Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   ‘Word’    February 25, 2023 at 01:29    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

726  GEN 26:33  Us ne kueṅ kā nām Sabā yānī ‘Qasam’ rakhā. Āj tak sāth wāle shahr kā nām Bair-sabā hai.
1979  EXO 16:31  Isrāīliyoṅ ne is ḳhurāk kā nām ‘man’ rakhā. Us ke dāne dhanie kī mānind safed the, aur us kā zāyqā shahd se bane kek kī mānind thā.
4325  NUM 20:13  Yih wāqiyā Marībā yānī ‘Jhagaṛnā’ ke pānī par huā. Wahāṅ Isrāīliyoṅ ne Rab se jhagaṛā kiyā, aur wahāṅ us ne un par zāhir kiyā ki wuh quddūs hai.
4357  NUM 21:16  Wahāṅ se wuh Bair yānī ‘Kuāṅ’ pahuṅche. Yih wuhī bair hai jahāṅ Rab ne Mūsā se kahā, “Logoṅ ko ikaṭṭhā kar to maiṅ unheṅ pānī dūṅgā.”
6877  JDG 12:6  to Jiliyād ke mard kahte, “To phir lafz ‘shibbolet’ boleṅ.” Agar wuh Ifrāīmī hotā to is ke bajāe “sibbolet” kahtā. Phir Jiliyādī use pakaṛ kar wahīṅ mār ḍālte. Us waqt kul 42,000 Ifrāīmī halāk hue.
8958  1KI 7:21  Hīrām ne donoṅ satūn Rab ke ghar ke barāmde ke sāmne khaṛe kie. Dahne hāth ke satūn kā nām us ne ‘Yakīn’ aur bāeṅ hāth ke satūn kā nām ‘Boaz’ rakhā.
8960  1KI 7:23  Is ke bād Hīrām ne pītal kā baṛā gol hauz ḍhāl diyā jis kā nām ‘Samundar’ rakhā gayā. Us kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15 fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban 45 fuṭ thā.
9984  2KI 16:17  Lekin Āḳhaz Bādshāh Rab ke ghar meṅ mazīd tabdīliyāṅ bhī lāyā. Hathgāṛiyoṅ ke jin fremoṅ par bāsan rakhe jāte the unheṅ toṛ kar us ne bāsanoṅ ko dūr kar diyā. Is ke alāwā us ne ‘Samundar’ nāmī baṛe hauz ko pītal ke un bailoṅ se utār diyā jin par wuh shurū se paṛā thā aur use patthar ke ek chabūtare par rakhwā diyā.
10903  1CH 18:8  Hadadazar ke do shahroṅ Kūn aur Tibḳhat se us ne kasrat kā pītal chhīn liyā. Bād meṅ Sulemān ne yih pītal Rab ke ghar meṅ ‘Samundar’ nāmī pītal kā hauz, satūn aur pītal kā muḳhtalif sāmān banāne ke lie istemāl kiyā.
11120  1CH 27:6  Yih Dāūd ke behtarīn daste banām ‘Tīs’ par muqarrar thā aur ḳhud zabardast faujī thā. Us ke guroh kā ālā afsar us kā beṭā ammīzabad thā.
11251  2CH 3:17  Donoṅ satūnoṅ ko Sulemān ne Rab ke ghar ke darwāze ke dāīṅ aur bāīṅ taraf khaṛā kiyā. Dahne hāth ke satūn kā nām us ne ‘Yakīn’ aur bāeṅ hāth ke satūn kā nām ‘Boaz’ rakhā.
11253  2CH 4:2  Is ke bād us ne pītal kā baṛā gol hauz ḍhalwāyā jis kā nām ‘Samundar’ rakhā gayā. Us kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15 fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban 45 fuṭ thā.
11257  2CH 4:6  Sulemān ne 10 bāsan ḍhalwāe. Pāṅch ko Rab ke ghar ke dāeṅ hāth aur pāṅch ko us ke bāeṅ hāth khaṛā kiyā gayā. In bāsanoṅ meṅ gosht ke wuh ṭukṛe dhoe jāte jinheṅ bhasm hone wālī qurbānī ke taur par jalānā thā. Lekin ‘Samundar’ nāmī hauz imāmoṅ ke istemāl ke lie thā. Us meṅ wuh nahāte the.
11261  2CH 4:10  ‘Samundar’ nāmī hauz ko sahan ke junūb-mashriq meṅ rakhā gayā.
12758  EST 3:7  Chunāṅche Aḳhaswerus Bādshāh kī hukūmat ke 12weṅ sāl ke pahle mahīne Nīsān meṅ Hāmān kī maujūdagī meṅ qurā ḍālā gayā. Qurā ḍālne se Hāmān Yahūdiyoṅ ko qatl karne kī sab se mubārak tārīḳh mālūm karnā chāhtā thā. (Qurā ke lie ‘pūr’ kahā jātā thā.) Is tarīqe se 12weṅ mahīne Adār kā 13wāṅ din niklā.
