81 | GEN 4:1 | Ādam Hawwā se hambistar huā to un kā pahlā beṭā Qābīl paidā huā. Hawwā ne kahā, “Rab kī madad se maiṅ ne ek mard hāsil kiyā hai.” |
82 | GEN 4:2 | Bād meṅ Qābīl kā bhāī Hābīl paidā huā. Hābīl bheṛ-bakriyoṅ kā charwāhā ban gayā jabki Qābīl khetībāṛī karne lagā. |
83 | GEN 4:3 | Kuchh der ke bād Qābīl ne Rab ko apnī fasloṅ meṅ se kuchh pesh kiyā. |
85 | GEN 4:5 | magar Qābīl kā nazarānā manzūr na huā. Yih dekh kar Qābīl baṛe ġhusse meṅ ā gayā, aur us kā muṅh bigaṛ gayā. |
88 | GEN 4:8 | Ek din Qābīl ne apne bhāī se kahā, “Āo, ham bāhar khule maidān meṅ chaleṅ.” Aur jab wuh khule maidān meṅ the to Qābīl ne apne bhāī Hābīl par hamlā karke use mār ḍālā. |
89 | GEN 4:9 | Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?” |
93 | GEN 4:13 | Qābīl ne kahā, “Merī sazā nihāyat saḳht hai. Maiṅ ise bardāsht nahīṅ kar pāūṅgā. |
95 | GEN 4:15 | Lekin Rab ne us se kahā, “Hargiz nahīṅ. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā.” Phir Rab ne us par ek nishān lagāyā tāki jo bhī Qābīl ko dekhe wuh use qatl na kar de. |
96 | GEN 4:16 | Is ke bād Qābīl Rab ke huzūr se chalā gayā aur Adan ke mashriq kī taraf Nod ke ilāqe meṅ jā basā. |
97 | GEN 4:17 | Qābīl kī bīwī hāmilā huī. Beṭā paidā huā jis kā nām Hanūk rakhā gayā. Qābīl ne ek shahr tāmīr kiyā aur apne beṭe kī ḳhushī meṅ us kā nām Hanūk rakhā. |
104 | GEN 4:24 | Ek ādmī ne mujhe zaḳhmī kiyā to maiṅ ne use mār ḍālā. Ek laṛke ne mere choṭ lagāī to maiṅ ne use qatl kar diyā. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā, lekin jo Lamak ko qatl kare us se satattar gunā badlā liyā jāegā.” |
105 | GEN 4:25 | Ādam aur Hawwā kā ek aur beṭā paidā huā. Hawwā ne us kā nām Set rakh kar kahā, “Allāh ne mujhe Hābīl kī jagah jise Qābīl ne qatl kiyā ek aur beṭā baḳhshā hai.” |
115 | GEN 5:9 | Anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭā Qīnān paidā huā. |
118 | GEN 5:12 | Qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭā Mahalalel paidā huā. |
222 | GEN 9:16 | Qaus-e-quzah nazar āegī to maiṅ use dekh kar us dāymī ahd ko yād karūṅga jo mere aur duniyā kī tamām jāndār maḳhlūqāt ke darmiyān hai. |
344 | GEN 14:7 | Phir wuh wāpas āe aur Ain-misfāt yānī Qādis pahuṅche. Unhoṅ ne Amālīqiyoṅ ke pūre ilāqe ko tabāh kar diyā aur Hassūn-tamr meṅ ābād Amoriyoṅ ko bhī shikast dī. |
363 | GEN 15:2 | Lekin Abrām ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū mujhe kyā degā jabki abhī tak mere hāṅ koī bachchā nahīṅ hai aur Iliyazar Damishqī merī mīrās pāegā. |
369 | GEN 15:8 | Abrām ne pūchhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kis tarah jānūṅ ki is mulk par qabzā karūṅga?” |
380 | GEN 15:19 | agarche abhī tak is meṅ Qīnī, Qanizzī, Kadmūnī, |
396 | GEN 16:14 | Is lie us jagah ke kueṅ kā nām ‘Bair-lahī-roī’ yānī ‘Us Zindā Hastī kā Kuāṅ Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ paṛ gayā. Wuh Qādis aur Barad ke darmiyān wāqe hai. |
