7975 | 1SA 29:5 | Kyā yih wuhī Dāūd nahīṅ jis ke bāre meṅ Isrāīlī nāchte hue gāte the, ‘Sāūl ne hazār halāk kie jabki Dāūd ne das hazār’?” |
18105 | ISA 20:6 | Us waqt is sāhilī ilāqe ke bāshinde kaheṅge, ‘Dekho un logoṅ kī hālat jin se ham ummīd rakhte the. Unhīṅ ke pās ham bhāg kar āe tāki madad aur Asūrī bādshāh se chhuṭkārā mil jāe. Agar un ke sāth aisā huā to ham kis tarah bacheṅge’?” |
18727 | ISA 49:21 | Tab tū hairān ho kar dil meṅ sochegī, ‘Kis ne yih bachche mere lie paidā kie? Maiṅ to bachchoṅ se mahrūm aur beaulād thī, mujhe jilāwatan karke haṭāyā gayā thā. Kis ne in ko pālā? Mujhe to tanhā hī chhoṛ diyā gayā thā. To phir yih kahāṅ se ā gae haiṅ’?” |
22397 | JOL 2:17 | Lāzim hai ki imām jo Allāh ke ḳhādim haiṅ Rab ke ghar ke barāmde aur qurbāngāh ke darmiyān khaṛe ho kar āh-o-zārī kareṅ. Wuh iqrār kareṅ, “Ai Rab, apnī qaum par tars kī nigāh ḍāl! Apnī maurūsī milkiyat ko lān-tān kā nishānā banane na de. Aisā na ho ki dīgar aqwām us kā mazāq uṛā kar kaheṅ, ‘Un kā Ḳhudā kahāṅ hai’?” |
22582 | OBA 1:3 | Tere dil ke ġhurūr ne tujhe fareb diyā hai. Chūṅki tū chaṭānoṅ kī darāṛoṅ meṅ aur bulandiyoṅ par rahtā hai is lie tū dil meṅ sochtā hai, ‘Kaun mujhe yahāṅ se utār degā’?” |
22936 | HAG 2:12 | agar koī shaḳhs maḳhsūs-o-muqaddas gosht apnī jholī meṅ ḍāl kar kahīṅ le jāe aur rāste meṅ jholī mai, zaitūn ke tel, roṭī yā mazīd kisī khāne wālī chīz se lag jāe to kyā khāne wālī yih chīz gosht se maḳhsūs-o-muqaddas ho jātī hai’?” Hajjī ne imāmoṅ ko yih sawāl pesh kiyā to unhoṅ ne jawāb diyā, “Nahīṅ.” |
23911 | MAT 21:16 | Unhoṅ ne us se pūchhā, “Kyā āp sun rahe haiṅ ki yih bachche kyā kah rahe haiṅ?” “Jī,” Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne kalām-e-muqaddas meṅ kabhī nahīṅ paṛhā ki ‘Tū ne chhoṭe bachchoṅ aur shīrḳhāroṅ kī zabān ko taiyār kiyā hai tāki wuh terī tamjīd kareṅ’?” |
26368 | JHN 6:42 | Unhoṅ ne etarāz kiyā, “Kyā yih Īsā bin Yūsuf nahīṅ, jis ke bāp aur māṅ se ham wāqif haiṅ? Wuh kyoṅkar kah saktā hai ki ‘Maiṅ āsmān se utrā hūṅ’?” |
26472 | JHN 8:22 | Yahūdiyoṅ ne pūchhā, “Kyā wuh ḳhudkushī karnā chāhtā hai? Kyā wuh isī wajah se kahtā hai, ‘Jahāṅ maiṅ jā rahā hūṅ wahāṅ tum nahīṅ pahuṅch sakte’?” |
26812 | JHN 16:17 | Us ke kuchh shāgird āpas meṅ bāt karne lage, “Īsā ke yih kahne se kyā murād hai ki ‘Thoṛī der ke bād tum mujhe nahīṅ dekhoge, phir thoṛī der ke bād mujhe dubārā dekh loge’? Aur is kā kyā matlab hai, ‘Maiṅ Bāp ke pās jā rahā hūṅ’?” |