509 | GEN 20:13 | Phir jab Allāh ne hone diyā ki maiṅ apne bāp ke gharāne se nikal kar idhar-udhar phirūṅ to maiṅ ne apnī bīwī se kahā, ‘Mujh par yih mehrbānī kar ki jahāṅ bhī ham jāeṅ mere bāre meṅ kah denā ki wuh merā bhāī hai.’” |
887 | GEN 31:13 | Maiṅ wuh Ḳhudā hūṅ jo Baitel meṅ tujh par zāhir huā thā, us jagah jahāṅ tū ne satūn par tel unḍel kar use mere lie maḳhsūs kiyā aur mere huzūr qasam khāī thī. Ab uṭh aur rawānā ho kar apne watan wāpas chalā jā.’” |
941 | GEN 32:13 | Tū ne ḳhud kahā thā, ‘Maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā aur terī aulād itnī baṛhāūṅgā ki wuh samundar kī ret kī mānind beshumār hogī.’” |
947 | GEN 32:19 | Jawāb meṅ tumheṅ kahnā hai, ‘Yih āp ke ḳhādim Yāqūb ke haiṅ. Yih tohfā haiṅ jo wuh apne mālik Esau ko bhej rahe haiṅ. Yāqūb hamāre pīchhe pīchhe ā rahe haiṅ.’” |
1287 | GEN 42:34 | Lekin apne sab se chhoṭe bhāī ko mere pās le āo tāki mujhe mālūm ho jāe ki tum jāsūs nahīṅ balki sharīf log ho. Phir maiṅ tum ko tumhārā bhāī wāpas kar dūṅgā aur tum is mulk meṅ āzādī se tijārat kar sakoge.’” |
1330 | GEN 44:5 | Āp ne mere mālik kā chāṅdī kā pyālā kyoṅ churāyā hai? Us se wuh na sirf pīte haiṅ balki use ġhaibdānī ke lie bhī istemāl karte haiṅ. Āp ek nihāyat sangīn jurm ke murtakib hue haiṅ.’” |
1354 | GEN 44:29 | Agar is ko bhī mujh se le jāne kī wajah se jānī nuqsān pahuṅche to tum mujh būṛhe ko ġham ke māre Pātāl meṅ pahuṅchāoge.’” |
1472 | GEN 48:20 | Us din us ne donoṅ beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Isrāīlī tumhārā nām le kar barkat diyā kareṅge. Jab wuh barkat deṅge to kaheṅge, ‘Allāh āp ke sāth waisā kare jaisā us ne Ifrāīm aur Manassī ke sāth kiyā hai.’” Is tarah Yāqūb ne Ifrāīm ko Manassī se baṛā banā diyā. |
1603 | EXO 4:1 | Mūsā ne etarāz kiyā, “Lekin Isrāīlī na merī bāt kā yaqīn kareṅge, na merī suneṅge. Wuh to kaheṅge, ‘Rab tum par zāhir nahīṅ huā.’” |
1625 | EXO 4:23 | Maiṅ tujhe batā chukā hūṅ ki mere beṭe ko jāne de tāki wuh merī ibādat kare. Agar tū mere beṭe ko jāne se manā kare to maiṅ tere pahlauṭhe ko jān se mār dūṅgā.’” |
1634 | EXO 5:1 | Phir Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko registān meṅ jāne de tāki wuh mere lie īd manāeṅ.’” |
1664 | EXO 6:8 | Maiṅ tumheṅ us mulk meṅ le jāūṅgā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā hai. Wuh mulk tumhārī apnī milkiyat hogā. Maiṅ Rab hūṅ.’” |
1704 | EXO 7:18 | Dariyā-e-Nīl kī machhliyāṅ mar jāeṅgī, dariyā se badbū uṭhegī aur Misrī dariyā kā pānī nahīṅ pī sakeṅge.’” |
1715 | EXO 7:29 | Meṅḍak tujh par, terī qaum par aur tere ohdedāroṅ par chaṛh jāeṅge.’” |
1734 | EXO 8:19 | Maiṅ apnī qaum aur terī qaum meṅ imtiyāz karūṅga. Kal hī merī qudrat kā izhār hogā.’” |
