Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   “Word!”    February 11, 2023 at 19:53    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

549  GEN 22:1  Kuchh arse ke bād Allāh ne Ibrāhīm ko āzmāyā. Us ne us se kahā, “Ibrāhīm!” Us ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
555  GEN 22:7  Is'hāq bolā, “Abbū!” Ibrāhīm ne kahā, “Jī beṭā.” “Abbū, āg aur lakaṛiyāṅ to hamāre pās haiṅ, lekin qurbānī ke lie bheṛ yā bakrī kahāṅ hai?”
6589  JDG 3:19  Ahūd bhī wahāṅ se rawānā huā, lekin Jiljāl ke butoṅ ke qarīb wuh muṛ kar Ijlūn ke pās wāpas gayā. Ijlūn bālāḳhāne meṅ baiṭhā thā jo zyādā ṭhanḍā thā aur us ke zātī istemāl ke lie maḳhsūs thā. Ahūd ne andar jā kar bādshāh se kahā, “Merī āp ke lie ḳhufiyā ḳhabar hai.” Bādshāh ne kahā, “Ḳhāmosh!” Bāqī tamām hāzirīn kamre se chale gae to Ahūd ne kahā, “Jo ḳhabar mere pās āp ke lie hai wuh Allāh kī taraf se hai!” Yih sun kar Ijlūn khaṛā hone lagā,
7282  1SA 3:4  ki achānak Rab ne āwāz dī, “Samuel!” Samuel ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ abhī ātā hūṅ.” Wuh bhāg kar Elī ke pās gayā aur kahā, “Jī janāb, maiṅ hāzir hūṅ. Āp ne mujhe bulāyā?” Elī bolā, “Nahīṅ, maiṅ ne tumheṅ nahīṅ bulāyā. Wāpas jā kar dubārā leṭ jāo.” Chunāṅche Samuel dubārā leṭ gayā.
7284  1SA 3:6  Lekin Rab ne ek bār phir āwāz dī, “Samuel!” Laṛkā dubārā uṭhā aur Elī ke pās jā kar bolā, “Jī janāb, maiṅ hāzir hūṅ. Āp ne mujhe bulāyā?” Elī ne jawāb diyā, “Nahīṅ beṭā, maiṅ ne tumheṅ nahīṅ bulāyā. Dubārā so jāo.”
7286  1SA 3:8  Chunāṅche Rab ne tīsrī bār āwāz dī, “Samuel!” Ek aur martabā Samuel uṭh khaṛā huā aur Elī ke pās jā kar bolā, “Jī janāb, maiṅ hāzir hūṅ. Āp ne mujhe bulāyā?” Yih sun kar Elī ne jān liyā ki Rab Samuel se hamkalām ho rahā hai.
8236  2SA 9:6  Yūnatan ke jis beṭe kā zikr Zībā ne kiyā wuh Mifībosat thā. Jab use Dāūd ke sāmne lāyā gayā to us ne muṅh ke bal jhuk kar us kī izzat kī. Dāūd ne kahā, “Mifībosat!” Us ne jawāb diyā, “Jī, āp kā ḳhādim hāzir hai.”
14334  PSA 29:9  Rab kī āwāz sun kar hirnī dard-e-zah meṅ mubtalā ho jātī aur jangloṅ ke patte jhaṛ jāte haiṅ. Lekin us kī sukūnatgāh meṅ sab pukārte haiṅ, “Jalāl!”
23892  MAT 20:31  Hujūm ne unheṅ ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh aur bhī ūṅchī āwāz se pukārte rahe, “Ḳhudāwand, Ibn-e-Dāūd, ham par rahm kareṅ.”
24566  MRK 7:34  Phir āsmān kī taraf nazar uṭhā kar us ne āh bharī aur us se kahā, “Iffatah!” (Is kā matlab hai “Khul jā!”)
24705  MRK 10:48  Bahut-se logoṅ ne use ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh mazīd ūṅchī āwāz se pukārtā rahā, “Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ!”
24868  MRK 14:45  Jyoṅ hī wuh pahuṅche Yahūdāh Īsā ke pās gayā aur “Ustād!” Kah kar use bosā diyā.
25796  LUK 18:39  Āge chalne wāloṅ ne use ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh mazīd ūṅchī āwāz se pukārtā rahā, “Ai Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ.”
26952  JHN 20:16  Īsā ne us se kahā, “Mariyam!” Wuh us kī taraf muṛī aur bol uṭhī, “Rabbbūnī!” (Is kā matlab Arāmī zabān meṅ ustād hai.)
27295  ACT 9:10  Us waqt Damishq meṅ Īsā kā ek shāgird rahtā thā jis kā nām Hananiyāh thā. Ab Ḳhudāwand royā meṅ us se hamkalām huā, “Hananiyāh!” Us ne jawāb diyā, “Jī Ḳhudāwand, maiṅ hāzir hūṅ.”
27331  ACT 10:3  Ek din us ne tīn baje dopahar ke waqt royā dekhī. Us meṅ us ne sāf taur par Allāh kā ek farishtā dekhā jo us ke pās āyā aur kahā, “Kurneliyus!”
30862  REV 6:1  Phir maiṅ ne dekhā, Lele ne sāt muhroṅ meṅ se pahlī muhr ko kholā. Is par maiṅ ne chār jāndāroṅ meṅ se ek ko jis kī āwāz kaṛakte bādaloṅ kī mānind thī yih kahte hue sunā, “Ā!”
30864  REV 6:3  Lele ne dūsrī muhr kholī to maiṅ ne dūsre jāndār ko kahte hue sunā ki “Ā!”
30866  REV 6:5  Lele ne tīsrī muhr kholī to maiṅ ne tīsre jāndār ko kahte hue sunā ki “Ā!” Mere deḳhte deḳhte ek kālā ghoṛā nazar āyā. Us ke sawār ke hāth meṅ tarāzū thā.
30868  REV 6:7  Lele ne chauthī muhr kholī to maiṅ ne chauthe jāndār ko kahte sunā ki “Ā!”
31166  REV 22:17  Rūh aur dulhan kahtī haiṅ, “Ā!” Har sunane wālā bhī yihī kahe, “Ā!” Jo pyāsā ho wuh āe aur jo chāhe wuh zindagī kā pānī muft le le.