Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   Word?”    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

57  GEN 3:1  Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?”
65  GEN 3:9  Rab Ḳhudā ne pukār kar kahā, “Ādam, tū kahāṅ hai?”
67  GEN 3:11  Us ne pūchhā, “Kis ne tujhe batāyā ki tū nangā hai? Kyā tū ne us daraḳht kā phal khāyā hai jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā?”
69  GEN 3:13  Ab Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā, “Tū ne yih kyoṅ kiyā?” Aurat ne jawāb diyā, “Sāṅp ne mujhe bahkāyā to maiṅ ne khāyā.”
89  GEN 4:9  Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?”
369  GEN 15:8  Abrām ne pūchhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kis tarah jānūṅ ki is mulk par qabzā karūṅga?”
390  GEN 16:8  Us ne kahā, “Sāray kī launḍī Hājirā, tū kahāṅ se ā rahī hai aur kahāṅ jā rahī hai?” Hājirā ne jawāb diyā, “Maiṅ apnī mālikan Sāray se farār ho rahī hūṅ.”
395  GEN 16:13  Rab ke us ke sāth bāt karne ke bād Hājirā ne us kā nām Attā-el-roī yānī ‘Tū Ek Mābūd Hai Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ rakhā. Us ne kahā, “Kyā maiṅ ne wāqaī us ke pīchhe dekhā hai jis ne mujhe dekhā hai?”
434  GEN 18:9  Unhoṅ ne pūchhā, “Terī bīwī Sārā kahāṅ hai?” Us ne jawāb diyā, “Ḳhaime meṅ.”
450  GEN 18:25  Yih kaise ho saktā hai ki tū bequsūroṅ ko sharīroṅ ke sāth halāk kar de? Yih to nāmumkin hai ki tū nek aur sharīr logoṅ se ek jaisā sulūk kare. Kyā lāzim nahīṅ ki pūrī duniyā kā munsif insāf kare?”
453  GEN 18:28  Lekin ho saktā hai ki sirf 45 rāstbāz us meṅ hoṅ. Kyā tū phir bhī un pāṅch logoṅ kī kamī ke sabab se pūre shahr ko tabāh karegā?” Us ne kahā, “Agar mujhe 45 bhī mil jāeṅ to use barbād nahīṅ karūṅga.”
454  GEN 18:29  Ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī, “Aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?” Rab ne kahā, “Maiṅ un 40 ke sabab se unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
456  GEN 18:31  Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai. Agar sirf 20 pāe jāeṅ?” Rab ne kahā, “Maiṅ 20 ke sabab se shahr ko barbād karne se bāz rahūṅgā.”
506  GEN 20:10  Āp ne yih kyoṅ kiyā?”
543  GEN 21:29  Abīmalik ne pūchhā, “Āp ne yih kyoṅ kiyā?”
555  GEN 22:7  Is'hāq bolā, “Abbū!” Ibrāhīm ne kahā, “Jī beṭā.” “Abbū, āg aur lakaṛiyāṅ to hamāre pās haiṅ, lekin qurbānī ke lie bheṛ yā bakrī kahāṅ hai?”
597  GEN 24:5  Us ke naukar ne kahā, “Shāyad wuh aurat mere sāth yahāṅ ānā na chāhe. Kyā maiṅ is sūrat meṅ āp ke beṭe ko us watan meṅ wāpas le jāūṅ jis se āp nikle haiṅ?”
615  GEN 24:23  Us ne pūchhā, “Āp kis kī beṭī haiṅ? Kyā us ke hāṅ itnī jagah hai ki ham wahāṅ rāt guzār sakeṅ?”
650  GEN 24:58  Unhoṅ ne Ribqā ko bulā kar us se pūchhā, “Kyā tū abhī is ādmī ke sāth jānā chāhtī hai?” Us ne kahā, “Jī, maiṅ jānā chāhtī hūṅ.”
657  GEN 24:65  naukar se pūchhā, “Wuh ādmī kaun hai jo maidān meṅ ham se milne ā rahā hai?” Naukar ne kahā, “Merā mālik hai.” Yih sun kar Ribqā ne chādar le kar apne chehre ko ḍhāṅp liyā.
681  GEN 25:22  Us ke peṭ meṅ bachche ek dūsre se zorāzmāī karne lage to wuh Rab se pūchhne gaī, “Agar yih merī hālat rahegī to phir maiṅ yahāṅ tak kyoṅ pahuṅch gaī hūṅ?”