1762 | EXO 9:19 | Apne bandoṅ ko abhī bhejnā tāki wuh tere maweshiyoṅ ko aur khetoṅ meṅ paṛe tere māl ko lā kar mahfūz kar leṅ. Kyoṅki jo bhī khule maidān meṅ rahegā wuh oloṅ se mar jāegā, ḳhāh insān ho yā haiwān.’” |
1784 | EXO 10:6 | Tere mahal, tere ohdedāroṅ aur bāqī logoṅ ke ghar un se bhar jāeṅge. Jab se Misrī is mulk meṅ ābād hue haiṅ tum ne kabhī ṭiḍḍiyoṅ kā aisā saḳht hamlā nahīṅ dekhā hogā.’” Yih kah kar Mūsā palaṭ kar wahāṅ se chalā gayā. |
1814 | EXO 11:7 | Lekin Isrāīlī aur un ke jānwar bache raheṅge. Kuttā bhī un par nahīṅ bhaunkegā. Is tarah tum jān loge ki Rab Isrāīliyoṅ kī nisbat Misriyoṅ se farq sulūk kartā hai.’” |
1844 | EXO 12:27 | to un se kaho, ‘Yih Fasah kī qurbānī hai jo ham Rab ko pesh karte haiṅ. Kyoṅki jab Rab Misriyoṅ ko halāk kar rahā thā to us ne hamāre gharoṅ ko chhoṛ diyā thā.’” Yih sun kar Isrāīliyoṅ ne Allāh ko sijdā kiyā. |
1957 | EXO 16:9 | Mūsā ne Hārūn se kahā, “Isrāīliyoṅ ko batānā, ‘Rab ke sāmne hāzir ho jāo, kyoṅki us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ.’” |
1960 | EXO 16:12 | “Maiṅ ne Isrāīliyoṅ kī shikāyat sun lī hai. Unheṅ batā, ‘Āj jab sūraj ġhurūb hone lagegā to tum gosht khāoge aur kal subah peṭ bhar kar roṭī. Phir tum jān loge ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.’” |
1980 | EXO 16:32 | Mūsā ne kahā, “Rab farmātā hai, ‘Do liṭar man ek martabān meṅ rakh kar use āne wālī nasloṅ ke lie mahfūz rakhnā. Phir wuh dekh sakeṅge ki maiṅ tumheṅ kyā khānā khilātā rahā jab tumheṅ Misr se nikāl lāyā.’” |
2178 | EXO 23:33 | Un kā tere mulk meṅ rahnā manā hai, warnā tū un ke sabab se merā gunāh karegā. Agar tū un ke mābūdoṅ kī ibādat karegā to yih tere lie phandā ban jāegā.’” |
2447 | EXO 32:8 | Wuh kitnī jaldī se us rāste se haṭ gae haiṅ jis par chalne ke lie maiṅ ne unheṅ hukm diyā thā. Unhoṅ ne apne lie ḍhālā huā bachhṛā banā kar use sijdā kiyā hai. Unhoṅ ne use qurbāniyāṅ pesh karke kahā hai, ‘Ai Isrāīl, yih tere dewatā haiṅ. Yihī tujhe Misr se nikāl lāe haiṅ.’” |
2452 | EXO 32:13 | Yād rakh ki tū ne apne ḳhādimoṅ Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se apnī hī qasam khā kar kahā thā, ‘Maiṅ tumhārī aulād kī tādād yoṅ baṛhāūṅgā ki wuh āsmān ke sitāroṅ ke barābar ho jāegī. Maiṅ unheṅ wuh mulk dūṅgā jis kā wādā maiṅ ne kiyā hai, aur wuh use hameshā ke lie mīrās meṅ pāeṅge.’” |
2466 | EXO 32:27 | Phir Mūsā ne un se kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Har ek apnī talwār le kar ḳhaimāgāh meṅ se guzare. Ek sire ke darwāze se shurū karke dūsre sire ke darwāze tak chalte chalte har milne wāle ko jān se mār do, chāhe wuh tumhārā bhāī, dost yā rishtedār hī kyoṅ na ho. Phir muṛ kar mārte mārte pahle darwāze par wāpas ā jāo.’” |
