maiṅ ne ḳhud use banāyā” |
23016 | ZEC 5:11 | Us ne jawāb diyā, “Mulk-e-Bābal meṅ. Wahāṅ wuh us ke lie ghar banā deṅgī. Jab ghar taiyār hogā to ṭokrī wahāṅ us kī apnī jagah par rakhī jāegī.” |
23285 | MAT 4:7 | Lekin Īsā ne jawāb diyā, “Kalām-e-muqaddas yih bhī farmātā hai, ‘Rab apne Ḳhudā ko na āzmānā.’” |
23754 | MAT 16:13 | Jab Īsā Qaisariyā-filippī ke ilāqe meṅ pahuṅchā to us ne shāgirdoṅ se pūchhā, “Ibn-e-Ādam logoṅ ke nazdīk kaun hai?” |
23791 | MAT 17:22 | Jab wuh Galīl meṅ jamā hue to Īsā ne unheṅ batāyā, “Ibn-e-Ādam ko ādmiyoṅ ke hawāle kar diyā jāegā. |
23904 | MAT 21:9 | Log Īsā ke āge aur pīchhe chal rahe the aur chillā kar yih nāre lagā rahe the, “Ibn-e-Dāūd ko hoshānā! Mubārak hai wuh jo Rab ke nām se ātā hai. Āsmān kī bulandiyoṅ par hoshānā.” |
23908 | MAT 21:13 | aur un se kahā, “Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Merā ghar duā kā ghar kahlāegā.’ Lekin tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.” |
23910 | MAT 21:15 | Lekin rāhnumā imām aur sharīat ke ulamā nārāz hue jab unhoṅ ne us ke hairatangez kām dekhe aur yih ki bachche Baitul-muqaddas meṅ “Ibn-e-Dāūd ko hoshānā” chillā rahe haiṅ. |
24638 | MRK 9:31 | kyoṅki wuh apne shāgirdoṅ ko tālīm de rahā thā. Us ne un se kahā, “Ibn-e-Ādam ko ādmiyoṅ ke hawāle kar diyā jāegā. Wuh use qatl kareṅge, lekin tīn din ke bād wuh jī uṭhegā.” |
25144 | LUK 4:12 | Lekin Īsā ne tīsrī bār inkār kiyā aur kahā, “Kalām-e-muqaddas yih bhī farmātā hai, ‘Rab apne Allāh ko na āzmānā.’” |
25220 | LUK 6:5 | Phir Īsā ne un se kahā, “Ibn-e-Ādam Sabat kā mālik hai.” |
25846 | LUK 19:46 | “Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Merā ghar duā kā ghar hogā’ jabki tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.” |
26106 | LUK 24:46 | Us ne un se kahā, “Kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai, Masīh dukh uṭhā kar tīsre din murdoṅ meṅ se jī uṭhegā. |
26683 | JHN 12:34 | Hujūm bol uṭhā, “Kalām-e-muqaddas se ham ne sunā hai ki Masīh abad tak qāym rahegā. To phir āp kī yih kaisī bāt hai ki Ibn-e-Ādam ko ūṅche par chaṛhāyā jānā hai? Āḳhir Ibn-e-Ādam hai kaun?” |