2313 | EXO 28:19 | tīsrī meṅ zarqon, aqīq aur yāqūt-e-arġhawānī. |
2677 | EXO 39:12 | Tīsrī meṅ zarqon, aqīq aur yāqūt-e-arġhawānī. |
5857 | JOS 1:4 | Tumhāre mulk kī sarhaddeṅ yih hoṅgī: junūb meṅ Najab kā registān, shimāl meṅ Lubnān, mashriq meṅ Dariyā-e-Furāt aur maġhrib meṅ Bahīrā-e-Rūm. Hittī qaum kā pūrā ilāqā is meṅ shāmil hogā. |
6140 | JOS 12:8 | yānī pahāṛī ilāqā, maġhrib kā nashebī pahāṛī ilāqā, Yardan kī Wādī, us ke maġhrib meṅ wāqe pahāṛī ḍhalāneṅ, Yahūdāh kā registān aur Dasht-e-Najab. Pahle yih sab kuchh Hittiyoṅ, Amoriyoṅ, Kanāniyoṅ, Farizziyoṅ, Hiwwiyoṅ aur Yabūsiyoṅ ke hāth meṅ thā. Zail ke har shahr kā apnā bādshāh thā, aur har ek ne shikast khāī: |
20657 | EZK 7:11 | Logoṅ kā zulm baṛh baṛh kar lāṭhī ban gayā hai jo unheṅ un kī bedīnī kī sazā degī. Kuchh nahīṅ rahegā, na wuh ḳhud, na un kī daulat, na un kā shor-sharābā, aur na un kī shān-o-shaukat. |
22553 | AMO 8:3 | Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki us din mahal meṅ gīt sunāī nahīṅ deṅge balki āh-o-zārī. Chāroṅ taraf nāsheṅ nazar āeṅgī, kyoṅki dushman unheṅ har jagah phaiṅkegā. Ḳhāmosh!” |