3942 | NUM 8:2 | “Hārūn ko batānā, ‘Tujhe sāt charāġhoṅ ko shamādān par yoṅ rakhnā hai ki wuh shamādān kā sāmne wālā hissā raushan kareṅ.’” |
4045 | NUM 11:20 | Tum ek pūrā mahīnā ḳhūb gosht khāoge, yahāṅ tak ki wuh tumhārī nāk se niklegā aur tumheṅ us se ghin āegī. Aur yih is sabab se hogā ki tum ne Rab ko jo tumhāre darmiyān hai radd kiyā aur rote rote us ke sāmne kahā ki ham kyoṅ Misr se nikle.’” |
4144 | NUM 14:35 | Maiṅ, Rab ne yih bāt farmāī hai. Maiṅ yaqīnan yih sab kuchh us sārī sharīr jamāt ke sāth karūṅga jis ne mil kar merī muḳhālafat kī hai. Isī registān meṅ wuh ḳhatm ho jāeṅge, yihīṅ mar jāeṅge.’” |
4387 | NUM 22:11 | ‘Jo qaum Misr se nikal āī hai wuh rū-e-zamīn par chhā gaī hai. Is lie āeṅ aur mere lie un par lānat bhejeṅ. Phir shāyad maiṅ un se laṛ kar unheṅ bhagā dene meṅ kāmyāb ho jāūṅ.’” |
4922 | DEU 1:28 | Ham kahāṅ jāeṅ? Hamāre bhāiyoṅ ne hameṅ bedil kar diyā hai. Wuh kahte haiṅ, ‘Wahāṅ ke log ham se tāqatwar aur darāzqad haiṅ. Un ke baṛe baṛe shahroṅ kī fasīleṅ āsmān se bāteṅ kartī haiṅ. Wahāṅ ham ne Anāq kī aulād bhī dekhī jo dewqāmat haiṅ.’” |
5787 | DEU 32:27 | Lekin andeshā thā ki dushman ġhalat matlab nikāl kar kahe, ‘Ham ḳhud un par ġhālib āe, is meṅ Rab kā hāth nahīṅ hai.’” |
5903 | JOS 3:8 | Ahd kā sandūq uṭhāne wāle imāmoṅ ko batā denā, ‘Jab āp Dariyā-e-Yardan ke kināre pahuṅcheṅge to wahāṅ pānī meṅ ruk jāeṅ.’” |
6491 | JOS 24:13 | Maiṅ ne tumheṅ bīj bone ke lie zamīn dī jise taiyār karne ke lie tumheṅ mehnat na karnī paṛī. Maiṅ ne tumheṅ shahr die jo tumheṅ tāmīr karne na paṛe. Un meṅ rah kar tum angūr aur zaitūn ke aise bāġhoṅ kā phal khāte ho jo tum ne nahīṅ lagāe the.’” |
6608 | JDG 4:7 | Maiṅ Yābīn ke lashkar ke sardār Sīsarā ko us ke rathoṅ aur fauj samet tere qarīb kī Qaison Nadī ke pās khīṅch lāūṅgā. Wahāṅ maiṅ use tere hāth meṅ kar dūṅgā.’” |
6666 | JDG 6:10 | Us waqt maiṅ ne tumheṅ batāyā, ‘Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ. Jin Amoriyoṅ ke mulk meṅ tum rah rahe ho un ke dewatāoṅ kā ḳhauf mat mānanā. Lekin tum ne merī na sunī.’” |
6771 | JDG 9:15 | Kāṅṭedār jhāṛī ne jawāb diyā, ‘Agar tum wāqaī mujhe masah karke apnā bādshāh banānā chāhte ho to āo aur mere sāy meṅ panāh lo. Agar tum aisā nahīṅ karnā chāhte to jhāṛī se āg nikal kar Lubnān ke deodār ke daraḳhtoṅ ko bhasm kar de.’” |
6893 | JDG 13:7 | Lekin us ne mujhe batāyā, ‘Tū hāmilā hogī, aur tere beṭā paidā hogā. Ab mai yā koī aur nashā-āwar chīz mat pīnā, na koī nāpāk chīz khānā. Kyoṅki beṭā paidāish se hī maut tak Allāh ke lie maḳhsūs hogā.’” |
7122 | JDG 21:18 | Lekin ham apnī beṭiyoṅ kī un ke sāth shādī nahīṅ karā sakte, kyoṅki ham ne qasam khā kar elān kiyā hai, ‘Jo apnī beṭī kā rishtā Binyamīn ke kisī mard se bāndhegā us par Allāh kī lānat ho.’” |
