Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   Word?’    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

438  GEN 18:13  Rab ne Ibrāhīm se pūchhā, “Sārā kyoṅ haṅs rahī hai? Wuh kyoṅ kah rahī hai, ‘Kyā wāqaī mere hāṅ bachchā paidā hogā jabki maiṅ itnī umrrasīdā hūṅ?’
639  GEN 24:47  Phir maiṅ ne us se pūchhā, ‘Āp kis kī beṭī haiṅ?’ Us ne jawāb diyā, ‘Merā bāp Batuel hai. Wuh Nahūr aur Milkāh kā beṭā hai.’ Phir maiṅ ne us kī nāk meṅ nath aur us kī kalāiyoṅ meṅ kangan pahnā die.
946  GEN 32:18  Jo naukar pahle rewaṛ le kar āge niklā us se Yāqūb ne kahā, “Merā bhāī Esau tum se milegā aur pūchhegā, ‘Tumhārā mālik kaun hai? Tum kahāṅ jā rahe ho? Tumhāre sāmne ke jānwar kis ke haiṅ?’
1298  GEN 43:7  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh ādmī hamāre aur hamāre ḳhāndān ke bāre meṅ pūchhtā rahā, ‘Kyā tumhārā bāp ab tak zindā hai? Kyā tumhārā koī aur bhāī hai?’ Phir hameṅ jawāb denā paṛā. Hameṅ kyā patā thā ki wuh hameṅ apne bhāī ko sāth lāne ko kahegā.”
1344  GEN 44:19  Janāb-e-ālī, āp ne ham se pūchhā, ‘Kyā tumhārā bāp yā koī aur bhāī hai?’
1593  EXO 3:13  Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Agar maiṅ Isrāīliyoṅ ke pās jā kar unheṅ batāūṅ ki tumhāre bāpdādā ke Ḳhudā ne mujhe tumhāre pās bhejā hai to wuh pūchheṅge, ‘Us kā nām kyā hai?’ Phir maiṅ un ko kyā jawāb dūṅ?”
3490  LEV 25:20  Ho saktā hai koī pūchhe, ‘Ham sātweṅ sāl meṅ kyā khāeṅge jabki ham bīj nahīṅ boeṅge aur fasal nahīṅ kāṭeṅge?’
5705  DEU 29:23  Tamām qaumeṅ pūchheṅgī, ‘Rab ne is mulk ke sāth aisā kyoṅ kiyā? Us ke saḳht ġhazab kī kyā wajah thī?’
5722  DEU 30:12  Wuh āsmān par nahīṅ haiṅ ki tū kahe, ‘Kaun āsmān par chaṛh kar hamāre lie yih ahkām nīche le āe tāki ham unheṅ sun sakeṅ aur un par amal kar sakeṅ?’
5723  DEU 30:13  Wuh samundar ke pār bhī nahīṅ haiṅ ki tū kahe, ‘Kaun samundar ko pār karke hamāre lie yih ahkām lāegā tāki ham unheṅ sun sakeṅ aur un par amal kar sakeṅ?’
5747  DEU 31:17  Phir merā ġhazab un par bhaṛkegā. Maiṅ unheṅ chhoṛ kar apnā chehrā un se chhupā lūṅgā. Tab unheṅ kachchā chabā liyā jāegā aur bahut sārī haibatnāk musībateṅ un par āeṅgī. Us waqt wuh kaheṅge, ‘Kyā yih musībateṅ is wajah se ham par nahīṅ āīṅ ki Rab hamāre sāth nahīṅ hai?’
6653  JDG 5:28  Sīsarā kī māṅ ne khiṛkī meṅ se jhāṅkā aur darīche meṅ se deḳhtī deḳhtī rotī rahī, ‘Us ke rath ke pahuṅchne meṅ itnī der kyoṅ ho rahī hai? Rathoṅ kī āwāz ab tak kyoṅ sunāī nahīṅ de rahī?’
