396 | GEN 16:14 | Is lie us jagah ke kueṅ kā nām ‘Bair-lahī-roī’ yānī ‘Us Zindā Hastī kā Kuāṅ Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ paṛ gayā. Wuh Qādis aur Barad ke darmiyān wāqe hai. |
9873 | 2KI 12:20 | Bāqī jo kuchh Yuās kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā us kā zikr ‘Shāhān-e-Yahūdāh’ kī kitāb meṅ kiyā gayā hai. |
10403 | 1CH 4:14 | Maūnātī Ufrā kā bāp thā. Sirāyāh Yoāb kā bāp thā jo ‘Wādī-e-Kārīgar’ kā bānī thā. Ābādī kā yih nām is lie paṛ gayā ki us ke bāshinde kārīgar the. |
18398 | ISA 35:8 | Mulk meṅ se shāhrāh guzaregī jo ‘Shāhrāh-e-Muqaddas’ kahlāegī. Nāpāk log us par safr nahīṅ kareṅge, kyoṅki wuh sahīh rāh par chalne wāloṅ ke lie maḳhsūs hai. Ahmaq us par bhaṭakne nahīṅ pāeṅge. |
18909 | ISA 60:18 | Ab se tere mulk meṅ na tashaddud kā zikr hogā, na barbādī-o-tabāhī kā. Ab se terī chārdīwārī ‘Najāt’ aur tere darwāze ‘Hamd-o-Sanā’ kahlāeṅge. |
18928 | ISA 62:4 | Āindā log tujhe na kabhī ‘Matrūkā’ na tere mulk ko ‘Wīrān-o-Sunsān’ qarār deṅge balki tū merā Lutf aur terā mulk Byāhī kahlāegā. Kyoṅki Rab tujh se lutfandoz hogā, aur terā mulk shādīshudā hogā. |
19499 | JER 20:8 | Kyoṅki jab bhī maiṅ apnā muṅh kholtā hūṅ to mujhe chillā kar ‘zulm-o-tabāhī’ kā nārā lagānā paṛtā hai. Chunāṅche maiṅ Rab ke kalām ke bāis pūrā din gāliyoṅ aur mazāq kā nishānā banā rahtā hūṅ. |
20416 | LAM 2:15 | Ab tere pās se guzarne wāle tālī bajā kar āwāze kaste haiṅ. Yarūshalam Beṭī ko dekh kar wuh sar hilāte hue taubā taubā kahte haiṅ, “Kyā yih wuh shahr hai jo ‘Takmīl-e-Husn’ aur ‘Tamām Duniyā kī Ḳhushī’ kahlātā thā?” |
23048 | ZEC 8:3 | Rab farmātā hai ki maiṅ Siyyūn ke pās wāpas āūṅgā, dubārā Yarūshalam ke bīch meṅ sukūnat karūṅga. Tab Yarūshalam ‘Wafādārī kā Shahr’ aur Rabbul-afwāj kā pahāṛ ‘Koh-e-Muqaddas’ kahlāegā. |