399 | GEN 17:1 | Jab Abrām 99 sāl kā thā to Rab us par zāhir huā. Us ne kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Mere huzūr chaltā rah aur be'ilzām ho. |
403 | GEN 17:5 | Ab se tū Abrām yānī ‘Azīm Bāp’ nahīṅ kahlāegā balki terā nām Ibrāhīm yānī ‘Bahut Qaumoṅ kā Bāp’ hogā. Kyoṅki maiṅ ne tujhe bahut qaumoṅ kā bāp banā diyā hai. |
497 | GEN 20:1 | Ibrāhīm wahāṅ se junūb kī taraf Dasht-e-Najab meṅ chalā gayā aur Qādis aur Shūr ke darmiyān jā basā. Kuchh der ke lie wuh Jirār meṅ ṭhahrā, lekin ajnabī kī haisiyat se. |
545 | GEN 21:31 | Is lie us jagah kā nām Bair-sabā yānī ‘Qasam kā Kuāṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ un donoṅ mardoṅ ne qasam khāī. |
569 | GEN 22:21 | Us ke pahlauṭhe Ūz ke bād Būz, Qamuel (Arām kā bāp), |
574 | GEN 23:2 | Us zamāne meṅ Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā, aur wuh Mulk-e-Kanān meṅ thā. Ibrāhīm ne us ke pās ā kar mātam kiyā. |
594 | GEN 24:2 | Ek din us ne apne ghar ke sab se buzurg naukar se jo us kī jāydād kā pūrā intazām chalātā thā bāt kī. “Qasam ke lie apnā hāth merī rān ke nīche rakho. |
629 | GEN 24:37 | Lekin mere āqā ne mujh se kahā, ‘Qasam khāo ki tum in Kanāniyoṅ meṅ se jin ke darmiyān maiṅ rahtā hūṅ mere beṭe ke lie bīwī nahīṅ lāoge |
660 | GEN 25:1 | Ibrāhīm ne ek aur shādī kī. Naī bīwī kā nām Qatūrā thā. |
661 | GEN 25:2 | Qatūrā ke chhih beṭe paidā hue, Zimrān, Yuqsān, Midān, Midiyān, Isbāq aur Sūḳh. |
663 | GEN 25:4 | Midiyān ke beṭe Aifā, Ifar, Hanūk, Abīdā aur Ilda'ā the. Yih sab Qatūrā kī aulād the. |
672 | GEN 25:13 | Ismāīl ke beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak yih haiṅ: Nabāyot, Qīdār, Adbiyel, Mibsām, |
674 | GEN 25:15 | Hadad, Taimā, Yatūr, Nafīs aur Qidmā. |
726 | GEN 26:33 | Us ne kueṅ kā nām Sabā yānī ‘Qasam’ rakhā. Āj tak sāth wāle shahr kā nām Bair-sabā hai. |
757 | GEN 27:29 | Qaumeṅ terī ḳhidmat kareṅ, aur ummateṅ tere sāmne jhuk jāeṅ. Apne bhāiyoṅ kā hukmrān ban, aur terī māṅ kī aulād tere sāmne ghuṭne ṭeke. Jo tujh par lānat kare wuh ḳhud lānatī ho aur jo tujhe barkat de wuh ḳhud barkat pāe.” |
777 | GEN 28:3 | Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe barkat de kar phalne-phūlne de aur tujhe itnī aulād de ki tū bahut sārī qaumoṅ kā bāp bane. |
1023 | GEN 35:11 | Allāh ne yih bhī us se kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Phal-phūl aur tādād meṅ baṛhtā jā. Ek qaum nahīṅ balki bahut-sī qaumeṅ tujh se nikleṅgī. Terī aulād meṅ bādshāh bhī shāmil hoṅge. |
1039 | GEN 35:27 | Phir Yāqūb apne bāp Is'hāq ke pās pahuṅch gayā jo Habrūn ke qarīb Mamre meṅ ajnabī kī haisiyat se rahtā thā. (Us waqt Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā.) Wahāṅ Is'hāq aur us se pahle Ibrāhīm rahā karte the. |
1046 | GEN 36:5 | Uhlībāmā ke tīn beṭe paidā hue, Yaūs, Yālām aur Qorah. Esau ke yih tamām beṭe Mulk-e-Kanān meṅ paidā hue. |
1052 | GEN 36:11 | Ilīfaz ke beṭe Temān, Omar, Safo, Jātām, Qanaz |
1055 | GEN 36:14 | Esau kī bīwī Uhlībāmā jo Anā kī beṭī aur Sibaon kī nawāsī thī ke tīn beṭe Yaūs, Yālām aur Qorah the. |