7126 | JDG 21:22 | Jab un ke bāp aur bhāī hamāre pās ā kar āp kī shikāyat kareṅge to ham un se kaheṅge, ‘Binyamīniyoṅ par tars khāeṅ, kyoṅki jab ham ne Yabīs par fatah pāī to ham un ke lie kāfī aurateṅ hāsil na kar sake. Āp bequsūr haiṅ, kyoṅki āp ne unheṅ apnī beṭiyoṅ ko irādatan to nahīṅ diyā.’” |
7278 | 1SA 2:36 | Us waqt tere ghar ke bache hue tamām afrād us imām ke sāmne jhuk jāeṅge aur paise aur roṭī māṅg kar iltamās kareṅge, mujhe imām kī koī na koī zimmedārī deṅ tāki roṭī kā ṭukṛā mil jāe.’” |
7287 | 1SA 3:9 | Is lie us ne laṛke ko batāyā, “Ab dubārā leṭ jāo, lekin aglī dafā jab āwāz sunāī de to tumheṅ kahnā hai, ‘Ai Rab, farmā. Terā ḳhādim sun rahā hai.’” Samuel ek bār phir apne bistar par leṭ gayā. |
7439 | 1SA 10:19 | Lekin go maiṅ ne tumheṅ tumhārī tamām musībatoṅ aur tangiyoṅ se chhuṭkārā diyā to bhī tum ne apne Ḳhudā ko mustarad kar diyā. Kyoṅki tum ne isrār kiyā ki ham par bādshāh muqarrar karo! Ab apne apne qabīloṅ aur ḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq Rab ke huzūr khaṛe ho jāo.’” |
7544 | 1SA 14:34 | Phir tamām ādmiyoṅ ke pās jā kar unheṅ batā denā, ‘Apne jānwaroṅ ko mere pās le āeṅ tāki unheṅ patthar par zabah karke khāeṅ. Warnā āp ḳhūnālūdā gosht khā kar Rab kā gunāh kareṅge.’” Sab mān gae. Us shām wuh Sāūl ke pās āe aur apne jānwaroṅ ko patthar par zabah kiyā. |
7565 | 1SA 15:3 | Ab waqt ā gayā hai ki tū un par hamlā kare. Sab kuchh tabāh karke mere hawāle kar de. Kuchh bhī bachne na de, balki tamām mardoṅ, auratoṅ, bachchoṅ shīrḳhāroṅ samet, gāy-bailoṅ, bheṛ-bakriyoṅ, ūṅṭoṅ aur gadhoṅ ko maut ke ghāṭ utār de.’” |
7786 | 1SA 21:12 | Lekin Akīs ke mulāzimoṅ ne bādshāh ko āgāh kiyā, “Kyā yih mulk kā bādshāh Dāūd nahīṅ hai? Isī ke bāre meṅ Isrāīlī nāch kar gīt gāte haiṅ, ‘Sāūl ne hazār halāk kie jabki Dāūd ne das hazār.’” |
7872 | 1SA 25:8 | Apne logoṅ se ḳhud pūchh leṅ! Wuh is kī tasdīq kareṅge. Āj āp ḳhushī manā rahe haiṅ, is lie mere jawānoṅ par mehrbānī kareṅ. Jo kuchh āp ḳhushī se de sakte haiṅ wuh unheṅ aur apne beṭe Dāūd ko de deṅ.’” |
8102 | 2SA 3:18 | Ab qadam uṭhāne kā waqt ā gayā hai! Kyoṅki Rab ne Dāūd se wādā kiyā hai, ‘Apne ḳhādim Dāūd se maiṅ apnī qaum Isrāīl ko Filistiyoṅ aur bāqī tamām dushmanoṅ ke hāth se bachāūṅgā.’” |
8199 | 2SA 7:16 | Terā gharānā aur terī bādshāhī hameshā mere huzūr qāym rahegī, terā taḳht hameshā mazbūt rahegā.’” |
8283 | 2SA 11:21 | Kyā āp ko yād nahīṅ ki qadīm zamāne meṅ Jidāūn ke beṭe Abīmalik ke sāth kyā huā? Taibiz Shahr meṅ ek aurat hī ne use mār ḍālā. Aur wajah yih thī ki wuh qile ke itne qarīb ā gayā thā ki aurat dīwār par se chakkī kā ūpar kā pāṭ us par phaiṅk sakī. Shahr kī fasīl ke is qadar qarīb laṛne kī kyā zarūrat thī?’ Agar bādshāh āp par aise ilzāmāt lagāeṅ to jawāb meṅ bas itnā hī kah denā, ‘Ūriyāh Hittī bhī mārā gayā hai.’” |