691  GEN 25:32  Esau ne kahā, “Maiṅ to bhūk se mar rahā hūṅ, pahlauṭhe kā haq mere kis kām kā?”
702  GEN 26:9  Us ne Is'hāq ko bulā kar kahā, “Wuh to āp kī bīwī hai! Āp ne kyoṅ kahā ki merī bahan hai?” Is'hāq ne jawāb diyā, “Maiṅ ne sochā ki agar maiṅ batāūṅ ki yih merī bīwī hai to log mujhe qatl kar deṅge.”
720  GEN 26:27  Is'hāq ne pūchhā, “Āp kyoṅ mere pās āe haiṅ? Āp to mujh se nafrat rakhte haiṅ. Kyā āp ne mujhe apne darmiyān se ḳhārij nahīṅ kiyā thā?”
746  GEN 27:18  Yāqūb ne apne bāp ke pās jā kar kahā, “Abbū jī.” Is'hāq ne kahā, “Jī, beṭā. Tū kaun hai?”
748  GEN 27:20  Is'hāq ne pūchhā, “Beṭā, tujhe yih shikār itnī jaldī kis tarah mil gayā?” Us ne jawāb diyā, “Rab āp ke Ḳhudā ne use mere sāmne se guzarne diyā.”
752  GEN 27:24  To bhī us ne dubārā pūchhā, “Kyā tū wāqaī merā beṭā Esau hai?” Yāqūb ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ wuhī hūṅ.”
760  GEN 27:32  Is'hāq ne pūchhā, “Tū kaun hai?” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ āp kā baṛā beṭā Esau hūṅ.”
764  GEN 27:36  Esau ne kahā, “Us kā nām Yāqūb ṭhīk hī rakhā gayā hai, kyoṅki ab us ne mujhe dūsrī bār dhokā diyā hai. Pahle us ne pahlauṭhe kā haq mujh se chhīn liyā aur ab merī barkat bhī zabardastī le lī. Kyā āp ne mere lie koī barkat mahfūz nahīṅ rakhī?”
765  GEN 27:37  Lekin Is'hāq ne kahā, “Maiṅ ne use terā hukmrān aur us ke tamām bhāiyoṅ ko us ke ḳhādim banā diyā hai. Maiṅ ne use anāj aur angūr kā ras muhaiyā kiyā hai. Ab mujhe batā beṭā, kyā kuchh rah gayā hai jo maiṅ tujhe dūṅ?”
773  GEN 27:45  Jab us kā ġhussā ṭhanḍā ho jāegā aur wuh tumhāre us ke sāth kie gae sulūk ko bhūl jāegā, tab maiṅ ittalā dūṅgī ki tum wahāṅ se wāpas ā sakte ho. Maiṅ kyoṅ ek hī din meṅ tum donoṅ se mahrūm ho jāūṅ?”
800  GEN 29:4  Yāqūb ne charwāhoṅ se pūchhā, “Mere bhāiyo, āp kahāṅ ke haiṅ?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Hārān ke.”
801  GEN 29:5  Us ne pūchhā, “Kyā āp Nahūr ke pote Lāban ko jānte haiṅ?” Unhoṅ ne kahā, “Jī hāṅ.”
802  GEN 29:6  Us ne pūchhā, “Kyā wuh ḳhairiyat se hai?” Unhoṅ ne kahā, “Jī, wuh ḳhairiyat se hai. Dekho, udhar us kī beṭī Rāḳhil rewaṛ le kar ā rahī hai.”
803  GEN 29:7  Yāqūb ne kahā, “Abhī to shām tak bahut waqt bāqī hai. Rewaṛoṅ ko jamā karne kā waqt to nahīṅ hai. Āp kyoṅ unheṅ pānī pilā kar dubārā charne nahīṅ dete?”
811  GEN 29:15  Phir Lāban Yāqūb se kahne lagā, “Beshak āp mere rishtedār haiṅ, lekin āp ko mere lie kām karne ke badle meṅ kuchh milnā chāhie. Maiṅ āp ko kitne paise dūṅ?”
821  GEN 29:25  Jab subah huī to Yāqūb ne dekhā ki Liyāh hī mere pās hai. Us ne Lāban ke pās jā kar kahā, “Yih āp ne mere sāth kyā kiyā hai? Kyā maiṅ ne Rāḳhil ke lie kām nahīṅ kiyā? Āp ne mujhe dhokā kyoṅ diyā?”
