16 | GEN 1:16 | Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bhī banāyā. |
31 | GEN 1:31 | Allāh ne sab par nazar kī to dekhā ki wuh bahut achchhā ban gayā hai. Shām huī, phir subah. Chhaṭā din guzar gayā. |
37 | GEN 2:6 | Is kī bajāe zamīn meṅ se dhund uṭh kar us kī pūrī satah ko tar kartī thī. |
38 | GEN 2:7 | Phir Rab Ḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insān ko tashkīl diyā aur us ke nathnoṅ meṅ zindagī kā dam phūṅkā to wuh jītī jān huā. |
40 | GEN 2:9 | Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā. |
50 | GEN 2:19 | Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unheṅ ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yoṅ har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā. |
54 | GEN 2:23 | Use dekh kar wuh pukār uṭhā, “Wāh! Yih to mujh jaisī hī hai, merī haḍḍiyoṅ meṅ se haḍḍī aur mere gosht meṅ se gosht hai. Is kā nām Nārī rakhā jāe kyoṅki wuh nar se nikālī gaī hai.” |
64 | GEN 3:8 | Shām ke waqt jab ṭhanḍī hawā chalne lagī to unhoṅ ne Rab Ḳhudā ko bāġh meṅ chalte phirte sunā. Wuh ḍar ke māre daraḳhtoṅ ke pīchhe chhup gae. |
70 | GEN 3:14 | Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā. |
71 | GEN 3:15 | Maiṅ tere aur aurat ke darmiyān dushmanī paidā karūṅga. Us kī aulād terī aulād kī dushman hogī. Wuh tere sar ko kuchal ḍālegī jabki tū us kī eṛī par kāṭegā.” |
74 | GEN 3:18 | Tere lie wuh ḳhārdār paude aur ūṅṭkaṭāre paidā karegī, hālāṅki tū us se apnī ḳhurāk bhī hāsil karegā. |
75 | GEN 3:19 | Pasīnā bahā bahā kar tujhe roṭī kamāne ke lie bhāg-dauṛ karnī paṛegī. Aur yih silsilā maut tak jārī rahegā. Tū mehnat karte karte dubārā zamīn meṅ lauṭ jāegā, kyoṅki tū usī se liyā gayā hai. Tū ḳhāk hai aur dubārā ḳhāk meṅ mil jāegā.” |
81 | GEN 4:1 | Ādam Hawwā se hambistar huā to un kā pahlā beṭā Qābīl paidā huā. Hawwā ne kahā, “Rab kī madad se maiṅ ne ek mard hāsil kiyā hai.” |
84 | GEN 4:4 | Hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā, lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ ke kuchh pahlauṭhe un kī charbī samet chaṛhāe. Hābīl kā nazarānā Rab ko pasand āyā, |
86 | GEN 4:6 | Rab ne pūchhā, “Tū ġhusse meṅ kyoṅ ā gayā hai? Terā muṅh kyoṅ laṭkā huā hai? |
87 | GEN 4:7 | Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.” |
97 | GEN 4:17 | Qābīl kī bīwī hāmilā huī. Beṭā paidā huā jis kā nām Hanūk rakhā gayā. Qābīl ne ek shahr tāmīr kiyā aur apne beṭe kī ḳhushī meṅ us kā nām Hanūk rakhā. |
98 | GEN 4:18 | Hanūk kā beṭā Īrād thā, Īrād kā beṭā Mahūyāel, Mahūyāel kā beṭā Matūsāel aur Matūsāel kā beṭā Lamak thā. |
100 | GEN 4:20 | Adā kā beṭā Yābal thā. Us kī nasl ke log ḳhaimoṅ meṅ rahte aur maweshī pālte the. |
102 | GEN 4:22 | Zillā ke bhī beṭā paidā huā jis kā nām Tūbal-qābīl thā. Wuh lohār thā. Us kī nasl ke log pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the. Tūbal-qābīl kī bahan kā nām Nāmā thā. |
104 | GEN 4:24 | Ek ādmī ne mujhe zaḳhmī kiyā to maiṅ ne use mār ḍālā. Ek laṛke ne mere choṭ lagāī to maiṅ ne use qatl kar diyā. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā, lekin jo Lamak ko qatl kare us se satattar gunā badlā liyā jāegā.” |
105 | GEN 4:25 | Ādam aur Hawwā kā ek aur beṭā paidā huā. Hawwā ne us kā nām Set rakh kar kahā, “Allāh ne mujhe Hābīl kī jagah jise Qābīl ne qatl kiyā ek aur beṭā baḳhshā hai.” |