8301 | 2SA 12:12 | Tū ne chupke se gunāh kiyā, lekin jo kuchh maiṅ jawāb meṅ hone dūṅgā wuh alāniyā aur pūre Isrāīl ke deḳhte deḳhte hogā.’” |
8325 | 2SA 13:5 | Yūnadab ne apne dost ko mashwarā diyā, “Bistar par leṭ jāeṅ aur aisā zāhir kareṅ goyā bīmār haiṅ. Jab āp ke wālid āp kā hāl pūchhne āeṅge to un se darḳhāst karnā, ‘Merī bahan Tamr ā kar mujhe marīzoṅ kā khānā khilāe. Wuh mere sāmne khānā taiyār kare tāki maiṅ use dekh kar us ke hāth se khānā khāūṅ.’” |
8400 | 2SA 15:8 | Kyoṅki jab maiṅ Jasūr meṅ thā to maiṅ ne qasam khā kar wādā kiyā thā, ‘Ai Rab, agar tū mujhe Yarūshalam wāpas lāe to maiṅ Habrūn meṅ terī parastish karūṅga.’” |
8707 | 2SA 24:12 | “Dāūd ke pās jā kar use batā denā, ‘Rab tujhe tīn sazāeṅ pesh kartā hai. In meṅ se ek chun le.’” |
8768 | 1KI 1:48 | aur kahā, ‘Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ne mere beṭoṅ meṅ se ek ko merī jagah taḳht par biṭhā diyā hai. Us kā shukr hai ki maiṅ apnī āṅkhoṅ se yih dekh sakā.’” |
8771 | 1KI 1:51 | Kisī ne Sulemān ke pās jā kar use ittalā dī, “Adūniyāh ko Sulemān Bādshāh se ḳhauf hai, is lie wuh qurbāngāh ke sīṅgoṅ se lipṭe hue kah rahā hai, ‘Sulemān Bādshāh pahle qasam khāe ki wuh mujhe maut ke ghāṭ nahīṅ utāregā.’” |
9063 | 1KI 9:9 | Tab log jawāb deṅge, ‘Is lie ki go Rab un kā Ḳhudā un ke bāpdādā ko Misr se nikāl kar yahāṅ lāyā to bhī yih log use tark karke dīgar mābūdoṅ se chimaṭ gae haiṅ. Chūṅki wuh un kī parastish aur ḳhidmat karne se bāz na āe is lie Rab ne unheṅ is sārī musībat meṅ ḍāl diyā hai.’” |
9150 | 1KI 11:39 | Yoṅ maiṅ Sulemān ke gunāh ke bāis Dāūd kī aulād ko sazā dūṅgā, agarche yih abadī sazā nahīṅ hogī.’” |
9178 | 1KI 12:24 | ‘Rab farmātā hai ki apne Isrāīlī bhāiyoṅ se jang mat karnā. Har ek apne apne ghar wāpas chalā jāe, kyoṅki jo kuchh huā hai wuh mere hukm par huā hai.’” Tab wuh Rab kī sun kar apne apne ghar wāpas chale gae. |
9189 | 1KI 13:2 | Buland āwāz se wuh qurbāngāh se muḳhātib huā, “Ai qurbāngāh! Ai qurbāngāh! Rab farmātā hai, ‘Dāūd ke gharāne se beṭā paidā hogā jis kā nām Yūsiyāh hogā. Tujh par wuh un imāmoṅ ko qurbān kar degā jo ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ meṅ ḳhidmat karte aur yahāṅ qurbāniyāṅ pesh karne ke lie āte haiṅ. Tujh par insānoṅ kī haḍḍiyāṅ jalāī jāeṅgī.’” |
9196 | 1KI 13:9 | Kyoṅki Rab ne mujhe hukm diyā hai, ‘Rāste meṅ na kuchh khā aur na kuchh pī. Aur wāpas jāte waqt wuh rāstā na le jis par se tū Baitel pahuṅchā hai.’” |
9204 | 1KI 13:17 | Kyoṅki Rab ne mujhe hukm diyā, ‘Rāste meṅ na kuchh khā aur na kuchh pī. Aur wāpas jāte waqt wuh rāstā na le jis par se tū Baitel pahuṅchā hai.’” |