833  GEN 30:2  Yāqūb ko ġhussā āyā. Us ne kahā, “Kyā maiṅ Allāh hūṅ jis ne tujhe aulād se mahrūm rakhā hai?”
862  GEN 30:31  Lāban ne kahā, “Maiṅ āp ko kyā dūṅ?” Yāqūb ne kahā, “Mujhe kuchh na deṅ. Maiṅ is shart par āp kī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl jārī rakhūṅgā ki
904  GEN 31:30  Ṭhīk hai, āp is lie chale gae ki apne bāp ke ghar wāpas jāne ke baṛe ārzūmand the. Lekin yih āp ne kyā kiyā hai ki mere but churā lāe haiṅ?”
956  GEN 32:28  Ādmī ne pūchhā, “Terā kyā nām hai?” Us ne jawāb diyā, “Yāqūb.”
958  GEN 32:30  Yāqūb ne kahā, “Mujhe apnā nām batāeṅ.” Us ne kahā, “Tū kyoṅ merā nām jānanā chāhtā hai?” Phir us ne Yāqūb ko barkat dī.
966  GEN 33:5  Phir Esau ne auratoṅ aur bachchoṅ ko dekhā. Us ne pūchhā, “Tumhāre sāth yih log kaun haiṅ?” Yāqūb ne kahā, “Yih āp ke ḳhādim ke bachche haiṅ jo Allāh ne apne karm se nawāze haiṅ.”
969  GEN 33:8  Esau ne pūchhā, “Jis jānwaroṅ ke baṛe ġhol se merī mulāqāt huī us se kyā murād hai?” Yāqūb ne jawāb diyā, “Yih tohfā hai tāki āp kā ḳhādim āp kī nazar meṅ maqbūl ho.”
976  GEN 33:15  Esau ne kahā, “Kyā maiṅ apne ādmiyoṅ meṅ se kuchh āp ke pās chhoṛ dūṅ?” Lekin Yāqūb ne kahā, “Kyā zarūrat hai? Sab se aham bāt yih hai ki āp ne mujhe qabūl kar liyā hai.”
1012  GEN 34:31  Lekin unhoṅ ne kahā, “Kyā yih ṭhīk thā ki us ne hamārī bahan ke sāth kasbī kā-sā sulūk kiyā?”
1092  GEN 37:8  Us ke bhāiyoṅ ne kahā, “Achchhā, tū bādshāh ban kar ham par hukūmat karegā?” Us ke ḳhāboṅ aur us kī bātoṅ ke sabab se un kī us se nafrat mazīd baṛh gaī.
1094  GEN 37:10  Us ne yih ḳhāb apne bāp ko bhī sunāyā to us ne use ḍānṭā. Us ne kahā, “Yih kaisā ḳhāb hai jo tū ne dekhā! Yih kaisī bāt hai ki maiṅ, terī māṅ aur tere bhāī ā kar tere sāmne zamīn tak jhuk jāeṅ?”
1099  GEN 37:15  Wahāṅ wuh idhar-udhar phirtā rahā. Āḳhirkār ek ādmī us se milā aur pūchhā, “Āp kyā ḍhūnḍ rahe haiṅ?”
1114  GEN 37:30  Wuh apne bhāiyoṅ ke pās wāpas gayā aur kahā, “Laṛkā nahīṅ hai. Ab maiṅ kis tarah Abbū ke pās jāūṅ?”
1116  GEN 37:32  phir rangdār libās is ḳhabar ke sāth apne bāp ko bhijwā diyā ki “Hameṅ yih milā hai. Ise ġhaur se dekheṅ. Yih āp ke beṭe kā libās to nahīṅ?”
1136  GEN 38:16  Wuh rāste se haṭ kar us ke pās gayā aur kahā, “Zarā mujhe apne hāṅ āne deṅ.” (Us ne nahīṅ pahchānā ki yih merī bahū hai.) Tamr ne kahā, “Āp mujhe kyā deṅge?”
1138  GEN 38:18  Us ne pūchhā, “Maiṅ āp ko kyā dūṅ?” Tamr ne kahā, “Apnī muhr aur use gale meṅ laṭkāne kī ḍorī. Wuh lāṭhī bhī deṅ jo āp pakaṛe hue haiṅ.” Chunāṅche Yahūdāh use yih chīzeṅ de kar us ke sāth hambistar huā. Natīje meṅ Tamr ummīd se huī.