6794  JDG 9:38  Phir Zabūl ne us se kahā, “Ab terī baṛī baṛī bāteṅ kahāṅ rahīṅ? Kyā tū ne nahīṅ kahā thā, ‘Abīmalik kaun hai ki ham us ke tābe raheṅ?’ Ab yih log ā gae haiṅ jin kā mazāq tū ne uṛāyā. Jā, shahr se nikal kar un se laṛ!”
7389  1SA 8:18  Tab āp pachhtā kar kaheṅge, ‘Ham ne bādshāh kā taqāzā kyoṅ kiyā?’ Lekin jab āp Rab ke huzūr chīḳhte-chillāte madad chāheṅge to wuh āp kī nahīṅ sunegā.”
7422  1SA 10:2  Mere pās se chale jāne ke bād jab āp Binyamīn kī sarhad ke shahr Zilzaḳh ke qarīb Rāḳhil kī qabr ke pās se guzareṅge to āp kī mulāqāt do ādmiyoṅ se hogī. Wuh āp se kaheṅge, ‘Jo gadhiyāṅ āp ḍhūṅḍne gae wuh mil gaī haiṅ. Aur ab āp ke bāp gadhiyoṅ kī nahīṅ balki āp kī fikr kar rahe haiṅ. Wuh kah rahe haiṅ ki maiṅ kis tarah apne beṭe kā patā karūṅ?’
8033  2SA 1:8  Us ne pūchhā, ‘Tum kaun ho?’ Maiṅ ne jawāb diyā, ‘Maiṅ Amālīqī hūṅ.’
8190  2SA 7:7  Jis daurān maiṅ tamām Isrāīliyoṅ ke sāth idhar-udhar phirtā rahā kyā maiṅ ne Isrāīl ke un rāhnumāoṅ se kabhī is nāte se shikāyat kī jinheṅ maiṅ ne apnī qaum kī gallābānī karne kā hukm diyā thā? Kyā maiṅ ne un meṅ se kisī se kahā ki tum ne mere lie deodār kā ghar kyoṅ nahīṅ banāyā?’
8283  2SA 11:21  Kyā āp ko yād nahīṅ ki qadīm zamāne meṅ Jidāūn ke beṭe Abīmalik ke sāth kyā huā? Taibiz Shahr meṅ ek aurat hī ne use mār ḍālā. Aur wajah yih thī ki wuh qile ke itne qarīb ā gayā thā ki aurat dīwār par se chakkī kā ūpar kā pāṭ us par phaiṅk sakī. Shahr kī fasīl ke is qadar qarīb laṛne kī kyā zarūrat thī?’ Agar bādshāh āp par aise ilzāmāt lagāeṅ to jawāb meṅ bas itnā hī kah denā, ‘Ūriyāh Hittī bhī mārā gayā hai.’”
8733  1KI 1:13  Dāūd Bādshāh ke pās jā kar use batā denā, ‘Ai mere āqā aur bādshāh, kyā āp ne qasam khā kar mujh se wādā nahīṅ kiyā thā ki terā beṭā Sulemān mere bād taḳhtnashīn hogā? To phir Adūniyāh kyoṅ bādshāh ban gayā hai?’
8815  1KI 2:42  Tab us ne use bulā kar pūchhā, “Kyā maiṅ ne āp ko āgāh karke nahīṅ kahā thā ki yaqīn jāneṅ ki jyoṅ hī āp Yarūshalam se nikleṅge āp ko mār diyā jāegā, ḳhāh āp kahīṅ bhī jānā chāheṅ. Aur kyā āp ne jawāb meṅ Rab kī qasam khā kar nahīṅ kahā thā, ‘Ṭhīk hai, maiṅ aisā hī karūṅga?’
9062  1KI 9:8  Is shāndār ghar kī burī hālat dekh kar yahāṅ se guzarne wāle tamām logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge, aur wuh apnī hiqārat kā izhār karke pūchheṅge, ‘Rab ne is mulk aur is ghar se aisā sulūk kyoṅ kiyā?’
9503  1KI 22:20  Rab ne pūchhā, ‘Kaun Aḳhiyab ko Rāmāt-jiliyād par hamlā karne par uksāegā tāki wuh wahāṅ jā kar mar jāe?’ Ek ne yih mashwarā diyā, dūsre ne wuh.