12862  EST 9:24  Īd kā nām ‘Pūrīm’ paṛ gayā, kyoṅki jab Yahūdiyoṅ kā dushman Hāmān bin Hammadātā Ajājī un sab ko halāk karne kā mansūbā bāndh rahā thā to us ne Yahūdiyoṅ ko mārne kā sab se mubārak din mālūm karne ke lie qurā banām pūr ḍāl diyā. Jab Aḳhaswerus ko sab kuchh mālūm huā to us ne hukm diyā ki Hāmān ko wuh sazā dī jāe jis kī taiyāriyāṅ us ne Yahūdiyoṅ ke lie kī thīṅ. Tab use us ke beṭoṅ samet phāṅsī se laṭkāyā gayā. Chūṅki Yahūdī is tajrabe se guzare the aur Mardakī ne hidāyat dī thī
17078  PRO 21:24  Maġhrūr aur ghamanḍī kā nām ‘Tānāzan’ hai, har kām wuh behad takabbur ke sāth kartā hai.
17881  ISA 8:4  Kyoṅki is se pahle ki laṛkā ‘Abbū’ ‘Ammī’ kah sake Damishq kī daulat aur Sāmariya kā māl-o-asbāb chhīn liyā gayā hogā, Asūr ke bādshāh ne sab kuchh lūṭ liyā hogā.”
18130  ISA 22:8  Jo bhī band-o-bast Yahūdāh ne apne tahaffuz ke lie kar liyā thā wuh ḳhatm ho gayā hai. Us din tum logoṅ ne kyā kiyā? Tum ‘Janglaghar’ nāmī silāhḳhāne meṅ jā kar aslāh kā muāynā karne lage.
18679  ISA 47:10  Tū ne apnī badkārī par etamād karke sochā, ‘Koī nahīṅ mujhe deḳhtā.’ Lekin terī ‘hikmat’ aur ‘ilm’ tujhe ġhalat rāh par lāyā hai. Un kī binā par tū ne dil meṅ kahā, ‘Maiṅ hī hūṅ, mere siwā koī aur nahīṅ hai.’
18869  ISA 58:13  Sabat ke din apne pairoṅ ko kām karne se rok. Mere muqaddas din ke daurān kārobār mat karnā balki use ‘Rāhatbaḳhsh’ aur ‘Muazzaz’ qarār de. Us din na māmūl kī rāhoṅ par chal, na apne kārobār chalā, na ḳhālī gappeṅ hāṅk. Yoṅ tū Sabat kā sahīh ehtirām karegā.
18909  ISA 60:18  Ab se tere mulk meṅ na tashaddud kā zikr hogā, na barbādī-o-tabāhī kā. Ab se terī chārdīwārī ‘Najāt’ aur tere darwāze ‘Hamd-o-Sanā’ kahlāeṅge.
18928  ISA 62:4  Āindā log tujhe na kabhī ‘Matrūkā’ na tere mulk ko ‘Wīrān-o-Sunsān’ qarār deṅge balki tū merā Lutf aur terā mulk Byāhī kahlāegā. Kyoṅki Rab tujh se lutfandoz hogā, aur terā mulk shādīshudā hogā.
18936  ISA 62:12  Tab wuh ‘Muqaddas Qaum’ aur ‘Wuh Qaum Jise Rab ne Ewazānā de Kar Chhuṛāyā Hai’ kahlāeṅge. Ai Yarūshalam Beṭī, tū ‘Marġhūn’ aur ‘Ġhairmatrūkā Shahr’ kahlāegī.
19220  JER 7:32  Chunāṅche Rab kā kalām suno! Wuh din āne wāle haiṅ jab yih maqām ‘Tūfat’ yā ‘Wādī-e-Bin-hinnūm’ nahīṅ kahlāegā balki ‘Qatl-o-Ġhārat kī Wādī.’ Us waqt log Tūfat meṅ itnī lāsheṅ dafnāeṅge ki āḳhirkār ḳhālī jagah nahīṅ rahegī.
19589  JER 23:36  Āindā Rab ke paiġhām ke lie lafz ‘bojh’ istemāl na karo, kyoṅki jo bhī bāt tum karo wuh tumhārā apnā bojh hogī. Kyoṅki tum zindā Ḳhudā ke alfāz ko toṛ-maroṛ kar bayān karte ho, us kalām ko jo Rabbul-afwāj hamāre Ḳhudā ne nāzil kiyā hai.
21969  DAN 5:26  ‘Mine’ kā matlab ‘ginā huā’ hai. Yānī āp kī saltanat ke din gine hue haiṅ, Allāh ne unheṅ iḳhtitām tak pahuṅchāyā hai.
21970  DAN 5:27  ‘Taqel’ kā matlab ‘tolā huā’ hai. Yānī Allāh ne āp ko tol kar mālūm kiyā hai ki āp kā wazn kam hai.
21971  DAN 5:28  ‘Farsīn’ kā matlab ‘taqsīm huā’ hai. Yānī āp kī bādshāhī ko Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ meṅ taqsīm kiyā jāegā.”