1141  GEN 38:21  Us ne Ainīm ke bāshindoṅ se pūchhā, “Wuh kasbī kahāṅ hai jo yahāṅ saṛak par baiṭhī thī?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yahāṅ aisī koī kasbī nahīṅ thī.”
1159  GEN 39:9  Ghar ke intazām par un kā iḳhtiyār mere iḳhtiyār se zyādā nahīṅ hai. Āp ke siwā unhoṅ ne koī bhī chīz mujh se bāz nahīṅ rakhī. To phir maiṅ kis tarah itnā ġhalat kām karūṅ? Maiṅ kis tarah Allāh kā gunāh karūṅ?”
1180  GEN 40:7  Us ne un se pūchhā, “Āj āp kyoṅ itne pareshān haiṅ?”
1260  GEN 42:7  Jab Yūsuf ne apne bhāiyoṅ ko dekhā to us ne unheṅ pahchān liyā lekin aisā kiyā jaisā un se nāwāqif ho aur saḳhtī se un se bāt kī, “Tum kahāṅ se āe ho?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham Mulk-e-Kanān se anāj ḳharīdne ke lie āe haiṅ.”
1281  GEN 42:28  Us ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Mere paise wāpas kar die gae haiṅ! Wuh merī borī meṅ haiṅ.” Yih dekh kar un ke hosh uṛ gae. Kāṅpte hue wuh ek dūsre ko deḳhne aur kahne lage, “Yih kyā hai jo Allāh ne hamāre sāth kiyā hai?”
1318  GEN 43:27  Us ne un se ḳhairiyat dariyāft kī aur phir kahā, “Tum ne apne būṛhe bāp kā zikr kiyā. Kyā wuh ṭhīk haiṅ? Kyā wuh ab tak zindā haiṅ?”
1340  GEN 44:15  Yūsuf ne kahā, “Yih tum ne kyā kiyā hai? Kyā tum nahīṅ jānte ki mujh jaisā ādmī ġhaib kā ilm rakhtā hai?”
1362  GEN 45:3  Yūsuf ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ Yūsuf hūṅ. Kyā merā bāp ab tak zindā hai?” Lekin us ke bhāī yih sun kar itne ghabrā gae ki wuh jawāb na de sake.
1424  GEN 47:3  Firaun ne bhāiyoṅ se pūchhā, “Tum kyā kām karte ho?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp ke ḳhādim bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. Yih hamāre bāpdādā kā peshā thā aur hamārā bhī hai.
1429  GEN 47:8  Bādshāh ne us se pūchhā, “Tumhārī umr kyā hai?”
1460  GEN 48:8  Phir Yāqūb ne Yūsuf ke beṭoṅ par nazar ḍāl kar pūchhā, “Yih kaun haiṅ?”
1522  GEN 50:15  Jab Yāqūb intaqāl kar gayā to Yūsuf ke bhāī ḍar gae. Unhoṅ ne kahā, “Ḳhatrā hai ki ab Yūsuf hamārā tāqqub karke us ġhalat kām kā badlā le jo ham ne us ke sāth kiyā thā. Phir kyā hogā?”
1551  EXO 1:18  Tab Misr ke bādshāh ne unheṅ dubārā bulā kar pūchhā, “Tum ne yih kyoṅ kiyā? Tum laṛkoṅ ko kyoṅ jītā chhoṛ detī ho?”
1562  EXO 2:7  Ab bachche kī bahan Firaun kī beṭī ke pās gaī aur pūchhā, “Kyā maiṅ bachche ko dūdh pilāne ke lie koī Ibrānī aurat ḍhūnḍ lāūṅ?”
1568  EXO 2:13  Agle din bhī Mūsā ghar se niklā. Is dafā do Ibrānī mard āpas meṅ laṛ rahe the. Jo ġhaltī par thā us se Mūsā ne pūchhā, “Tum apne bhāī ko kyoṅ mār rahe ho?”
1569  EXO 2:14  Ādmī ne jawāb diyā, “Kis ne āp ko ham par hukmrān aur qāzī muqarrar kiyā hai? Kyā āp mujhe bhī qatl karnā chāhte haiṅ jis tarah Misrī ko mār ḍālā thā?” Tab Mūsā ḍar gayā. Us ne sochā, “Hāy, merā bhed khul gayā hai!”