9505  1KI 22:22  Rab ne sawāl kiyā, ‘Kis tarah?’ Rūh ne jawāb diyā, ‘Maiṅ nikal kar us ke tamām nabiyoṅ par yoṅ qābū pāūṅgī ki wuh jhūṭ hī boleṅge.’ Rab ne farmāyā, ‘Tū kāmyāb hogī. Jā aur yoṅ hī kar!’
10874  1CH 17:6  Jis daurān maiṅ tamām Isrāīliyoṅ ke sāth idhar-udhar phirtā rahā kyā maiṅ ne Isrāīl ke un rāhnumāoṅ se kabhī is nāte se shikāyat kī jinheṅ maiṅ ne apnī qaum kī gallābānī karne kā hukm diyā thā? Kyā maiṅ ne un meṅ se kisī se kahā ki tum ne mere lie deodār kā ghar kyoṅ nahīṅ banāyā?’
11350  2CH 7:21  Is shāndār ghar kī burī hālat dekh kar yahāṅ se guzarne wāle tamām logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge, aur wuh pūchheṅge, ‘Rab ne is mulk aur is ghar se aisā sulūk kyoṅ kiyā?’
11566  2CH 18:19  Rab ne pūchhā, ‘Kaun Isrāīl ke bādshāh Aḳhiyab ko Rāmāt-jiliyād par hamlā karne par uksāegā tāki wuh wahāṅ jā kar mar jāe?’ Ek ne yih mashwarā diyā, dūsre ne wuh.
11567  2CH 18:20  Āḳhirkār ek rūh Rab ke sāmne khaṛī huī aur kahne lagī, ‘Maiṅ use uksāūṅgī’. Rab ne sawāl kiyā, ‘Kis tarah?’
12148  EZR 5:9  Ham ne buzurgoṅ se pūchhā, ‘Kis ne āp ko yih ghar banāne aur is kā ḍhāṅchā takmīl tak pahuṅchāne kī ijāzat dī hai?’
12951  JOB 4:17  ‘Kyā insān Allāh ke huzūr rāstbāz ṭhahar saktā hai, kyā insān apne Ḳhāliq ke sāmne pāk-sāf ṭhahar saktā hai?’
13067  JOB 9:12  Agar wuh kuchh chhīn le to kaun use rokegā? Kaun us se kahegā, ‘Tū kyā kar rahā hai?’
13337  JOB 20:7  tāham wuh apne fuzle kī tarah abad tak tabāh ho jāegā. Jinhoṅ ne use pahle dekhā thā wuh pūchheṅge, ‘Ab wuh kahāṅ hai?’
13374  JOB 21:15  Qādir-e-mutlaq kaun hai ki ham us kī ḳhidmat kareṅ? Us se duā karne se hameṅ kyā fāydā hogā?’
13410  JOB 22:17  Unhoṅ ne Allāh se kahā, ‘Ham se dūr ho jā,’ aur ‘Qādir-e-mutlaq hamāre lie kyā kuchh kar saktā hai?’
13727  JOB 35:3  yā yih ki ‘Mujhe kyā fāydā hai, gunāh na karne se mujhe kyā nafā hotā hai?’
13735  JOB 35:11  jo hameṅ zamīn par chalne wāle jānwaroṅ kī nisbat zyādā tālīm detā, hameṅ parindoṅ se zyādā dānishmand banātā hai?’
13929  JOB 42:3  Tū ne farmāyā, ‘Yih kaun hai jo samajh se ḳhālī bāteṅ karne se mere mansūbe ke sahīh matlab par pardā ḍāltā hai?’ Yaqīnan maiṅ ne aisī bāteṅ bayān kīṅ jo merī samajh se bāhar haiṅ, aisī bāteṅ jo itnī anokhī haiṅ ki maiṅ un kā ilm rakh hī nahīṅ saktā.
18015  ISA 14:17  Kyā isī ne duniyā ko wīrān kar diyā aur us ke shahroṅ ko ḍhā kar qaidiyoṅ ko ghar wāpas jāne kī ijāzat na dī?’