9205 | 1KI 13:18 | Buzurg nabī ne etarāz kiyā, “Maiṅ bhī āp jaisā nabī hūṅ! Ek farishte ne mujhe Rab kā nayā paiġhām pahuṅchā kar kahā, ‘Use apne sāth ghar le jā kar roṭī khilā aur pānī pilā.’” Buzurg jhūṭ bol rahā thā, |
9209 | 1KI 13:22 | Go us ne farmāyā thā ki yahāṅ na kuchh khā aur na kuchh pī to bhī tū ne wāpas ā kar yahāṅ roṭī khāī aur pānī piyā hai. Is lie marte waqt tujhe tere bāpdādā kī qabr meṅ dafnāyā nahīṅ jāegā.’” |
9232 | 1KI 14:11 | Tum meṅ se jo shahr meṅ mareṅge unheṅ kutte khā jāeṅge, aur jo khule maidān meṅ mareṅge unheṅ parinde chaṭ kar jāeṅge. Kyoṅki yih Rab kā farmān hai.’” |
9334 | 1KI 17:14 | Kyoṅki Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Jab tak Rab bārish barasne na de tab tak maide aur tel ke bartan ḳhālī nahīṅ hoṅge.’” |
9388 | 1KI 18:44 | Āḳhirkār jab naukar sātwīṅ dafā gayā to us ne wāpas ā kar ittalā dī, “Ek chhoṭā-sā bādal samundar meṅ se nikal kar ūpar chaṛh rahā hai. Wuh ādmī ke hāth ke barābar hai.” Tab Iliyās ne hukm diyā, “Jāo, Aḳhiyab ko ittalā do, ‘Ghoṛoṅ ko fauran rath meṅ jot kar ghar chale jāeṅ, warnā bārish āp ko rok legī.’” |
9424 | 1KI 20:13 | Is daurān ek nabī Aḳhiyab Bādshāh ke pās āyā aur kahā, “Rab farmātā hai, ‘Kyā tujhe dushman kī yih baṛī fauj nazar ā rahī hai? To bhī maiṅ ise āj hī tere hawāle kar dūṅgā. Tab tū jān legā ki maiṅ hī Rab hūṅ.’” |
9439 | 1KI 20:28 | Phir mard-e-Ḳhudā ne Aḳhiyab ke pās ā kar kahā, “Rab farmātā hai, ‘Shām ke log ḳhayāl karte haiṅ ki Rab pahāṛī dewatā hai is lie maidānī ilāqe meṅ nākām rahegā. Chunāṅche maiṅ un kī zabardast fauj ko tere hawāle kar dūṅgā. Tab tū jān legā ki maiṅ hī Rab hūṅ.’” |
9453 | 1KI 20:42 | Nabī ne kahā, “Rab farmātā hai, ‘Maiṅ ne muqarrar kiyā thā ki Bin-hadad ko mere lie maḳhsūs karke halāk karnā hai, lekin tū ne use rihā kar diyā hai. Ab us kī jagah tū hī maregā, aur us kī qaum kī jagah terī qaum ko nuqsān pahuṅchegā.’” |
9473 | 1KI 21:19 | Use batā denā, ‘Rab farmātā hai ki tū ne ek ādmī ko bilāwajah qatl karke us kī milkiyat par qabzā kar liyā hai. Rab farmātā hai ki jahāṅ kuttoṅ ne Nabot kā ḳhūn chāṭā hai wahāṅ wuh terā ḳhūn bhī chāṭeṅge.’” |
9478 | 1KI 21:24 | Aḳhiyab ke ḳhāndān meṅ se jo shahr meṅ mareṅge unheṅ kutte khā jāeṅge, aur jo khule maidān meṅ mareṅge unheṅ parinde chaṭ kar jāeṅge.’” |
9500 | 1KI 22:17 | Tab Mīkāyāh ne jawāb meṅ kahā, “Mujhe tamām Isrāīl gallābān se mahrūm bheṛ-bakriyoṅ kī tarah pahāṛoṅ par bikhrā huā nazar āyā. Phir Rab mujh se hamkalām huā, ‘In kā koī mālik nahīṅ hai. Har ek salāmatī se apne ghar wāpas chalā jāe.’” |
9510 | 1KI 22:27 | Unheṅ batā denā, ‘Is ādmī ko jel meṅ ḍāl kar mere sahīh-salāmat wāpas āne tak kam se kam roṭī aur pānī diyā kareṅ.’” |