1056 | GEN 36:15 | Esau se muḳhtalif qabīloṅ ke sardār nikle. Us ke pahlauṭhe Ilīfaz se yih qabāylī sardār nikle: Temān, Omar, Safo, Qanaz, |
1057 | GEN 36:16 | Qorah, Jātām aur Amālīq. Yih sab Esau kī bīwī Adā kī aulād the. |
1059 | GEN 36:18 | Esau kī bīwī Uhlībāmā yānī Anā kī beṭī se yih qabāylī sardār nikle: Yaūs, Yālām aur Qorah. |
1081 | GEN 36:40 | Esau se Adomī qabīloṅ ke yih sardār nikle: Timnā, Alwah, Yatet, Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, Qanaz, Temān, Mibsār, Majdiyel aur Irām. Adom ke sardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. Esau un kā bāp hai. |
1305 | GEN 43:14 | Allāh Qādir-e-mutlaq kare ki yih ādmī tum par rahm karke Binyamīn aur tumhāre dūsre bhāī ko wāpas bheje. Jahāṅ tak merā tālluq hai, agar mujhe apne bachchoṅ se mahrūm honā hai to aisā hī ho.” |
1398 | GEN 46:11 | Lāwī ke beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. |
1452 | GEN 47:31 | Yāqūb ne kahā, “Qasam khā ki tū aisā hī karegā.” Yūsuf ne qasam khāī. Tab Isrāīl ne apne bistar ke sirhāne par Allāh ko sijdā kiyā. |
1455 | GEN 48:3 | Us ne Yūsuf se kahā, “Jab maiṅ Kanānī shahr Lūz meṅ thā to Allāh Qādir-e-mutlaq mujh par zāhir huā. Us ne mujhe barkat de kar |
1499 | GEN 49:25 | Kyoṅki tere bāp kā Ḳhudā terī madad kartā hai, Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe āsmān kī barkat, zamīn kī gahrāiyoṅ kī barkat aur aulād kī barkat detā hai. |
1659 | EXO 6:3 | Maiṅ Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb par zāhir huā. Wuh mere nām Allāh Qādir-e-mutlaq se wāqif hue, lekin maiṅ ne un par apne nām Rab kā inkishāf nahīṅ kiyā. |
1672 | EXO 6:16 | Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. (Lāwī 137 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1674 | EXO 6:18 | Qihāt ke chār beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the. (Qihāt 133 sāl kī umr meṅ faut huā.) |
1677 | EXO 6:21 | Izhār ke tīn beṭe Qorah, Nafaj aur Zikrī the. |
1680 | EXO 6:24 | Qorah ke tīn beṭe Assīr, Ilqānā aur Abiyāsaf the. Un se Qorahiyoṅ kī tīn shāḳheṅ niklīṅ. |
1797 | EXO 10:19 | Jawāb meṅ Rab ne hawā kā ruḳh badal diyā. Us ne maġhrib se tez āṅdhī chalāī jis ne ṭiḍḍiyoṅ ko uṛā kar Bahr-e-Qulzum meṅ ḍāl diyā. Misr meṅ ek bhī ṭiḍḍī na rahī. |
1886 | EXO 13:18 | Is lie Allāh unheṅ dūsre rāste se le kar gayā, aur wuh registān ke rāste se Bahr-e-Qulzum kī taraf baṛhe. Misr se nikalte waqt mard musallah the. |
1899 | EXO 14:9 | Isrāīliyoṅ kā pīchhā karte karte Firaun ke tamām ghoṛe, rath, sawār aur faujī un ke qarīb pahuṅche. Isrāīlī Bahr-e-Qulzum ke sāhil par Bāl-safon ke muqābil Fī-haḳhīrot ke nazdīk ḳhaime lagā chuke the. |
1925 | EXO 15:4 | Firaun ke rathoṅ aur fauj ko us ne samundar meṅ paṭaḳh diyā to bādshāh ke behtarīn afsarān Bahr-e-Qulzum meṅ ḍūb gae. |
1943 | EXO 15:22 | Mūsā ke kahne par Isrāīlī Bahr-e-Qulzum se rawānā ho kar Dasht-e-Shūr meṅ chale gae. Wahāṅ wuh tīn din tak safr karte rahe. Is daurān unheṅ pānī na milā. |
