921 | GEN 31:47 | Lāban ne us kā nām Yajr-shāhdūthā rakhā jabki Yāqūb ne Jal-ed rakhā. Donoṅ nāmoṅ kā matlab ‘Gawāhī kā Ḍher’ hai yānī wuh ḍher jo gawāhī detā hai. |
2217 | EXO 25:21 | Ḍhakne ko sandūq par lagā, aur sandūq meṅ sharīat kī wuh do taḳhtiyāṅ rakh jo maiṅ tujhe dūṅgā. |
2228 | EXO 25:32 | Ḍanḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn shāḳheṅ nikleṅ. |
2623 | EXO 37:18 | Ḍanḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn shāḳheṅ nikaltī thīṅ. |
7245 | 1SA 2:3 | Ḍīṅgeṅ mārne se bāz āo! Gustāḳh bāteṅ mat bako! Kyoṅki Rab aisā Ḳhudā hai jo sab kuchh jāntā hai, wuh tamām āmāl ko tol kar parakhtā hai. |
7319 | 1SA 4:20 | Us kī jān nikalne lagī to dāiyoṅ ne us kī hauslā-afzāī karke kahā, “Ḍaro mat! Tumhāre beṭā paidā huā hai.” Lekin māṅ ne na jawāb diyā, na bāt par dhyān diyā. |
7661 | 1SA 17:41 | Jālūt Dāūd kī jānib baṛhā. Ḍhāl ko uṭhāne wālā us ke āge āge chal rahā thā. |
7830 | 1SA 23:17 | Us ne kahā, “Ḍareṅ mat. Mere bāp kā hāth āp tak nahīṅ pahuṅchegā. Ek din āp zarūr Isrāīl ke bādshāh ban jāeṅge, aur merā rutbā āp ke bād hī āegā. Merā bāp bhī is haqīqat se ḳhūb wāqif hai.” |
7958 | 1SA 28:13 | Sāūl ne use tasallī de kar kahā, “Ḍareṅ mat. Batāeṅ to sahī, kyā dekh rahī haiṅ?” Aurat ne jawāb diyā, “Mujhe ek rūh nazar ā rahī hai jo chaṛhtī chaṛhtī zamīn meṅ se nikal kar ā rahī hai.” |
8237 | 2SA 9:7 | Dāūd bolā, “Ḍareṅ mat. Āj maiṅ āp ke bāp Yūnatan ke sāth kiyā huā wādā pūrā karke āp par apnī mehrbānī kā izhār karnā chāhtā hūṅ. Ab suneṅ! Maiṅ āp ko āp ke dādā Sāūl kī tamām zamīneṅ wāpas kar detā hūṅ. Is ke alāwā maiṅ chāhtā hūṅ ki āp rozānā mere sāth khānā khāyā kareṅ.” |
8348 | 2SA 13:28 | Ziyāfat se pahle Abīsalūm ne apne mulāzimoṅ ko hukm diyā, “Suneṅ! Jab Amnon mai pī pī kar ḳhush ho jāegā to maiṅ āp ko Amnon ko mārne kā hukm dūṅgā. Phir āp ko use mār ḍālnā hai. Ḍareṅ mat, kyoṅki maiṅ hī ne āp ko yih hukm diyā hai. Mazbūt aur diler hoṅ!” |
8723 | 1KI 1:3 | Chunāṅche wuh pūre mulk meṅ kisī ḳhūbsūrat laṛkī kī talāsh karne lage. Ḍhūṅḍte ḍhūṅḍte Abīshāg Shūnīmī ko chun kar bādshāh ke pās lāyā gayā. |
9333 | 1KI 17:13 | Iliyās ne use tasallī dī, “Ḍareṅ mat! Beshak wuh kuchh kareṅ jo āp ne kahā hai. Lekin pahle mere lie chhoṭī-sī roṭī banā kar mere pās le āeṅ. Phir jo bāqī rah gayā ho us se apne aur apne beṭe ke lie roṭī banāeṅ. |
9694 | 2KI 6:16 | Lekin Ilīshā ne use tasallī dī, “Ḍaro mat! Jo hamāre sāth haiṅ wuh un kī nisbat kahīṅ zyādā haiṅ jo dushman ke sāth haiṅ.” |