9541 | 2KI 1:4 | Chunāṅche Rab farmātā hai ki ai Aḳhaziyāh, jis bistar par tū paṛā hai us se tū kabhī nahīṅ uṭhne kā. Tū yaqīnan mar jāegā.’” Iliyās jā kar qāsidoṅ se milā. |
9543 | 2KI 1:6 | Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ek ādmī ham se milne āyā jis ne hameṅ āp ke pās wāpas bhej kar āp ko yih ḳhabar pahuṅchāne ko kahā, ‘Rab farmātā hai ki tū apne bāre meṅ dariyāft karne ke lie apne bandoṅ ko Aqrūn ke dewatā Bāl-zabūb ke pās kyoṅ bhej rahā hai? Kyā Isrāīl meṅ koī Ḳhudā nahīṅ hai? Chūṅki tū ne yih kiyā hai is lie jis bistar par tū paṛā hai us se tū kabhī nahīṅ uṭhne kā. Tū yaqīnan mar jāegā.’” |
9553 | 2KI 1:16 | Us ne bādshāh se kahā, “Rab farmātā hai, ‘Tū ne apne qāsidoṅ ko Aqrūn ke dewatā Bāl-zabūb se dariyāft karne ke lie kyoṅ bhejā? Kyā Isrāīl meṅ koī Ḳhudā nahīṅ hai? Chūṅki tū ne yih kiyā hai is lie jis bistar par tū paṛā hai us se tū kabhī nahīṅ uṭhne kā. Tū yaqīnan mar jāegā.’” |
9770 | 2KI 9:10 | Jahāṅ tak Īzabil kā tālluq hai use dafnāyā nahīṅ jāegā balki kutte use Yazrael kī zamīn par khā jāeṅge.’” Yih kah kar nabī darwāzā khol kar bhāg gayā. |
9772 | 2KI 9:12 | Lekin us ke sāthī is jawāb se mutma'in na hue, “Jhūṭ! Sahīh bāt batāeṅ.” Phir Yāhū ne unheṅ khul kar bāt batāī, “Ādmī ne kahā, ‘Rab farmātā hai ki maiṅ ne tujhe masah karke Isrāīl kā bādshāh banā diyā hai.’” |
9797 | 2KI 9:37 | Us kī lāsh Yazrael kī zamīn par gobar kī tarah paṛī rahegī tāki koī yaqīn se na kah sake ki wuh kahāṅ hai.’” |
10072 | 2KI 19:7 | Dekh, maiṅ us kā irādā badal dūṅgā. Wuh afwāh sun kar itnā muztarib ho jāegā ki apne hī mulk wāpas chalā jāegā. Wahāṅ maiṅ use talwār se marwā dūṅgā.’” |
10108 | 2KI 20:6 | Maiṅ terī zindagī meṅ 15 sāl kā izāfā karūṅga. Sāth sāth maiṅ tujhe aur is shahr ko Asūr ke bādshāh se bachā lūṅgā. Maiṅ apnī aur apne ḳhādim Dāūd kī ḳhātir shahr kā difā karūṅga.’” |
10138 | 2KI 21:15 | Aur wajah yihī hogī ki un se aisī harkateṅ sarzad huī haiṅ jo mujhe nāpasand haiṅ. Us din se le kar jab un ke bāpdādā Misr se nikal āe āj tak wuh mujhe taish dilāte rahe haiṅ.’” |
10169 | 2KI 22:20 | Jab tū mere kahne par mar kar apne bāpdādā se jā milegā to salāmatī se dafn hogā. Jo āfat maiṅ shahr par nāzil karūṅga wuh tū ḳhud nahīṅ dekhegā.’” Afsar bādshāh ke pās wāpas gae aur use Ḳhuldā kā jawāb sunā diyā. |
10196 | 2KI 23:27 | Isī lie Rab ne farmāyā, “Jo kuchh maiṅ ne Isrāīl ke sāth kiyā wuhī kuchh Yahūdāh ke sāth bhī karūṅga. Maiṅ use apne huzūr se ḳhārij kar dūṅgā. Apne chune hue shahr Yarūshalam ko maiṅ radd karūṅga aur sāth sāth us ghar ko bhī jis ke bāre meṅ maiṅ ne kahā, ‘Wahāṅ merā nām hogā.’” |
10882 | 1CH 17:14 | Maiṅ use apne gharāne aur apnī bādshāhī par hameshā qāym rakhūṅgā, us kā taḳht hameshā mazbūt rahegā.’” |