18859  ISA 58:3  Wuh shikāyat karte haiṅ, ‘Jab ham rozā rakhte haiṅ to tū tawajjuh kyoṅ nahīṅ detā? Jab ham apne āp ko ḳhāksār banā kar inkisārī kā izhār karte haiṅ to tū dhyān kyoṅ nahīṅ detā?’ Suno! Rozā rakhte waqt tum apnā kārobār māmūl ke mutābiq chalā kar apne mazdūroṅ ko dabāe rakhte ho.
19065  JER 2:31  Ai maujūdā nasl, Rab ke kalām par dhyān do! Kyā maiṅ Isrāīl ke lie registān yā tārīktarīn ilāqe kī mānind thā? Merī qaum kyoṅ kahtī hai, ‘Ab ham āzādī se idhar-udhar phir sakte haiṅ, āindā ham tere huzūr nahīṅ āeṅge?’
19076  JER 3:5  kyā tū hameshā tak mere sāth nārāz rahegā? Kyā terā qahr kabhī ṭhanḍā nahīṅ hogā?’ Yihī tere apne alfāz haiṅ, lekin sāth sāth tū ġhalat kām karne kī har mumkin koshish kartī rahtī hai.”
19386  JER 15:2  Agar wuh tujh se pūchheṅ, ‘Ham kidhar jāeṅ?’ To unheṅ jawāb de, ‘Rab farmātā hai ki jise marnā hai wuh mare, jise talwār kī zad meṅ ānā hai wuh talwār kā luqmā bane, jise bhūke marnā hai wuh bhūke mare, jise qaid meṅ jānā hai wuh qaid ho jāe.’”
19415  JER 16:10  Jab tū is qaum ko yih sab kuchh batāegā to log pūchheṅge, ‘Rab itnī baṛī āfat ham par lāne par kyoṅ tulā huā hai? Ham se kyā jurm huā hai? Ham ne Rab apne Ḳhudā kā kyā gunāh kiyā hai?’
19586  JER 23:33  “Ai Yarmiyāh, agar is qaum ke ām log yā imām yā nabī tujh se pūchheṅ, ‘Āj Rab ne tujh par kalām kā kyā bojh nāzil kiyā hai?’ To jawāb de, ‘Rab farmātā hai ki tum hī mujh par bojh ho! Lekin maiṅ tumheṅ utār phaiṅkūṅgā.’
19588  JER 23:35  Is ke bajāe ek dūsre se sawāl karo ki ‘Rab ne kyā jawāb diyā?’ yā ‘Rab ne kyā farmāyā?’
19590  JER 23:37  Chunāṅche āindā nabī se sirf itnā hī pūchho ki ‘Rab ne tujhe kyā jawāb diyā?’ yā ‘Rab ne kyā farmāyā?’
19940  JER 36:29  Sāth sāth Yahūyaqīm ke bāre meṅ elān kar ki Rab farmātā hai, ‘Tū ne tūmār ko jalā kar Yarmiyāh se shikāyat kī ki tū ne is kitāb meṅ kyoṅ likhā hai ki Shāh-e-Bābal zarūr ā kar is mulk ko tabāh karegā, aur is meṅ na insān, na haiwān rahegā?’
20906  EZK 17:12  “Is sarkash qaum se pūchh, ‘Kyā tujhe is tamsīl kī samajh nahīṅ āī?’ Tab unheṅ is kā matlab samjhā de. ‘Bābal ke bādshāh ne Yarūshalam par hamlā kiyā. Wuh us ke bādshāh aur afsaroṅ ko giriftār karke apne mulk meṅ le gayā.
21020  EZK 21:12  Jab wuh tujh se pūchheṅ, ‘Āp kyoṅ karāh rahe haiṅ?’ To unheṅ jawāb de, ‘Mujhe ek haulnāk ḳhabar kā ilm hai jo abhī āne wālī hai. Jab yahāṅ pahuṅchegī to har ek kī himmat ṭūṭ jāegī aur har hāth behis-o-harkat ho jāegā. Har jān hauslā hāregī aur har ghuṭnā ḍāṅwāṅḍol ho jāegā. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki is ḳhabar kā waqt qarīb ā gayā hai, jo kuchh pesh ānā hai wuh jald hī pesh āegā.’”