1573  EXO 2:18  Jab laṛkiyāṅ apne bāp Raūel ke pās wāpas āīṅ to bāp ne pūchhā, “Āj tum itnī jaldī se kyoṅ wāpas ā gaī ho?”
1591  EXO 3:11  Lekin Mūsā ne Allāh se kahā, “Maiṅ kaun hūṅ ki Firaun ke pās jā kar Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāl lāūṅ?”
1593  EXO 3:13  Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Agar maiṅ Isrāīliyoṅ ke pās jā kar unheṅ batāūṅ ki tumhāre bāpdādā ke Ḳhudā ne mujhe tumhāre pās bhejā hai to wuh pūchheṅge, ‘Us kā nām kyā hai?’ Phir maiṅ un ko kyā jawāb dūṅ?”
1604  EXO 4:2  Jawāb meṅ Rab ne Mūsā se kahā, “Tū ne hāth meṅ kyā pakaṛā huā hai?” Mūsā ne kahā, “Lāṭhī.”
1647  EXO 5:14  Jo Isrāīlī nigarān unhoṅ ne muqarrar kie the unheṅ wuh pīṭte aur kahte rahe, “Tum ne kal aur āj utnī īṅṭeṅ kyoṅ nahīṅ banwāīṅ jitnī pahle banwāte the?”
1668  EXO 6:12  Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Isrāīlī merī bāt sunanā nahīṅ chāhte to Firaun kyoṅ merī bāt māne jabki maiṅ ruk ruk kar boltā hūṅ?”
1785  EXO 10:7  Is par darbāriyoṅ ne Firaun se bāt kī, “Ham kab tak is mard ke jāl meṅ phaṅse raheṅ? Isrāīliyoṅ ko Rab apne Ḳhudā kī ibādat karne ke lie jāne deṅ. Kyā āp ko abhī tak mālūm nahīṅ ki Misr barbād ho gayā hai?”
1786  EXO 10:8  Tab Mūsā aur Hārūn ko Firaun ke pās bulāyā gayā. Us ne un se kahā, “Jāo, apne Ḳhudā kī ibādat karo. Lekin yih batāo ki kaun kaun sāth jāegā?”
1945  EXO 15:24  Yih dekh kar log Mūsā ke ḳhilāf buṛbuṛā kar kahne lage, “Ham kyā pieṅ?”
1963  EXO 16:15  Jab Isrāīliyoṅ ne use dekhā to ek dūsre se pūchhne lage, “Man hū?” Yānī “Yih kyā hai?” Kyoṅki wuh nahīṅ jānte the ki yih kyā chīz hai. Mūsā ne un ko samjhāyā, “Yih wuh roṭī hai jo Rab ne tumheṅ khāne ke lie dī hai.
1986  EXO 17:2  Is lie wuh Mūsā ke sāth yih kah kar jhagaṛne lage, “Hameṅ pīne ke lie pānī do.” Mūsā ne jawāb diyā, “Tum mujh se kyoṅ jhagaṛ rahe ho? Rab ko kyoṅ āzmā rahe ho?”
1987  EXO 17:3  Lekin log bahut pyāse the. Wuh Mūsā ke ḳhilāf buṛbuṛāne se bāz na āe balki kahā, “Āp hameṅ Misr se kyoṅ lāe haiṅ? Kyā is lie ki ham apne bachchoṅ aur rewaṛoṅ samet pyāse mar jāeṅ?”
2014  EXO 18:14  Jab Yitro ne yih sab kuchh dekhā to us ne pūchhā, “Yih kyā hai jo āp logoṅ ke sāth kar rahe haiṅ? Sārā din wuh āp ko ghere rahte aur āp un kī adālat karte rahte haiṅ. Āp yih sab kuchh akele hī kyoṅ kar rahe haiṅ?”
2460  EXO 32:21  Us ne Hārūn se pūchhā, “In logoṅ ne tumhāre sāth kyā kiyā ki tum ne unheṅ aise baṛe gunāh meṅ phaṅsā diyā?”
2997  LEV 10:19  Hārūn ne Mūsā ko jawāb de kar kahā, “Dekheṅ, āj logoṅ ne apne lie gunāh kī qurbānī aur bhasm hone wālī qurbānī Rab ko pesh kī hai jabki mujh par yih āfat guzarī hai. Agar maiṅ āj gunāh kī qurbānī se khātā to kyā yih Rab ko achchhā lagtā?”