106 | GEN 4:26 | Set ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Anūs rakhā. Un dinoṅ meṅ log Rab kā nām le kar ibādat karne lage. |
109 | GEN 5:3 | Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā. |
110 | GEN 5:4 | Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
112 | GEN 5:6 | Set 105 sāl kā thā jab us kā beṭā Anūs paidā huā. |
113 | GEN 5:7 | Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
115 | GEN 5:9 | Anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭā Qīnān paidā huā. |
116 | GEN 5:10 | Is ke bād wuh mazīd 815 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
118 | GEN 5:12 | Qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭā Mahalalel paidā huā. |
119 | GEN 5:13 | Is ke bād wuh mazīd 840 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
121 | GEN 5:15 | Mahalalel 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Yārid paidā huā. |
122 | GEN 5:16 | Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
124 | GEN 5:18 | Yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭā Hanūk paidā huā. |
125 | GEN 5:19 | Is ke bād wuh mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
127 | GEN 5:21 | Hanūk 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Matūsilah paidā huā. |
128 | GEN 5:22 | Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
130 | GEN 5:24 | Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā. |
131 | GEN 5:25 | Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā. |
132 | GEN 5:26 | Wuh mazīd 782 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe aur beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
134 | GEN 5:28 | Lamak 182 sāl kā thā jab us kā beṭā paidā huā. |
135 | GEN 5:29 | Us ne us kā nām Nūh yānī Tasallī rakhā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ kahā, “Hamārā khetībāṛī kā kām nihāyat taklīfdeh hai, is lie ki Allāh ne zamīn par lānat bhejī hai. Lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallī pāeṅge.” |
136 | GEN 5:30 | Is ke bād wuh mazīd 595 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. |
138 | GEN 5:32 | Nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue. |
139 | GEN 6:1 | Duniyā meṅ logoṅ kī tādād baṛhne lagī. Un ke hāṅ beṭiyāṅ paidā huīṅ. |
140 | GEN 6:2 | Tab āsmānī hastiyoṅ ne dekhā ki banī nau insān kī beṭiyāṅ ḳhūbsūrat haiṅ, aur unhoṅ ne un meṅ se kuchh chun kar un se shādī kī. |
145 | GEN 6:7 | Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.” |
148 | GEN 6:10 | Nūh ke tīn beṭe the, Sim, Hām aur Yāfat. |
153 | GEN 6:15 | Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho. |
156 | GEN 6:18 | Lekin tere sāth maiṅ ahd bāndhūṅgā jis ke taht tū apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ jāegā. |
164 | GEN 7:4 | Ek hafte ke bād maiṅ chālīs din aur chālīs rāt mutawātir bārish barsāūṅgā. Is se maiṅ tamām jāndāroṅ ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā, agarche maiṅ hī ne unheṅ banāyā hai.” |
167 | GEN 7:7 | Tūfānī sailāb se bachne ke lie Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ sawār huā. |
171 | GEN 7:11 | Yih sab kuchh us waqt huā jab Nūh 600 sāl kā thā. Dūsre mahīne ke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae. |
173 | GEN 7:13 | Jab bārish shurū huī to Nūh, us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat, us kī bīwī aur bahueṅ kashtī meṅ sawār ho chuke the. |
177 | GEN 7:17 | Chālīs din tak tūfānī sailāb jārī rahā. Pānī chaṛhā to us ne kashtī ko zamīn par se uṭhā liyā. |
