6817 | JDG 10:4 | Yāīr ke 30 beṭe the. Har beṭe kā ek ek gadhā aur Jiliyād meṅ ek ek ābādī thī. Āj tak in kā nām ‘Hawwot-yāīr’ yānī Yāīr kī Bastiyāṅ hai. |
27931 | ACT 27:8 | Lekin wahāṅ ham sāhil ke sāth sāth chalte hue baṛī mushkil se ek jagah pahuṅche jis kā nām ‘Hasīn-bandar’ thā. Shahr Lasayā us ke qarīb wāqe thā. |
27935 | ACT 27:12 | Chūṅki ‘Hasīn-bandar’ meṅ jahāz ko sardiyoṅ ke mausam ke lie rakhnā mushkil thā is lie aksar log āge Feniks tak pahuṅch kar sardiyoṅ kā mausam guzārnā chāhte the. Kyoṅki Feniks Jazīrā-e-Krete kī achchhī bandargāh thī jo sirf junūb-maġhrib aur shimāl-maġhrib kī taraf khulī thī. |
27982 | ACT 28:15 | Rom ke bhāiyoṅ ne hamāre bāre meṅ sun rakhā thā, aur kuchh hamārā istiqbāl karne ke lie qasbā banām appiyus ke chauk tak āe jabki kuchh sirf ‘Tīn-sarāy’ tak ā sake. Unheṅ dekh kar Paulus ne Allāh kā shukr kiyā aur nayā hauslā pāyā. |