22197  HOS 2:25  Us waqt maiṅ apnī ḳhātir Isrāīl kā bīj mulk meṅ bo dūṅgā. ‘Loruhāmā’ par maiṅ rahm karūṅga, aur ‘Loammī’ se maiṅ kahūṅgā, ‘Tū merī qaum hai.’ Jawāb meṅ wuh bolegī, ‘Tū merā Ḳhudā hai.’”
22838  HAB 3:1  Zail meṅ Habaqqūq Nabī kī duā hai. Ise ‘Shigiyūnot’ ke tarz par gānā hai.
23104  ZEC 11:7  Chunāṅche maiṅ, Zakariyāh ne saudāgaroṅ ke lie zabah hone wālī bheṛ-bakriyoṅ kī gallābānī kī. Maiṅ ne us kām ke lie do lāṭhiyāṅ līṅ. Ek kā nām ‘Mehrbānī’ aur dūsrī kā nām ‘Yagāngat’ thā. Un ke sāth maiṅ ne rewaṛ kī gallābānī kī.
23107  ZEC 11:10  Maiṅ ne lāṭhī banām ‘Mehrbānī’ ko toṛ kar zāhir kiyā ki jo ahd maiṅ ne tamām aqwām ke sāth bāndhā thā wuh mansūḳh hai.
23111  ZEC 11:14  Is ke bād maiṅ ne dūsrī lāṭhī banām ‘Yagāngat’ ko toṛ kar zāhir kiyā ki Yahūdāh aur Isrāīl kī aḳhuwwat mansūḳh ho gaī hai.
23325  MAT 5:22  Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jo bhī apne bhāī par ġhussā kare use adālat meṅ jawāb denā hogā. Isī tarah jo apne bhāī ko ‘ahmaq’ kahe use Yahūdī adālat-e-āliyā meṅ jawāb denā hogā. Aur jo us ko ‘bewuqūf!’ Kahe wuh jahannum kī āg meṅ phaiṅke jāne ke lāyq ṭhahregā.
23920  MAT 21:25  Mujhe batāo ki Yahyā kā baptismā kahāṅ se thā—kyā wuh āsmānī thā yā insānī?” Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
23984  MAT 22:43  Īsā ne kahā, “To phir Dāūd Rūhul-quds kī mārifat use kis tarah ‘Rab’ kahtā hai? Kyoṅki wuh farmātā hai,
23994  MAT 23:7  Jab log bāzāroṅ meṅ salām karke un kī izzat karte aur ‘ustād’ kah kar un se bāt karte haiṅ to phir wuh ḳhush ho jāte haiṅ.
23996  MAT 23:9  Aur duniyā meṅ kisī ko ‘bāp’ kah kar us se bāt na karo, kyoṅki tumhārā ek hī Bāp hai aur wuh āsmān par hai.
24740  MRK 11:31  Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
25853  LUK 20:5  Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
25854  LUK 20:6  Lekin agar ham kaheṅ ‘Insānī’ to tamām log hameṅ sangsār kareṅge, kyoṅki wuh to yaqīn rakhte haiṅ ki Yahyā nabī thā.”
25958  LUK 22:25  Lekin Īsā ne un se kahā, “Ġhairyahūdī qaumoṅ meṅ bādshāh wuhī haiṅ jo dūsroṅ par hukūmat karte haiṅ, aur iḳhtiyār wāle wuhī haiṅ jinheṅ ‘Mohsin’ kā laqab diyā jātā hai.
26585  JHN 10:35  Unheṅ ‘Ḳhudā’ kahā gayā jin tak Allāh kā yih paiġhām pahuṅchāyā gayā. Aur ham jānte haiṅ ki kalām-e-muqaddas ko mansūḳh nahīṅ kiyā jā saktā.
26712  JHN 13:13  Tum mujhe ‘ustād’ aur ‘Ḳhudāwand’ kah kar muḳhātib karte ho aur yih sahīh hai, kyoṅki maiṅ yihī kuchh hūṅ.
27296  ACT 9:11  Ḳhudāwand ne farmāyā, “Uṭh, us galī meṅ jā jo ‘Sīdhī’ kahlātī hai. Wahāṅ Yahūdāh ke ghar meṅ Tarsus ke ek ādmī kā patā karnā jis kā nām Sāūl hai. Kyoṅki dekh, wuh duā kar rahā hai.
27978  ACT 28:11  Jazīre par tīn māh guzar gae. Phir ham ek jahāz par sawār hue jo sardiyoṅ ke mausam ke lie wahāṅ ṭhahar gayā thā. Yih jahāz Iskandariyā kā thā aur us ke māthe par juṛwāṅ dewatāoṅ ‘Kāsṭar’ aur ‘Polluks’ kī mūrat nasab thī. Ham wahāṅ se ruḳhsat ho kar
29062  2CO 11:5  Merā nahīṅ ḳhayāl ki maiṅ in nām-nihād ‘ḳhās’ rasūloṅ kī nisbat kam hūṅ.