180 | GEN 7:20 | Balki sab se ūṅchī choṭī par pānī kī gahrāī 20 fuṭ thī. |
183 | GEN 7:23 | Yoṅ har maḳhlūq ko rū-e-zamīn par se miṭā diyā gayā. Insān, zamīn par phirne aur reṅgne wāle jānwar aur parinde, sab kuchh ḳhatm kar diyā gayā. Sirf Nūh aur kashtī meṅ sawār us ke sāthī bach gae. |
187 | GEN 8:3 | Pānī ghaṭtā gayā. 150 din ke bād wuh kāfī kam ho gayā thā. |
188 | GEN 8:4 | Sātweṅ mahīne ke 17weṅ din kashtī Arārāt ke ek pahāṛ par ṭik gaī. |
189 | GEN 8:5 | Dasweṅ mahīne ke pahle din pānī itnā kam ho gayā thā ki pahāṛoṅ kī choṭiyāṅ nazar āne lagī thīṅ. |
193 | GEN 8:9 | Lekin kabūtar ko kahīṅ bhī baiṭhne kī jagah na milī, kyoṅki ab tak pūrī zamīn par pānī hī pānī thā. Wuh kashtī aur Nūh ke pās wāpas ā gayā, aur Nūh ne apnā hāth baṛhāyā aur kabūtar ko pakaṛ kar apne pās kashtī meṅ rakh liyā. |
195 | GEN 8:11 | Shām ke waqt wuh lauṭ āyā. Is dafā us kī choṅch meṅ zaitūn kā tāzā pattā thā. Tab Nūh ko mālūm huā ki zamīn pānī se nikal āī hai. |
200 | GEN 8:16 | “Apnī bīwī, beṭoṅ aur bahuoṅ ke sāth kashtī se nikal ā. |
202 | GEN 8:18 | Chunāṅche Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ samet nikal āyā. |
205 | GEN 8:21 | Yih qurbāniyāṅ dekh kar Rab ḳhush huā aur apne dil meṅ kahā, “Ab se maiṅ kabhī zamīn par insān kī wajah se lānat nahīṅ bhejūṅgā, kyoṅki us kā dil bachpan hī se burāī kī taraf māyl hai. Ab se maiṅ kabhī is tarah tamām jān rakhne wālī maḳhlūqāt ko rū-e-zamīn par se nahīṅ miṭāūṅgā. |
206 | GEN 8:22 | Duniyā ke muqarrarā auqāt jārī raheṅge. Bīj bone aur fasal kāṭne kā waqt, ṭhanḍ aur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kā mausam, din aur rāt, yih sab kuchh duniyā ke Aḳhīr tak qāym rahegā.” |
207 | GEN 9:1 | Phir Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe |
214 | GEN 9:8 | Tab Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ se kahā, |
224 | GEN 9:18 | Nūh ke jo beṭe us ke sāth kashtī se nikle Sim, Hām aur Yāfat the. Hām Kanān kā bāp thā. |
229 | GEN 9:23 | Yih sun kar Sim aur Yāfat ne apne kandhoṅ par kapṛā rakhā. Phir wuh ulṭe chalte hue ḍere meṅ dāḳhil hue aur kapṛā apne bāp par ḍāl diyā. Un ke muṅh dūsrī taraf muṛe rahe tāki bāp kī barahnagī nazar na āe. |
230 | GEN 9:24 | Jab Nūh hosh meṅ āyā to us ko patā chalā ki sab se chhoṭe beṭe ne kyā kiyā hai. |
236 | GEN 10:1 | Yih Nūh ke beṭoṅ Sim, Hām aur Yāfat kā nasabnāmā hai. Un ke beṭe sailāb ke bād paidā hue. |
237 | GEN 10:2 | Yāfat ke beṭe Jumar, Mājūj, Mādī, Yāwān, Tūbal, Masak aur Tīrās the. |
238 | GEN 10:3 | Jumar ke beṭe Ashkanāz, Rīfat aur Tujarmā the. |
239 | GEN 10:4 | Yāwān ke beṭe Ilīsā aur Tarsīs the. Kittī aur Dodānī bhī us kī aulād haiṅ. |
241 | GEN 10:6 | Hām ke beṭe Kūsh, Misr, Fūt aur Kanān the. |
242 | GEN 10:7 | Kūsh ke beṭe Sibā, Hawīlā, Sabtā, Rāmā aur Sabtakā the. Rāmā ke beṭe Sabā aur Dadān the. |
243 | GEN 10:8 | Kūsh kā ek aur beṭā banām Namrūd thā. Wuh duniyā meṅ pahlā zabardast hākim thā. |
250 | GEN 10:15 | Kanān kā pahlauṭhā Saidā thā. Kanān zail kī qaumoṅ kā bāp bhī thā: Hittī |
256 | GEN 10:21 | Sim Yāfat kā baṛā bhāī thā. Us ke bhī beṭe paidā hue. Sim tamām banī Ibar kā bāp hai. |
257 | GEN 10:22 | Sim ke beṭe Ailām, Asūr, Arfaksad, Lūd aur Arām the. |
258 | GEN 10:23 | Arām ke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Mas the. |
259 | GEN 10:24 | Arfaksad kā beṭā Silah aur Silah kā beṭā Ibar thā. |