21359  EZK 33:10  Ai ādamzād, Isrāīliyoṅ ko batā, tum āheṅ bhar bhar kar kahte ho, ‘Hāy ham apne jarāym aur gunāhoṅ ke bāis gal saṛ kar tabāh ho rahe haiṅ. Ham kis tarah jīte raheṅ?’
21360  EZK 33:11  Lekin Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Merī hayāt kī qasam, maiṅ bedīn kī maut se ḳhush nahīṅ hotā balki maiṅ chāhtā hūṅ ki wuh apnī ġhalat rāh se haṭ kar zindā rahe. Chunāṅche taubā karo! Apnī ġhalat rāhoṅ ko tark karke wāpas āo! Ai Isrāīlī qaum, kyā zarūrat hai ki tū mar jāe?’
21375  EZK 33:26  Tum apnī talwār par bharosā rakh kar qābil-e-ghin harkateṅ karte ho, hattā ki har ek apne paṛosī kī bīwī se zinā kartā hai. To phir mulk kis tarah tumheṅ hāsil ho saktā hai?’
21484  EZK 37:18  Tere hamwatan tujh se pūchheṅge, ‘Kyā āp hameṅ is kā matlab nahīṅ batāeṅge?’
21507  EZK 38:13  Sabā, Dadān aur Tarsīs ke tājir aur buzurg pūchheṅge ki kyā tū ne wāqaī apne faujiyoṅ ko lūṭ-mār ke lie ikaṭṭhā kar liyā hai? Kyā tū wāqaī sonā-chāṅdī, māl-maweshī aur bāqī bahut-sī daulat chhīnanā chāhtā hai?’
22359  HOS 14:9  Tab Isrāīl kahegā, ‘Merā butoṅ se kyā wāstā?’ Maiṅ hī terī sun kar terī dekh-bhāl karūṅga. Maiṅ jūnīpar kā sāyādār daraḳht hūṅ, aur tū mujh se hī phal pāegā.”
22823  HAB 2:6  Lekin yih sab us kā mazāq uṛā kar use lān-tān kareṅgī. Wuh kaheṅgī, ‘Us par afsos jo dūsroṅ kī chīzeṅ chhīn kar apnī milkiyat meṅ izāfā kartā hai, jo qarzdāroṅ kī zamānat par qabzā karne se daulatmand ho gayā hai. Yih kār-rawāī kab tak jārī rahegī?’
23164  MAL 1:6  Rabbul-afwāj farmātā hai, “Ai imāmo, beṭā apne bāp kā aur naukar apne mālik kā ehtirām kartā hai. Lekin merā ehtirām kaun kartā hai, go maiṅ tumhārā bāp hūṅ? Merā ḳhauf kaun māntā hai, go maiṅ tumhārā mālik hūṅ? Haqīqat yih hai ki tum mere nām ko haqīr jānte ho. Lekin tum etarāz karte ho, ‘Ham kis tarah tere nām ko haqīr jānte haiṅ?’
23165  MAL 1:7  Is meṅ ki tum merī qurbāngāh par nāpāk ḳhurāk rakh dete ho. Tum pūchhte ho, ‘Ham ne tujhe kis bāt meṅ nāpāk kiyā hai?’ Is meṅ ki tum Rab kī mez ko qābil-e-tahqīr qarār dete ho.
23196  MAL 3:7  Apne bāpdādā ke zamāne se le kar āj tak tum ne mere ahkām se dūr rah kar un par dhyān nahīṅ diyā. Rabbul-afwāj farmātā hai ki mere pās wāpas āo! Tab maiṅ bhī tumhāre pās wāpas āūṅgā. Lekin tum etarāz karte ho, ‘Ham kyoṅ wāpas āeṅ, ham se kyā sarzad huā hai?’