9718 | 2KI 7:7 | Ḍar ke māre wuh shām ke dhundalke meṅ farār ho gae the. Un ke ḳhaime, ghoṛe, gadhe balki pūrī lashkargāh pīchhe rah gaī thī jabki wuh apnī jān bachāne ke lie bhāg gae the. |
10982 | 1CH 22:13 | Agar āp ehtiyāt se un hidāyāt aur ahkām par amal kareṅ jo Rab ne Mūsā kī mārifat Isrāīl ko de die to āp ko zarūr kāmyābī hāsil hogī. Mazbūt aur diler hoṅ. Ḍareṅ mat aur himmat na hāreṅ. |
11168 | 1CH 28:20 | Phir wuh apne beṭe Sulemān se muḳhātib huā, “Mazbūt aur diler hoṅ! Ḍareṅ mat aur himmat mat hārnā, kyoṅki Rab Ḳhudā merā Ḳhudā āp ke sāth hai. Na wuh āp ko chhoṛegā, na tark karegā balki Rab ke ghar kī takmīl tak āp kī madad kartā rahegā. |
12429 | NEH 7:4 | Go Yarūshalam Shahr baṛā aur wasī thā, lekin us meṅ ābādī thoṛī thī. Ḍhāe gae makān ab tak dubārā tāmīr nahīṅ hue the. |
13456 | JOB 24:16 | Ḍākū andhere meṅ gharoṅ meṅ naqb lagāte jabki din ke waqt wuh chhup kar apne pīchhe kunḍī lagā lete haiṅ. Nūr ko wuh jānte hī nahīṅ. |
13921 | JOB 41:21 | Ḍanḍā use tinkā-sā lagtā hai, aur wuh shamshīr kā shor-sharābā sun kar haṅs uṭhtā hai. |
15131 | PSA 75:5 | Sheḳhībāzoṅ se maiṅ ne kahā, ‘Ḍīṅgeṅ mat māro,’ aur bedīnoṅ se, ‘Apne āp par faḳhr mat karo. |
16730 | PRO 10:4 | Ḍhīle hāth ġhurbat aur mehnatī hāth daulat kī taraf le jāte haiṅ. |
16816 | PRO 12:27 | Ḍhīlā ādmī apnā shikār nahīṅ pakaṛ saktā jabki mehnatī shaḳhs kasrat kā māl hāsil kar letā hai. |
20668 | EZK 7:22 | Maiṅ apnā muṅh Isrāīliyoṅ se pher lūṅgā to ajnabī mere qīmtī maqām kī behurmatī kareṅge. Ḍākū us meṅ ghus kar use nāpāk kareṅge. |
21410 | EZK 34:28 | Āindā na dīgar aqwām unheṅ lūṭeṅgī, na wuh darindoṅ kī ḳhurāk baneṅge balki wuh hifāzat se apne gharoṅ meṅ baseṅge. Ḍarāne wālā koī nahīṅ hogā. |
22377 | JOL 1:17 | Ḍheloṅ meṅ chhupe bīj jhulas gae haiṅ, is lie ḳhālī godām ḳhastāhāl aur anāj ko mahfūz rakhne ke makān ṭūṭ phūṭ gae haiṅ. Un kī zarūrat nahīṅ rahī, kyoṅki ġhallā sūkh gayā hai. |
22929 | HAG 2:5 | Jo ahd maiṅ ne Misr se nikalte waqt tum se bāndhā thā wuh qāym rahegā. Merā Rūh tumhāre darmiyān hī rahegā. Ḍaro mat! |
23058 | ZEC 8:13 | Ai Yahūdāh aur Isrāīl, pahle tum dīgar aqwām meṅ lānat kā nishānā ban gae the, lekin ab jab maiṅ tumheṅ rihā karūṅga to tum barkat kā bāis hoge. Ḍaro mat! Hauslā rakho!’ |
23392 | MAT 7:7 | Māṅgte raho to tum ko diyā jāegā. Ḍhūṅḍte raho to tum ko mil jāegā. Khaṭkhaṭāte raho to tumhāre lie darwāzā khol diyā jāegā. |
25052 | LUK 2:10 | Lekin farishte ne un se kahā, “Ḍaro mat! Dekho maiṅ tum ko baṛī ḳhushī kī ḳhabar detā hūṅ jo tamām logoṅ ke lie hogī. |