2065 | EXO 20:13 | Qatl na karnā. |
2078 | EXO 20:26 | Qurbāngāh ko sīṛhiyoṅ ke baġhair banānā hai tāki us par chaṛhnī se tere libās ke nīche se terā nangāpan nazar na āe.’ |
2162 | EXO 23:17 | Yoṅ tere tamām mard tīn martabā Rab Qādir-e-mutlaq ke huzūr hāzir huā kareṅ. |
2176 | EXO 23:31 | Maiṅ terī sarhaddeṅ muqarrar karūṅga. Bahr-e-Qulzum ek had hogī aur Filistiyoṅ kā samundar dūsrī, junūb kā registān ek hogī aur Dariyā-e-Furāt dūsrī. Maiṅ mulk ke bāshindoṅ ko tere qabze meṅ kar dūṅgā, aur tū unheṅ apne āge āge mulk se dūr kartā jāegā. |
2277 | EXO 27:4 | Qurbāngāh ko uṭhāne ke lie pītal kā janglā banānā jo ūpar se khulā ho. Jangle ke chāroṅ konoṅ par kaṛe lagāe jāeṅ. |
2278 | EXO 27:5 | Qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par kinārā lagānā, aur qurbāngāh ko jangle meṅ is kināre tak rakhā jāe. |
2520 | EXO 34:23 | Lāzim hai ki tere tamām mard sāl meṅ tīn martabā Rab Qādir-e-mutlaq ke sāmne jo Isrāīl kā Ḳhudā hai hāzir hoṅ. |
2638 | EXO 38:4 | Qurbāngāh ko uṭhāne ke lie us ne pītal kā janglā banāyā. Wuh ūpar se khulā thā aur yoṅ banāyā gayā ki jab qurbāngāh us meṅ rakhī jāe to wuh us kināre tak pahuṅche jo qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par lagī thī. |
2641 | EXO 38:7 | aur qurbāngāh ke donoṅ taraf lage in kaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ. Yoṅ use uṭhāyā jā saktā thā. Qurbāngāh lakaṛī kī thī lekin khokhlī thī. |
2750 | LEV 1:4 | Qurbānī pesh karne wālā apnā hāth jānwar ke sar par rakhe to yih qurbānī maqbūl ho kar us kā kaffārā degī. |
2751 | LEV 1:5 | Qurbānī pesh karne wālā bail ko wahāṅ Rab ke sāmne zabah kare. Phir Hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kā ḳhūn Rab ko pesh karke use darwāze par kī qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛkeṅ. |
2773 | LEV 2:10 | Qurbānī kā bāqī hissā Hārūn aur us ke beṭoṅ ke lie hai. Wuh Rab kī jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se ek nihāyat muqaddas hissā hai. |
2856 | LEV 5:25 | Qusūr kī qurbānī ke taur par wuh ek beaib aur qīmat ke lihāz se munāsib menḍhā imām ke pās le āe aur Rab ko pesh kare. Us kī qīmat maqdis kī sharh ke mutābiq muqarrar kī jāe. |
2862 | LEV 6:5 | Qurbāngāh par āg jaltī rahe. Wuh kabhī bhī na bujhe. Har subah imām lakaṛiyāṅ chun kar us par bhasm hone wālī qurbānī tartīb se rakhe aur us par salāmatī kī qurbānī kī charbī jalā de. |
2881 | LEV 7:1 | Qusūr kī qurbānī jo nihāyat muqaddas hai us ke bāre meṅ hidāyāt yih haiṅ: |
2882 | LEV 7:2 | Qusūr kī qurbānī wahīṅ zabah karnī hai jahāṅ bhasm hone wālī qurbānī zabah kī jātī hai. Us kā ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛkā jāe. |
2912 | LEV 7:32 | Qurbānī kī dahnī rān imām ko uṭhāne wālī qurbānī ke taur par dī jāe. |
2961 | LEV 9:7 | Phir us ne Hārūn se kahā, “Qurbāngāh ke pās jā kar gunāh kī qurbānī aur bhasm hone wālī qurbānī chaṛhā kar apnā aur apnī qaum kā kaffārā denā. Rab ke hukm ke mutābiq qaum ke lie bhī qurbānī pesh karnā tāki us kā kaffārā diyā jāe.” |