23197  MAL 3:8  Kyā munāsib hai ki insān Allāh ko ṭhage? Hargiz nahīṅ! Lekin tum log yihī kuchh kar rahe ho. Tum pūchhte ho, ‘Ham kis tarah tujhe ṭhagte haiṅ?’ Is meṅ ki tum mujhe apnī paidāwār kā daswāṅ hissā nahīṅ dete. Nīz, tum imāmoṅ ko qurbāniyoṅ kā wuh hissā nahīṅ dete jo un kā haq bantā hai.
23202  MAL 3:13  Rab farmātā hai, “Tum mere bāre meṅ kufr bakte ho. Tum kahte ho, ‘Ham kyoṅkar kufr bakte haiṅ?’
23382  MAT 6:31  Chunāṅche pareshānī ke ālam meṅ fikr karte karte yih na kahte raho, ‘Ham kyā khāeṅ? Ham kyā pieṅ? Ham kyā pahneṅ?’
23407  MAT 7:22  Adālat ke din bahut-se log mujh se kaheṅge, ‘Ai Ḳhudāwand, Ḳhudāwand! Kyā ham ne tere hī nām meṅ nabuwwat nahīṅ kī, tere hī nām se badrūheṅ nahīṅ nikālīṅ, tere hī nām se mojize nahīṅ kie?’
23635  MAT 13:27  Naukar mālik ke pās āe aur kahne lage, ‘Janāb, kyā āp ne apne khet meṅ achchhā bīj nahīṅ boyā thā? To phir yih ḳhudrau paude kahāṅ se ā gae haiṅ?’
23636  MAT 13:28  Us ne jawāb diyā, ‘Kisī dushman ne yih kar diyā hai.’ Naukaroṅ ne pūchhā, ‘Kyā ham jā kar unheṅ ukhāṛeṅ?’
23829  MAT 18:33  Kyā lāzim na thā ki tū bhī apne sāthī naukar par utnā rahm kartā jitnā maiṅ ne tujh par kiyā thā?’
23867  MAT 20:6  Phir shām ke pāṅch baj gae. Wuh niklā to dekhā ki abhī tak kuchh log fāriġh baiṭhe haiṅ. Us ne un se pūchhā, ‘Tum kyoṅ pūrā din fāriġh baiṭhe rahe ho?’
23876  MAT 20:15  Kyā merā haq nahīṅ ki maiṅ jaisā chāhūṅ apne paise ḳharch karūṅ? Yā kyā tū is lie hasad kartā hai ki maiṅ faiyāzdil hūṅ?’
23920  MAT 21:25  Mujhe batāo ki Yahyā kā baptismā kahāṅ se thā—kyā wuh āsmānī thā yā insānī?” Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
23953  MAT 22:12  Bādshāh ne pūchhā, ‘Dost, tum shādī kā libās pahne baġhair andar kis tarah āe?’ Wuh ādmī koī jawāb na de sakā.
24121  MAT 25:44  Phir wuh jawāb meṅ pūchheṅge, ‘Ḳhudāwand, ham ne āp ko kab bhūkā, pyāsā, ajnabī, nangā, bīmār yā jel meṅ paṛā dekhā aur āp kī ḳhidmat na kī?’
24740  MRK 11:31  Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
24837  MRK 14:14  Jis ghar meṅ wuh dāḳhil ho us ke mālik se kahnā, ‘Ustād āp se pūchhte haiṅ ki wuh kamrā kahāṅ hai jahāṅ maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kā khānā khāūṅ?’
25548  LUK 12:20  Lekin Allāh ne us se kahā, ‘Ahmaq! Isī rāt tū mar jāegā. To phir jo chīzeṅ tū ne jamā kī haiṅ wuh kis kī hoṅgī?’
25594  LUK 13:7  Yih dekh kar us ne mālī se kahā, ‘Maiṅ tīn sāl se is kā phal toṛne ātā hūṅ, lekin āj tak kuchh bhī nahīṅ milā. Ise kāṭ ḍāl. Yih zamīn kī tāqat kyoṅ ḳhatm kare?’
25683  LUK 15:26  Us ne kisī naukar ko bulā kar pūchhā, ‘Yih kyā ho rahā hai?’
25694  LUK 16:5  Yih kah kar us ne apne mālik ke tamām qarzdāroṅ ko bulāyā. Pahle se us ne pūchhā, ‘Tumhārā qarzā kitnā hai?’