10949 | 1CH 21:10 | “Dāūd ke pās jā kar use batā denā, ‘Rab tujhe tīn sazāeṅ pesh kartā hai. In meṅ se ek chun le.’” |
10979 | 1CH 22:10 | Wuhī mere nām ke lie ghar banāegā. Wuh merā beṭā hogā aur maiṅ us kā bāp hūṅgā. Aur maiṅ Isrāīl par us kī bādshāhī kā taḳht hameshā tak qāym rakhūṅgā.’” |
11351 | 2CH 7:22 | Tab log jawāb deṅge, ‘Is lie ki go Rab un ke bāpdādā kā Ḳhudā unheṅ Misr se nikāl kar yahāṅ lāyā to bhī yih log use tark karke dīgar mābūdoṅ se chimaṭ gae haiṅ. Chūṅki wuh un kī parastish aur ḳhidmat karne se bāz na āe is lie us ne unheṅ is sārī musībat meṅ ḍāl diyā hai.’” |
11423 | 2CH 11:4 | ‘Rab farmātā hai ki apne bhāiyoṅ se jang mat karnā. Har ek apne apne ghar wāpas chalā jāe, kyoṅki jo kuchh huā hai wuh mere hukm par huā hai.’” Tab wuh Rab kī sun kar Yarubiyām se laṛne se bāz āe. |
11447 | 2CH 12:5 | Tab Samāyāh nabī Rahubiyām aur Yahūdāh ke un buzurgoṅ ke pās āyā jinhoṅ ne Sīsaq ke āge āge bhāg kar Yarūshalam meṅ panāh lī thī. Us ne un se kahā, “Rab farmātā hai, ‘Tum ne mujhe tark kar diyā hai, is lie ab maiṅ tumheṅ tark karke Sīsaq ke hawāle kar dūṅgā.’” |
11563 | 2CH 18:16 | Tab Mīkāyāh ne jawāb meṅ kahā, “Mujhe tamām Isrāīl gallābān se mahrūm bheṛ-bakriyoṅ kī tarah pahāṛoṅ par bikhrā huā nazar āyā. Phir Rab mujh se hamkalām huā, ‘In kā koī mālik nahīṅ hai. Har ek salāmatī se apne ghar wāpas chalā jāe.’” |
11573 | 2CH 18:26 | Unheṅ batā denā, ‘Is ādmī ko jel meṅ ḍāl kar mere sahīh-salāmat wāpas āne tak kam se kam roṭī aur pānī diyā kareṅ.’” |
11644 | 2CH 21:15 | Tū ḳhud bīmār ho jāegā. Lā'ilāj marz kī zad meṅ ā kar tujhe baṛī der tak taklīf hogī. Āḳhirkār terī antaṛiyāṅ jism se nikleṅgī.’” |
11966 | 2CH 34:28 | Jab tū mere kahne par mar kar apne bāpdādā se jā milegā to salāmatī se dafn hogā. Jo āfat maiṅ shahr aur us ke bāshindoṅ par nāzil karūṅga wuh tū ḳhud nahīṅ dekhegā.’” Afsar bādshāh ke pās wāpas gae aur use Ḳhuldā kā jawāb sunā diyā. |
12806 | EST 6:9 | Yih libās aur ghoṛā bādshāh ke ālātarīn afsaroṅ meṅ se ek ke sapurd kiyā jāe. Wuhī us shaḳhs ko jis kī bādshāh ḳhās izzat karnā chāhte haiṅ kapṛe pahnāe aur use ghoṛe par biṭhā kar shahr ke chauk meṅ se guzāre. Sāth sāth wuh us ke āge āge chal kar elān kare, ‘Yihī us ke sāth kiyā jātā hai jis kī izzat bādshāh karnā chāhte haiṅ.’” |
13536 | JOB 28:28 | Insān se us ne kahā, ‘Suno, Allāh kā ḳhauf mānanā hī hikmat aur burāī se dūr rahnā hī samajh hai.’” |
13724 | JOB 34:37 | wuh apne gunāh meṅ izāfā karke hamāre rūbarū apne jurm par shak ḍāltā aur Allāh par muta'addid ilzāmāt lagātā hai.’” |
15132 | PSA 75:6 | Na apnī tāqat par sheḳhī māro, na akaṛ kar kufr bako.’” |
15395 | PSA 89:5 | ‘Maiṅ terī nasl ko hameshā tak qāym rakhūṅgā, terā taḳht hameshā tak mazbūt rakhūṅgā.’” (Silāh) |