3303 | LEV 19:21 | Qusūrwār ādmī mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ek menḍhā le āe tāki wuh Rab ko qusūr kī qurbānī ke taur par pesh kiyā jāe. |
3390 | LEV 22:20 | Qurbānī ke lie kabhī bhī aisā jānwar pesh na karnā jis meṅ nuqs ho, warnā tum us ke bāis manzūr nahīṅ hoge. |
3676 | NUM 2:17 | In junūbī qabīloṅ ke bād Lāwī mulāqāt kā ḳhaimā uṭhā kar qabīloṅ ke ain bīch meṅ chalte the. Qabīle us tartīb se rawānā hote the jis tartīb se wuh apne ḳhaime lagāte the. Har qabīlā apne alam ke pīchhe chaltā thā. |
3710 | NUM 3:17 | Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. |
3712 | NUM 3:19 | Qihāt ke chār kunbe us ke beṭoṅ Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel ke nām rakhte the. |
3720 | NUM 3:27 | Qihāt ke chār kunboṅ banām Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel |
3746 | NUM 4:2 | “Lāwī ke qabīle meṅ se Qihātiyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. |
3748 | NUM 4:4 | Qihātiyoṅ kī ḳhidmat Muqaddastarīn Kamre kī dekh-bhāl hai. |
3759 | NUM 4:15 | Safr ke lie rawānā hote waqt yih sab kuchh uṭhā kar le jānā Qihātiyoṅ kī zimmedārī hai. Lekin lāzim hai ki pahle Hārūn aur us ke beṭe yih tamām muqaddas chīzeṅ ḍhāṅpeṅ. Qihātī in meṅ se koī bhī chīz na chhueṅ warnā mar jāeṅge. |
3762 | NUM 4:18 | “Ḳhabardār raho ki Qihāt ke kunbe Lāwī ke qabīle meṅ se miṭne na pāeṅ. |
3764 | NUM 4:20 | Qihātī ek lamhe ke lie bhī muqaddas chīzeṅ deḳhne ke lie andar na jāeṅ, warnā wuh mar jāeṅge.” |
3778 | NUM 4:34 | Mūsā, Hārūn aur jamāt ke rāhnumāoṅ ne Qihātiyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq kī. |
3844 | NUM 6:20 | Is ke bād wuh yih chīzeṅ wāpas le kar unheṅ hilāne kī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe. Yih ek muqaddas qurbānī hai jo imām kā hissā hai. Salāmatī kī qurbānī kā hilāyā huā Sīnā aur uṭhāī huī rān bhī imām kā hissā haiṅ. Qurbānī ke iḳhtitām par maḳhsūs kie hue shaḳhs ko mai pīne kī ijāzat hai. |
3860 | NUM 7:9 | Lekin Mūsā ne Qihātiyoṅ ko na bail gāṛiyāṅ aur na bail die. Wajah yih thī ki jo muqaddas chīzeṅ un ke sapurd thīṅ wuh un ko kandhoṅ par uṭhā kar le jānī thīṅ. |
4010 | NUM 10:21 | Phir Lāwiyoṅ meṅ se Qihātī maqdis kā sāmān uṭhā kar rawānā hue. Lāzim thā ki un ke aglī manzil par pahuṅchne tak mulāqāt kā ḳhaimā lagā diyā gayā ho. |
4059 | NUM 11:34 | Chunāṅche maqām kā nām Qabrot-hattāwā yānī ‘Lālach kī Qabreṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ unhoṅ ne un logoṅ ko dafn kiyā jo gosht ke lālach meṅ ā gae the. |
4060 | NUM 11:35 | Is ke bād Isrāīlī Qabrot-hattāwā se rawānā ho kar Hasīrāt pahuṅch gae. Wahāṅ wuh ḳhaimāzan hue. |
4102 | NUM 13:26 | Wuh Mūsā, Hārūn aur Isrāīl kī pūrī jamāt ke pās āe jo Dasht-e-Fārān meṅ Qādis kī jagah par intazār kar rahe the. Wahāṅ unhoṅ ne sab kuchh batāyā jo unhoṅ ne mālūm kiyā thā aur unheṅ wuh phal dikhāe jo le kar āe the. |