4047  NUM 11:22  Kyā gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ ko itnī miqdār meṅ zabah kiyā jā saktā hai ki kāfī ho? Agar samundar kī tamām machhliyāṅ un ke lie pakaṛī jāeṅ to kyā kāfī hoṅgī?”
4062  NUM 12:2  Unhoṅ ne pūchhā, “Kyā Rab sirf Mūsā kī mārifat bāt kartā hai? Kyā us ne ham se bhī bāt nahīṅ kī?” Rab ne un kī yih bāteṅ sunīṅ.
4068  NUM 12:8  Us se maiṅ rūbarū hamkalām hotā hūṅ. Us se maiṅ muammoṅ ke zariye nahīṅ balki sāf sāf bāt kartā hūṅ. Wuh Rab kī sūrat deḳhtā hai. To phir tum mere ḳhādim ke ḳhilāf bāteṅ karne se kyoṅ na ḍare?”
4112  NUM 14:3  Rab hameṅ kyoṅ us mulk meṅ le jā rahā hai? Kyā is lie ki dushman hameṅ talwār se qatl kare aur hamāre bāl-bachchoṅ ko lūṭ le? Kyā behtar nahīṅ hogā ki ham Misr wāpas jāeṅ?”
4198  NUM 16:3  Wuh mil kar Mūsā aur Hārūn ke pās ā kar kahne lage, “Āp ham se ziyādatī kar rahe haiṅ. Pūrī jamāt maḳhsūs-o-muqaddas hai, aur Rab us ke darmiyān hai. To phir āp apne āp ko kyoṅ Rab kī jamāt se baṛh kar samajhte haiṅ?”
4206  NUM 16:11  Apne sāthiyoṅ se mil kar tū ne Hārūn kī nahīṅ balki Rab kī muḳhālafat kī hai. Kyoṅki Hārūn kaun hai ki tum us ke ḳhilāf buṛbuṛāo?”
4217  NUM 16:22  Mūsā aur Hārūn muṅh ke bal gire aur bol uṭhe, “Ai Allāh, tū tamām jānoṅ kā Ḳhudā hai. Kyā terā ġhazab ek hī ādmī ke gunāh ke sabab se pūrī jamāt par ān paṛegā?”
4258  NUM 17:28  Jo bhī Rab ke maqdis ke qarīb āe wuh mar jāegā. Kyā ham sab hī halāk ho jāeṅge?”
4322  NUM 20:10  aur Hārūn ke sāth jamāt ko chaṭān ke sāmne ikaṭṭhā kiyā. Mūsā ne un se kahā, “Ai baġhāwat karne wālo, suno! Kyā ham is chaṭān meṅ se tumhāre lie pānī nikāleṅ?”
4385  NUM 22:9  Rāt ke waqt Allāh Bilām par zāhir huā. Us ne pūchhā, “Yih ādmī kaun haiṅ jo tere pās āe haiṅ?”
4404  NUM 22:28  Tab Rab ne gadhī ko bolne diyā, aur us ne Bilām se kahā, “Maiṅ ne āp se kyā ġhalat sulūk kiyā hai ki āp mujhe ab tīsrī dafā pīṭ rahe haiṅ?”
4406  NUM 22:30  Gadhī ne Bilām se kahā, “Kyā maiṅ āp kī gadhī nahīṅ hūṅ jis par āp āj tak sawār hote rahe haiṅ? Kyā mujhe kabhī aisā karne kī ādat thī?” Us ne kahā, “Nahīṅ.”
4413  NUM 22:37  Us ne Bilām se kahā, “Kyā maiṅ ne āp ko ittalā nahīṅ bhejī thī ki āp zarūr āeṅ? Āp kyoṅ nahīṅ āe? Kyā āp ne sochā ki maiṅ āp ko munāsib inām nahīṅ de pāūṅgā?”
4429  NUM 23:12  Bilām ne jawāb diyā, “Kyā lāzim nahīṅ ki maiṅ wuhī kuchh bolūṅ jo Rab ne batāne ko kahā hai?”
4434  NUM 23:17  Wuh wāpas chalā gayā. Balaq ab tak apne sardāroṅ ke sāth apnī qurbānī ke pās khaṛā thā. Us ne us se pūchhā, “Rab ne kyā kahā?”
4443  NUM 23:26  Bilām ne jawāb diyā, “Kyā maiṅ ne āp ko nahīṅ batāyā thā ki jo kuchh bhī Rab kahegā maiṅ wuhī karūṅga?”