3740 | NUM 3:47 | har ek ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke le jo maqdis ke wazn ke mutābiq hoṅ (fī sikkā taqrīban 11 grām). |
3937 | NUM 7:86 | Baḳhūr se bhare hue sone ke pyāloṅ kā kul wazn taqrīban ḍeṛh kilogrām thā (fī pyālā 110 grām). |
8266 | 2SA 11:4 | Tab Dāūd ne qāsidoṅ ko Bat-sabā ke pās bhejā tāki use mahal meṅ le āeṅ. Aurat āī to Dāūd us se hambistar huā. Phir Bat-sabā apne ghar wāpas chalī gaī. (Thoṛī der pahle us ne wuh rasm adā kī thī jis kā taqāzā sharīat māhwārī ke bād kartī hai tāki aurat dubārā pāk-sāf ho jāe). |
23236 | MAT 1:23 | “Dekho ek kuṅwārī hāmilā hogī. Us se beṭā paidā hogā aur wuh us kā nām Immānuel rakheṅge.” (Immānuel kā matlab ‘Ḳhudā Hamāre Sāth’ hai). |
24938 | MRK 15:43 | to Arimatiyāh kā ek ādmī banām Yūsuf himmat karke Pīlātus ke pās gayā aur us se Īsā kī lāsh māṅgī. (Yūsuf Yahūdī adālat-e-āliyā kā nāmwar membar thā aur Allāh kī bādshāhī ke āne ke intazār meṅ thā). |
26894 | JHN 18:40 | Lekin jawāb meṅ log chillāne lage, “Nahīṅ, is ko nahīṅ balki Bar-abbā ko.” (Bar-abbā ḍākū thā). |
28262 | ROM 10:6 | Lekin jo rāstbāzī īmān se hāsil hotī hai wuh kahtī hai, “Apne dil meṅ na kahnā ki ‘Kaun āsmān par chaṛhegā?’ (tāki Masīh ko nīche le āe). |