25696  LUK 16:7  Dūsre se us ne pūchhā, ‘Tumhārā kitnā qarzā hai?’ Us ne jawāb diyā, ‘Mujhe gandum kī hazār boriyāṅ wāpas karnī haiṅ.’ Mulāzim ne kahā, ‘Apnā bil le lo aur hazār ke badle āṭh sau likh lo.’
25727  LUK 17:7  Farz karo ki tum meṅ se kisī ne hal chalāne yā jānwar charāne ke lie ek ġhulām rakhā hai. Jab yih ġhulām khet se ghar āegā to kyā us kā mālik kahegā, ‘Idhar āo, khāne ke lie baiṭh jāo?’
25853  LUK 20:5  Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
25944  LUK 22:11  Wahāṅ ke mālik se kahnā, ‘Ustād āp se pūchhte haiṅ ki wuh kamrā kahāṅ hai jahāṅ maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kā khānā khāūṅ?’
26800  JHN 16:5  Lekin ab maiṅ us ke pās jā rahā hūṅ jis ne mujhe bhejā hai. To bhī tum meṅ se koī mujh se nahīṅ pūchhtā, ‘Āp kahāṅ jā rahe haiṅ?’
27211  ACT 7:26  Agle din wuh do Isrāīliyoṅ ke pās se guzarā jo āpas meṅ laṛ rahe the. Us ne sulah karāne kī koshish meṅ kahā, ‘Mardo, āp to bhāī haiṅ. Āp kyoṅ ek dūsre se ġhalat sulūk kar rahe haiṅ?’
27213  ACT 7:28  Kyā āp mujhe bhī qatl karnā chāhte haiṅ jis tarah kal Misrī ko mār ḍālā thā?’
27220  ACT 7:35  Yoṅ Allāh ne us shaḳhs ko un ke pās bhej diyā jise wuh yih kah kar radd kar chuke the ki ‘Kis ne āp ko ham par hukmrān aur qāzī muqarrar kiyā hai?’ Jaltī huī kāṅṭedār jhāṛī meṅ maujūd farishte kī mārifat Allāh ne Mūsā ko un ke pās bhej diyā tāki wuh un kā hukmrān aur najātdahindā ban jāe.
27235  ACT 7:50  Kyā mere hāth ne yih sab kuchh nahīṅ banāyā?’
27779  ACT 22:7  Maiṅ zamīn par gir paṛā to ek āwāz sunāī dī, ‘Sāūl, Sāūl, tū mujhe kyoṅ satātā hai?’
27780  ACT 22:8  Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, āp kaun haiṅ?’ Āwāz ne jawāb diyā, ‘Maiṅ Īsā Nāsarī hūṅ jise tū satātā hai.’
27782  ACT 22:10  Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, maiṅ kyā karūṅ?’ Ḳhudāwand ne jawāb diyā, ‘Uṭh kar Damishq meṅ jā. Wahāṅ tujhe wuh sārā kām batāyā jāegā jo Allāh tere zimme lagāne kā irādā rakhtā hai.’
27884  ACT 25:20  Maiṅ uljhan meṅ paṛ gayā kyoṅki mujhe mālūm nahīṅ thā ki kis tarah is muāmale kā sahīh jāyzā lūṅ. Chunāṅche maiṅ ne pūchhā, ‘Kyā āp Yarūshalam jā kar wahāṅ adālat meṅ pesh kie jāne ke lie taiyār haiṅ?’
27906  ACT 26:15  Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, āp kaun haiṅ?’ Ḳhudāwand ne jawāb diyā, ‘Maiṅ Īsā hūṅ, wuhī jise tū satātā hai.
28262  ROM 10:6  Lekin jo rāstbāzī īmān se hāsil hotī hai wuh kahtī hai, “Apne dil meṅ na kahnā ki ‘Kaun āsmān par chaṛhegā?’ (tāki Masīh ko nīche le āe).
28263  ROM 10:7  Yih bhī na kahnā ki ‘Kaun Pātāl meṅ utregā?’ (tāki Masīh ko murdoṅ meṅ se wāpas le āe).”